PYARI SURAT...... (Jasbir Singh)

by jasbirsingh on July 11, 2009, 09:53:11 AM
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Author  (Read 4328 times)
jasbirsingh
Guest
«Reply #30 on: July 11, 2009, 08:17:28 PM »
Reply with quote
Wah jasbir ji and Celmira ji,midblowing,beautiful lines, icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks Madhu Ji
aap bhi kuch saath deh doh ... Celmira ji toh kamaal hai...

Jasbir Singh
Logged
Talat
Guest
«Reply #31 on: July 11, 2009, 08:19:31 PM »
Reply with quote
Wah jasbir ji and Celmira ji,midblowing,beautiful lines, icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Thanks Madhu dear
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: July 11, 2009, 08:23:46 PM »
Reply with quote


Thanks Celmira Ji

You are just great CELMIRA JI…. Marvelous.


TEDEY MEDEY RAASTOH MEH HUM GUJAR GAYE
DOOR HOKAR TUMSEY HUM BIKHAR GAYE
BAHOH KA APNA FIR WOH HAAR DEH
APNI PYARI SURAT KA FIR SEY DEEDAR DEH


JASBIR SINGH
Hira_company@yahoo.com




LOL Jasbir Ji, bas sab aap ke saath ka asar hai ki lafz shayari ban ke beh rahe hain  icon_flower

Ek baar phir se bohot bohot Khoob  Thumbs UP

Faasle Dilon Ke Khatm Ho Jaayenge,
Mohabbaton Ke Mausam Phir Laut Aaayenge
Udaasiyon Ka Pairahan Jaana Tu Utaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #33 on: July 11, 2009, 08:30:13 PM »
Reply with quote
LOL Jasbir Ji, bas sab aap ke saath ka asar hai ki lafz shayari ban ke beh rahe hain  icon_flower

Ek baar phir se bohot bohot Khoob  Thumbs UP

Faasle Dilon Ke Khatm Ho Jaayenge,
Mohabbaton Ke Mausam Phir Laut Aaayenge
Udaasiyon Ka Pairahan Jaana Tu Utaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De




Thanks Celmira Ji

Infact you making me write Celmira Ji … words are automatically
Flowing without any thought to it ….. Its your charm and magic


BICHAD KAR HUM SOH  NAHI PATEY HAI
MILNEY KOH KADAM DODEY CHALEY AATEY HAI
MUSKURA KEY HAMEY FIR YU PUKAAR DEH
APNI PYARI SURAT KA FIR SEY DEEDAR DEH



JASBIR SINGH
Hira_company@yahoo.com

Logged
Talat
Guest
«Reply #34 on: July 11, 2009, 08:39:26 PM »
Reply with quote
Thanks so much Jasbir Ji, I am really honoured  notworthy notworthy

Ek baar phir se bohot pyaare asha'ar  Clapping Smiley

Meri Saanson Par Ab Bas Tera Hi Naam Hai,
Ek Teri Yaad Hai, Aur Dil Ko Kya Kaam Hai,
Tujh Ko Hi Chahenge Gar Ghum Bhi Hazaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #35 on: July 11, 2009, 08:45:49 PM »
Reply with quote
Thanks so much Jasbir Ji, I am really honoured  notworthy notworthy

Ek baar phir se bohot pyaare asha'ar  Clapping Smiley

Meri Saanson Par Ab Bas Tera Hi Naam Hai,
Ek Teri Yaad Hai, Aur Dil Ko Kya Kaam Hai,
Tujh Ko Hi Chahenge Gar Ghum Bhi Hazaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De





Thanks Celmira Ji

Hai niiiii …. Koi jawaab nahi aap ka CELMIRA JI….

YADOH KEY BAGICHEY MEH AAKEY BAITH JAO
KHUSHBOO SEY HAMARI YEH JINDAGI MEHKAO
AAKHOH HI AAKHOH MEH FIR WOH PYAR DEH
APNI PYARI SURAT KA FIR SEY DEEDAR DEH


JASBIR SINGH
Hira_company@yahoo.c

Logged
Talat
Guest
«Reply #36 on: July 11, 2009, 08:54:56 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower

Bohot hi Khoob Jasbir Ji  icon_thumleft

Mere In Khwaabon Ki Taabeer Ban Ke Aao Na,
Is Tarah Ae Jaan-e-Jaan Tum Hume Sataao Na,
Apne Jism-o-Jaan Pe Mujh Ko Ikhtiyaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #37 on: July 11, 2009, 09:01:50 PM »
Reply with quote
icon_flower icon_flower icon_flower

Bohot hi Khoob Jasbir Ji  icon_thumleft

Mere In Khwaabon Ki Taabeer Ban Ke Aao Na,
Is Tarah Ae Jaan-e-Jaan Tum Hume Sataao Na,
Apne Jism-o-Jaan Pe Mujh Ko Ikhtiyaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De



Thanks Celmira Ji

Koi shabd nahi hai mere paas aap ki shaan meh aur kuch kehney koh
But just that ….. CELMIRA JA DA KOI JAWAAB NAHI


HATHOH MEH LAKEER HAI JADI HUYI
TAKDEER TUMSEY HI HAI JUDI HUYI
MERI JISH-OH-JAAN KOH APNA NAAM DEH
APNI PYARI SURAT KA FIR SEY DEEDAR DEH


JASBIR SINGH
Hira_company@yahoo.com

Logged
Talat
Guest
«Reply #38 on: July 11, 2009, 09:08:11 PM »
Reply with quote
Jasbir Ji, aap itni taareef karenge to main to sharm se paani paani ho jaaungi  Giggle Giggle

Thanks so much aapne itne pyare alfaaz se nawaza  notworthy Jaisa maine kaha sab aapke saath ka nateeja hai  tongue3

Kismat Ki Lakeeron Se Tum Ko Hum Churayenge,
Aankhon Main Basayenge, Labon Pe Gungunayenge,
Mere Ird Gird Bas Apna Hi Hisaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De
Logged
Deepati
Guest
«Reply #39 on: July 11, 2009, 09:14:38 PM »
Reply with quote
Jasbir Ji aur Celmira Ji... 

Bahut he pyaari banti jaa rahi hai yeh thread!  Bahut he sundar alfaazon mein likhein hai Shairs aap donon ne!  Padh kar mazaa aa gaya!  Yuhin mahfil sajaaye rakhna!
Applause Applause Applause Applause
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #40 on: July 11, 2009, 09:16:31 PM »
Reply with quote
Jasbir Ji, aap itni taareef karenge to main to sharm se paani paani ho jaaungi  Giggle Giggle

Thanks so much aapne itne pyare alfaaz se nawaza  notworthy Jaisa maine kaha sab aapke saath ka nateeja hai  tongue3

Kismat Ki Lakeeron Se Tum Ko Hum Churayenge,
Aankhon Main Basayenge, Labon Pe Gungunayenge,
Mere Ird Gird Bas Apna Hi Hisaar De,
Apni Pyaari Surat Ka Phir Wohi Deedaar De


Thanks Celmira Ji

koi toh baat hai tummey, koi toh raaz hai tummey
har sawaal ka itna pyaar jawaab hai
aisey hi nahi kaha, kamala hai tummey

Jitni tarif karu, utni kam hai Celmira Ji .. tooooo beautifully written
Wah wah wah…….


ROKEY NAHI RUK PAA RAHA HU
DUA KAR KEY, KISMAT KOH MANA RAHA HU
MERI UJDI TAKDEER FIR SEY SAWAAR DEH
APNI PYARI SURAT KA FIR SEY DEEDAR DEH



JASBIR SINGH
Hira_company@yahoo.com


Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #41 on: July 11, 2009, 09:19:43 PM »
Reply with quote
Jasbir Ji aur Celmira Ji... 

Bahut he pyaari banti jaa rahi hai yeh thread!  Bahut he sundar alfaazon mein likhein hai Shairs aap donon ne!  Padh kar mazaa aa gaya!  Yuhin mahfil sajaaye rakhna!
Applause Applause Applause Applause

tHANKS DEEPATI JI ... yeh toh Celmira ji ka pyara andaaz hai aur hum par unka yeh karam, ji alfaaz khudd hi bantey jaa rahey hai. na hum kabhi kabil they, na kabil hai aur na hi kabhi kabil raheyengey joh kuch likh sakey....


Jasbir Singh
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #42 on: July 11, 2009, 09:31:13 PM »
Reply with quote
Wah! Kya baat hai Jasbir N Celmira Ji
Bahut hi achchhi mehfil jamaayee hai aap dono ne
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #43 on: July 11, 2009, 09:33:32 PM »
Reply with quote
Wah! Kya baat hai Jasbir N Celmira Ji
Bahut hi achchhi mehfil jamaayee hai aap dono ne

THANKS RAJESH JI

JASBIR SINGH
Logged
Talat
Guest
«Reply #44 on: July 11, 2009, 09:40:50 PM »
Reply with quote
Thanks so much Deepati & Rajesh Ji....aur Jasbir Ji, aap khud kamaal ka likh rahe hain.....is main koi shak nahin ki achcha saath mile to lafz apne aap judne lagte hain....Thanks so much Usual Smile
Logged
Pages: 1 2 [3] 4 5 6 7
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 02:38:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.13 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer