Mohabbat-izhaar

by shayar_dildaar on August 16, 2005, 06:07:12 PM
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 37
ReplyPrint
Author  (Read 36877 times)
shayar_dildaar
Guest
Reply with quote
Kar lete hain mohabbat hum kisi na kisi se;
Yeh mohabbat kyun nahin bayan hota hain hum sabhi se.

Khush nasib hain jo bayan karte hain apna dil-e-haal;
Warna kahin ishq reh jate hain kangaal.

Darkwast karta hu tum sabhi se mere kadardaan;
Mohabbat farmate ho unse, to izhaar karo o meherbaan.

Kismat ko na kosna apne, e-ashique barbaad;
Mauka na de iss duniya ko tujhe kehne, farhaad....
-Shayar_Dildaar




--Ur views are welcome
Logged
nidhi_yadein
Umda Shayar
*

Rau: 2
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
1 days, 7 hours and 46 minutes.
~ nidhi ~

Posts: 5725
Member Since: Nov 2004


View Profile
«Reply #1 on: August 16, 2005, 06:35:56 PM »
Reply with quote
nice work shayar ji........!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #2 on: August 16, 2005, 11:43:07 PM »
Reply with quote
Shuriya aapka is hausla afzai k liye;
Mohabbat yeh aisa nasha hain azmaish k liye.
Logged
SADIQA JAWED
Guest
«Reply #3 on: August 18, 2005, 07:34:47 AM »
Reply with quote
wah shayar ! ...gr8 ! .....

Rothey Rahengay gar ap yunhi Umer Bhar
Hum Sey Wafa Ka Bojh Uthha ya na jaey ga !
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #4 on: August 18, 2005, 05:36:43 PM »
Reply with quote
very  nice  shayer....................Sadiiiiiiiiiiiiiiiiii  ................... tongue3
Logged
MAHAM*KHAN
Guest
«Reply #5 on: August 22, 2005, 03:09:30 PM »
Reply with quote
izhar e ishq zaroori hai sanam
wafa ka sath laazmi hai balam

*


ishq izhar karay husn bhi iqraar karay
raah e ulfat mein kaun kisko beqaraar karay

*

ishq izhar ka mohtaj hai yeh maantay hain
ishq mein marna zaroori yeh pehchantay hain

:o
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #6 on: August 22, 2005, 03:28:16 PM »
Reply with quote
Maan gaye maham aapko. Suban allah. wah bahut khub likha hain aapne. Good stuff. Really admire the words used in the sher.........
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #7 on: September 01, 2005, 09:10:30 PM »
Reply with quote
Unse baath na hui kuch dino se,
Yeh dil phir sawal karne laga mujhse.

Yeh dil sawaal karta hain, “Iss dard ka dawa kya hain”,
Mein poonchta hoo dil se, ‘nadaan tujhe hua kya hain’.

Faryad karta hain, “yeh kaisa hain firaaq”
“Baat karle unse aur kar mujhpe ashfaq.

'Majboor hoo main', aisa dil se kaha maine,
'Woh bahut rehti hain, malum hain yeh tumhe'.

Main kaise samjhau iss dil ko,
Sajda karta hoo e-dil, tumhare iss mohabbat ko....

-Shayar_Dildaar  
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #8 on: September 08, 2005, 03:57:16 AM »
Reply with quote
Kahi ishq dafan ho jate hain waqt k galiyon mein;
Mohabbat ko anjaam dena seek e nadan ashique, yeh nahin hota sapno mein.

Haqeekat ko dekh aur keh daal apni dil ki baath unse;
Kam se kam pachtawa to nahin hoga ki apne ishq ka izhaar na kar paya unse.  

Unse keh daal apna haal-e-dil;
Saccha pyaar karta hain, to woh bhi samjhegi tujhe mohabbat k kabil....
-Shayar_Dildaar.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #9 on: September 12, 2005, 10:01:20 PM »
Reply with quote
Unke dil ke bechaini ko samjh sakta hu main;
Mohabbat jo karti hain mujhse, sirf unke liye hu main.

Aj kehti hain mujhse, ‘rehna chati hu tumhare saath’;
‘Mehfooz lagta hain jab hota hain tumhare haathon mein haath’.

Bahut khush hu main jo unhone mujhe iss kabil samjha,
Ab karna chahta hu unhe jeevan k liye apna.

Unhe darr hain ki koi aur na le jaye unhe,
Maine kaha unse,‘majhal hain kissi main, jo haath bhi lagaye tumhe’.

Ajeeb sa mugroor tha mere iss jawab mein;
Sach kehta hu kadardaan, unhe pana chahta hu main....

Mohabbat jab kar liya hain, to unhe haasil bhi kar lenge,
Pyaar karte hain unse, unke ghar jakar kahenge.

Mumkin ho mera yeh pyaar bhara khwab;
Ibadat karna zaroor dilwalo, shukriya iske liye janaab.......

-Shayar_Dildaar
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #10 on: September 13, 2005, 01:21:20 PM »
Reply with quote
VERY WELL SAID SHAYARJI!!!!!!!!!

Bahut khush hu main jo unhone mujhe iss kabil samjha,
Ab karna chahta hu unhe jeevan k liye apna.  :D  :D

Mohabbat jab kar liya hain, to unhe haasil bhi kar lenge,
Pyaar karte hain unse, unke ghar jakar kahenge.  :D

THESE 4 LINES R REALLY FANTASTIC......
JUST KEEP ON  WRITING.......
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #11 on: September 17, 2005, 07:43:30 AM »
Reply with quote
Shukriya neelamji. Aap jaise kadardaan hain iss liye kuch mohabbat based naik poems likhta hu...........

Kya tujhe pata hain kitna betaab hu main tujhe milne k liye,
Kho jata huu har pal unn mithe se khayalo mein;
Taras jata hain yeh dil, teri ek jhalak pane k liye.

Kitab k har panno mein sirf tu hi tu nazar ati hain;
Ab kya samjhana iss dil ko jab dimag machal uthta hain tere hasi k liye.
Pyaar k iss mithe se khushi mein bhi kabhi gumsum rehta hu mein.

Mein yeh bhi janta hu ki tere mere pyaar ki baatein tujhe sone nahin deti,
Yeh kambhaqt duuri tujhe bhi jinne nehin deti,
Saccha mohabbat hain hum dono ka, kya iss baat ka tujhe hain ehsas,
Fizul nahin jayega yeh qurbani, dilwale zaroor kehenge hummein shabhash.

Isliye, ab koi shikhwa nahin, mohabbat se mujhe,
Sinhe se laga kar rakhna chahta hu, har pal main tujhe.
Logged
shyara_neelam
Guest
«Reply #12 on: September 19, 2005, 05:10:18 PM »
Reply with quote
WAH SHAYARJI!!! BAHOOT KHUB LIKHE HAIN AAP....

L0VE IS ENDLESS...
ITS D MEMORY OF YESTERDE,
D HAPPINESS OF 2DE,
AND D PROMISE OF 2MRW...

Na jane kyon logoko mohabbat mein aisa lagta hain..
Unka pyaar dur rahkar bhi humesha paas hi rahta hain..
Subhah hoti hain,sham hoti hain,raatki tanhaimein bhi unka
bahut yaad aati hain...
Nind mein bhi aakar woh hamesha mere pass hi rahta hain...
Aap to mujhe khuda se sirf yeh puchna hain..
Pyaar ka yeh ehsaas itna kyon  mitha hota hain...
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #13 on: September 19, 2005, 10:35:14 PM »
Reply with quote
Cool neelamji. Issi bahane chand line aapke liye likh raha hu.

Mere pass aur kya hain siwa mere aashiqmisaji ka;
Kya karna hain mujhe siwaye teri taarif aur shukraguzari ka.
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #14 on: September 20, 2005, 07:35:28 PM »
Reply with quote
Shayad ishq ka junoon sawar hain mujhpe,
Kashmakash karta hu mein,’Kya dil a gaya hain tujhpe’.

Mujhe lagta hain, yeh pagalpan hain,
Lekin dil kehta hain, 'yeh tera deewanapan hain'.

Nazakat jo hain teri adaon mein,
Shararat bhi hain teri un aankhon mein.

Phir yeh dil kyun na behek uthe tumhare liye,
Ab mujhe hain yakeen, shayad nihaayat tak ja sakto hu tumhe pane k liye.

Darr hain koi gustaki na kar baithu tumhare nazdeek ane se,
Shikhast khana nahin chahta hu mein mohabbat k numaish mein.


--This is for those guys who are confused if he is in love or its just a temporary phase
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5 ... 37
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 09, 2024, 01:38:49 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.131 seconds with 26 queries.
[x] Join now community of 8505 Real Poets and poetry admirer