SAQEE

by imali on January 04, 2010, 04:40:02 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 891 times)
imali
Guest
Reply with quote

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte



Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte



Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukh mora nahi karte



Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte



Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte



Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte




Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabhi Khayaanat kia nahi karte
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
sun saqee jee bhar ke pila....soudagar by soudagar in Miscellaneous Shayri
imali
Guest
«Reply #1 on: January 04, 2010, 04:40:40 AM »
Reply with quote
Ye mere humnashin chal kahin aur chal,
Is chaman mein ab apna guzaara nahin,
Baat hoti gulon tak to seh lete hum,
Ab to kaanton pe bhi haq hamara n
Logged
imali
Guest
«Reply #2 on: January 04, 2010, 04:41:31 AM »
Reply with quote
Ay bad-e-sabaa
us nagar bhe ja
usy itna bata
deewana tera
kehta he raha
az rahe Huda
kar itna bhala
rukh apna dikha

Masoom shakal
teri aankh ghazal
tery honth kanwal
teri baat ajal

Ay sultaan-e-wafa
tu khud hi bata
mujhy tairy siwa
kabh chain mila?
Logged
imali
Guest
«Reply #3 on: January 04, 2010, 04:42:02 AM »
Reply with quote
2 char Baras ka Qisa tha jab main nay us ko Dekha tha,
wo chehra janey Q mujh ko kuch apna apna lagta tha

wo jadoo tha un aankhoon main mai uljha uljha rehne laga
madhosh kia kya khawabon ne,
Her shakhs Hi pagal kehne laga

Her baat say Ghabrata tha kuch kehnay se sharmata tha,
Phir samnay jub wo aati thi main us ko daikhta jata tha

main us se Dil ki Baat kahoon,
ye lamha bhi kuch door na tha,
jab colloge main yai baat uri,
jo itnaa main mashoor na tha

sab Log mager yai kehtay they yai us larki pai marta hai
us se milnay ki khatir her roz bahaney karta hai

Phir ik din main ne sham Dhalay us Jan-e-Ghazal ko rok lia,
rok k apni saanson ko kuch kehnay ka izhar kia,
yun uljhay lafzon mein main nay ram kahani chairi thi,
ay jan-e-baharntu aisay Dil mein utri thi

Gumnam andhairay aangan main ik tara chamka ho jaisey
Dil ki mayoos fizaoon mein ik chand sa utra ho jaisey

ye piyar ki Batein sun ker wo dair talaq khamosh rahi
Hath main balon ko le ker sharmai or Ghabra si gai

phir dheerey se wo yun Boli tum kaisi Batein kertay ho
main aam si ik larki hoon tum kaahey ka dukh sehtay ho
ye piyar ki Batein sun ker main holay se us kay nazdeek howa
us ke Hath pe apna Hath rakha khamosh fiza ke damen main

Dheeray se phir yun Bola...

Her zulm tumhari khatir main hans ker Gawara ker loon ga
ik pyar ka tum iqrar karo kanton pay guzara kar lon ga

wo Hans ker Boli Dekhen ge...

mein samjha chahet jeet gaie
nadaan tha na samag saka is jag se pyar ki reet gai,

phir ik din mein nay kisi se ye suna,
wo husan ki jo daiwi thi
zar (paise) wala us ko jeet gaya
wo bhi dolat pe merti thi

yei manzar agarchey khawab huwa
main aaj bhi ik musafir hoon
ye hosla Bhi kuch kam to nahin
k us say bichar ke Shair hoon....
Logged
imali
Guest
«Reply #4 on: January 04, 2010, 04:42:43 AM »
Reply with quote
Kaghaz kaghaz haraf sajjaya karta hai,
Tanhai main sheher basaaya karta hai,
Kaisa paagal shaks hai saari saari raat,
Deewaroon ko dard sunaya karta hai,
Ro daita hai aap hi apni baatoon par,
Aur phir khud ko aap hansaaya karta hai
Logged
imali
Guest
«Reply #5 on: January 04, 2010, 04:43:19 AM »
Reply with quote
Vo Nahi Mera Magar Us Se Mohabat Hai To Hai,
Yeh Agar Rasmo Rivazo Se Bagawat Hai To Hai;

Sach Ko Maine Sach Kaha Jab Keh Diya To Keh Diya,
Ab Zamaneki Nazar Mein Ye Himaakat Hai To Hai;

Dost Ban Kar Dushmano Sa Vo Satata Hai Mujhe,
"Fir Bhi Us Pathar Dil Pe Marna Apni Fitrat Hai To Hai";

Kab Kaha Maine Ki Vo Mil Jaye Mujhko,
Uski Bahon Mein Dum Nikle Itni Hastrat Hai To Hai;

Vo Sath Hai To Zinda Hu,
Meri Saanso Ko Uski Zaroorat Hai To Hai.....


Vo Nahi Mera Magar Us Se Mohabat Hai To Hai
Logged
imali
Guest
«Reply #6 on: January 04, 2010, 04:44:07 AM »
Reply with quote
Dhoka diya tha jab tum ne mujhe,
Dil se main naraaz tha,
Phir socha ki dil se tumhe nikal dun,
Magar woh kambakth dil bhi tumhare paas tha.....
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #7 on: January 04, 2010, 07:17:22 AM »
Reply with quote
Very good ones Imali Ji
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #8 on: January 04, 2010, 01:35:25 PM »
Reply with quote

Jo Rishtey Dil se jurte hain inhain tora nahi karte
Kisi ka saath Raste mai kabhi chora nahi karte



Kahin is se Tumhare haath hi zakhmi na ho jayein
Jo Toote Aaina to phir ise jora nahi karte



Koi Toofan Teri Kishti ko Garq-e-Aab na karde
Kabhi Biphri hoi Mojon ka Rukh mora nahi karte



Tijarat ke usulon per Mohabbat ki nahi jati
Mohabbat mai kabhi Jazbaat ka Souda nahi karte



Sitam karna Mohabbat per, yeh hai Adat zamane ki
Zamane ke sitam per Hum yeh Dil tora nahi karte



Mohabbat ke usulon mai, yehi pehla usool apna
Ke Hum apni Mohabbat ko kabhi Ruswa nahi karte




Jis se Mohabbat karte ho us se Jhoot na bolo
Mohabbat mai kabhi Khayaanat kia nahi karte


veri naaaice
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #9 on: January 05, 2010, 10:29:45 AM »
Reply with quote
Wah Bahut hi khoob Imali ji.lovely creation.welcome to yo. Thumbs UP Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rishi Agarwal
Guest
«Reply #10 on: January 06, 2010, 08:20:05 AM »
Reply with quote
Nice Collection Imali Ji
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:02:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.087 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer