Pyar Ko Paane Ki Justaju

by syednaami on April 29, 2008, 02:45:11 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Author  (Read 5702 times)
syednaami
Guest
Reply with quote
Kon kiska saath chhod dega,
Yeh to waqt hi batlayega.

Tere chehra har aaine men,
Hamesha aqs mera hi payega.

Tum dur raho kitna bhi humse, -
Teri yadoon ka saath to rah jayega. -

Dil ko behlayenge hum kyunkar, -
Dil ka rishta faaslon ko bhi mitaayega. -

Jo rach gaya ho mere dil-o-dimaagh men, -
Yaqeen hai mujhe woh kabhi naa na keh payega. -

Kon kiska saath chhod dega, -
Yeh to waqt hi batlayega. -


(Syed Naami)
                           
Logged
maya01
Guest
«Reply #1 on: April 29, 2008, 02:47:23 PM »
Reply with quote
hmmmmmm i like this 1 very much keep it up

salaam from:
maya...
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: April 29, 2008, 02:49:12 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley

Kuch sawalo ke jawab nahi hote
Kuch jawabo per sawal nahi hote
Waqat bunta rahta hai apni vaani
Waqat ke se bard kar koi halaat nahi hote!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #3 on: April 29, 2008, 02:57:47 PM »
Reply with quote
Clapping Smiley

Kuch sawalo ke jawab nahi hote
Kuch jawabo per sawal nahi hote
Waqat bunta rahta hai apni vaani
Waqat ke se bard kar koi halaat nahi hote!!



Aise sawal kyu kare jiska jawab nahi hota?
Waqt apni raftar se chalta hai
hame waqt ke saat chalna nahi hota
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: April 29, 2008, 03:09:40 PM »
Reply with quote
Kon kiska saath chhod dega,
Yeh to waqt hi batlayega.

Tere chehra har aaine men,
Hamesha aqs mera hi payega.

Tum dur raho kitna bhi humse, -
Teri yadoon ka saath to rah jayega. -

Dil ko behlayenge hum kyunkar, -
Dil ka rishta faaslon ko bhi mitaayega. -

Jo rach gaya ho mere dil-o-dimaagh men, -
Yaqeen hai mujhe woh kabhi naa na keh payega. -

Kon kiska saath chhod dega, -
Yeh to waqt hi batlayega. -


(Syed Naami)
                           

Bohot khoob S. Naami .....!!

Good ones Pooja and Sonia...!!
Logged
Sonia01
Guest
«Reply #5 on: April 29, 2008, 03:13:14 PM »
Reply with quote
Bohot khoob S. Naami .....!!

Good ones Pooja and Sonia...!!

Thanku Celmira jee
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: April 29, 2008, 04:05:58 PM »
Reply with quote
Uff abhi dhayan diya ki yah to Syed ji ne khumar-e-Ishaq mai likhi hai... so jawab bhi phir khumar-e-Ishaq jaisa he hona chahiye!!!

Sonia ji....

waqat apne app chalna sikha deta hai
na jaane kan kaise dil kisi se mila deta hai
ek he pal mai ban jaata hai uska deewana
jisko salo se ajnabi is dil ne jaana hota hai...

Thanks Celmira!!

Syed ji apki poem ka jawab bhi jalad he likhugi!!!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #7 on: April 29, 2008, 04:16:35 PM »
Reply with quote
nice one sayed n pooja ji.......

Zindagi me ab sirf tere yadoon ka basera hai,
Tere chahat hai to savera hai,
warna har oor andhera hai... 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: April 29, 2008, 04:18:19 PM »
Reply with quote
wah Pandit ji do lines mai kamal@dhamal.cha gaye Usual Smile!!
Logged
pandit
Guest
«Reply #9 on: April 29, 2008, 04:26:25 PM »
Reply with quote
thanks pooja ji......
main just try kar raha tha........
Logged
syednaami
Guest
«Reply #10 on: April 29, 2008, 07:12:38 PM »
Reply with quote
Aap tamaam doston ka tah-e-dil se shukar guzar hun, ki bande ki iss chhoti si kaawish ko pasand kya hai.
Kuchh likh pata aap doston ke nazmon par, magar sab ne itna achha likha hai ki main khud dang rah gaya hun ki kya likho, kitne sawaal kitne jawaab.

Jun hi kuchh bayaan ki taaqat mili arz rakh dun ga.

Mashkoor-e-Bazm

Syed Naami

Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #11 on: April 29, 2008, 07:30:49 PM »
Reply with quote
Kon kiska saath chhod dega,
Yeh to waqt hi batlayega.

Tere chehra har aaine men,
Hamesha aqs mera hi payega.

Tum dur raho kitna bhi humse, -
Teri yadoon ka saath to rah jayega. -

Dil ko behlayenge hum kyunkar, -
Dil ka rishta faaslon ko bhi mitaayega. -

Jo rach gaya ho mere dil-o-dimaagh men, -
Yaqeen hai mujhe woh kabhi naa na keh payega. -

Kon kiska saath chhod dega, -
Yeh to waqt hi batlayega. -


(Syed Naami)
                           

Bahut Khoob Naami Saab..bahut acha likha hai aapne.. Applause Applause
Logged
syednaami
Guest
«Reply #12 on: April 29, 2008, 07:37:42 PM »
Reply with quote
So nice of you thanks a lot Khwaish janab.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: April 29, 2008, 08:06:04 PM »
Reply with quote
bahane nahi ... kavitaye post kare yaha per:

Sath chodne se bhi kabhi sath alag nahi hota
Munh mord lene ke baad bhi khayal juda nahi hota
Dilo ki baatein sirf dil ko samjhne wala jaane
Najaro se door to dil se door nahi hota

pyar kab kaha akar de de dil per dastak
yah jab tak na ho, insaan ko bhi maloom nahi hota
Pyar ko paane ki justazu jab ho jaaye kisi deewane ko
To wo apne payr ki manjil se jayada door nahi hota!!
Logged
syednaami
Guest
«Reply #14 on: April 29, 2008, 08:34:30 PM »
Reply with quote
Ab aap ne apni zubaan se mere dil ki baat akhir keh daali, Pooja Saahiba.
Humare raste par chalengi to dard ka ilaaj aur sihhat bahaal rahegi.


Quote
Dilo ki baatein sirf dil ko samjhne wala jaane
Najaro se door to dil se door nahi hota

Hum bhi aapko yehi baat samjhate.
Jee
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 26, 2024, 07:23:24 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer