...~~Pyaar Ka Ehsaas~~...

by HumTum on June 15, 2005, 03:58:52 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
ReplyPrint
Author  (Read 9642 times)
HumTum
Guest
Reply with quote
      Dedicated  To Meena


pyaar ka meetha "Ehsaas" dhilaney lagi hai tu
ab to mujh se mujhi ko churaney lagi hai tu

teri chahtooN ka chaya hai saruur iss kadar
har pal har jagah nazar aaney lagi hai tu

veeraan thi yeh zindgi tere aaney se pehley
khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney lagi hai tu

har pal mujhey hota hai bus tera hi "Ehsaas"
iss kadar meri sansooN mein smaney lagi hai tu

ik pal ki bhi durri seh nhi pata hoon mein
hoke juda kyun mujhey aajmaney lagi hai tu

rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan
ke ban saya sath mere aaney lagi hai tu

naam koi bhi luu to naam aaye tera labooN pe
ban ke jadu meri rooh mein smaney lagi hai tu

teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera
ghul ke sath lahoo ke nas nas mein samney lagi hai tu

janey kaun si door hai teri aur khinch le jati hai
mujh ko apna dewana bnanaey lagi hai tu

tasvuur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
chod ke duniya meri bahooN mein smaney lagi hai tu

yeh to bta ke kya naam du iss dewangi ko
bechen ker ke har lamha mujhey tadpaney lagi hai tu

tere khayalooN se mehkney lagti hai zindgi meri
mere zahen-o-dil pe iss kadar chaaney lagi hai tu

yeh masumiyaal yeh bolapan yeh sadgi teri
mujh ko har adaa se ab staney lagi hai tu

zist ke rahooN mein dhoop thi har taraf
apney pyaar ki barish ko barsaney lagi hai tu

kya iss baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Meena"
mere har sher mein har Gazal mein aaney lagi hai tu !!


HumTum
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EK EHSAAS... by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ehsaas by Nino in Shayri-E-Dard
ehsaas by Pooja in Shairi - E - Zindagi
*Pyaar Ka Ehsaas* by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Har ehsaas me pyaar.. by nashwani in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
Meena
Guest
«Reply #1 on: June 15, 2005, 04:05:34 PM »
Reply with quote
humtum jii :oops:  :oops:  :oops:  :oops:  itni sweet poem mere liye likhi apne  :oops:  :oops:  :oops:
Logged
nikki
Guest
«Reply #2 on: June 15, 2005, 04:10:22 PM »
Reply with quote
arree wah HumTum ji.......bahut khoob, how sweet.........
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #3 on: June 15, 2005, 05:52:15 PM »
Reply with quote
wah humtum,jawab nahi aapka to,kya baat hai,masterpiece Usual Smile
Logged
Tosha
Guest
«Reply #4 on: June 15, 2005, 07:33:53 PM »
Reply with quote
tried my best...ke na kahun kuch...jayda tarif bhi kabhi kabhi acchi nahi hoti
....
deewane teri deewangi ko sajde
mahboob ke dil ko tu aaj chu le
barket rahe khuda ke tujhpe
ek mohabbat main tu phule phale
Logged
Aarzuu
Guest
«Reply #5 on: June 15, 2005, 09:28:21 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
     [you] Dedicated  To Meena[/you]


pyaar ka meetha "Ehsaas" dhilaney lagi hai tu
ab to mujh se mujhi ko churaney lagi hai tu

teri chahtooN ka chaya hai saruur iss kadar
har pal har jagah nazar aaney lagi hai tu

veeraan thi yeh zindgi tere aaney se pehley
khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney lagi hai tu

har pal mujhey hota hai bus tera hi "Ehsaas"
iss kadar meri sansooN mein smaney lagi hai tu

ik pal ki bhi durri seh nhi pata hoon mein
hoke juda kyun mujhey aajmaney lagi hai tu

rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan
ke ban saya sath mere aaney lagi hai tu

naam koi bhi luu to naam aaye tera labooN pe
ban ke jadu meri rooh mein smaney lagi hai tu

teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera
ghul ke sath lahoo ke nas nas mein samney lagi hai tu

janey kaun si door hai teri aur khinch le jati hai
mujh ko apna dewana bnanaey lagi hai tu

tasvuur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
chod ke duniya meri bahooN mein smaney lagi hai tu

yeh to bta ke kya naam du iss dewangi ko
bechen ker ke har lamha mujhey tadpaney lagi hai tu

tere khayalooN se mehkney lagti hai zindgi meri
mere zahen-o-dil pe iss kadar chaaney lagi hai tu

yeh masumiyaal yeh bolapan yeh sadgi teri
mujh ko har adaa se ab staney lagi hai tu

zist ke rahooN mein dhoop thi har taraf
apney pyaar ki barish ko barsaney lagi hai tu

kya iss baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Meena"
mere har sher mein har Gazal mein aaney lagi hai tu !!


HumTum



Hmmmmmmmmmm...............itni khoobsurat ghazal..........Meena ji aapko waah kahein ya Humtum ko....................
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #6 on: June 16, 2005, 06:36:33 PM »
Reply with quote
GOOD ONE humtum.......Kya tareef kee hai meena ji ki........nice!!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #7 on: June 17, 2005, 05:52:35 AM »
Reply with quote
nice hum tum ji really good ........kya likha hai aapne .......bahtu hi khoob

diwane teri baat ne hume mahobaat se mahobat kara di
humtum tuh dur the kitne hi iss naam se abh tak
Logged
Meena
Guest
«Reply #8 on: June 20, 2005, 09:22:12 AM »
Reply with quote
janab humtum ji... tareef apki ghazal ki to pehle hi kar di thi ke bohot hi pyari hai... chalo, kuch aab humari taraf se bhi sun lo.  :D

Khuda se duaon me mangi thi jo,
Meri woh achi taqdeer ho tum,
Tere hone ka ehesaas mere haath me bhi hai,
Mith na sakhe kabhi, woh lakeer ho tum!

Kitni suneri hai sapno ki duniya tere wajood se,
Haqiqat banana chahati hoon jisse woh khwab ho tum,
Gumon ke daur me kiye te Khuda se kitne sawal,
Kushi ke roop me mere har sawal ka jawab ho tum!

Mitha sa dard hai seene me, khoyi hoon tere khayalo me,
Pyar kehti hai yeh duniya jisse, woh ehesas ho tum,
Mile hai bohot  musafir  zindagi me hume,
Par dil ne tumhi se kaha ke «HumTum » bohot khas ho tum !


kahiye, pasand aya?  :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #9 on: June 20, 2005, 09:54:42 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
humtum jii :oops:  :oops:  :oops:  :oops:  itni sweet poem mere liye likhi apne  :oops:  :oops:  :oops:


nhi Meena ji .. yeh aap ki sister ke liye thi uska naam nhi malum na so aap ko dedicate ker di  Puzzled !
Logged
HumTum
Guest
«Reply #10 on: June 20, 2005, 09:55:49 AM »
Reply with quote
Quote from: "nikki"
arree wah HumTum ji.......bahut khoob, how sweet.........


Thanks choti opss i mean Nikki ji  !!!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #11 on: June 20, 2005, 09:56:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "nidhi_yadein"
wah humtum,jawab nahi aapka to,kya baat hai,masterpiece Usual Smile


Aap ka bahut bahut shukriya Nidhi ji  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #12 on: June 20, 2005, 09:56:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "Tosha"
tried my best...ke na kahun kuch...jayda tarif bhi kabhi kabhi acchi nahi hoti
....
deewane teri deewangi ko sajde
mahboob ke dil ko tu aaj chu le
barket rahe khuda ke tujhpe
ek mohabbat main tu phule phale


Thanks Buddy !!!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #13 on: June 20, 2005, 09:57:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "Aarzuu"


Hmmmmmmmmmm...............itni khoobsurat ghazal..........Meena ji aapko waah kahein ya Humtum ko....................


Aap kissi ko bhi keh dijiye ... ik hi baat hai !!
Logged
HumTum
Guest
«Reply #14 on: June 20, 2005, 09:58:00 AM »
Reply with quote
Quote from: "isha_verma7"
GOOD ONE humtum.......Kya tareef kee hai meena ji ki........nice!!!


Thanks Gitthi !!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:21:40 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer