Tumhe main saath rakhti hu
tumhe main paas rakhti hu
Zindagi ko khatam karne ki khwahish jo kabhi aaye
tumse kiya hua waada yaad karti hu
Kissi ke saath chalna ho
Kissi se baat karni ho
Kahi pe dilo ka milna
Kahi pe Phool ka khilna
Koi bhi geet gaati hoon
Koi bhi sher pharti hoon
Tumhe main yaad rakhti hu
tumse kiya hua wada apne saath rakhti hu
Milenge hum ek din zaroor sanam
isi umeed par dil ki nagri abaad rakhti hu
Tumhe main saath rakhti hu
tumhe main paas rakhti hu
Excellent!!! Nishita ji!!!! :thumb:
Chaand maddham hai Aasmaan Chup hai!
Neend ki God mein Jahaan Chup hai!
Door Waadi mein Doodhiya baadal,
Jhuk ke Parwat ko Pyaar karte hain!
Dil mein Naakaam Hasratein Le kar,
Hum Tera Intezaar Karte hain!
In Bahaaron ke Saaye mein aa jaa,
Phir Mohabbat Jawaan Rahe Na Rahe!
Zindagi Tere Naamuraadon par,
Kal Talak Meharbaan Rahe na Rahe!
Roz ki Tarah Aaj bhi Taare,
Subah Gard mein Na Kho Jaayein!
Aa, Tere Gham mein Jaagti Aankhein,
Kum se kum Ek Raat to So Jaayein!(Sahir Ludhiyanwi)Wahh wahh kya baat hai
Woh Chahta Tha Phir Bhi Koi Guftago Na Ki
Main Nay Bhi Poochnay Ki Justojoo Na Ki
Tasveer Teri Dekh Kar Ankheein Chaalkh Parein
Hum Nay Teri Ibadaat Kabhi Bay-Wuzu Na Ki
Baithay Rahay Chup Chap Hum Pardah Nasheen Key Paas
Musa Ki Tarahan Dekhnay Ki Arzoo Na Ki
Woh Hay Nasha-e-Ishq Ki Lazat Say Bay Khabar
Jis Nay Ye Zindagi Kabhi Nazar-e-Sobo Na Ki
Karta Raha Biyaan Woh Geeroon Kay Samanay
Us Nay Kabhi Shekayat Merey Roo-ba-Roo Na Ki
KyuN Dil Mein Chuppaye Rakhay Hain Hum Nay Raaz-e-Ishq
Ahel-e-Janoon Ki Baat Kabhi Koo-ba-Koo Na Ki
Milta Nahi Hay Us Ko Shahadat Ka Martaba
Rah-e-Kudha Mein Jis Nay Ye Gardan Lahoo Na Ki
(nm)