rate ke mehel banaate rahe..

by pallavi on May 23, 2005, 03:22:24 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1057 times)
pallavi
Guest
Reply with quote
roz ek nayi ummeed se ek kadam badhaate rahe,
zindgi rooth ti rahi, aur hum manaate rahe..

na socha tha ho jaayenge is kadar tanha,
har aahat pe tere aane ki aas lagaate rahe..

har ane wala pal hansi laaye lab pe tere,
khud ko teri khushiyon ka saamaan banaate rahe..

nazar na lag jaaye zamaane ki, yaado ko teri,
har mehfil me jhooti so muskaan hum sajaate rahe..

har pal jeene ki chah mein, rate ke mehal banaate rahe,
waqt ki lahre mitaati rahi, aur b- dastoor hum banaate rahe..[/b]
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
dur rahe by dev_omu in Shayri-E-Dard
Hum Ja Rahe Hai by Meena in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 »
tum jaa toh rahe.... by isha_verma7 in Shayri-E-Dard
mitaata gaya naseeb, haatho ki lakeer banaate banaate... Intezar ! by Intezar in Shayri-E-Dard
ghar magar kaanch ka banaate hai by livingbytheday in Ghazals
HumTum
Guest
«Reply #1 on: May 23, 2005, 03:26:10 PM »
Reply with quote
wah ... Pallavi ji ... bahoot khoob .. lekin yeh agar shayri-e-dard mein post karti to aur bhi acha hota ... Wel come Yoindia !!

intzaar mein bhi muhabbat ka hi nasha hai
jab tak wo na aaye, yeh nashaa banaaye rakhnaa

pairo tale viahwaas ki zamein bani rahegi
bas khwaabon ka sar pe asmaan uthaaye rakhnaa

HumTum
Logged
Meena
Guest
«Reply #2 on: May 23, 2005, 03:32:52 PM »
Reply with quote
wah wah pallavi!! welcome to yoindia kuddiye!!! :D  wud like to c more of ur poems!

hum tum ji, tussi idhar bhi  :D well done ji!!

 :D
Logged
HumTum
Guest
«Reply #3 on: May 23, 2005, 03:34:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena"
wah wah pallavi!! welcome to yoindia kuddiye!!! :D  wud like to c more of ur poems!

hum tum ji, tussi idhar bhi  :D well done ji!!

 :D


kya kre mohtrma jha achi shayri dekhtey hai chaley aatey hai :wink:
Logged
pallavi
Guest
«Reply #4 on: May 23, 2005, 04:24:09 PM »
Reply with quote
thanx hum tum ji & meena ji..
 for liking the poem & as well as for this warm welcome.... nice to c u ppl...
 c u soon
 take care Usual Smile
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #5 on: May 23, 2005, 05:38:17 PM »
Reply with quote
Quote from: "pallavi"
roz ek nayi ummeed se ek kadam badhaate rahe,
zindgi rooth ti rahi, aur hum manaate rahe..

na socha tha ho jaayenge is kadar tanha,
har aahat pe tere aane ki aas lagaate rahe..

har ane wala pal hansi laaye lab pe tere,
khud ko teri khushiyon ka saamaan banaate rahe..

nazar na lag jaaye zamaane ki, yaado ko teri,
har mehfil me jhooti so muskaan hum sajaate rahe..

har pal jeene ki chah mein, rate ke mehal banaate rahe,
waqt ki lahre mitaati rahi, aur b- dastoor hum banaate rahe..[/b]


wah pallavi ji,kya khoob entry maari hai Winking .bohat accha likha,welcome 2 yoindia. :D
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #6 on: May 23, 2005, 09:33:36 PM »
Reply with quote
Chaar pal ki thi mohobath us ki,
Jaisai mosam badla,
vaisea vo bhi badal gaya,
Peeki, Peeki lagthi hai yea zindagi
Jis pal ka inthazaar tha,
Vo bhi yuhi chal para..........
Logged
tauhid_siddiqui786
Guest
«Reply #7 on: May 24, 2005, 07:14:02 AM »
Reply with quote
Kabhi khamosh baitho ge,
Kabhi kucch gungunaooge,
Main uatna yaad aaoonga,
mujhe jitna bhulaooge....
                                 TAUHID A. SIDDIQUI.
                                Mob. no: 09319054831.
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #8 on: May 24, 2005, 07:24:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "tauhid_siddiqui786"
Kabhi khamosh baitho ge,
Kabhi kucch gungunaooge,
Main uatna yaad aaoonga,
mujhe jitna bhulaooge....
                                 TAUHID A. SIDDIQUI.
                                Mob. no: 09319054831.
Poora hi likh dete dear. Winking

"kabhi khamosh baithoge,kabhi kuch gungunaogi,
main utna yaad aunga,mujhe jitna bhulaogi,

kabhi khamosh baithoge,kabhi kuch gungunaoge,
main utna yaad aungi,mujhe jitna bhulaoge,

padhoge khat kabhi mere,kabhi tasveer dekhoge,
kabhi hathon me jo likhi hai,wo takdeer dekhoge,

likhogi kuch hatheli par,padhogi kuch kitabon me,
nazar aaunga main tumko,sawalon me jawabon me,

kabhi tum muskuraogi,kabhi ansoo bahaogi,
kisi se kuch chupaogi,kisi ko kuch bataogi,

kabhi khamosh baithoge,kabhi kuch gungunaoge,
main utna yaad aaungi,mujhe jitna bhulaoge-2,

kabhi khamosh baithogi kabhi kuch gungunaogi,
main itna yaad aunga mujhe jitna bhulaogi-2,

mere seene pe sir rakhkar guzari hain kai ratein,
bhula sakti ho tum kaise wo pal pal ki mulakatein,

nayi raton me tum aksar purane din talashoge,
koi chehra bhi mil jaye,mera chehra talashoge,

meri tasveer pekhoge,na mere khat jalaoge,
diya apne sarhane ka jalaoge,bujhaoge,

kabhi khamosh baithogi,kabhi kuch gungunaogi,
main utna yaad aunga,mujhe jitna bhulaogi-2,

kabhi khamosh baithoge,kabhi kuch gungunaoge,
main utna yaad aungi,mujhe jitna bhulaoge."
Logged
vitasta
Guest
«Reply #9 on: May 24, 2005, 11:06:44 AM »
Reply with quote
what a nice poem to get started in yoindia pallavi!!!
welcome.......keep on writing good ones!!!!!!
nice work everyone!!!
Logged
tushar_4u_im
Guest
«Reply #10 on: May 24, 2005, 11:19:41 AM »
Reply with quote
Quote from: "pallavi"
roz ek nayi ummeed se ek kadam badhaate rahe,
zindgi rooth ti rahi, aur hum manaate rahe..

na socha tha ho jaayenge is kadar tanha,
har aahat pe tere aane ki aas lagaate rahe..

har ane wala pal hansi laaye lab pe tere,
khud ko teri khushiyon ka saamaan banaate rahe..

nazar na lag jaaye zamaane ki, yaado ko teri,
har mehfil me jhooti so muskaan hum sajaate rahe..

har pal jeene ki chah mein, rate ke mehal banaate rahe,
waqt ki lahre mitaati rahi, aur b- dastoor hum banaate rahe..[/b]


bahut aacha bana hai magar rait ka mahal,..
Logged
pallavi
Guest
«Reply #11 on: May 24, 2005, 02:27:42 PM »
Reply with quote
lots of thanx to allll of u .. Usual Smile  i m glad to c such a warm welcome here./.. really ppl r so nice here.... & thanx for liking my poem frnds.. i wd try my best to give a gud collection..
  Usual Smile
 take care u alll...
 byee
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 05:20:22 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer