...~~Pyaar Ka Ehsaas~~...

by HumTum on June 15, 2005, 03:58:52 PM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 9
ReplyPrint
Author  (Read 9649 times)
Tosha
Guest
«Reply #30 on: June 20, 2005, 01:43:38 PM »
Reply with quote
vo 'PYAAR KA Ehesas' he to tha
jo vo aaj hamare saath hai
door hoke bhi ek duje ke dilo ke paas hai
yeh tadap na hoti dil main hamare
to na ithas na rachti yeh mohabbat hamari
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EK EHSAAS... by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ehsaas by Nino in Shayri-E-Dard
ehsaas by Pooja in Shairi - E - Zindagi
*Pyaar Ka Ehsaas* by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Har ehsaas me pyaar.. by nashwani in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
HumTum
Guest
«Reply #31 on: June 21, 2005, 08:57:40 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Tosha ji .....

"Pyaar ka Ehsaas hi kuch nirala hai
har traf khishiyooN ka ujala hai
mehboob ke aaney ka ker rha hoon intzaar
badi der se iss dil ko meieny sambhala hai !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #32 on: June 21, 2005, 09:39:03 AM »
Reply with quote
mahobat dil main pehchaan banati hai
soye hue saare armaan jagati hai
hum mar jate hai agar unhe na dekhe
mahobat aaisa ashiqon ka haal banati hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #33 on: June 21, 2005, 09:43:18 AM »
Reply with quote
waah Sandhaya ji .. bahut khoob !!!

tarsti hai ankhien mehboob ko dekhney ke liye
uski yaad mere zahen-o-dil mein smai hai
dekh luu usko to aa jaye qraar mujhey
uskey ishq ki khumari mere dil pe chai hai !!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #34 on: June 21, 2005, 11:20:32 AM »
Reply with quote
sukhriya Humtum ji aur bahut hi lajavab likha hai

ishq hi hai jo sar chad ke bolta hai
ishq hi aashiqon ki himmat tatolta hai
hume fakr hai hum isqh karte hai kisise
ishq hi hai jo raaj saare dil ke kholta hai
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #35 on: June 21, 2005, 12:01:26 PM »
Reply with quote
bahoot khoob dosto kya likhte ho aap sab log..


kabhi zindgi mai pyaar mat karna..
ho jaye to inkaar mat karna...
nibha sako to chalna uski raho pe..
warna zindgi barbaad mat karna...(NM)
Logged
Tosha
Guest
«Reply #36 on: June 21, 2005, 12:40:04 PM »
Reply with quote
hmmm....khoob...bahut khoob!!!
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.
.

.
.
na jane is dil se aaj koi baat nahi nilkal rahi hai
koi raaz yeh mohabbat kahi sajo rahi hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #37 on: June 23, 2005, 01:35:19 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
janab humtum ji... tareef apki ghazal ki to pehle hi kar di thi ke bohot hi pyari hai... chalo, kuch aab humari taraf se bhi sun lo.  :D

Khuda se duaon me mangi thi jo,
Meri woh achi taqdeer ho tum,
Tere hone ka ehesaas mere haath me bhi hai,
Mith na sakhe kabhi, woh lakeer ho tum!

Kitni suneri hai sapno ki duniya tere wajood se,
Haqiqat banana chahati hoon jisse woh khwab ho tum,
Gumon ke daur me kiye te Khuda se kitne sawal,
Kushi ke roop me mere har sawal ka jawab ho tum!

Mitha sa dard hai seene me, khoyi hoon tere khayalo me,
Pyar kehti hai yeh duniya jisse, woh ehesas ho tum,
Mile hai bohot  musafir  zindagi me hume,
Par dil ne tumhi se kaha ke «HumTum » bohot khas ho tum !


kahiye, pasand aya?  :D


waah Meena ji ..... kya sunaya hai aapney !! khaas ker last two line uffff  kya gazab ki hai !! bhoot hi pasand aayi aap ki yeh tazza tareen nazm !!! ab kuch hum bhi khosish kartey hai !!!   waseey yeh tram mein likhi thi ya ghar pe :?:  ab suniye !!

pehley aap ke liye !!!

tere husn ki tareef pe kya gazal likhu
lafz nhi mil rhey pirooney ke liye !!

chaliye khosish kertey hai  !!!

chaand bhi dekh ke tuhjko sharmaa jata hai
tera hi chehra dekh ker chandni pe noor aata hai

jheel si neeli ankhien teri mehkhana band kiya ho jassey
dekh ke teri ankhoon ko bin peeye saruur aata hai

yeh lambey lambey gansuu tere koi kali gataa ho jassey
teri aur khicha yeh "HumTum" !! mere hazuur aata hai

fursat se bnaya hai jisey khuda ne assi tabeer ho tum
tum ho meri yeh soch ke mujhey khud pe garuur aata hai

apsra ho zanaat ki ya malika-e-husn ho "Meena"
tujhey dekhney ke baad zahen mein yeh sawal jaruur aata hai !!

khaiye janab !!! kaseey mizaaz hai :D

Logged
sandhaya
Guest
«Reply #38 on: June 24, 2005, 07:34:51 AM »
Reply with quote
kya baat hai humtum ji aur meena ji ...........subhan alah .......so nice of u both ...

dil madhosh ho jata hai itni mahobaat dekhke
aur sochta hai ki kaash hum par bhi kabhi marta koi
Logged
HumTum
Guest
«Reply #39 on: June 24, 2005, 01:26:59 PM »
Reply with quote
Shukriya Sandhaya ji .. aur bahoot khoob likha hai !!!

har kissi ko milti hai uskey hissey ki muhoobat
aap dhund rhey ho jisey, woh aap ko dhundta hoga
waqt hi har sawal ka jawab hai "Sandhaya"
Aaj woh duur hi shi lekin kal aap ki bahooN mein hoga !!
Logged
Meena
Guest
«Reply #40 on: June 24, 2005, 01:36:37 PM »
Reply with quote
thank u sandhaya and gud one humtum!!!  :D

to sandhaya:

chalo mai fariyaad karti hoon tere liye,
tum dua karo mere liye,
ke kare koi humse bhi bohot pyar,
aisa deewana koi bana ho humare liye!!  
:D
Logged
Kashish786
Guest
«Reply #41 on: June 24, 2005, 02:00:11 PM »
Reply with quote
Bahoot pyar kartey hain tum ko sanam,
kasam chahe le lo,
kasam chahe le lo
khudha ki kasam......
Logged
Meena
Guest
«Reply #42 on: June 24, 2005, 02:05:44 PM »
Reply with quote
kashish ji...yeh to bohot hi pyara song hai... its one of my favorites!  :D
Logged
Tosha
Guest
«Reply #43 on: June 24, 2005, 10:08:04 PM »
Reply with quote
aaye the is mahefil main
ke sanam se run-b-ruh ho le
izhaar-e-dil aaj unse kar le
mahefil main to aaj rang he kuch aur hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #44 on: June 24, 2005, 10:28:40 PM »
Reply with quote
yeh mehfil e ishq hai yha har rang pyara hai
uski chahat hai mujhey woh mere dil ka shara hai
ishq ke rang mein rang lo khud ko tosha ji
ishq to iss duniya ka sab se behtreen nazara hai !!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:29:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.155 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer