Sehre ki khushboo... ParwaaZ"

by ParwaaZ on March 09, 2012, 10:23:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1030 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote
Aadaab Bazm ko aik aur purani koshish aapki nazar.. Usual Smile

Utthi jo maazi e yaad e  zaqeere ki khushboo
Layi phir saba khath e pyaare ki khushboo

Mere nas nas mein hai jo rawani banke baheti
Mere dilber woh tere Naaz o nakhare ke khushboo

Teri har ek adaa har roop hai chandan sa mahekta
Basa luN dil mein tere surkh laal joure ki khushboo

Gul gul bikhare raahoN mein takhat e suhaag maheke
Mahek jaye gar sang tere, mere sehare ki khushboo

Ta-umar bhula na paunga woH bekarari ke lamhe
Bas jaye dil o dimag mein vasl e kamare ki khushboo

Kuch shab e roz hia baki abhi waqt guzarne mein
Karlo na tum bhi tasawwur us nazare ki khushboo

Mehka do mera bhi tan badan pur zore ishq say
Barsa do mujh pe youwan e sharare ki khushboo

Hai muraad meri yehi hasrat meri yehi Kwahish
Bhar duN mang mien tere chand taare ki khushboo
  
Logged
mkv
Guest
«Reply #1 on: March 09, 2012, 10:27:58 AM »
Reply with quote
Aadaab Bazm ko aik aur purani koshish aapki nazar.. Usual Smile

Meri ankhoN mein basi hia tere chehare ki khushboo
Basa deN meri sansoN mein, tere gajare ki khushboo

Aadaab Parwaaz Bhai..
ab maja aane laga hai...aise hi bajm ko apni khoobsurat kalaamon se guljaar rakhiye..
Bahut bahut khoob Applause
har sher laajavaab, umda bayaani aur sokhi se bharpoor is peshkash par dheron DAAD
Logged
sksaini4
Ustaad ae Shayari
*****

Rau: 853
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
112 days, 8 hours and 51 minutes.
Posts: 36414
Member Since: Apr 2011

View Profile
«Reply #2 on: March 09, 2012, 10:43:02 AM »
Reply with quote
waah waah parwaaz bhaai aakhir aapne parwaaz bhar hee lee. khai shaayad hee aaj mujhse ziyaadaa khush ho dheron daad haazir hain janaab
Logged
saahill
Mashhur Shayar
***

Rau: 86
Offline Offline

Waqt Bitaya:
147 days, 20 hours and 6 minutes.
Posts: 18629
Member Since: Jun 2009

View Profile
«Reply #3 on: March 09, 2012, 10:51:47 AM »
Reply with quote
bohut khoob janab
Logged
sbechain
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2012, 10:52:17 AM »
Reply with quote
Aadaab Bazm ko aik aur purani koshish aapki nazar.. Usual Smile

Meri ankhoN mein basi hia tere chehare ki khushboo
Basa deN meri sansoN mein, tere gajare ki khushboo

Mere nas nas mein hai jo rawani banke baheti
Mere dilber woh tere Naaz o nakhare ke khushboo
acha hai Applause Applause Applause
Teri har ek adaa har roop hai chandan sa mahekta
Basa luN dil mein tere surkh laal joure ki khushboo
bade dil se mohabbat ki hai huzur ne icon_geek
Gul gul bikhare raahoN mein takhat e suhaag maheke
Mahek jaye gar sang tere, mere sehare ki khushboo
INSAALLAH.....at last..........!!! icon_flower icon_flower
Ta-umar bhula na paunga woH bekarari ke lamhe
Bas jaye dil o dimag mein vasl e kamare ki khushboo
jhooti baat hai. busss kahne ke liye . zyada romantic mat bano.. drunken_smilie drunken_smilie drunken_smilie
Kuch shab e roz hia baki abhi waqt guzarne mein
Karlo na tum bhi tasawwur us nazare ki khushboo
acha chlo kar liya phir usss se kya...... Usual Smile Usual Smile
Mehka do mera bhi tan badan pur zore ishq say
Barsa do mujh pe youwan e sharare ki khushboo

Hai muraad meri yehi hasrat meri yehi Kwahish
Bhar duN mang mien tere chand taare ki khushboo
kisne itna jaadu kar diya hai aap per  drunken_smilie
 
bahut romantic hai . kalaam nahin 'khusboo'

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009

View Profile
«Reply #5 on: March 09, 2012, 11:17:32 AM »
Reply with quote
kya baat hai kya bat hai... parwaaz sahab..  Usual Smile

bahut bahut khoob har ek lafz kamal ka tha... Usual Smile

daad kubul farmaye..

 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
F.H.SIDDIQUI
Guest
«Reply #6 on: March 09, 2012, 02:31:49 PM »
Reply with quote
Bahut khoob ,Bhai eik ke baad eik barhkar kalaam parhne ko mil raha hai.Parwaaz ji bahut shukriya aur mubarakbaad.
Logged
sarfira
Guest
«Reply #7 on: March 09, 2012, 06:10:36 PM »
Reply with quote
oye hoye bro--
kya bat hai ji--
:D
itni khusboo fail gai ki bas ye bazm bhi khusnuma ho gya hai ab to tongue3

very nice old creation janaab
old islie qki ye aapki purani kalaam hai na :!!

iss behad khubsurat aur pyari si kalaam pr iss nachij sarfire ki taraf se dher saari daad

khus rahen
muskurare rahen Usual Smile

janaab apna khazaana yun hi khali krte rahen tongue3
Logged
dolly
Guest
«Reply #8 on: March 09, 2012, 06:48:02 PM »
Reply with quote
very nice parwaaz ji:)
Logged
mann.mann
Yoindian Shayar
******

Rau: 113
Offline Offline

Waqt Bitaya:
22 days, 12 hours and 36 minutes.
Posts: 3703
Member Since: Aug 2011

View Profile
«Reply #9 on: March 10, 2012, 11:48:00 AM »
Reply with quote
waah bahut khub parwaaazji

 Applause Applause
Logged
khujli
Guest
«Reply #10 on: March 11, 2012, 09:06:07 AM »
Reply with quote
Aadaab Bazm ko aik aur purani koshish aapki nazar.. Usual Smile

Utthi jo maazi e yaad e  zaqeere ki khushboo
Layi phir saba khath e pyaare ki khushboo

Mere nas nas mein hai jo rawani banke baheti
Mere dilber woh tere Naaz o nakhare ke khushboo

Teri har ek adaa har roop hai chandan sa mahekta
Basa luN dil mein tere surkh laal joure ki khushboo

Gul gul bikhare raahoN mein takhat e suhaag maheke
Mahek jaye gar sang tere, mere sehare ki khushboo

Ta-umar bhula na paunga woH bekarari ke lamhe
Bas jaye dil o dimag mein vasl e kamare ki khushboo

Kuch shab e roz hia baki abhi waqt guzarne mein
Karlo na tum bhi tasawwur us nazare ki khushboo

Mehka do mera bhi tan badan pur zore ishq say
Barsa do mujh pe youwan e sharare ki khushboo

Hai muraad meri yehi hasrat meri yehi Kwahish
Bhar duN mang mien tere chand taare ki khushboo
 
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile Usual Smile
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: March 11, 2012, 10:21:44 AM »
Reply with quote
Aap sabka tah e dil se shukriya... Usual Smile

jo aap ne is naakaam si kalaam ko itni mohobbatoN se nawaza
aur apna keemti waqt dekar houNsla afzaai ki... Usual Smile

Aage bhi apni mohobbatoN se nawazte rahiye...
Aate rahiye... shaad o aabaad rahiye...

Khuda Hafez... Usual Smile

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 27, 2025, 07:31:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.135 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer