~~*~~ShAyAd pYaR kArNe LaGi HoOn~~*~~

by roshni246 on April 22, 2006, 08:11:21 PM
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Author  (Read 5932 times)
roshni246
Guest
Reply with quote
Pehle mein chain se soya karti thi,
ab raaton ko karvatein badalne lagi hun.

pehle mein sabse bahut baatein kiya karti thi,
ab chupchaap rehne lagi hun.

pehle mein mehfilon mein raha karti thi,
ab akeli rehni lagi hun.

shaayri aur kavitaaon ka shokh nahi tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne lagi hun.

unse mulakat hone ke baad,
jaane kyun unke baare mein hi sochne lagi hun.

pehle mein doston ki nakal kiya karti thi,
ab aaine ke saamne unki nakal karne lagi hun.

zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne lagi hun.

sablog unka naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne lagi hun.

jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne lagi hun.

woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne lagi hun.

sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte the,
par ab yahi sawaal khud se puchne lagi hun.

bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne lagi hun.

ab to unka zikar hone par,
main to sharmane lagi hun.

pehle main mandir jaati thi bhagwan ke darshan karne,
par ab unke darshan ki duaa maangne lagi hun.

pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne lagi hun.

pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hun.

main apni khudki haalat pe hairan hun,
main aisi kyun hone lagi hun?
mujhe aisa lagta hai yaaron,
shaayad mein unse pyaar karne lagi hun..!!!!

~ROSHNI~
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #1 on: April 22, 2006, 08:36:50 PM »
Reply with quote
Gayi kaam se...BHagwan ab bachaye tumhein mohabbat k sitam se....
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #2 on: April 22, 2006, 09:00:37 PM »
Reply with quote
ya ali madad ali.........kaam se gaye ye tau ali........

bahhot accha likha roshni
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #3 on: April 22, 2006, 09:10:01 PM »
Reply with quote
are nahi budhu bahoot acchi likhi hai...........ye tau hum tareef kar rahe hai..............

chalo smile do.........
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #4 on: April 22, 2006, 09:16:25 PM »
Reply with quote
acchi tau hai hamare purwaj he tau hai.........
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #5 on: April 23, 2006, 12:15:54 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Pehle mein chain se soya karti thi,
ab raaton ko karvatein badalne lagi hun.

pehle mein sabse bahut baatein kiya karti thi,
ab chupchaap rehne lagi hun.

pehle mein mehfilon mein raha karti thi,
ab akeli rehni lagi hun.

shaayri aur kavitaaon ka shokh nahi tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne lagi hun.

unse mulakat hone ke baad,
jaane kyun unke baare mein hi sochne lagi hun.

pehle mein doston ki nakal kiya karti thi,
ab aaine ke saamne unki nakal karne lagi hun.

zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne lagi hun.

sablog unka naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne lagi hun.

jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne lagi hun.

woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne lagi hun.

sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte the,
par ab yahi sawaal khud se puchne lagi hun.

bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne lagi hun.

ab to unka zikar hone par,
main to sharmane lagi hun.

pehle main mandir jaati thi bhagwan ke darshan karne,
par ab unke darshan ki duaa maangne lagi hun.

pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne lagi hun.

pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hun.

main apni khudki haalat pe hairan hun,
main aisi kyun hone lagi hun?
mujhe aisa lagta hai yaaron,
shaayad mein unse pyaar karne lagi hun..!!!!

~ROSHNI~

Superb Roshni..... tongue3
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #6 on: April 23, 2006, 12:25:24 PM »

Aaisa hai kya? :lol:
Logged
indian_groom
Guest
«Reply #7 on: April 23, 2006, 12:28:43 PM »
Reply with quote
tere ko aaj pata chala kiya
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #8 on: April 23, 2006, 12:40:49 PM »
Reply with quote
Roshu

Bahut he pyara likha hai tumne !  :D

Kahin kuch ho ta nahi gaya  :wink:

SD, Naveen, Gaurav aur Neer

Aap sab please Roshu ki hausla afzaai karein aur kuch likhen uske saath !

Rajbir
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #9 on: April 23, 2006, 01:13:06 PM »
Reply with quote
Quote from: "roshni246"
Pehle mein chain se soya karti thi,
ab raaton ko karvatein badalne lagi hun.

pehle mein sabse bahut baatein kiya karti thi,
ab chupchaap rehne lagi hun.

pehle mein mehfilon mein raha karti thi,
ab akeli rehni lagi hun.

shaayri aur kavitaaon ka shokh nahi tha mujhe,
par ab khud shaayri likhne lagi hun.

unse mulakat hone ke baad,
jaane kyun unke baare mein hi sochne lagi hun.

pehle mein doston ki nakal kiya karti thi,
ab aaine ke saamne unki nakal karne lagi hun.

zindagi ke safar mein akele chalte chalte achanak,
unke saath chalne ki khwayish karne lagi hun.

sablog unka naam le lekar mujhe pareshaan kiya karte the,
par ab yeh pareshaani bhi pasand karne lagi hun.

jo lamhe humne saath bitaye the,
woh lamhe ab roz yaad karne lagi hun.

woh mujhe jin baaton par hasaya karte the,
ab un baaton ko dohra dohra kar hasne lagi hun.

sab log mere khoye khoye rehne ki wajah puchte the,
par ab yahi sawaal khud se puchne lagi hun.

bhale hi woh mujhse door hain par,
har ghadi unki aahat mehsoos karne lagi hun.

ab to unka zikar hone par,
main to sharmane lagi hun.

pehle main mandir jaati thi bhagwan ke darshan karne,
par ab unke darshan ki duaa maangne lagi hun.

pehle woh mujhe begaane lagte the,
par ab unme woh apnapan mehsoos karne lagi hun.

pehle main pyaar ki baatein bilkul nahi samajhti thi,
par ab woh sab samjhne lagi hun.

main apni khudki haalat pe hairan hun,
main aisi kyun hone lagi hun?
mujhe aisa lagta hai yaaron,
shaayad mein unse pyaar karne lagi hun..!!!!

~ROSHNI~

Jaagta to tha pahle bhi mein raatein
abb tamaam ratein kuch likhne laga hoon

juftju to tere sang bahut ho jaati hai
parr tanhaion se bhi baatein karne laga hoon

kahan sunti thi mehfilein mere nagmein
abb sooni dewaaron se mehfil karne laga hoon

likhne seekhta tha mai zamane se
abb teri gazalon par mai kuch likhne laga hoon

tere deedar ka naseeb to nahi mila mujhe
parr tujhse judne kee raahein dhondna laga hoon

 soone jo kuch pade they mere ghar mein dhanchey
unko taraash kar mai tera roop dene laga hoon

kehtey hain jo logg badnaam hai ye muhabaat
main aaise logon ke touheen karne laga hoon

pehle jo chidata tha mai tumhein aauron ka naam lekar
abb tumahre naam se sabko pukarne laga hoon

chaltey they sath hum jinn rahoon parr
unmein se kuch ko mai hansraton mein chunn ne laga hoon

likhta tha jo gazlein tanhaion mein main
sabb teri awaaz mein sunn ney laga hoon

shehar bhar ne naam diya “bhataka kaheen khayalon mein”
abb bhataki rahoo.n par tera thekana dhondna laga hoon

chu to nahi sakta tha tujhe mai pahle
abb tere kayash se mai muhabaat karne laga hoon

naam na le zamana mera tera sath
mai inn tanoo se darne laga hoon

pooja to karta tha mai zamane waalii devi ki
abb khudgarz hokar tujhe poojne laga hoon

kuch ajeeb sa lagata tha daaman tera mujhko
abb tere dupatey mein muhabaat ki chaun paana laga hoon

miita deta tha mai log pyar jahan likhtey they
abb pyar paane kohar chourahe parr bikne laga hoon

hairiyat hai mujhe jo tu kuch kehti nahi
mai harr alfaz khul kar likhne laga hoon
pahle kehta tha tumse akele pann mein
abb sabke samne kehta hoon mai tumse Jee todd muhabaat karne laga hoon..!!!

~! neer !~
Logged
roshni246
Guest
«Reply #10 on: April 23, 2006, 01:33:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "nirbhay"

awesome nirbhay thxx 4 replying iska jwab hum zaroor denge !!!
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #11 on: April 23, 2006, 01:36:15 PM »
Reply with quote
wah wah..kya shayari hain..manna padega...
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #12 on: April 23, 2006, 01:45:18 PM »
Reply with quote
Neer

Superb ! Kya jawaab diya hai :D

Please keep it up in this mood only !

Rajbir
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #13 on: April 23, 2006, 01:48:11 PM »
Reply with quote
Cool hain zamana, duniya bana deewana.....
Logged
nirbhay
Guest
«Reply #14 on: April 23, 2006, 02:20:15 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Neer

Superb ! Kya jawaab diya hai :D

Please keep it up in this mood only !

Rajbir

Jo Koi itni muhabaat bhari shayarian Jabb likha karey
to fhir Neer ki reply wahan kyun nahi dikha karey :wink:

Thnx Dedo and BIG B!!
Logged
Pages: [1] 2 3 4 5
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 12:30:11 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer