Pyaar Kiya Hai Chori Chori

by Miss Kismat on November 30, 2004, 08:09:26 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 13803 times)
lovebites
Guest
«Reply #30 on: December 15, 2004, 11:06:55 AM »
Reply with quote
bohat achey Miss-K.........................!



Aa andaleeb mil kar karain aah-o-zaarian
Too haa-e-gul pukaar main chillaaoon haa-e-dil
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chori Chori.. by sangy in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
MERE DIL KI CHORI by BHONDU in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
-Ek Chori Si Mulakaat- by Tosha in Shayri-E-Dard
TUM CHORI CHORI ROLENA by Risk in Shayri for Khumar -e- Ishq
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #31 on: December 16, 2004, 10:23:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "lovebites"
bohat achey Miss-K.........................!



Aa andaleeb mil kar karain aah-o-zaarian
Too haa-e-gul pukaar main chillaaoon haa-e-dil



wah Lovebites ji bahut khoob!!!
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #32 on: December 20, 2004, 09:19:10 AM »
Reply with quote
Anjaane...

Anjaane logon se kabhi kabhi
ek rishta sa ban jaata hai
bina mile, bina kuch kahe...
par ham chod dete hain in rishton ke najuk dhagon ko
jaise band mutthi se ret jaati hai phisal
nahin baandhte inko dil ke dhadkano se
kya tumhe kabhi chua hai kisi ajnabee ne
kya tumne kabhi sajaaye hain khwab kisi ajnabee ke
kya himmat kiya hain un khwabon ko sach karwane ka
ya phir chupke se un sapon ko aanchal mein odhe jee liya hai yunhi...
 Puzzled !
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #33 on: December 20, 2004, 09:40:52 AM »
Reply with quote
Bahoot tamanna thi, pyar mein aashiyan banane ki,
Bana chuke to lag gayi Nazar zammane ki.
Usi ka karz hai jo aaj hain aankhon mein aansoo,
Saza mili hai hume muskurane ki !

HUMNE SOCHA KI TUMHARE CHAHNE WALE SIRF HUM HAI,
LEKIN TUMHARE CHAHNE WAALON KA KAFILA NIKLA.
JAB HUMNE SHIKAYAT KI KHUDA SE,
TO WOH KHUDA BHI TUMHARA NIKLA
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #34 on: December 20, 2004, 09:41:41 AM »
Reply with quote
very nice miss kismat ji!!
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #35 on: December 20, 2004, 09:53:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "sharmaarunkumar"
very nice miss kismat ji!!


Thank You Sharmaarunkumar ji... :lol:

Zalim Duniya

Aansu ko ankho ki dehleej pe laya na karo,
Apne dil ka haal kisi ko batay na karo,
Log muthi bar namak liye ghuma karte hai,
Apne zakham kisi ko dikhaya na karo.
 :oops:
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #36 on: December 20, 2004, 03:42:40 PM »
Reply with quote

Pyar Ek Ibaadat

Na mai Kamzor hoon, na mera Pyar
Kaun Darata hai iss Zamane sei
Kyun inse Bayan karu Mai Apna Pyar
Kyun Labo pe Layou Mai Unka Naam
Pyar ki Hakkikat kaya Duniya jane
Pyar to veh Ibaadat hai Jo Dil mein Umre
Aur Aankhon se Bayan Ho!
 Puzzled !
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #37 on: December 20, 2004, 08:42:57 PM »
Reply with quote
Kya baat hai Kya baat hai!! Bahut achchhe !!!
very Nice Miss Kismat ji!!Waaaaaaah!
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #38 on: December 21, 2004, 08:37:35 AM »
Reply with quote

*Toota Khilona*

In andheri raaton me
Hume tum awaaz mat do
Khawab me aane ka
Hume tum dawaat mat do

Tumhara dil itna buland nahin
Humare pyar ka bhojha utha sake
Tumhare baahein itne fauladi nahin
Humara astitva chupa sake

In pyar ki nazaron ne
Tere aham ko nahin dekha
Lekin tumhare swaroop ko saraha
Jo tumne khud nahin dekha

Ab yeh diya bina tel ke
Jale bhi to kab tak
Yeh aansoo bina ashkon ke
Chalke bhi to kab tak

Prabhu tumhare banaye insaan pe
Aasra kare wah pagal hai
Ek tuhi sab ke palan haar
Sab ke jeewan ka khewan haara hai


Well Thanks Sharmaarunkumar ji...  :oops:
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #39 on: December 21, 2004, 06:23:54 PM »
Reply with quote
Shukriya and Nice written  Miss kismat ji!!!
Logged
dolly
Guest
«Reply #40 on: December 21, 2004, 07:15:44 PM »
Reply with quote
v.nice miss kismat .REALLY TOUCHING
Logged
lovebites
Guest
«Reply #41 on: December 22, 2004, 05:10:51 AM »
Reply with quote
Bohat achey Miss-K................!



ay jazaba e dil gur mey chahoon har cheez mukabil aajaye
manzil ke lieyh du gaam chaloon or saamney manzil aajaye
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #42 on: December 22, 2004, 02:05:40 PM »
Reply with quote
wowowwo excellent work ......miss kismat...lovebites......
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #43 on: December 22, 2004, 04:34:27 PM »
Reply with quote
Thank You All Doston...thankss  :lol:

Ke Manzilein Aur Bhi Hai Kuch...

Har muqaam pe lagta hai ke manzilein aur bhi hai
Raasta abhi baaki hai bahut ke manzilein aur bhi hai

Saahil se takarakar laut jaati hai har lehar
Saahil uske aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai

Dhal jaata hai suraj bhi har shaam
Subahe abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai

Zindagi mana humne dhadkano ki mohtaaz hai
Saanse abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Logged
sharmaarunkumar
Guest
«Reply #44 on: December 22, 2004, 06:57:52 PM »
Reply with quote
Very very Nice!!! Miss Kismat ji!!!
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 08, 2024, 05:55:32 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.1 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer