...~~Pyaar Ka Ehsaas~~...

by HumTum on June 15, 2005, 03:58:52 PM
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
ReplyPrint
Author  (Read 9648 times)
Tosha
Guest
«Reply #45 on: June 24, 2005, 10:46:24 PM »
Reply with quote
dube hain hum ishq main
tarsti hai aab yeh nazre
duriya hain yeh Humtum ji
katilana majburiya hai yeh
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
EK EHSAAS... by azeemssj in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ehsaas by Nino in Shayri-E-Dard
ehsaas by Pooja in Shairi - E - Zindagi
*Pyaar Ka Ehsaas* by Rajesh Harish in Shayri for Khumar -e- Ishq
Har ehsaas me pyaar.. by nashwani in Shairy-e-Dost (Friendship Poetry)
sandhaya
Guest
«Reply #46 on: June 25, 2005, 04:26:35 AM »
Reply with quote
sukhriya HUmtum ji ............

sach kaha tumhne ki hume bhi koi dundta hoga
vo mera pata apne dil apne malik se puchta hoga
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #47 on: June 25, 2005, 04:48:58 AM »
Reply with quote
sukhriya meena ji ..............
and this is for u ..........

tumhne dua ki thi sayad vahi rang lai hai
mere garh main bhi tabhi baj rahi aaj sehnai hai
charon aur dum se duaon ke teri khushi chai hai
teri dua hi hai sayad jisne meri kismat banai hai
Logged
Meena
Guest
«Reply #48 on: June 26, 2005, 04:20:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
Quote from: "Meena"


waah Meena ji ..... kya sunaya hai aapney !! khaas ker last two line uffff  kya gazab ki hai !! bhoot hi pasand aayi aap ki yeh tazza tareen nazm !!! ab kuch hum bhi khosish kartey hai !!!   waseey yeh tram mein likhi thi ya ghar pe :?:  ab suniye !!

pehley aap ke liye !!!

tere husn ki tareef pe kya gazal likhu
lafz nhi mil rhey pirooney ke liye !!

chaliye khosish kertey hai  !!!

chaand bhi dekh ke tuhjko sharmaa jata hai
tera hi chehra dekh ker chandni pe noor aata hai

jheel si neeli ankhien teri mehkhana band kiya ho jassey
dekh ke teri ankhoon ko bin peeye saruur aata hai

yeh lambey lambey gansuu tere koi kali gataa ho jassey
teri aur khicha yeh "HumTum" !! mere hazuur aata hai

fursat se bnaya hai jisey khuda ne assi tabeer ho tum
tum ho meri yeh soch ke mujhey khud pe garuur aata hai

apsra ho zanaat ki ya malika-e-husn ho "Meena"
tujhey dekhney ke baad zahen mein yeh sawal jaruur aata hai !!

khaiye janab !!! kaseey mizaaz hai :D



wow ji, apka to koi jawab nahin!! bohot hi pyara likha hai! well woh wali poem ka to aab yaad nahin par yeh wali maine ghar me likhi hai  :D ek koshish hai umeed hai apko pasand ayegi!!

Kya kahon mai teri tareef me,
Har lafz tere samne chota hai,
Yeh tera dil hi hai, jo itna acha hai,
Sab ko hasa dete ho, jab bhi koi rota hai!

Kuch bhi to nahin ti mai tere ane se pehle,
Akheli thi mai jo chal rahi thi tanha raaton me,
Tam kar mera haath dikha di tumne roshni –e-jannat ki,
Jane kaunsa aisa jadu hai “HumTum” teri mithi baaton me!

Pyarii lagti hai teri baate, jo karte ho tum dil se,
Ke jee karta hai gaanton tak sunti rahon teri awaz,
Kyu karti hoon tujhse itna pyar ke pal bar bhi chain nahin mujhe,
Tu hi bata de zalim, chupa hai isme kaunsa raaz!


kahiye, kaisa laga?  :D
Logged
Meena
Guest
«Reply #49 on: June 26, 2005, 04:23:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
sukhriya meena ji ..............
and this is for you ..........

tumhne dua ki thi sayad vahi rang lai hai
mere garh main bhi tabhi baj rahi aaj sehnai hai
charon aur dum se duaon ke teri khushi chai hai
teri dua hi hai sayad jisne meri kismat banai hai


wow sandhaya ji par mai to kuch yuh kahongi:

mai kaun hoti hoon tujhe kushi dene wali,
tumari kismat me jo tha tujhe wohi mila,
Khuda ne bhi dekhi hogi teri udas tanhai,
isslyie tere angan me bhi pyar ka ek phool khila!


 :D
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #50 on: June 27, 2005, 05:08:08 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
Quote from: "sandhaya"
sukhriya meena ji ..............
and this is for you ..........

tumhne dua ki thi sayad vahi rang lai hai
mere garh main bhi tabhi baj rahi aaj sehnai hai
charon aur dum se duaon ke teri khushi chai hai
teri dua hi hai sayad jisne meri kismat banai hai


wow sandhaya ji par mai to kuch yuh kahongi:

mai kaun hoti hoon tujhe kushi dene wali,
tumari kismat me jo tha tujhe wohi mila,
Khuda ne bhi dekhi hogi teri udas tanhai,
isslyie tere angan me bhi pyar ka ek phool khila!


 :D


kismat main jo hai vo milega hi
par teri duaon se mera chehra kilega hi
dost tuh hote hai jahan main fariston jaise
har dard har zakm tujhse milne par silega hi
Logged
bhambra
Guest
«Reply #51 on: June 27, 2005, 06:11:59 AM »
Reply with quote
Kadam Kadam Par Hawaaon Se Taluq Rakhna
Dosti Ke Dam Par Dosti Ka Aasra Rakhna
Humari Dosti Ki Khushboo Zaroor Aayegi
Aap Bas Apne Dil Ka Darwaza Khula Rakhna !! .......[NM]
Logged
bhambra
Guest
«Reply #52 on: June 27, 2005, 06:21:53 AM »
Reply with quote
Quote

kismat main jo hai vo milega hi
par teri duaon se mera chehra kilega hi
dost tuh hote hai jahan main fariston jaise
har dard har zakm tujhse milne par silega hi


Bahot Khub Meena Ji, aur Sandhya Ji....

Kismat Kuch nahin hey yaron
Saare baaten hai bekar ki,
Aap jaise kaam kiye honge,
Phal milegi thik waise hi.
Logged
HumTum
Guest
«Reply #53 on: June 29, 2005, 11:50:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"

wow ji, apka to koi jawab nahin!! bohot hi pyara likha hai! well woh wali poem ka to aab yaad nahin par yeh wali maine ghar me likhi hai  :D ek koshish hai umeed hai apko pasand ayegi!!

Kya kahon mai teri tareef me,
Har lafz tere samne chota hai,
Yeh tera dil hi hai, jo itna acha hai,
Sab ko hasa dete ho, jab bhi koi rota hai!

Kuch bhi to nahin ti mai tere ane se pehle,
Akheli thi mai jo chal rahi thi tanha raaton me,
Tam kar mera haath dikha di tumne roshni –e-jannat ki,
Jane kaunsa aisa jadu hai “HumTum” teri mithi baaton me!

Pyarii lagti hai teri baate, jo karte ho tum dil se,
Ke jee karta hai gaanton tak sunti rahon teri awaz,
Kyu karti hoon tujhse itna pyar ke pal bar bhi chain nahin mujhe,
Tu hi bata de zalim, chupa hai isme kaunsa raaz!


kahiye, kaisa laga?  :D


jawab bhi aap hi ki trah hai Meena ji ... bahut hi acha hai !!! aap ghar mein bhi acha acha likhney lagi aaj kal. hummmm Meena ji hummmmm !!! bahut hi pasand aayi aap ki yeh nazm humey!!! ab kuch hamari traf se bhi sun lijiye !!!

teri pyaari pyaari bathein "Meena" kitna mujhey satati hai
teri yadooN ki purvaiya shab o roz mujhey jagati hai

dil mein bsa hai pyaar tera sansooN mein teri khusbuu
tere ishq ki khumari ab to zanaat mujhey dhikati hai

tasvuur ka woh alam, haye !! woh dil e ashiqi meri
har ik lamha janejaaN bas tujhey hi bhulati hai  

hai kaun sa tilissm tere paas, jo mujhey bna diya dewana
din raat ab yeh dewangee meri, mujhey aazmaati hai

iss kadar ho jata hoon bechein tum se milney ke liye
teri duurri ab  har ik lamha mujhey tadpati hai !!


Khiye Meena ji kya boltey ho  :wink: !!!
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #54 on: June 30, 2005, 06:19:28 AM »
Reply with quote
kya khoob likha hai aapne humtum ji ...........

sadgi uski madhosh kar jati hai
bina bole hi vo haal dil ka byan kar jati hai
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #55 on: June 30, 2005, 06:32:55 AM »
Reply with quote
sadgi uski madhosh kar jati hai
bina bole hi vo haal dil ka byan kar jati hai
 
Hum to bas dekhte hi reh jate hai,
Woh har bar DIL ko chura le jati hai

Alfaw nahi mile rahe bayyan karne ki liye,
ki ankho se woh kuch is kaddar muskurati hai,

Kabhi sharmana , palke zukana , woh Zulfo ka lehrana. . .
har ik adda uski hamare PREM ko badati hai

sadgi uski madhosh kar jati hai
bina bole hi vo haal dil ka byan kar jati hai
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #56 on: June 30, 2005, 09:50:31 AM »
Reply with quote
mere dil ko rahat milti hai usko dekhke
aur vo hume dekhte hi sarma si jati hai

rangat uske chehre ki kuch ajab hi hai
vo masumiyat mere dil main utarti jati hai

bahut behelatata hun khudko phir bhi
usko pane ko meri zindagi machalti jati hai
Logged
HumTum
Guest
«Reply #57 on: July 01, 2005, 10:46:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
kya khoob likha hai aapne humtum ji ...........

sadgi uski madhosh kar jati hai
bina bole hi vo haal dil ka byan kar jati hai


Sandhaya :thumb:

bas jati hai meri naas naas mein ban ke lahuu
meri har saans ko apney naam ker jati hai !!!  
Logged
HumTum
Guest
«Reply #58 on: July 01, 2005, 10:50:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "sandhaya"
mere dil ko rahat milti hai usko dekhke
aur vo hume dekhte hi sarma si jati hai

rangat uske chehre ki kuch ajab hi hai
vo masumiyat mere dil main utarti jati hai

bahut behelatata hun khudko phir bhi
usko pane ko meri zindagi machalti jati hai


Sandhaya ji .... bahoot khoob !!!

sadkey jau uski adayooN pe mein
mujh ko har adaa se lubha jati hai

ajeeb se khasish hai uski batooN mein
mujh ko apna dewana bna jati hai

woh sharama ke uska haas dena
dil pe ik qahar sa woh dhaa jati hai !!
Logged
Parul
Guest
«Reply #59 on: July 01, 2005, 11:38:24 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum"
     [you] Dedicated  To Meena[/you]


pyaar ka meetha "Ehsaas" dhilaney lagi hai tu
ab to mujh se mujhi ko churaney lagi hai tu

teri chahtooN ka chaya hai saruur iss kadar
har pal har jagah nazar aaney lagi hai tu

veeraan thi yeh zindgi tere aaney se pehley
khushiyoon ke sapney mujhey dhikaney lagi hai tu

har pal mujhey hota hai bus tera hi "Ehsaas"
iss kadar meri sansooN mein smaney lagi hai tu

ik pal ki bhi durri seh nhi pata hoon mein
hoke juda kyun mujhey aajmaney lagi hai tu

rah chaltey huye aksar hota hai yeh gumaan
ke ban saya sath mere aaney lagi hai tu

naam koi bhi luu to naam aaye tera labooN pe
ban ke jadu meri rooh mein smaney lagi hai tu

teri yadoon se hi aksar hota hai dil munavar mera
ghul ke sath lahoo ke nas nas mein samney lagi hai tu

janey kaun si door hai teri aur khinch le jati hai
mujh ko apna dewana bnanaey lagi hai tu

tasvuur mein aksar hota hai yeh mehsoos mujhey
chod ke duniya meri bahooN mein smaney lagi hai tu

yeh to bta ke kya naam du iss dewangi ko
bechen ker ke har lamha mujhey tadpaney lagi hai tu

tere khayalooN se mehkney lagti hai zindgi meri
mere zahen-o-dil pe iss kadar chaaney lagi hai tu

yeh masumiyaal yeh bolapan yeh sadgi teri
mujh ko har adaa se ab staney lagi hai tu

zist ke rahooN mein dhoop thi har taraf
apney pyaar ki barish ko barsaney lagi hai tu

kya iss baat ka tujhey "Ehsaas" hai "Meena"
mere har sher mein har Gazal mein aaney lagi hai tu !!


HumTum



iss se bariya gazal aur kya ho sakti hai .......  aap ki yeh lines mujhey bahut pasand aayi hai ...


tere khayalooN se mehkney lagti hai zindgi meri
mere zahen-o-dil pe iss kadar chaaney lagi hai tu

dil ko chuu gaye hai yeh lines Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 3 [4] 5 6 7 8 9
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:23:50 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.12 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer