- Shukriya Tera Bohot -

by Meena is back on June 08, 2006, 04:45:46 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 5134 times)
Meena is back
Guest
Reply with quote
ek koshish hai is poem me meri, ek ladki ke khayal uske mehboob ke liye hote hai, woh pesh karne ke liye!

Shukriya tera bohot, mere meheboob, meri zindagi me ane ke liye,
Apne beshumar pyar ko mere is viran jeevan pe barsane ke liye,

Toote armano ke tukde ankhon me liye jeeya karte te kabhi,
Tum aye ho meri zindagi me, naye sapne sajane ke liye,

Chal pade hai zindagi ki  raha par tere pyar ki baisaki ke sath,
Jab haath tumne mera pakda, mujhe manzil tak pohonchane ke liye,

Galon se girte in pani ki bondon ko tama hai tumne,
Aur piroya hai unhe apne pyar me, meri muskurahat banane ke lyie,

Mera har dard samjha, meri har majboori ko apnaya tumne,
Kaun karta hai is duniya me itna kuch kisi begane ke liye,

Kaise ada karenge hum tere pyar ka karz hum,
Humare pas to kuch nahin tum pe lutane ke liye,

Par pyar bohot hai tumse, kaise ehesas dilaye tujhe,
Ke likh baithe yeh ghazal woh baat tujhe sunane ke liye!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Shukriya by sonalxoxo in Shayri-E-Dard
~*~E-Zindgi tera shukriya~*~ by kaushikbhawna008 in Shairi - E - Zindagi
***Tera Shukriya*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
shukriya tera ey gam ,ki muje mushkiliyome hosla badhana shikhaya by jyuthika in Share Poetry You Like
Rajbir
Guest
«Reply #1 on: June 08, 2006, 05:40:56 PM »
Reply with quote
Meena

Subhan-Allah kya khoobsurat ghazal likhi hai !

Sach mein mazaa aa gaya padh kar  =D> =D> =D> =D> =D>

One of your best work in recent times  :D

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #2 on: June 08, 2006, 06:43:02 PM »
Reply with quote
bahut khub Meena ........bahut hi sundar........ :D
Logged
redwhitegang
Guest
«Reply #3 on: June 08, 2006, 06:49:38 PM »
Reply with quote
Quote from: "Meena is back"
ek koshish hai is poem me meri, ek ladki ke khayal uske mehboob ke liye hote hai, woh pesh karne ke liye!

Shukriya tera bohot, mere meheboob, meri zindagi me ane ke liye,
Apne beshumar pyar ko mere is viran jeevan pe barsane ke liye,

Toote armano ke tukde ankhon me liye jeeya karte te kabhi,
Tum aye ho meri zindagi me, naye sapne sajane ke liye,

Chal pade hai zindagi ki  raha par tere pyar ki baisaki ke sath,
Jab haath tumne mera pakda, mujhe manzil tak pohonchane ke liye,

Galon se girte in pani ki bondon ko tama hai tumne,
Aur piroya hai unhe apne pyar me, meri muskurahat banane ke lyie,

Mera har dard samjha, meri har majboori ko apnaya tumne,
Kaun karta hai is duniya me itna kuch kisi begane ke liye,

Kaise ada karenge hum tere pyar ka karz hum,
Humare pas to kuch nahin tum pe lutane ke liye,

Par pyar bohot hai tumse, kaise ehesas dilaye tujhe,
Ke likh baithe yeh ghazal woh baat tujhe sunane ke liye!


masa allah!!!!!!!!!!!!!! kya likha hain aapne meena ji!

har ek line dil ko chuti hain par yeh line to dil ko aar paar kar gaya
"Mera har dard samjha, meri har majboori ko apnaya tumne,
Kaun karta hai is duniya me itna kuch kisi begane ke liye"
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 09, 2006, 03:00:52 AM »
Reply with quote
Meena ek koshish meri bhi............ Usual Smile

aaj hamne apni mohabbat ka izhaar yun kiya
apni baat gazal mein keh ke iska iqarar yun kiya

milne laga hai jab se unke khayalo.n se mere khayalo.n ka silsaila
hamne unke kahwabo mein ja ke payar bahut unse kiya

har khushi har gum mein jab paaya unhe apne saath-saath
toh jindagi ki dor unke haatho mein thamane ka faisala hamne kiya

jab se aaye hain woh meri jindagi mein,toh mehakne lage hain gulab
hamne bhi unki jindagi ko apne payar se mehakana hai, yeh taye kar liya
Logged
nikki
Guest
«Reply #5 on: June 09, 2006, 08:40:05 AM »
Reply with quote
too good Meena sis n Ranjana ji...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #6 on: June 09, 2006, 09:20:08 AM »
Reply with quote
shukriya Nikki dear............ Usual Smile
Logged
Rajbir
Guest
«Reply #7 on: June 09, 2006, 12:28:58 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
jab se aaye hain woh meri jindagi mein,toh mehakne lage hain gulab
hamne bhi unki jindagi ko apne payar se mehakana hai, yeh taye kar liya

Ranju

Yeh konse Rose garden ka address hai jahan gulab mehekne lage hain :D

Bahut Khoob =D> =D> =D>

Rajbir
Logged
ranjana
Guest
«Reply #8 on: June 09, 2006, 12:33:26 PM »
Reply with quote
Quote from: "Rajbir"
Quote from: "ranjana"
jab se aaye hain woh meri jindagi mein,toh mehakne lage hain gulab
hamne bhi unki jindagi ko apne payar se mehakana hai, yeh taye kar liya

Ranju

Yeh konse Rose garden ka address hai jahan gulab mehekne lage hain :D

Bahut Khoob =D> =D> =D>

Rajbir




Uffffff............ :D aap ko yeh jagah nahi pata hai Huh??.......  Usual Smile

waise sukriya............... :oops:
Logged
HumTum is back
Guest
«Reply #9 on: June 09, 2006, 02:34:43 PM »
Reply with quote
Meena –JI…

“Ho behtreen jo teri julfooN se who badal kha se lau
Jo kare byaaN tere hunar ko who Gazal kha se lau”

Bahut hi behtreen Gazal likhi hai aap ne … ab hamare paas alfaaz nhi hai jo iss Gazal ka jawab de sake…. Lekin phie bhi ek khohish jaroor karenge !!!


Mere dil ke ashiyaaNe mein ik tera hi basera hai
Shab ka meri chand hai tu, tu hi mera sawera hai

Dewana hoon tera, tu hai meri ashiqi ka hasiil
Tu hai to roshni hai sanam, tere bina andera hai

Honge aur bhi ahsiq duniya mein hazaroN, magar
Jaan-e-mun sabse alag ashiqi ka andaaz mera hai

Tere jalwooN ko mein samjhta hoon tajalli goya
Jha jha bhi teri parchai hai wahi mera dera hai

Zikr tera hi hota hai meri har Gazal mein janam
Teri chahtooN ke chakkar ne mujhko gehra hai

Tere liye hi aaya hoon iss jahaaN mein sanam
Itna jaan le “Meena”, “HumTum” sirf tera hai !!!

[/color]
Logged
ranjana
Guest
«Reply #10 on: June 10, 2006, 04:02:11 AM »
Reply with quote
very nice Humtum ji..........bahut khub ......... Usual Smile
Logged
nikki
Guest
«Reply #11 on: June 10, 2006, 09:03:51 PM »
Reply with quote
Quote from: "HumTum is back"
Meena –JI…

“Ho behtreen jo teri julfooN se who badal kha se lau
Jo kare byaaN tere hunar ko who Gazal kha se lau”

Bahut hi behtreen Gazal likhi hai aap ne … ab hamare paas alfaaz nhi hai jo iss Gazal ka jawab de sake…. Lekin phie bhi ek khohish jaroor karenge !!!


Mere dil ke ashiyaaNe mein ik tera hi basera hai
Shab ka meri chand hai tu, tu hi mera sawera hai

Dewana hoon tera, tu hai meri ashiqi ka hasiil
Tu hai to roshni hai sanam, tere bina andera hai

Honge aur bhi ahsiq duniya mein hazaroN, magar
Jaan-e-mun sabse alag ashiqi ka andaaz mera hai

Tere jalwooN ko mein samjhta hoon tajalli goya
Jha jha bhi teri parchai hai wahi mera dera hai

Zikr tera hi hota hai meri har Gazal mein janam
Teri chahtooN ke chakkar ne mujhko gehra hai

Tere liye hi aaya hoon iss jahaaN mein sanam
Itna jaan le “Meena”, “HumTum” sirf tera hai !!!

[/color]


wowww too good Humtum ji...baat pakki ho gayi ho to badhayi hoo, badhayi hoo :wink:  :lol:
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #12 on: June 12, 2006, 06:15:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khub Meena ........bahut hi sundar........ :D


shukriya ji shukriya!  :D

bohot acha aur pyara likha apne!!

woh aye hai humari zindagi me bahar ban ke,
gulshan ke bich aab ghar hai mera,
humne kar di apni zidnagi unke hawale,
woh bhi to aab sirf hai mera!
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #13 on: June 12, 2006, 06:16:45 PM »
Reply with quote
Quote from: "redwhitegang"


masa allah!!!!!!!!!!!!!! kya likha hain aapne meena ji!

har ek line dil ko chuti hain par yeh line to dil ko aar paar kar gaya
"Mera har dard samjha, meri har majboori ko apnaya tumne,
Kaun karta hai is duniya me itna kuch kisi begane ke liye"


shukriya ji shukriya!! :D
Logged
Meena is back
Guest
«Reply #14 on: June 12, 2006, 06:21:47 PM »
Reply with quote
shukriya nikkid kuddhiye!!  :D
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 12:16:03 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer