Sambhle Honge, Bikhar Gaye Honge....!!

by Talat on August 15, 2009, 11:49:19 PM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 5919 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #15 on: August 16, 2009, 04:51:27 PM »
Reply with quote
Wowwwwwwwwwwww Talat Ji.. Bahut Hi Jabardast Peshkash Hai aapki.. Mohabbat Bhari Yeh Rachna Dil Ko Chhooo gai..!!

Aapki Qalam se Nikle Alfaaz Humesha Hi Kuch Khaas hote Hain.. aur Is baar Bhi aapki Qalam Ne Kamaal kar diya Hai.. Bahut Bahut Khooooooob.. Applause Applause


Is Mann Ki Mann se Daad Kubool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
OH AUR HONGE by ali_246 in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ronde honge..... by sharma.reema@yahoo.com in Pain in Love : Punjabi poetry
kabhi toh honge 1 by Guest in Other Languages
Wo Aur Honge Shohrat Khatir Likhte Honge by Advo.RavinderaRavi in Miscellaneous Shayri
Bikhar-Bikhar ke gir gaye... by MinakshiGil in Share Poetry You Like « 1 2  All »
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #16 on: August 16, 2009, 05:41:21 PM »
Reply with quote




wah wah wah khwaish ji... wab bahut hi khoob, wah wah wah


jasbir singh



Bahut bahut Shukriya Jasbir Paaji..

Meri iss Rachna Mein Bhi Tareef Talat Ki Hai..Talat Ne likha Hi Itna Acha Hai Ke bas Ek Choti koshish Hum bhi Kar Gaye..

Thanks A Lot!!! Usual Smile
Logged
Deepati
Guest
«Reply #17 on: August 16, 2009, 05:49:44 PM »
Reply with quote

[/img]

Wah Wah Celmira Ji... Bahut he khoobsurati se alfaazon ko piroya hai!  Bahut Bahut khoob! Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #18 on: August 16, 2009, 05:51:35 PM »
Reply with quote
sodton aap logon ne yahan comments nahin diye is baat ka mujhe shakht afsos hai
itni khoobsurat ghazal ko agar daad na di toh phir hudd hai bhai

ishq karne wale dekh mera hashra dar gaye honge
le k khanjar qatl karne khud ka nikal gaye honge
bach gayi hongi saansein toh oonhe roka hoga
phir le kar naam mehboob ka gujar gaye honge

Waah Saahil Ji... Nice lines! Applause
Logged
Deepati
Guest
«Reply #19 on: August 16, 2009, 05:56:08 PM »
Reply with quote
Talat Dost, Bin Likhe Yahan Se Jaana,Na-mumkin Sa Ho Gaya Hai..Gustaaki Maaf Kijiyega...Ek Koshish Kar raha Hoon!!

Meri Yaadon Se Ashq Unki Aankhon Mein Kuch Tham Gaye Honge..
Inn Raahon Mein Unke Kadamo Ke Nishaan Se Kuch Jam Gaye Honge...

Eh Hawa!! Mujh Par Itna Saa Ehsaan kar Ke Unhe Sirf Yeh Khabar De!!
Jahan Par Woh Gaye Hai, Hum Bhi Udhar Gaye Honge...

Na-Mumkin Sa Tha Mera Yuh Kaanton Ke Beech mein Basar Karna!!!
Par Unki Mohabbat Mein Hum Kaanton Ke Beech mein Reh kar Bhi Sawar Gaye Honge...

Jitna Unhe Chaaha Usse Bhi Zyaada Unhe jaana!!
Unki Ek nazar Ke Sadke raah Ke Pathar Bhi Nikhar Gaye Honge...

Eh Khayal-E-Yaar Tujhe Salamaat Humesha Khuda Rakhe!!
Tere Ek Tasavuur Se Naa Jaane Kitne Gham Mere Be-Maut Hi mar Gaye Honge..

"Khwaish" Ab Mehsoos Kar Sakta Hai Ke Zindagi Mein Mohabbat Ki Ehmiyat Kya Hai??
Saath Ho Hum-Kadam To Hum kitne Baar Giir Kar Phir Sambhal Gaye Honge...


Wah Wah Khwaish Ji... Behad khoobsurat likha hai! Bahut Bahut khoob! Applause
Logged
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #20 on: August 16, 2009, 06:27:17 PM »
Reply with quote

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause
behtreen aur nayab peshkash ke liye meri taraf se hazaron daad kabul ho talat..
khwaish bro  Applause Applause Applause Applause Applause bahoot achcha likha aapne..khoob andaz raha aapka...daad kabool ho
Logged
Pooja
Guest
«Reply #21 on: August 16, 2009, 06:45:42 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah wah wah bahoot khoob Celmiira and Khwaish ji.. good work....  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
aaina
Guest
«Reply #22 on: August 17, 2009, 11:50:11 PM »
Reply with quote

[/img]

subhaanAllah waah talt kya kehne hain bhut hi khoob wahi lehja, wahi khaamosh chandni mein chamakti hui shubnam aapki ghazal aapne andaaz ko is tarhan bayaan karti hai ke kya kahiye, hamesha you.n hi likti rahiye Allah aapko hamesha khush rakhe
Logged
cara
Guest
«Reply #23 on: August 18, 2009, 07:08:29 AM »
Reply with quote
KYA BAAT HAI    CELMIRA JI.......

MUJHPE EHSAAN YEH BHI KAR GAYE HONGE,
SUDHREN HONGE,TOOT GAYE HONGE.

KUCH ZAMANE KI TALKHIYAAN SEH KAR,
PARESHANIYON MAIN ULAJ GAYE HONGE.

MUJHSE PEHLE JO KHWAAB ADHOORE THE,
MUJHSE MIL KAR UN KHWAABON MAIN JEE RAHE HONGE.

YAAD MERI JO KABHI AAYI HOGI UNHE,
KAHIN AUR POORI KARNE, BEWAJAH GAYE HONGE.

MAIN UNKI BAAHON MAIN HUN,HAIRAT HAI,
JUDAAI KI RAAT YEH SOCH KAR DAR GAYE HONGE.

JAB HUI HOGI UNHE MERE ALAALAT KI KHABAR,
MARI HUI ZINDAGI JEE RAHE HONGE.

RABT UNKA TOH UNCHI UDAANON SE THA,
MERE LIYE BHI SOCHNE LAGE HONGE.

TERE BIN AB MAIN JEE SAKUNGA NAHIN,
SOCHA BHI HOGA,AUR BADAL BHI GAYE HONGE.

MERI AANKHON MAIN NAMI?SHAYAD TALAT,
AAYI BHI HOGI,SUKH BHI GAYI HONGI.



Logged
Talat
Guest
«Reply #24 on: August 18, 2009, 10:28:14 AM »
Reply with quote

KYA BAAT HAI    CELMIRA JI.......

MUJHPE EHSAAN YEH BHI KAR GAYE HONGE,
SUDHREN HONGE,TOOT GAYE HONGE.

KUCH ZAMANE KI TALKHIYAAN SEH KAR,
PARESHANIYON MAIN ULAJ GAYE HONGE.

MUJHSE PEHLE JO KHWAAB ADHOORE THE,
MUJHSE MIL KAR UN KHWAABON MAIN JEE RAHE HONGE.

YAAD MERI JO KABHI AAYI HOGI UNHE,
KAHIN AUR POORI KARNE, BEWAJAH GAYE HONGE.

MAIN UNKI BAAHON MAIN HUN,HAIRAT HAI,
JUDAAI KI RAAT YEH SOCH KAR DAR GAYE HONGE.

JAB HUI HOGI UNHE MERE ALAALAT KI KHABAR,
MARI HUI ZINDAGI JEE RAHE HONGE.

RABT UNKA TOH UNCHI UDAANON SE THA,
MERE LIYE BHI SOCHNE LAGE HONGE.

TERE BIN AB MAIN JEE SAKUNGA NAHIN,
SOCHA BHI HOGA,AUR BADAL BHI GAYE HONGE.

MERI AANKHON MAIN NAMI?SHAYAD TALAT,
AAYI BHI HOGI,SUKH BHI GAYI HONGI.




Shukriya Cara Ji,

Aapne jis tarah meri ghazal ke har sher ke pehle misre (pehli line) ko le kar us main  doosra misra joda hai, well....................quite interesting !!!!!
Logged
deepzirvi
Guest
«Reply #25 on: August 18, 2009, 04:56:01 PM »
Reply with quote
saada asrdaar
Logged
poppoetry
Guest
«Reply #26 on: August 18, 2009, 05:13:38 PM »
Reply with quote
Wah Celmira ji......kya kehne....kitni gehraai mein jaakar likha gya hai har alfaaz.....lafj khamosh ho gaye aapki iss rachna k saamne....shikwon me bhi khud ko sukuun dena...kya kahu.......  icon_salut

Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Applause Applause Applause Applause Applause Applause
Logged
Talat
Guest
«Reply #27 on: August 18, 2009, 05:21:02 PM »
Reply with quote
sodton aap logon ne yahan comments nahin diye is baat ka mujhe shakht afsos hai
itni khoobsurat ghazal ko agar daad na di toh phir hudd hai bhai

ishq karne wale dekh mera hashra dar gaye honge
le k khanjar qatl karne khud ka nikal gaye honge
bach gayi hongi saansein toh oonhe roka hoga
phir le kar naam mehboob ka gujar gaye honge

That's so sweet of you Salil  icon_flower ...Thanks so much for honouring me !

....aur bohot hi khoob !!

Ishq Ke Raahain Bohot Asaan Nahin Hain,
Ishq Waale Isse Par Anjaan Nahin Hain

Ishq Ki Raahon Pe Jab Rakh Liya Qadam,
Shikwa Na Karenge Gar Ho Jaaye Sar Qalam !!
Logged
Talat
Guest
«Reply #28 on: August 18, 2009, 05:26:04 PM »
Reply with quote
bahut hi accha likha hai Celmira ji   icon_salut icon_salut icon_salut icon_salut
sach kahein, to itni kathin urdu pehli baar padne par samajh nahi aayi lekin dhyaan se dobara pada tab ehsaas hua ki kitna accha likha hai

but could yopu please tell d meaning of alaalat and RABT, i am not exactly sure

Thanks so much Repear Ji...waise to zyadatar meri ghazlon main asaan urdu lafz hi hote hain..lekin kabhi kabhi kuch thode mushkil lafz bhi shamil ho jaate hain...!!

Alaalat ka matlab hai beemari, Being ill.

Rabt ka matlab yahan Rishte se hai ya connection se hai.

Hope ab aap ko samajhne main koi pareshani nahin hogi..

Thanks so much Usual Smile
Logged
Pooja
Guest
«Reply #29 on: August 18, 2009, 05:27:47 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley bahoot khoob Kaash ji, Cara ji and Celmira... good work all!!
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:26:51 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.128 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer