shikwe hazaar huye~ Abhi

by AbhiTamrakar on March 16, 2011, 10:04:50 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1310 times)
AbhiTamrakar
Guest
Reply with quote
Bahut se log kehete he dil ke tootne ki wajah bas bewafai hoti he ...me keheta hun mohabbat karne se hi dil toot jaye to kya kahiyega...ishq ki khumari to paththar bhi pighla de dil to bas ek chhoti si cheez hai..
so is baar kuchh isi tarah ka likhne ki koshish ki hai...umeed hai aap sab ko pasand aayega.. 

Toota seene me rakha sheesha tootkar tukde hazaar huye
Har tukde par unka naam nikla to hamse duniya ko shikwe hazar huye

kisi ne kaha mohabbat badi zalim hai bas dard se jodti he
hame kya pata tha pata to tab chala teer jab dil ke paar huye

kahin nigahon ne gazal kahi kahin labo ne shayri keh di
tootkar ek ek shabda joda dil ne to ham shayar sare bazaar huye

haseen nigahe kabhi naaz to kabhi nakhra batorti hain
julfe to kayamat kya kehene kaha to tab bhi na gya ulajh ke jab barbaad huye

ek umra hi kahan kafi hai "Abhi" ki mohabbat ko samajh paun
samajh to wo bhi na sake jo isme parwaaz kai baar huye
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: March 16, 2011, 10:08:12 AM »
Reply with quote
Waah Waah Waah!!!!!

Bahut Bahut Khooob Abhi JI..

Lajawaab!!! har Ek A'shaar apni hisse ki kahani kehta hua..

bahut ache Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #2 on: March 16, 2011, 10:18:42 AM »
Reply with quote
shukriya khwaish bhaii...

yunhi sath dete rahiye~
Logged
jassaal123
Guest
«Reply #3 on: March 16, 2011, 11:16:08 AM »
Reply with quote
WO log jo jeenay ka sabaq daitay thay hum ko.
Wo log hi galyoon main kafan baich rahay hain,
Logged
Matrix Guy
Guest
«Reply #4 on: March 16, 2011, 12:44:24 PM »
Reply with quote
wat a tremendous presentation abhi........

maja aa gaya bhai........meaning ful poetry yaar.........

zabardast tarike se pesh kiya he........bahot khoob yaar........

kafi dino bad tuje pada he......dil ko jese ek tasalli mili...

Logged
KOYAL46
Guest
«Reply #5 on: March 16, 2011, 01:28:42 PM »
Reply with quote
Mastammm mast poem ek naye andaaj mai mubaarak ho Abhi..... Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Seene mai tune sheesha rakha
Dil ko fir kahaan chhupa rakha

Dil ko bacha k sheesha tudwaa diya
Nahak he naam unka badnaam kiya

Nigaho ki gazal,labo ki shayri
Churakar kya khaak shayar huye

Julfo me ulajh kar barbaad huye
Mohbaat me tum na-kaamyaab huye

Kisi naajneen k naajo-nakhare jab Uthaaoge
Tab mohbaat karne ki kuchh tips tum Paaoge


Bahut se log kehete he dil ke tootne ki wajah bas bewafai hoti he ...me keheta hun mohabbat karne se hi dil toot jaye to kya kahiyega...ishq ki khumari to paththar bhi pighla de dil to bas ek chhoti si cheez hai..
so is baar kuchh isi tarah ka likhne ki koshish ki hai...umeed hai aap sab ko pasand aayega..  

Toota seene me rakha sheesha tootkar tukde hazaar huye
Har tukde par unka naam nikla to hamse duniya ko shikwe hazar huye

kisi ne kaha mohabbat badi zalim hai bas dard se jodti he
hame kya pata tha pata to tab chala teer jab dil ke paar huye

kahin nigahon ne gazal kahi kahin labo ne shayri keh di
tootkar ek ek shabda joda dil ne to ham shayar sare bazaar huye

haseen nigahe kabhi naaz to kabhi nakhra batorti hain
julfe to kayamat kya kehene kaha to tab bhi na gya ulajh ke jab barbaad huye

ek umra hi kahan kafi hai "Abhi" ki mohabbat ko samajh paun
samajh to wo bhi na sake jo isme parwaaz kai baar huye
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #6 on: March 16, 2011, 04:54:05 PM »
Reply with quote
Bahut khoob abhi n nice reply koyal,,,
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #7 on: March 16, 2011, 05:07:06 PM »
Reply with quote

Toota seene me rakha sheesha tootkar tukde hazaar huye
Har tukde par unka naam nikla to hamse duniya ko shikwe hazar huye

kisi ne kaha mohabbat badi zalim hai bas dard se jodti he
hame kya pata tha pata to tab chala teer jab dil ke paar huye

kahin nigahon ne gazal kahi kahin labo ne shayri keh di
tootkar ek ek shabda joda dil ne to ham shayar sare bazaar huye

haseen nigahe kabhi naaz to kabhi nakhra batorti hain
julfe to kayamat kya kehene kaha to tab bhi na gya ulajh ke jab barbaad huye

ek umra hi kahan kafi hai "Abhi" ki mohabbat ko samajh paun
samajh to wo bhi na sake jo isme parwaaz kai baar huye

Bahut khoob ..... Abhi Ji !

khoobsurat ehsaas .... dil se daad !
Logged
manzil-e-ishq
Guest
«Reply #8 on: March 17, 2011, 10:32:06 AM »
Reply with quote
kya kahne abhi ji...
bht bht khoob.....
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #9 on: March 18, 2011, 06:30:33 AM »
Reply with quote
WO log jo jeenay ka sabaq daitay thay hum ko.
Wo log hi galyoon main kafan baich rahay hain,


bahut achhe khyal rakhte he aap jassal ji..

badhaii~ or shukriya bhi qubool kijiye
Logged
AbhiTamrakar
Guest
«Reply #10 on: March 18, 2011, 06:33:57 AM »
Reply with quote
wat a tremendous presentation abhi........

maja aa gaya bhai........meaning ful poetry yaar.........

zabardast tarike se pesh kiya he........bahot khoob yaar........

kafi dino bad tuje pada he......dil ko jese ek tasalli mili...


hmm tera matlab ab tak me menaning less likhta tha....good..

hehhee..

Mastammm mast poem ek naye andaaj mai mubaarak ho Abhi..... Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Seene mai tune sheesha rakha
Dil ko fir kahaan chhupa rakha

Dil ko bacha k sheesha tudwaa diya
Nahak he naam unka badnaam kiya

Nigaho ki gazal,labo ki shayri
Churakar kya khaak shayar huye

Julfo me ulajh kar barbaad huye
Mohbaat me tum na-kaamyaab huye

Kisi naajneen k naajo-nakhare jab Uthaaoge
Tab mohbaat karne ki kuchh tips tum Paaoge


bahut badhiya koyaliya ..achha likha hai...

dher saari daad~

kya kahne abhi ji...
bht bht khoob.....
oyee priya ji apni deal hui thi "ji " na kehen ki me thode din gaya kya aap bhool gaye ~

khair shukriya sath rahiye~

Bahut khoob abhi n nice reply koyal,,,

thnx geet di yunhi sath rahiyega..~
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:40:10 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.145 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer