Shabnami Raat..

by r a i n on August 04, 2006, 06:38:25 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1521 times)
r a i n
Guest
Reply with quote
Shabnami raat ho aur har taraf andhera ho
Ek chaadar me lipten do badan, ek mera ho ek tera ho

Mere makhmali badan mein, khushbuon ke chaman me,
Sadiyon tak wo raat chale, sadiyon duur sawera ho

Tere hothon ko jab sil doon main, apne hothon ke dhage se
Ek sannate me khamoshi se, teri bhaahon ne mujhko ghera ho

Dono lipten ek dooje me, Ik gaanth si lag jaaye badano me
Mere jism me ghar miljaye tujhe, tere jism me mera basera ho

Dil kehta hai kuch aisa ho, tu ban jaye main, aur main ban jaun tu
Bistar per tere mere siwa, sirf junoon or khamoshi ka dera ho


Ek chadar me lipten do badan, ek tera ho ek mera ho

- unknown Poet
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
RAAT by budhu_1 in Shayri-E-Dard
raat ho gyi to by desikuri in Shayri-E-Dard
Zindagi jin ki Shabnami ho gi ,,,,,,,,,,,,,,, by Farhan Sohail in Share:Love Poetry « 1 2  All »
Shabnami Raat by ushazz in Urdu Poets
Pal bhar mein shabnami labon ne... by RUHAANII in Miscellaneous Shayri
r a i n
Guest
«Reply #1 on: August 04, 2006, 06:40:43 AM »
Reply with quote
Yuu.n tou likhne ko kya nahi likha maine
Phir bhi jitna tujhe chaha nahi likha maine..

Yuu.n to honge buhat Zamane mein Shayar
Jaise sab likhte hain waisa nahi likha maine..

Yuu.n to ek lehar mein kuch rang jhalak aate hain
Mujh mein hai jo darya nahi likha maine..

Mere har laffz ki wusset mein hai ek umer ka ishq
Mein ajab hoon, agar bhool se nahi likha maine..

Meri nazro.n say jo ek bar na pohncha tujh takk
Phir woh maqtob dubara nahi likha maine..

Meri sachayee har ek lafaz se baya.n hoti hai
Sochta hoon tujhe apna kyu nahi likha maine... !
Logged
r a i n
Guest
«Reply #2 on: August 04, 2006, 06:57:39 AM »
Reply with quote
chehre pe mere zulf ko phailaao kisii din
kyaa roz garajate ho baras jaao kisii din

raazo.n kii tarah utaro mere dil me.n kisii shab
dastak pe mere haath kii khul jaao kisii din

pe.Do.n kii tarah husn kii baarish me.n nahaa luu.N
baadal kii tarah jhuum ke ghir aao kisii din

Khushbuu kii tarah guzaro mere dil kii galii se
phuulo.n kii tarah mujh pe bikhar jaao kisii din

phir haath ko Khairaat mile band-e-qabaa kii
phir lutf-e-shab-e-vasl ko doharaao kisii din

guzare.n jo mere ghar se to ruk jaaye.n sitaare
is tarah merii raat ko chamakaao kisii din

mai.n apanii har ik saa.Ns usii raat ko de duu.N
sar rakh ke mere siine pe so jaao kisii din..

-Amjad Islam Amjad
Logged
r a i n
Guest
«Reply #3 on: August 04, 2006, 09:29:42 PM »
Reply with quote
duniya ki lambi raahon per hum yuun tou chaltay jaatay hain
kuch aisay log bhi miltay hain jo yaad hamesha aatay hain

aisay hee safar kartay kartay aik shakhs mila hum ko bhi kahin
duniya main acchay log bohot per uski jaisee baat nahin

wo dheemay lehjay wala thaa aur dheemay say hanss daita thaa
jitnay log milay hum ko, sach jaano sab say accha thaa

thi laag na uss kay bolon main ,ki baat na koi lagawat ki
fiqray uskay tootay tootay, aankhain khoee khoee si

kuch log jo acchay hotay hain aur raahon main mil jaatay hain
hain unko apnay kaam bohot kab apna waqt ganwaatay hain

kab pyasay pyasay rehtay hain
kab jee ko rog lagatay hain

aik shakhs mila tha hum ko bhi...!!
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #4 on: August 05, 2006, 12:20:49 AM »
Reply with quote
Bohat khoob R a i n.. keep it up..
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: August 05, 2006, 06:37:47 AM »
Reply with quote
bahut khooob RAIN ..... bahut ahca likha hai aapne ... VERY ROMENTIC......
 YOINDIA pe aapka swagat hai.....
Logged
r a i n
Guest
«Reply #6 on: August 05, 2006, 09:59:54 AM »
Reply with quote
swagat karne ka aur daad denay ka bahut bahut shukriya akela sahab aur aryan jee...meri koshish anvarat jaari rahegi Usual Smile
Logged
r a i n
Guest
«Reply #7 on: August 05, 2006, 10:10:50 AM »
Reply with quote
Ahmed Faraz jee ki bohot khubsoorat ghazlon main say aik ghazal......jiss main unhon nay dil khol kay apnay mehboob kay husn ki tareef ki hay:


suna hay log ussay aankh bharr kay daikhtay hain
so uss kay shehar main kuch din theher kay daikhtay hain

suna hay rabt hay usko kharab haalon say
so apnay aap ko berbaad kerkay daikhtay hain

suna hay dard ki gaahak hay chashm-e-nazuk uski
so hum bhi uski galee say guzar kay daikhtay hain

suna hay usko bhi shair-o-shayree say hay shaghaf
so hum bhi mojzay apnay hunar kay daikhtay hain

suna hay bolay tou baaton say phool jhartay hain
yeh baat hay tou chalo baat kerkay daikhtay hain

suna hay raat ussay chaand takta rehta hay
sitaaray baam-e-falak say utar kay daikhtay hain

suna hay hashar hain uski ghazal aankhain
suna hay usko hiran dasht bharr kay daikhtay hain

suna hay din ko ussay titliyaan satatee hain
suna hay raat ko jugnu theher kay daikhtay hain

suna hay uski siyah chashmageen qayamat hay
so ussko surma farosh aankh bhar kay daikhtay hain

suna hay uskay labon say gulab jaltay hain
so hum bahaar pay ilzaam dharr kay daikhtay hain

suna hay aaina tamasil hay jabeen uski
jo saada dil hain ban sanwar kay daikhtay hain

suna hay uskay badan ki taraash aisee hay
kay phool apni qabaayen kutar kay daikhtay hain

rukay tou gardishain uska tawaaf kartee hain
chalay tou usko zamaanay theher kay daikhtay hain

kisay naseeb kay bey-perahan usko daikhay
kabhi kabhaar dar-o-odeewar ghar kay daikhtay hain

kahaniyaan hi sahi sab mubaalghay hee sahi
agar wo khwaab hay tou tabeer kerkay daikhtay hain

ab usskay shehar main therain kay kooch kar jaayen
Faraz aao sitaaray safar kay daikhtay hain

suna hay log ussay aankh bharr kay.........!!
Logged
arzoo22
Guest
«Reply #8 on: August 05, 2006, 11:30:35 PM »
Reply with quote
UWOW.subhanallah...... thanks for bringing this beautiful shayris to our life............... GREAT>>>>>>>>>>>>>>> keep it up rain and welcome to yoindia
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #9 on: August 06, 2006, 02:04:51 PM »
Reply with quote
=D>  =D>  =D>

Marvalous Job Rain.....bas aise hee Sama Madhosh banaye rakhiye
Logged
r a i n
Guest
«Reply #10 on: August 07, 2006, 04:59:01 AM »
Reply with quote
shukriya badnam_shayar aur arzoo jee..!!
Ahmad Faraz sahab ki aik aur ghazal....

jiss simtt bhi daikhoon nazar aata hay kay..tum ho
aey jaan-e-jahan yeh koi tum sa hay kay ..tum ho

yeh khwaab hay, khushbu hay kay jhonka hay kay pal hay
yeh dhund hay, baadal hay kay saaaya hay kay..tum ho

iss deed ki sa'at main kaee rung hain larzaan
main hoon kay koi aur hay, duniya hay kay..tum ho

daikho yeh kisi aur ki aankhain hain kay meri
daikhoon yeh kisi aur ka chehra hay kay..tum ho

yeh umr-e-guraizaan kahin theray tou yeh jaanoon
har saans main mujh ko yehi lagta hay kay..tum ho

ik dard ka phaila hua sehra hay kay main hoon
ik mauj main aaya hua dariya hay kay..tum ho

wo waqt bhi na aaey kay dil-e-zaar bhi sochay
iss shehar main tanha koi hum sa hay kay..tum ho


tum ho..........!!
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #11 on: August 07, 2006, 08:32:34 AM »
Reply with quote
Quote from: "r a i n"
duniya ki lambi raahon per hum yuun tou chaltay jaatay hain
kuch aisay log bhi miltay hain jo yaad hamesha aatay hain

aisay hee safar kartay kartay aik shakhs mila hum ko bhi kahin
duniya main acchay log bohot per uski jaisee baat nahin

wo dheemay lehjay wala thaa aur dheemay say hanss daita thaa
jitnay log milay hum ko, sach jaano sab say accha thaa

thi laag na uss kay bolon main ,ki baat na koi lagawat ki
fiqray uskay tootay tootay, aankhain khoee khoee si

kuch log jo acchay hotay hain aur raahon main mil jaatay hain
hain unko apnay kaam bohot kab apna waqt ganwaatay hain

kab pyasay pyasay rehtay hain
kab jee ko rog lagatay hain

aik shakhs mila tha hum ko bhi...!!



Rain ji its superb!!!!!!!!!!!! :D
Logged
sangy
Guest
«Reply #12 on: August 08, 2006, 05:23:06 AM »
Reply with quote
Quote from: "r a i n"
Shabnami raat ho aur har taraf andhera ho
Ek chaadar me lipten do badan, ek mera ho ek tera ho

Mere makhmali badan mein, khushbuon ke chaman me,
Sadiyon tak wo raat chale, sadiyon duur sawera ho

Tere hothon ko jab sil doon main, apne hothon ke dhage se
Ek sannate me khamoshi se, teri bhaahon ne mujhko ghera ho

Dono lipten ek dooje me, Ik gaanth si lag jaaye badano me
Mere jism me ghar miljaye tujhe, tere jism me mera basera ho

Dil kehta hai kuch aisa ho, tu ban jaye main, aur main ban jaun tu
Bistar per tere mere siwa, sirf junoon or khamoshi ka dera ho


Ek chadar me lipten do badan, ek tera ho ek mera ho

- unknown Poet


waah rainji bahut hi romantic likha hain aapne  :D
Logged
r a i n
Guest
«Reply #13 on: August 13, 2006, 03:23:20 AM »
Reply with quote
shukriya sangy aur gesu jee..!! Usual Smile
Logged
r a i n
Guest
«Reply #14 on: August 13, 2006, 03:28:40 AM »
Reply with quote
Kuch to baat hum se ki hoti
to ye zindagi aisi nahi hoti

Meri chahat ko parakh ne ke liye
thodi qurbaniya.n to di hoti

Wafao.n ki aarzu thi tumhe
to humein thodi muddat to di hoti

kehte ho ke umeed thi tumhe humse
sach hai ye to is ki umar itni kam nahi hoti

Ek baar hum se shikayat agar karte tum to
hum ne khud mein tabdiliya bhi ki hoti

Yuh jo saaare raah badnaam kar rahe ho humein
ek baar mere es dil ki bhi sun li hoti

Hum ne utara tha tumhe apni ruh mein aey sanam
kaash ye baat tumne hamari aankho mein dekh li hoti...
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 08:04:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.093 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer