~~~~~~ READER' S CHOICE ~~~~~~

by kashiif on January 16, 2008, 09:08:16 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1648 times)
kashiif
Guest
Reply with quote
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
BMW , Mercedez or Ferrari !! which is your choice ? by Nayan in Chit - Chat & General Discussion « 1 2 3  All »
Let Me Guess About you + Mind Reader I made by me in C C++ by saurabhjain in SMS , mobile & JOKES
Some Shers Of my Choice by lamhay_terbin in Shairi - E - Zindagi
:::::::: My ChoicE :::::::: by Saba_Saba in Songs & Lyrics « 1 2 3 4 »
O' my reader by jatinder435 in English
kashiif
Guest
«Reply #1 on: January 16, 2008, 09:10:58 AM »
Reply with quote
Naye saal tum jab bhi aana

Sab k liye bas kushiaan hi lanaa

Her chehrey pe kushi sajana

Her aangan me phool khilanaa

Jo royee hein unhein hansanaa

Jo ruthey hein unhein manana

Jo bichrey hein unhein milana

Naye Saal tum jab bhi aana


Sab k liyee bas Kushiaan hi lanaa....
Logged
kashiif
Guest
«Reply #2 on: January 17, 2008, 08:55:54 AM »
Reply with quote
Logged
kashiif
Guest
«Reply #3 on: January 17, 2008, 08:57:02 AM »
Reply with quote
Kabhi to mur ke dekh lo
Ke mere ghar ke jalte sabhi chiragh
Maand par rahe hain
Ke angan main khilte sabhi gulab
Murjha rahey hain
Honton pe faqt ruqsan hain
Khamooshiyan
Ankhon main tair rahi hain
Tannhaiyaan
Ke dar-o-bam pe jalte
Mohabbat ke diye
Bujh rahe hain
Ke andhera chahar soo
Phailne laga hai
Ke is se pehlay
Tarekhi dabay paon
Mere ghar ki dehleez
Paar kar jaye!
Tum lout aao!!
Logged
kashiif
Guest
«Reply #4 on: January 18, 2008, 08:33:09 AM »
Reply with quote
Dill - e - Umeed Torra hey Kissi ney
Sahara dey kar Chorra hey kisi ney

Mein in Shesha Garon sey pochta hon
Keh Tota Dil bhi jorra hey Kissi ney

Gulshan me Gulon pey Shabnam naheen hey
Yahaan Damaan Nichora hey Kissi ney

Yahaan Manzil hey naa Manzil kaa nishan hey
Kahaan pey Laa key chorra hey Kisi ney


Logged
Shikha12
Guest
«Reply #5 on: January 18, 2008, 11:29:28 AM »
Reply with quote
Kabhi to mur ke dekh lo
Ke mere ghar ke jalte sabhi chiragh
Maand par rahe hain
Ke angan main khilte sabhi gulab
Murjha rahey hain
Honton pe faqt ruqsan hain
Khamooshiyan
Ankhon main tair rahi hain
Tannhaiyaan
Ke dar-o-bam pe jalte
Mohabbat ke diye
Bujh rahe hain
Ke andhera chahar soo
Phailne laga hai
Ke is se pehlay
Tarekhi dabay paon
Mere ghar ki dehleez
Paar kar jaye!
Tum lout aao!!


Superb Sharing...  Usual Smile
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #6 on: January 18, 2008, 11:39:03 AM »
Reply with quote
Dill - e - Umeed Torra hey Kissi ney
Sahara dey kar Chorra hey kisi ney

Mein in Shesha Garon sey pochta hon
Keh Tota Dil bhi jorra hey Kissi ney

Gulshan me Gulon pey Shabnam naheen hey
Yahaan Damaan Nichora hey Kissi ney

Yahaan Manzil hey naa Manzil kaa nishan hey
Kahaan pey Laa key chorra hey Kisi ney




Its seems, I have read it before... Usual Smile

Kashiif ji, YoIndia maintains to give proper credit to Originality.. If you are sharing  other's work, please mention the original poet name or NM (Not Mine) with your post.  It will be a good gesture to show your respect for original author.

By the way, Very Nice Sharing... Usual Smile Seems you have good taste of shayari.. Usual Smile
Logged
kashiif
Guest
«Reply #7 on: January 18, 2008, 02:22:44 PM »
Reply with quote
Dill - e - Umeed Torra hey Kissi ney
Sahara dey kar Chorra hey kisi ney

Mein in Shesha Garon sey pochta hon
Keh Tota Dil bhi jorra hey Kissi ney

Gulshan me Gulon pey Shabnam naheen hey
Yahaan Damaan Nichora hey Kissi ney

Yahaan Manzil hey naa Manzil kaa nishan hey
Kahaan pey Laa key chorra hey Kisi ney




Its seems, I have read it before... Usual Smile

Kashiif ji, YoIndia maintains to give proper credit to Originality.. If you are sharing  other's work, please mention the original poet name or NM (Not Mine) with your post.  It will be a good gesture to show your respect for original author.

By the way, Very Nice Sharing... Usual Smile Seems you have good taste of shayari.. Usual Smile


bahut bahut thanks " shikha g "

Logged
kashiif
Guest
«Reply #8 on: January 19, 2008, 08:47:53 AM »
Reply with quote
Logged
kashiif
Guest
«Reply #9 on: January 19, 2008, 08:48:57 AM »
Reply with quote
Logged
kashiif
Guest
«Reply #10 on: January 21, 2008, 09:07:35 AM »
Reply with quote
Kabhi Tum Ne Yeh Bhi Socha Ke,
Tumharey Dil-Garifta Tumhein KItna Chahtey Hain ?
Tumhein Zindegi Se Barh Kar Jo Aziz Ham Ne Jaana So,
Koi Sabab To Hoga Kabhi Tum Ne Yeh Bhi Socha
Sar-e-Shaam Muntazir They Kaheen Neelmeen Ujaaley
Kaheen Titliyan Labon ki Kaheen Phool Jaise Aariz,
Kaheen Qumqamon Si Aankhein,
Yeh Jo Chaara-Gar Hamarey Koi Saa'aat-e-Rafaaqat
Sar-e-Shaam Maangtey They Unhein Kya Khabar Ke
Ham Ne Tumhein Soanp Di Hain Raatein T
umhein Daan Ki Hain Aankhein Kabhi Tum Ne Yeh Bhi Socha Ke,
Tumhaarey Dil-Garifta Paa-e-Baam-o-Dar Akeley,
Kisi Shamma Sokhta Se Yeh Jo Kar Rahey Hain Baatein,
Tumhein Kitna Chahtey Hain ?
Tumhein Roz-o-Shab K Dukh Mein Kabhi Bhoolna Bhi Chahein To,
Kabhi Na Bhool Paayein Ke Yeh Ehd-e-Zindegi Hai Jisey,
Torna Bhi Chahein To Tor Nahi Payenge..........................
Logged
kashiif
Guest
«Reply #11 on: January 25, 2008, 08:33:24 AM »
Reply with quote
Kabi waqt mily to aa jao



Hum jheel kinary ja bethein



Tum apny sukh ki baat karo



Hum apny dukh ki baat karein



Aur un lamhon ki baat karein



Jo sang tumhary beet gye



Aur Ehd-e-khizan ki nazr huwy



In sabz ruton k daman mein



Hum pyar ki kushbo mehkaein



In bikhry sabz nazaron ko



Hum ankhon mein tasveer karein



Phir apny pyar k jado se



Hum lamhon ko jageer karein



Kabi waqt mily to aa jao



Hum jheel kinary ja bethein....!
Logged
kashiif
Guest
«Reply #12 on: January 25, 2008, 08:35:22 AM »
Reply with quote
Aik baat kahoon Agar suntey ho


Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Kuch chanchal se , kuch chup chup se
kuch pagal pagal lagtey ho

hain chahney waaley aur buhut
par tum mein hai aik baat buhut.............
Tum apney apney lagtey ho

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho

Yeh baat baat pe kho jaana
kuch kehtey kehtey ruk jaana

yeh kiss uljhan mein rehtey ho....?
Kiya baat hai hum se keh daalo

Aik baat kahoon Agar suntey ho ?
Tum Mujh ko achey lagtey ho
Logged
kashiif
Guest
«Reply #13 on: January 28, 2008, 08:50:27 AM »
Reply with quote
Khuda hum ko aisi khudai na dey, 
Key apney siwa kuch dikhai na dey,

Khatawaar samjhey gi duniya tujhey,
Ab itni zyada safai na dey,

Hanso aaj itna key is shor mein,
Sada siskiyon ki sunai na dey,

Mujhey apni chadar mein is tarah dhaap lo,
Zameen asmaan kuch dikhai na dey,

Khuda aisey ihsaas ka naam hai,
Rahey samney aur dikhai bhi na dey
Logged
honeyrose
Guest
«Reply #14 on: January 28, 2008, 10:27:40 AM »
Reply with quote
kashiif acha likha hai aapne .. Usual Smile
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 03:47:37 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer