~ ~ * * Sardi Ki Dhoop Main ~ ~ * *

by Pooja on December 31, 2008, 09:37:04 PM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 8253 times)
Pooja
Guest
Reply with quote
Ek bahoot he payari Yo-sathi ne Sardi ki dhoop per khumar-e-ishaq main likhne ko kaha.. kuch khas nahi likh saki, magar likhe bina rah bhi nahi saki... so jo man mai ayya, app sabke samne hai:

sardi ki dhoop main, gun gun, man mera gaaye
ajj aa ja sanam kahin se, bahon mai lo mujhe chupaye

madhoshi is sard dhoop main, man main agan lagaye
aise main aa ja sanam, dil ko kahin chain na aaye

meethi meethi ninia main, dhadkan behaki jaaye
de kar sanso ki apni garmi, le mohe ajj bachaye

adh-khule in naino main, ek teri tasveer hu sajaye
aa kar kar de poori mujhko, adhurepan main, man ghabraye

sardi ki dhoop main, gun gun, man mera gaaye
ajj ja sanam kahin se, bahon mai lo mujhe chupaye
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Is sahar ki sardi by paani in Shayri-E-Dard
Sardi ki aor pehla kadam... by brokenbyluv in Miscellaneous Shayri
SARDI KI THAND RATON ME.......K@HIN@@R by Kohinoor in Share: Poetry of Pain
main dhoop dhoop by soudagar in Shayeri for Dard -e- Bewafai
'Sardi ka Sitam.. ..Saavan. by Saavan in Mazahiya Shayri(Funny Shayari)
pankshivam
Guest
«Reply #1 on: December 31, 2008, 09:49:50 PM »
Reply with quote
Ek bahoot he payari Yo-sathi ne Sardi ki dhoop per khumar-e-ishaq main likhne ko kaha.. kuch khas nahi likh saki, magar likhe bina rah bhi nahi saki... so jo man mai ayya, app sabke samne hai:

sardi ki dhoop main, gun gun, man mera gaaye
ajj ja sanam kahin se, bahon mai lo mujhe chupaye

madhoshi is sard dhoop main, man main agan lagaye
aise main aa ja sanam, dil ko kahin chain na aaye

meethi meethi ninia main, dhadkan behaki jaaye
de kar sanso ki apni garmi, le mohe ajj bachaye

adh-khule in naino main, ek teri tasveer hu sajaye
aa kar kar de poori mujhko, adhurepan main, man ghabraye

sardi ki dhoop main, gun gun, man mera gaaye
ajj ja sanam kahin se, bahon mai lo mujhe chupaye

Bahoot Khoob Poojaji
Har Tarah ki kaveeta me aapka Koi javab nahi hai awkayi Bahoot Khoob Likha hai aapne 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #2 on: December 31, 2008, 09:53:27 PM »
Reply with quote

Bahoot Khoob Poojaji
Har Tarah ki kaveeta me aapka Koi javab nahi hai awkayi Bahoot Khoob Likha hai aapne 

Bahoot bahoot Shukaria Pank ji!!! Kuch apki kalam se bhi aa jaata, to acha lagta!!!
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #3 on: December 31, 2008, 10:07:28 PM »
Reply with quote

Bahoot bahoot Shukaria Pank ji!!! Kuch apki kalam se bhi aa jaata, to acha lagta!!!
Oki Poojaji
But Galtiyo pe Maf kijiyega
Ham Khumar wali line ke nahi hain tongue3

Har soo teri tamnna hai har oor tera tera hi khumar hai...
Lamho ko zindagi me badal de tere aagosh me vo jadu beshumar hai...

Tham gayi hai sadiyo ki talash aaj tere chehre pe muskan dekh kar,
Mere khuda meri tasal puri karne ke liye, banda tera tahe dil se shukrgujar hai...

Hosh hai na chain hai ab, teri yaado ke pal ab mujhe satate hain,
Muskurata hun apni hi madhoshi me, jane kitne khushiyo ke pal isme har bar hain...

~Pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #4 on: December 31, 2008, 10:14:45 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

wah kaya baat hai Pank ji, her tarah ki shyri main app kamaal ka likhte hai. bahoot khoob. Apne kaya kasie soch liya ki app is lineke nahi hai  DOH acho acho ko apki kalam maat de de  Thumbs UP, Itne simple shabdo main itna gahra payar jhalka diya ki soch main hu ab kaya likhu...

meethi meethi yah sardi ki dhoop
us par chardta, tera yah khumar
dhadkano ke shor main
pukare, tera he naam baar baar

madhoshi bhare yah tere naina
chala rahe hai dil per kataar
mad mad teri is muskaan per
kon na jaaye dil haar
Logged
pankshivam
Guest
«Reply #5 on: December 31, 2008, 10:42:31 PM »

 Applause Applause Applause
Lijiye fir se khooshish kar rahe hain

Khushiyo ke rang zindagi me dikhne lage hain,
               Kisi ke khwab aakar in aankho me aakar rukne lage hain...

Gungunati subaho ka ehsaah chhuta hai ab dil ko gehrayi tak,
               Jaane kyun aaj ye kaisa ehsas hai jo sath hai meri parchayi tak...

Sard lahare dil ke armano ko jane kyun kuch yaad dila rahi hain,
               Do pal hi beete hai usse bichadkar aur fir se uski yaad aa rahi hai...

Reh Reh kar uski jhuki palken samne aati hai,
               Tanhayi uske iqrar sunkar bar bar muskurati hai...

Jeeana chahte hain jane kyu fir se ek zindagi uski khatir,
               Jane kyu uske liye jeene ki tamanna fir se umad aati hai....

~pank~
Logged
Pooja
Guest
«Reply #6 on: December 31, 2008, 10:55:08 PM »
Reply with quote
wah kaya baat hai... Apki aise koshishe real life main kisi ko bhi ghayal kar jaaye Pank ji... bahoot khoob.. Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

dhoop ke inderdhanush sa ab yah jeevan lagne laga
sung sung tere sanam, her pal mera chalne laga

chan chan karti dhoop main, yaad teri sataye
tanhaai main bhi mare, pyar ka rang bharne laga

madhoshi ke alam main, her baat tumse kahne dil laga
jab yah utare sardi ki dhoop, tujhse phir laaz karne laga

kuch madhoshi tere naino ki, kuch sard dhoop ka sung dasne laga
dil ki baat lubo per aai, sajna tu mere man main basne laga 
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #7 on: December 31, 2008, 11:32:50 PM »
Reply with quote
Bohat Achche, Pooja Ji,.
Nice Sharing Hai,.

And Good Work Pooja Didi,.
And pank Bhai,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: December 31, 2008, 11:37:19 PM »
Reply with quote
Bohat Achche, Pooja Ji,.
Nice Sharing Hai,.

And Good Work Pooja Didi,.
And pank Bhai,.

Yaha sharing kisne ki hai  DOH DOH yah sab meri ajj ki likhi kavitaye hai lil bro... kyun dara rahe ho app  Crying
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #9 on: December 31, 2008, 11:55:02 PM »
Reply with quote
Yaha sharing kisne ki hai  DOH DOH yah sab meri ajj ki likhi kavitaye hai lil bro... kyun dara rahe ho app  Crying

Didi Sharing Maine Pehli Waali POst Ke Liye Kahi Hai,.
Jisme Aapne Likha Hai Ke Wo Kisi Aur Member Ne Likha Hai Karke,.

Waise Mere Kehne Ka Matlab Aap Salat samajh Gaye,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #10 on: December 31, 2008, 11:56:23 PM »
Reply with quote
Jise Hum Seh Nahi Sakte, Wo Dard Hume Milta Kyun Hai,.
Jiski Hasrat Nahi, Wo Phool Chaman Mein Khilta Kyun Hai,.

Bachkar Chalte Hain, Hum Zindagi Ke Har Mukhaam Par "Jaana",.
Phir Mohabbat Ke Mukhaam Par Dil Phisalta Kyun Hai,.

Sab Tamaasha Hai Duniya Mein, Sachaai Ki Koi Haqeeqat Nahi,.
sab Dil Behlaa Lete Hain Dil Lagaakar, Kisi Ko Kisi Se Chaahat Nahi,.

______________________________________-Jaanasheen
Dil Se,.
Logged
Pooja
Guest
«Reply #11 on: January 01, 2009, 12:01:07 AM »
Reply with quote
Didi Sharing Maine Pehli Waali POst Ke Liye Kahi Hai,.
Jisme Aapne Likha Hai Ke Wo Kisi Aur Member Ne Likha Hai Karke,.

Waise Mere Kehne Ka Matlab Aap Salat samajh Gaye,.

Pyare se bhai mere, sawere sawere kitani baar kaha, hath munh dho kar, chai -dudh pi kar, net per baitha karo...  NaNaNa jara dhayan se parro  DOH kisi payare se member ne, mujhe sardi ki dhoop per, khumar-e-ishaq main likhne ko kaha hai... so uski farmaish per, maine yah thread open kar ke, khud kuch likhne ki koshish ki hai!!! 
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: January 01, 2009, 12:03:49 AM »
Reply with quote
Jise Hum Seh Nahi Sakte, Wo Dard Hume Milta Kyun Hai,.
Jiski Hasrat Nahi, Wo Phool Chaman Mein Khilta Kyun Hai,.

Bachkar Chalte Hain, Hum Zindagi Ke Har Mukhaam Par "Jaana",.
Phir Mohabbat Ke Mukhaam Par Dil Phisalta Kyun Hai,.

Sab Tamaasha Hai Duniya Mein, Sachaai Ki Koi Haqeeqat Nahi,.
sab Dil Behlaa Lete Hain Dil Lagaakar, Kisi Ko Kisi Se Chaahat Nahi,.

______________________________________-Jaanasheen
Dil Se,.

 Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More

Khumar-e-Ishaq main
sardi ki dhoop main
yah kaya ho gaya
khumar kyun so gaya

dard ke sath main
baat he baat main
kyun yah likh gaye
bhai mere app Khumar main
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #13 on: January 01, 2009, 12:12:02 AM »
Reply with quote
Pyare se bhai mere, sawere sawere kitani baar kaha, hath munh dho kar, chai -dudh pi kar, net per baitha karo...  NaNaNa jara dhayan se parro  DOH kisi payare se member ne, mujhe sardi ki dhoop per, khumar-e-ishaq main likhne ko kaha hai... so uski farmaish per, maine yah thread open kar ke, khud kuch likhne ki koshish ki hai!!! 

Sorry Sorry Sorry Didi,.
Maaf Kardo,.
Maine Dinner Bhi Nahi Kiya,.
Bhooka Hoon,.
Padha Kuch Tha, Samajh Mein Kuch Aaya,.
Magar Sahayaari Bohat Achchi Lagi,.

Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006

View Profile
«Reply #14 on: January 01, 2009, 12:16:11 AM »
Reply with quote

 Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More Shocked Even More

Khumar-e-Ishaq main
sardi ki dhoop main
yah kaya ho gaya
khumar kyun so gaya

dard ke sath main
baat he baat main
kyun yah likh gaye
bhai mere app Khumar main

Khumaar Mujhe Achcha Nahi Lagta "Didi,.
Pyaar Ka Naam Bhi Sachcha Nahi Lagta "Didi,.

Bohat Kam Umar Mein Khaai Hai Chot Dil Pe,.
Isliye Dard Lekar Aa Jaata Hoon Har Mehfil Pe,.

Ab Dil Mein Mere Khumaar Hi Na Raha,.
Dard Bhargaya Abto, Pyaar Hi Na Raha,.

____________________________-Jaanasheen-
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 24, 2024, 03:13:57 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.132 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer