Raat Suhani Mast Jawani uski thi ( Qadeertoopchi )

by qadeer_junaid on June 06, 2013, 09:05:48 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 2668 times)
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
Reply with quote
Daurane Safar Gulbarga to hyderabad ik mahutrama se train me mulaqat kya hui ke ik betarteeb sa filbadeeh geet tarteeb paya ...Khuch lafz ilaqa-e-hyderabad karnatak ke labo laheje ke hain maslan Lafz BASHA CHINBAL Wagairah...ye geet us anjaan hosh ruba o tauba shikan haseena ke naam

Umr thi kamsin husn bala ka sun basha
Usne humko pal me lota sun basha

Nazuk nazuk labon pe halki laali thi
Uski kamar pholon ki jaise daali thi
cheekh utha dil raja apna sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Band rakhi thi chooti sanp ke chinbal si
Jism se khushbo phoot rahi thi sandal si
Sabr ka daman humse choota sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Raat suhani mast jawaani uski thi
Husn sarapa chab nooraani uski thi
Dekh ke usko chand bhi boola sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Umr thi kamsin husn bala ka sun basha
usne humko pal me loota sun basha


Qadeertoopchi
Logged
marhoom bahayaat
Guest
«Reply #1 on: June 06, 2013, 10:41:38 PM »
Reply with quote
Daurane Safar Gulbarga to hyderabad ik mahutrama se train me mulaqat kya hui ke ik betarteeb sa filbadeeh geet tarteeb paya ...Khuch lafz ilaqa-e-hyderabad karnatak ke labo laheje ke hain maslan Lafz BASHA CHINBAL Wagairah...ye geet us anjaan hosh ruba o tauba shikan haseena ke naam

Umr thi kamsin husn bala ka sun basha
Usne humko pal me lota sun basha

Nazuk nazuk labon pe halki laali thi
Uski kamar pholon ki jaise daali thi
cheekh utha dil raja apna sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Band rakhi thi chooti sanp ke chinbal si
Jism se khushbo phoot rahi thi sandal si
Sabr ka daman humse choota sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Raat suhani mast jawaani uski thi
Husn sarapa chab nooraani uski thi
Dekh ke usko chand bhi boola sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Umr thi kamsin husn bala ka sun basha
usne humko pal me loota sun basha


Qadeertoopchi


just and just excellent nazm,sir ( sun basha)
Logged
Iftakhar Ahmad
Guest
«Reply #2 on: June 06, 2013, 11:06:08 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waaaaaaaaaaaaaaaah, bahut hi khoob Qadeer saheb, bahut pyari nazm hai, kaafi maza aaya padh ke.
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #3 on: June 07, 2013, 02:22:40 AM »
Reply with quote
hmhmhm Bhabhi Ko Pata Chala To Khair Nahi
Saari Aaahqui Pal Mein Utar Jaayegi Laughing hard

Shad o Aabaad Rahiye Thumbs UP


Shihab
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #4 on: June 07, 2013, 12:54:47 PM »
Reply with quote

just and just excellent nazm,sir ( sun basha)

Apke husn-e-zaan ko salam Marhoom Bahayaat Sahib ..Kamal ka ID bana rakha hai Aapne Zindah Laash hi aksar Sher-o-Shairi Ka Tawaf karti hai ..Shukriyah
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #5 on: June 07, 2013, 01:53:52 PM »
Reply with quote
qadeer junaid sahib , adaab. kaafi arse baad , lekin  eik khubsurat
romantic geet ke sath tashreef aawri par khush aamded o mubarakbaad.
Khuda kare safar ka khumar abhi kuchh din qaaim rahe aur aapke kuchh
aur roomani kalaam parhne ko milein.Duago, Hasan
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #6 on: June 07, 2013, 02:46:57 PM »
Reply with quote
waah waah qadeer sahab... bahut bahut bahut hi maza aaya ye geet padhkar.. Usual Smile Usual Smile
Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #7 on: June 08, 2013, 03:31:43 AM »
Reply with quote
Daurane Safar Gulbarga to hyderabad ik mahutrama se train me mulaqat kya hui ke ik betarteeb sa filbadeeh geet tarteeb paya ...Khuch lafz ilaqa-e-hyderabad karnatak ke labo laheje ke hain maslan Lafz BASHA CHINBAL Wagairah...ye geet us anjaan hosh ruba o tauba shikan haseena ke naam

Umr thi kamsin husn bala ka sun basha
Usne humko pal me lota sun basha

Nazuk nazuk labon pe halki laali thi
Uski kamar pholon ki jaise daali thi
cheekh utha dil raja apna sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Band rakhi thi chooti sanp ke chinbal si
Jism se khushbo phoot rahi thi sandal si
Sabr ka daman humse choota sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Raat suhani mast jawaani uski thi
Husn sarapa chab nooraani uski thi
Dekh ke usko chand bhi boola sun basha
Usne humko pal me loota sun basha

Umr thi kamsin husn bala ka sun basha
usne humko pal me loota sun basha


Qadeertoopchi


wah wah wah....!

waise train mein meri koi humshakal hogi warna aap aisi taarif to nahin kar sakte icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
Logged
nandbahu
Mashhur Shayar
***

Rau: 122
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
20 days, 4 hours and 11 minutes.
Posts: 14553
Member Since: Sep 2011


View Profile
«Reply #8 on: June 08, 2013, 02:41:49 PM »
Reply with quote
wah
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #9 on: June 09, 2013, 02:28:39 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
waah waah waaaaaaaaaaaaaaaah, bahut hi khoob Qadeer saheb, bahut pyari nazm hai, kaafi maza aaya padh ke.

Shukriyah Mahutram
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #10 on: April 19, 2014, 09:43:12 PM »
Reply with quote

just and just excellent nazm,sir ( sun basha)


Shukriyah Mahutram ..Allah apko do jahan ki barkaton se nawaze..
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:30:02 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.294 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer