Pyaar Kiya Hai Chori Chori

by Miss Kismat on November 30, 2004, 08:09:26 AM
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 12
ReplyPrint
Author  (Read 13895 times)
Miss Kismat
Guest
«Reply #75 on: January 08, 2005, 03:47:57 PM »
Reply with quote
Wahh Lovebites...Very Nice...

_____________________________

Teri basti main dil lagana mushkil tha
tujhe apni dunia main lana mushkil tha...

Tujh bin mar jana assan hi lagta mujhe..
tujh bin tanha rehna mushkil tha...

Tujh bin wapas aate bhi kaise yadon ko liye..
yadon ke kanto ko sath le ke chalna mushkil tha...

Ashkon ke kyue se nikal to jate...
honton pe hansi ki aag lagana mushkil tha

Har afsana teri adaon pe hi likhte apne lahu se...
khanzaron se dastan likh pana mushkil tha ...

Hum phir bhi jeete hai sanse kabra main dafna....
par apna "sacchi_pyar" dafan kar jana mushkil tha....

Apna khayal rakhna aur likhte rehna taki hume kuch seekhne ko milta rahe aapse ..... dekha kitna kuch likh gaye aapko padh ke ... aise hi guru chaiye
 :oops:
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Chori Chori.. by sangy in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 ... 8 9 »
MERE DIL KI CHORI by BHONDU in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
-Ek Chori Si Mulakaat- by Tosha in Shayri-E-Dard
TUM CHORI CHORI ROLENA by Risk in Shayri for Khumar -e- Ishq
Miss Kismat
Guest
«Reply #76 on: January 12, 2005, 06:07:10 PM »
Reply with quote
Kya Zarori Hai, ke Sanam Apnay Ghar Main He Ho
wo kahain bhi ho jahan bhi ho mere dil main tu ho
dil jisse chahata hai dhoundta hai tum hee tu ho
Shakil ke saath nahi tu khawab main tu ho

----------------------------

Chupkay Chukay Koi Kisi Se Nazar Mila Bethi
Itni Bari Mefil Main Apna Dil Gawa Bethi
pehli nazar mili tu socha ke rook ja
nazren mili tu na socha na sumjha
Shakil Dil apna pehli nazar main de bethi
 Puzzled !
Logged
Sharan
Guest
«Reply #77 on: January 16, 2005, 09:38:44 PM »
Reply with quote
wah kismat ji bahut acha likhti hain aap
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #78 on: January 17, 2005, 05:04:56 AM »
Reply with quote
nice miss kismat bahut accha likha hai aapne..
well LB (lovebites) good...
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #79 on: January 17, 2005, 05:13:23 AM »
Reply with quote
wah!!!!!lovebites.............miss-kismat........excellent work...
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #80 on: January 17, 2005, 06:02:31 AM »
Reply with quote
Thank you Sharan, Sandeepparker and Waheed Ji....

Rooth kar saahil se
lehron ka kaarwaan kho gaya
Rooth kar manzil se
jaise raasta kahin kho gaya

Kho gaye hain
kadmon ke nishaan reth par se
Kho gaye hain
kshitij ke armaan aasmaan par se

Paseej ke
akshar kaagaz par se kho gaye
Pighal ke
aansoo palkon par se kho gaye

Nahi khoti hai jo
wo marne ki aarzoo hai
Nahi mithti hai jo
wo haath par se jeeven rekha hai

Bojhal nahi hoti hai jo
wo umeed ki ek muskaan hai
Dhundlati nahi hai jo
wo vartmaan ki pehchaan hai........
 Puzzled !
Logged
dhadkan
Guest
«Reply #81 on: January 17, 2005, 07:06:42 AM »
Reply with quote
nice nice Kismat  :lol:  :lol:
Logged
sandeepparker
Guest
«Reply #82 on: January 17, 2005, 11:42:35 AM »
Reply with quote
wow miss kismat.. aapne apna naam kismat kyon rakha hai.. jara batayengi...
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #83 on: January 17, 2005, 12:16:05 PM »
Reply with quote
Shukriyaa you All...Mujhe gud patta nahin kyu, bas kismat ki baat hogi na?

Jab bhi mere dil ne socha hai ek naya geet
man yahi gungunaya o mere meet
kya jannat banai hai khuda ne humare liye
gum aur khushi ki ye duniya banayi hai
kabhi man ruth jaye to bhi acchi lagti hai
kabhi lage kuch nahin hain rakha to bhi man ko bhati hai
chahe chehre se dikhte hain ajnabi par dil mein chupa hai
apnapan aur pyar
ek hasi chahe chote bacchi ki ya dadima ki
hume pehnaye naye zindagi ka uphar
suraj ki naram dhup ho chahe thandi hawa ka jhonka
phir se hansne ko majbur karti hain
pyar karne ko majbur karti hain
is duniya ko is jannat ko is natkhat khuda ke shararton ko.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #84 on: January 18, 2005, 04:29:53 PM »
Reply with quote
wah............Ms.Kismat........kya baat hai..........wonderful.
Logged
Mansi_d_archi
Guest
«Reply #85 on: January 18, 2005, 04:32:07 PM »
Reply with quote
lol...V nice Miss. Kismat ,Lovebtes n all who contributed.
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #86 on: January 18, 2005, 05:27:48 PM »
Reply with quote
Sukriyaa Nidhi and Mansi...

Khayalon mein kho jaata hoon aksar
is beraham duniya se hoke bekhabar
har ek saans meri banke khanjar
utar rahi hai mere dil ke andar

chaaha tha usko chaaahat se zyada
chaahat ki maut hogi kisko tha pata
aankhon mein aasoon dil mein aag
man mein rah gaya ek kaala daag

uski har ek muskuraahat mein
is kadar kho jaata tha main
aasoon ke woh har boond banke
titli ud jaate the sang hawa ke

kabhi na thi duniya itni haseen
kabhi na dekhi thi use itni rangeen
phir kaale baadal aasman pe cha gaye
aur mere saare sapne, bas, so gaye
Logged
Miss Kismat
Guest
«Reply #87 on: January 22, 2005, 05:15:34 PM »
Reply with quote
Aankhoun Main Jo Khawab Hai un ko Aane do
Dil Main Tera Aks Hai Us Ko Aankhoun Main Aane Do
Musam Badalta Hai Badalne Do
Shakil Tere Dil Main Jo Hai Usse Rehne Do
 :wink:
Logged
pandit
Guest
«Reply #88 on: January 22, 2005, 05:19:36 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Sukriyaa Nidhi and Mansi...

Khayalon mein kho jaata hoon aksar
is beraham duniya se hoke bekhabar
har ek saans meri banke khanjar
utar rahi hai mere dil ke andar

chaaha tha usko chaaahat se zyada
chaahat ki maut hogi kisko tha pata
aankhon mein aasoon dil mein aag
man mein rah gaya ek kaala daag

uski har ek muskuraahat mein
is kadar kho jaata tha main
aasoon ke woh har boond banke
titli ud jaate the sang hawa ke

kabhi na thi duniya itni haseen
kabhi na dekhi thi use itni rangeen
phir kaale baadal aasman pe cha gaye
aur mere saare sapne, bas, so gaye


very beautiful kismat ji..
Logged
pandit
Guest
«Reply #89 on: January 22, 2005, 05:28:02 PM »
Reply with quote
Quote from: "Miss Kismat"
Sukriyaa Nidhi and Mansi...

Khayalon mein kho jaata hoon aksar
is beraham duniya se hoke bekhabar
har ek saans meri banke khanjar
utar rahi hai mere dil ke andar

chaaha tha usko chaaahat se zyada
chaahat ki maut hogi kisko tha pata
aankhon mein aasoon dil mein aag
man mein rah gaya ek kaala daag

uski har ek muskuraahat mein
is kadar kho jaata tha main
aasoon ke woh har boond banke
titli ud jaate the sang hawa ke


needon ka silsila hai meeri aankhon se door,
har raat rat jaga hai tujhe deekhne k baad,
socha tha milega sukun e dil,
dard aur badh gaya hai,tujhe dekhne k baad,
jo0 kuch bhi main chaahta tha,
wo sab kuch tujhi me hai,
ab aur kise dekhna hai,ek tujhe dekhne k baad.
Logged
Pages: 1 2 3 4 5 [6] 7 8 9 10 ... 12
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 25, 2024, 03:08:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.102 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer