sab samajhte hein hum bhi...

by rita mal on June 20, 2013, 06:09:59 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1283 times)
rita mal
Guest
Reply with quote
sabr ki taaqeed dekar mujhe lafzon mein uljhao nahi
is mashware ko meri zindgi ke pahluon se milao nahi

main koi ahmak nahin jo ishaaron ko jaan na sakoon
mujhe ye mithi mithi baaten sunaakar samjhaao nahi

gar aa sako toh aa jao zamaane ke maraasim tod kar
warna ek jhoothi aas is dil mein tum yu jagaao nahi

yu bhi to jee rahe the barso-baras se tanhaai mein
waada-e-wasl karke bhi yun door rahkar tadpao nahi

hausla maine rakha hai ab tak sirf tere kahne par
shart hai magar miyaad waqt ko tum aur badaao nahi...
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kya samajhte............. by Amit Janglan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
Kud ko hero samajhte ho ... IG by Tosha in Chit - Chat & General Discussion
samajhte hain.....sheba by Sheba in Miscellaneous Shayri « 1 2  All »
ham nadan samajhte the k by awais_007 in Share:Miscellaneous Shayari
KHAAK SAMAJHTE HO by surindarn in Miscellaneous Shayri
nashwani
Guest
«Reply #1 on: June 20, 2013, 06:21:24 PM »
Reply with quote
gar aa sako toh aa jao zamaane ke maraasim tod kar
warna ek jhoothi aas is dil mein tum yu jagaao nahi

bahut khoob rita jee..happy9
Logged
aqsh
Guest
«Reply #2 on: June 20, 2013, 07:34:24 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bahut khoob rita ji. bahut hi achchi peshkash rahi. sabhi ashaar khoob hai. aapko dheron daad is khoobsurat peshkash par

gar aa sako toh aa jao zamaane ke maraasim tod kar
warna ek jhoothi aas is dil mein tum yu jagaao nahi

yu bhi to jee rahe the barso-baras se tanhaai mein
waada-e-wasl karke bhi yun door rahkar tadpao nahi

hausla maine rakha hai ab tak sirf tere kahne par
shart hai magar miyaad waqt ko tum aur badaao nahi...

yeh sher bahut pasand aaye.. Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011


View Profile
«Reply #3 on: June 20, 2013, 11:37:12 PM »
Reply with quote
bahut khoob
Logged
zarraa
Yoindian Shayar
******

Rau: 100
Offline Offline

Waqt Bitaya:
8 days, 7 hours and 33 minutes.
Posts: 2251
Member Since: May 2012


View Profile
«Reply #4 on: June 21, 2013, 12:23:59 AM »
Reply with quote
Waah bahaut khoob
Logged
adil bechain
Umda Shayar
*

Rau: 161
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
31 days, 18 hours and 24 minutes.

Posts: 6552
Member Since: Mar 2009


View Profile
«Reply #5 on: June 21, 2013, 12:29:00 AM »
Reply with quote
sabr ki taaqeed dekar mujhe lafzon mein uljhao nahi
is mashware ko meri zindgi ke pahluon se milao nahi

main koi ahmak nahin jo ishaaron ko jaan na sakoon
mujhe ye mithi mithi baaten sunaakar samjhaao nahi

gar aa sako toh aa jao zamaane ke maraasim tod kar
warna ek jhoothi aas is dil mein tum yu jagaao nahi

yu bhi to jee rahe the barso-baras se tanhaai mein
waada-e-wasl karke bhi yun door rahkar tadpao nahi

hausla maine rakha hai ab tak sirf tere kahne par
shart hai magar miyaad waqt ko tum aur badaao nahi...


waaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaaa aaaaah Applause Applause Applause Applause
Logged
sbechain
Guest
«Reply #6 on: June 21, 2013, 02:49:59 AM »
Reply with quote
sabr ki taaqeed dekar mujhe lafzon mein uljhao nahi
is mashware ko meri zindgi ke pahluon se milao nahi
waise pareshaaniyo.n mein insaan ko sabr se hi kaam lena chhahiye  icon_flower icon_flower icon_flower
main koi ahmak nahin jo ishaaron ko jaan na sakoon
mujhe ye mithi mithi baaten sunaakar samjhaao nahi
jo tumhaare saath aisa karta hai tum bhi use mazaa chakhaado. kuch mard hote hi aise hain .... sabhi to nahin hote .unko apni aql se deal karo icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
gar aa sako toh aa jao zamaane ke maraasim tod kar
warna ek jhoothi aas is dil mein tum yu jagaao nahi
main is baat ki qayal nahin hoon aur main aisi shart bhi nahin rakhti mohabbat ko zahmat na banaao kisi ke liye haan agar use tum se mohabbat hai to aaye ga per kisi rishte ko toad kar aane ki shart na rakho icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower
yu bhi to jee rahe the barso-baras se tanhaai mein
waada-e-wasl karke bhi yun door rahkar tadpao nahi
mohabbat kambakhat shaye hi aisi hai ho jaaye to jeene na de aur marne bhi na de icon_flower icon_flower icon_flower
hausla maine rakha hai ab tak sirf tere kahne par
shart hai magar miyaad waqt ko tum aur badaao nahi...
arre chhodo bhi . aur intezaar na karo . aisi mohabbat ka fayada hi kya jo na rahe kabhi paas aur na hi mil ne ki ummid ho
icon_flower icon_flower icon_flower icon_flower






bahut bahut khoob........!
Logged
Advo.RavinderaRavi
Guest
«Reply #7 on: June 21, 2013, 03:29:49 AM »
Reply with quote
Bahut Hi Khoob.
Logged
@Kaash
Guest
«Reply #8 on: June 21, 2013, 05:12:03 AM »
Reply with quote
waah!kiya kahne!
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 17 hours and 51 minutes.
Posts: 18610
Member Since: Jun 2009


View Profile
«Reply #9 on: June 21, 2013, 02:44:44 PM »
Reply with quote
bohut khub rita ji waaah  Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:22:01 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer