RANGON KI BARISH

by tabassum shakeel on January 13, 2007, 09:22:38 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1480 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
RANGON KI BARISH


tera wajood hai ya rangon ki baarish hai
main to isame bheeg chuki tu janta hai
jis din pahli baar mili thi main tujhse
tune kuchh aise dekha tha tab mujhko
rang uda tha chehare ka aur pheeka pada
jaldi jaldi mujhko vahaan se aana pada

phir ik shaam ki baat hai tujhko yaad hai kya
tune aaker mujhko aisa daraaya tha
rang pada tha peela mere chehare ka
aankhon me aansu bhi aaker tham se gaye

teri aankho me us pal ik pachhtava tha
tune kaha mera to ye maqsad na tha
maine to bas ek mazaaq tha tujhse kiya
main gumsum si aai kuchh bhi kah na saki

phir ik din main maa ke saath kichen me thi
tu ekdam se aaya aur mujhko dekha
mere bikhare balon par munh bichkayaa
phir dheere se kaha chaand par badal hai
chehra mera laal hua munh pher liya
tune sabse baaten ki aur chala gaya

shaam dhale me chhat par apne aai thi
chaand idd ka dekhna tha usdin sabko
chaand dekhkar jaise hi main palati thi
tu peechhe hi khada mujhe tha dekh raha
bola saath me chaand aaj hamne dekha
tumne upar par maine neeche dekha

main kuchh bhi kahti par usase pahle
do bahen thin jinme main bas chhup si gai
main kuchh bhi na kah paai tu bola tha
saare rangon me ranga tumko maine
aaj to dekho chehra hua gulabi hai
peshaani par mere dahka angara
neeche se kisi ne naam pukara tha
haath chhuda ke tujhse neeche aai thi

usdin se bas tera rang hi hai mujh per
rahun kahin par tera naam hi hai lab par
tu jo aae aankh meri jhuk jaati hai
tu jo jaae peeth teri ko dekha karun
mudke dekhe to main bas phir khil jaaun
sou rangon ke phool se khilen chehare par
saare jaaker tere qadmo me girte
yahi bas jagah ab un phoolon ki hai
tera wajood hai ya rangon ki barish hai
main to isame bheeg chuki tu janata hai.............
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RaNgoN meN itnaa farq kiuN hai? by mistufer in Shayri-E-Dard
phikay rangon ki adat hay by chitralsony in Shayri-E-Dard
RangoN mein itna fark kiuN haiN by mistufer in Shayri-E-Dard « 1 2  All »
Rangon Bhari Jawaani by Qais in Tanziya aur Tehreekbaksh Shayariyan
jimmi
Guest
«Reply #1 on: January 13, 2007, 10:28:14 AM »
Reply with quote
bahut khoob hamesha ki treh pelay se bhi ccha kehne ki
rawait aap nubha rahi hein  kiya bat hey bahut koob jiiiiiiii
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #2 on: January 13, 2007, 12:23:05 PM »
Reply with quote
Bohat Khoob tabassum ji
Daad Haazir Hain Kabul Farmaaye
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #3 on: January 13, 2007, 02:08:10 PM »
Reply with quote
thanx jimmi aap khud bhi bahut achcha likhte hain ...
.thanx humdum  aapne padha aur pasand bhi kiya .......
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: January 14, 2007, 09:46:57 PM »
Reply with quote
Very Nice Tabassum
Logged
pinky
Guest
«Reply #5 on: January 16, 2007, 09:00:00 PM »
Reply with quote
Bahut pyaara likha hai di..
padh ke bahut khushi hui..

aur ye lines to bas poocho mat..

sou rangon ke phool se khilen chehare par
saare jaaker tere qadmo me girte
yahi bas jagah ab un phoolon ki hai


bahut pyaari hain...!!!
Usual Smile
Logged
Shihab
Yoindian Shayar
******

Rau: 27
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
29 days, 4 hours and 51 minutes.

Maut To Ek Shuruaat Hai...

Posts: 2082
Member Since: Dec 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 17, 2007, 08:24:01 AM »
Reply with quote
mere rang hai  ya tere pyaar ka asar hai
aey jaaneman aap hi kehde ye deewna to is duniya se bekhabar hai
Logged
salil2002
Guest
«Reply #7 on: January 17, 2007, 10:42:11 AM »
Reply with quote
this is the first time i had readed ur creation .............................and really i enjoyed it a lot......................

berang thi jindagi hamaari tere bin................
tum aaye to duniyaan main naye rang aaye..........
ab sochta hoon qaid kar loon tujhe aankon main....
jo dekhe hai khwaab woh sach ho jaaye
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #8 on: January 17, 2007, 03:37:28 PM »
Reply with quote
thanx a lot talat .....pinku ye poem likh ke main bhut khush ho gai thi  .......
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #9 on: January 17, 2007, 03:39:04 PM »
Reply with quote
Quote from: "HUM_DUM"
mere rang hai  ya tere pyaar ka asar hai
aey jaaneman aap hi kehde ye deewna to is duniya se bekhabar hai

hum dum aap hamesha achcha likhte hain padha hai aapko........

rang kisi ka jabse dil pe yun chhaya
laakh hai chaha phir kuchh nazar nahi aaya
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #10 on: January 17, 2007, 03:43:28 PM »
Reply with quote
Quote from: "salil2002"
this is the first time i had readed ur creation .............................and really i enjoyed it a lot......................

berang thi jindagi hamaari tere bin................
tum aaye to duniyaan main naye rang aaye..........
ab sochta hoon qaid kar loon tujhe aankon main....
jo dekhe hai khwaab woh sach ho jaaye


very nice reply  salil.......
thanx salil  for reading this ye poem mujhe bhi pasand hai likhke bahut khush hui thi .......

ye aapke bahut achche se reply ka ek  reply

khwaab rakhen hain jabse aakhon me tere
kahte hain sab aankh gulabi  lagati hai
chhup kar rah tu yun kyun jhanka karta hai
khwaab mera hai sab na bas tujhko dekhen
Logged
pinky
Guest
«Reply #11 on: January 17, 2007, 07:45:57 PM »
Reply with quote
Waah ji waah..
Bahut Rangon ki Baarish ho rahi hai yahan to..
Mazaa aa gaya..
Usual Smile

Bahut khoob HumDum ji and Salil ji..!!
Logged
pinky
Guest
«Reply #12 on: January 17, 2007, 07:51:35 PM »
Reply with quote
Main bhi likhungi..!!!!
Usual Smile

Khwab tha tera ya Mohabbat ki barsaat thi..
Kal raat ka har lamha bheega bheega sa tha..
Subah uthkar dekha jo maine aaina..
Mere chehre par noor hayaa ka tha..
Logged
salil2002
Guest
«Reply #13 on: January 18, 2007, 08:29:30 AM »
Reply with quote
shukriya tabassum ji
aur pinky ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:30:10 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer