Raat Teri Baahon Me Simte To Subah Badi Haseen Lagne Lagi...........Touhid

by Mohammad Touhid on August 29, 2013, 03:55:13 PM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2908 times)
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
Reply with quote


Raat Teri Baahon Me Simte To Subah Badi Haseen Lagne Lagi.,
Aaye Jo Tum Meri Duniya Me Ye Duniya Rangeen Lagne Lagi..


Aane Se Tere Aana Hai Bahaar Ka Aur Jane Se Bahaar Ka Jaana.,
Ab Har Ek Mausam Teri Maujoodagi Me Behtareen Lagne Lagi..


Farsh Me Baithe The Ab Tak Tere Aate Hi Arsh Tak Pahuche..
Tanha Tha Kal Par Aaj Zindagi Ki Meri Tum Mu’een Lagne Lagi..


Soye The Aagosh Me Tere Jab Jaage Bhi To Kareeb Hi Paya.,
Ehsaas Tera Tha Aisa Jaanaa Mujhe Tu Yaasmeen Lagne Lagi..


Agar Thi Khushiyaan Mere Paas To Gham Bhi Bahut Tha.,
Dard Ko Bhool Sa Gaya Tu Mujhe Aur Bhi Qareen Lagne Lagi..


Sajaya Ish Kadar Meri Duniya Ko Apni Mohabbat Se Tune.,
Meri Baagh-E-Zindagi Ki Tum Dilbar Gul-Cheen Lagne Lagi..



Behtareen = Best, Mu’een = Helper,
Yaasmeen = Jasmine Flower
Qareen = Close by, Gul-Cheen = Gardener.
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Apni Lagne Lagi by Devdas_online in Shayri for Khumar -e- Ishq
..~~Bachi lagne lagi~~.. by HumTum is back in Shayri for Khumar -e- Ishq
~*Zindagi Lagne Lagi~* by honeyrose in Shayri-E-Dard
tanhai achchi lagne lagi by shahida.manha in Shayri-E-Dard
Na Mila Kahin Jo Mila Sukoon Teri Baahon Me...........Touhid by Mohammad Touhid in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #1 on: August 29, 2013, 04:07:18 PM »
Reply with quote
 icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower waah waah bahut khoobsoorat
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #2 on: August 29, 2013, 04:30:04 PM »
Reply with quote
Bahut Khoob.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #3 on: August 29, 2013, 04:45:28 PM »
Reply with quote
Oye hoye! Aaye haye! Kya baat hai ji! Bada khumar-shumar se labrez likha hai,daad !  Khush rahen!
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 16 hours and 48 minutes.
Posts: 18608
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #4 on: August 29, 2013, 04:48:58 PM »
Reply with quote
waah waah waah waah waah waah waah waah waah waah waah waah tauheed sahab aaj ka rau aap le lijiye
Logged
sahal
Umda Shayar
*

Rau: 109
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
47 days, 3 hours and 51 minutes.

love is in the Air,but CuPiD is alone here.

Posts: 4410
Member Since: Sep 2012


View Profile WWW
«Reply #5 on: August 29, 2013, 05:24:50 PM »
Reply with quote


Raat Teri Baahon Me Simte To Subah Badi Haseen Lagne Lagi.,
Aaye Jo Tum Meri Duniya Me Ye Duniya Rangeen Lagne Lagi..


Aane Se Tere Aana Hai Bahaar Ka Aur Jane Se Bahaar Ka Jaana.,
Ab Har Ek Mausam Teri Maujoodagi Me Behtareen Lagne Lagi..


Farsh Me Baithe The Ab Tak Tere Aate Hi Arsh Tak Pahuche..
Tanha Tha Kal Par Aaj Zindagi Ki Meri Tum Mu’een Lagne Lagi..


Soye The Aagosh Me Tere Jab Jaage Bhi To Kareeb Hi Paya.,
Ehsaas Tera Tha Aisa Jaanaa Mujhe Tu Yaasmeen Lagne Lagi..


Agar Thi Khushiyaan Mere Paas To Gham Bhi Bahut Tha.,
Dard Ko Bhool Sa Gaya Tu Mujhe Aur Bhi Qareen Lagne Lagi..


Sajaya Ish Kadar Meri Duniya Ko Apni Mohabbat Se Tune.,
Meri Baagh-E-Zindagi Ki Tum Dilbar Gul-Cheen Lagne Lagi..



Behtareen = Best, Mu’een = Helper,
Yaasmeen = Jasmine Flower
Qareen = Close by, Gul-Cheen = Gardener.


waah waah touhid ji,,,bohut hi dilfareb kalam raha ,
zabardast ...mind blowing
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
ApplauseApplauseApplauseApplauseApplause
Logged
Iqtedar
Yoindian Shayar
******

Rau: 24
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
11 days, 17 hours and 24 minutes.

Posts: 2382
Member Since: Mar 2013


View Profile
«Reply #6 on: August 29, 2013, 06:01:58 PM »
Reply with quote
Lajawab - bahot khooob, dheron daad...
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #7 on: August 29, 2013, 06:27:15 PM »
Reply with quote

MoHtaram wa mukarram janaab "Mohammad Touhid" SaaHib ba Sad adab HaaZ'ir e khidmat hooN. Sabhi yaaraan e bazm ba khoobi jaante haiN ke maiN kisi ke kalaam par bohot kam tabSirah karta hooN. Us ki buniyaadi vajh ye hai ke kisi ki dil shikani na ho. Lekin agar kuchh kehte hooN to maHZ' khush karne ke liye dikhave ki ta'reef bhi nahiN karta, balke munSifana Taur par iSlaaHi pehlu ko bhi naZar meN rakhte huve kuchh kehne ki koshish karta hooN. Ummeed karta hooN ke meri koi bhi baat baar e khaaTir na banegi. Behtar ye hai ke aap ki is kaavish par fikri, fanni aur ma'navi guftgu na karte huve Sirf aur Sirf lafZi aur kuchh saTHi adabi guftgu ho jaye. Kuchh ahamm nikaat haiN jin ki Taraf isharah karna apna farZ' samajhta hooN

Raat Teri Baahon Me Simte To Subah Badi Haseen Lagne Lagi.,
Aaye Jo Tum Meri Duniya Me Ye Duniya Rangeen Lagne Lagi..

Ba Zaahir maTle' ke pehle miSra' meN aap ne jis lafZ se khitaab kiya hai wo "Teri" hai, lekin wahiN doosre miSra' meN "tum" ka lafZ ista'maal kiya hai. ye adab meN qabeeH aur ghair pasandeedah ravish hai.
----------------------------------------------------------
Aane Se Tere Aana Hai Bahaar Ka Aur Jane Se Bahaar Ka Jaana.,
Ab Har Ek Mausam Teri Maujoodagi Me Behtareen Lagne Lagi..

Doosri line meN aap ne "har ek mausam" ke saath "behtareen lagne lagi" kaha hai jabke "masuam" muzakkar iste'maal hota hai. Aur behtareen "lagne laga" durust hai. Ye mushkil radeef se hai.
------------------------------------------------------
Farsh Me Baithe The Ab Tak Tere Aate Hi Arsh Tak Pahuche..
Tanha Tha Kal Par Aaj Zindagi Ki Meri Tum Mu’een Lagne Lagi..

Pehle miSra' meN aap ne kaha hai "Farsh meN" jab ke durust "Farsh par" hai. Is she'r ke pehle miSra meN aap ne "ham" aur doosre miSra' meN "maiN" ka mafhoom Zaahir kiya hai jo na munaasib ravish hai. Aur isi TarH "Tum" ke saath "lagne lagi" bhi qabeeH hai "lagne lagiN" durust hai.
----------------------------------------------------------
Soye The Aagosh Me Tere Jab Jaage Bhi To Kareeb Hi Paya.,
Ehsaas Tera Tha Aisa Jaanaa Mujhe Tu Yaasmeen Lagne Lagi..

YahaN "Soye the aaghosh meN teri" durust hai "Tere" durust nahiN hai. Aur lafZ "jaanaaN" durust hai "Jaanaa" se baat ka yahaN koi munaasib maTlab nahiN nikalta.
----------------------------------------------------------
Agar Thi Khushiyaan Mere Paas To Gham Bhi Bahut Tha.,
Dard Ko Bhool Sa Gaya Tu Mujhe Aur Bhi Qareen Lagne Lagi..

Ba Zaahir ye lines kisi shdeed qubH aur suqm se paak haiN, haaN "khushiyaN" ke saath "thiN" iste'maal hoga, aur "gham bhi bahut tha" se "gham bhi bahut the" ziyadah saazgaar hai.
-----------------------------------------------------------
Sajaya Ish Kadar Meri Duniya Ko Apni Mohabbat Se Tune.,
Meri Baagh-E-Zindagi Ki Tum Dilbar Gul-Cheen Lagne Lagi..

pehle miSra' meN "ish kadar" sharad typing meN mistake ki vajh se huwa ho "is Qadr" durust hai. Aur doosre miSra' meN "meri" ki jagha "Mere" durust hai. Aur "tum" ke saath "lagne lagiN" aayega.
------------------------------------------------------------
Mujhe ummeed hai ke aap meri kisi baat ka manfi maTlab na leNge aur agar kahiN mujh se koi ghalaTi ho gayi ho to us ki Taraf isharah kerNge taaki mujhe apni kami ko door karne ka mauqa' mile. Allah aap ki taufeeqaat meN iZ'aafah farmaye.
Khaaksaar : Haider



Behtareen = Best, Mu’een = Helper,
Yaasmeen = Jasmine Flower
Qareen = Close by, Gul-Cheen = Gardener.

Logged
amit_prakash_meet
Guest
«Reply #8 on: August 29, 2013, 06:37:42 PM »
Reply with quote
बहुत खूब...तौहीद भाई....क्या बात है....बहुत उम्दा पेशकश......
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #9 on: August 29, 2013, 06:53:01 PM »
Reply with quote


janaab Gulam haider sahab aapka yahan aana hi ye darshata hai ke MT ne kuch to acha likha hai aur usi ki durustii ke liye aapka yahan aana hua..... main aapki har baat se ittefaq rakhti hun ....

thodi si correction ke sath ye kalaam behtareen ho sakta hai....
aapse guzarish hai isi tarah aur logon ke liye bhi aap apni islaah diya karen.....

bahot bahot shukriya aapkaa

Logged
aqsh
Guest
«Reply #10 on: August 29, 2013, 07:00:40 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Hmmmmmmmm touhid ji kaafi achchi tarah aapne is sher ko nibhaya hai.. bahut khoob achchi peshkash... dheron dheron daad..
Logged
shraddha the poetess
Guest
«Reply #11 on: August 29, 2013, 08:21:54 PM »
Reply with quote
bahot khoob likha............
Logged
nishi gahlaut
Guest
«Reply #12 on: August 29, 2013, 08:22:34 PM »
Reply with quote
Awesome Creation Touhid ji.. Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_flower icon_flower
Logged
Ghulam Haider
Guest
«Reply #13 on: August 29, 2013, 10:28:08 PM »
Reply with quote
janaab Gulam haider sahab aapka yahan aana hi ye darshata hai ke MT ne kuch to acha likha hai aur usi ki durustii ke liye aapka yahan aana hua..... main aapki har baat se ittefaq rakhti hun ....

thodi si correction ke sath ye kalaam behtareen ho sakta hai....
aapse guzarish hai isi tarah aur logon ke liye bhi aap apni islaah diya karen.....

bahot bahot shukriya aapkaa


Aap ka bohot bohot shukriya. maiN ye munaasib samajhta hooN ke jo log apne kalaam ki iSlaaH chaahte haiN wo kalam ke pehle aisa kuchh likh deN jis se ye andazah lagay ja sake ke SaaHib e kalaam us ki iSlaaH chaahta hai. Phir kisi ko tanqeedi jaayezah lene meN dushvaari na hogi aur har paRhne wala khul kar apni raay ka iZhaar kar sakta hai.
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: August 29, 2013, 11:24:44 PM »
Reply with quote
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob bhaai...!!!
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:32:25 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer