pyaar ek kashish ........aadat ho gayi

by salil2002 on March 26, 2007, 08:44:54 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1408 times)
salil2002
Guest
Reply with quote
jaane kyun mohabbat kii aadat si ho gayi hai
haseenao se humko mohabbat si ho gayi hai
dilon se khelta hoon aur tod deta hun
oon tukdo ko sametne kii phir se aadat si ho gayi hai

log kehte hai mujhe kii tu nasamajh hai
main oonhe kya bataun kii meri ye haalat kyun ho gayi hai
har chehre main teri surat hi dikhti hai
yehi wajah hai kii ye najar ek par nahi tikti hai

jab bhi pyaar ho jaata hai hudd se zyaada
phir jhagadne ki meri aadat si ho gayi hai
sabhi toote dilon ko mera salaam hai
kyunkii mujhe aap sabhi k dard kii pehchaan hai

magar kya karoon main apni miohabbat ap par luta nahi sakta
main 'salil' hoon mujhe behne kii aadat si ho gayi hai
jaanta hun aap mujhse nafrat karte ho
mujhe nafrat ko sahne kii aadat si ho gayi hai
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #1 on: March 26, 2007, 09:11:35 AM »
Reply with quote
Well said.. acha likha hai salil
Logged
salil2002
Guest
«Reply #2 on: March 26, 2007, 03:15:13 PM »
Reply with quote

thnks deepika

Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: March 26, 2007, 04:12:25 PM »
Reply with quote
Nice one  Salil....bohot dino ke baad dekha aap ko Usual Smile
Logged
salil2002
Guest
«Reply #4 on: March 26, 2007, 05:43:42 PM »
Reply with quote
haan talat thoda sa busy tha .......par aap logo ko bahut miss kiya.

door thay aapse magar aapko yaad karte thay
oos chand se poochho jisse saari raat aapki baat karte thay .....
aap logo ne toh bhula diya apn eis dost ko
hum phir bhi aapko yaad aane kii fariyaad karte thay
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: March 27, 2007, 01:18:09 PM »
Reply with quote
Humne bhi yaada kiya tha tujhe
Yaqeen humari baat ka tu kar le
Ek muddat ke baad dekha jo aaj
Mil gayi hai jaise ek saughaat !!
Logged
salil2002
Guest
«Reply #6 on: March 27, 2007, 04:00:40 PM »
Reply with quote
thnks talat

teri yaadon ka haqdaar jo paaya khud ko
toh phir jeene kii aarzoo jagi hai
mere lab khamosh hai toh kya hua
teri aankhen sab keh rahi hai
Logged
sanya310
Guest
«Reply #7 on: March 27, 2007, 07:13:26 PM »
Reply with quote
udas rehne ki aadat si hogayi hai
dard sehne ki aadat si hogayi hai
rehte hain dunya waale ruswaa humse jo
sach kehne ki aadat ki hogayi hai!

good work salil..
Logged
Talat
Guest
«Reply #8 on: March 28, 2007, 12:36:26 PM »
Reply with quote
Thanks Sanya, Nice one Salil n Sanya

Ankhon se hui baat, dil ki dhadkanen jaagi hai,
Jaane kitni khwahishain angdaai le rahi hain
Ek rang hai chehre pe, palkain hain jhuki
Jaane kaunsi dunya palkon tale saj rahi hai !!
Logged
Dr.Saira999
Guest
«Reply #9 on: March 28, 2007, 09:46:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "salil2002"
haan talat thoda sa busy tha .......par aap logo ko bahut miss kiya.

door thay aapse magar aapko yaad karte thay
oos chand se poochho jisse saari raat aapki baat karte thay .....
aap logo ne toh bhula diya apn eis dost ko
hum phir bhi aapko yaad aane kii fariyaad karte thay


Very Nice salil :thumbleft:
Logged
salil2002
Guest
«Reply #10 on: March 29, 2007, 08:34:49 AM »
Reply with quote
thnks saira ji ,,,,,,,,,,,talat and sanya :razz:
Logged
salil2002
Guest
«Reply #11 on: August 17, 2008, 07:05:39 AM »
Reply with quote
kashish yeh mohabbat kheench laati hai mujhe
 main door jaane kii koshish baar baar karta hoon
woh shayad kar lenge aitbar kabhi toh mohabbat ka
isi ek khayal se main jeeta aur marta hoon
Logged
dhani
Guest
«Reply #12 on: January 08, 2014, 02:04:11 PM »
Reply with quote
bhut khub sahil ji apne bahut hi badhiya likha hai Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: May 22, 2014, 02:12:13 PM »
Reply with quote
Thanks Dhani
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 24, 2024, 04:14:34 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer