soch.............

by ranjana on May 06, 2006, 03:28:53 AM
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Author  (Read 2532 times)
mrkotians
Guest
«Reply #15 on: May 11, 2006, 08:15:56 AM »
Reply with quote
very good one ranjana...

teri aagaman aisi lagti hain
ke aasmaan mein baadal hoti hain

teri baatein aisi lagti hain
ke barsaat shuru hoti hain

teri nirgaman aisi lagti hain
ke barsaat rukh jaati hain

us ke baad...
us yaadein kuch aisi rehti hain
ke jaise baarish ke baad bhi ped se boonde girti hain...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #16 on: May 11, 2006, 08:22:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "mrkotians"
very good one ranjana...

teri aagaman aisi lagti hain
ke aasmaan mein baadal hoti hain

teri baatein aisi lagti hain
ke barsaat shuru hoti hain

teri nirgaman aisi lagti hain
ke barsaat rukh jaati hain

us ke baad...
us yaadein kuch aisi rehti hain
ke jaise baarish ke baad bhi ped se boonde girti hain...


bahut khub MK JI .......bahut  aacha likhte hai aap................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #17 on: May 11, 2006, 08:28:23 AM »
Reply with quote
dekhiye barish per maine bhi kabhi kuch likha tha , aapko kaisa lagata hai .....dekhe .........

sawan ki pahle foohaaren aur tum
chalati yah thandi hawaey aur tum....
dono jaise tan man ko bheego jaate hain....
ek meethi si chubhan aur ek thandak si dil ko de jate hain....

par  jasie barish apne jaane ke baad nami chor jati hai.
ussi taraha  tum apni baahon mein samat kar .........
apne hone ka ehasas de kar..........
meri aankho mein nami de jate ho...........
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #18 on: May 11, 2006, 08:37:41 AM »
Reply with quote
:D  :D bahut hi khoobsoorat....

janm janmon ki anubandh hain
hriday hridayon ke premanubandh hain

jaise ananth prakruthi ki nazaakat
jaise lavanyavathiyon ki shararat
jaise ganga aur jamuna ke sangam...

janm...
Logged
ranjana
Guest
«Reply #19 on: May 12, 2006, 12:53:02 AM »
Reply with quote
aaj mast pawan bhi cher gayi aanchal mera
man bhi toh ho utha hai chanchal mera
tum aaye toh pawan kah rahi hai kuch  hans ke
par dil puchta hai ki tum gaye kahan they is man mein bas ke............
Logged
mrkotians
Guest
«Reply #20 on: May 12, 2006, 01:20:40 AM »
Reply with quote
hmmm.. good ... good.. ranjana...

thand pawan ke jaise main jhoolte aayi
tujhse preet se milne ke liye
o jaanam... o jaanam...
aaja tu bhi mujh se milne...

tumhe kahin bhi dekh na paye... aur
yeh jaan tumhe bulaate jaye...
akelapan main mehsus kiya
kyon tu aise door chale gaya...

kyon aise darrte ho aur
kise dhoond rahi ho, dekho
in aankhon mein jhank kar
teri hi pratibimb hain,
khud ko dekh lo mujh mein...

thand pawan ke jaise
Logged
ranjana
Guest
«Reply #21 on: May 12, 2006, 03:50:09 AM »
Reply with quote
pyar ki maye pee kar bahke yah dil mera
teri chahat ke rango se sajne laga haiab tan mera
mehaki hui si hai pawan sajan ab toh aa jao
aas lagaye bethi hun sajan ab toh jahalk dikha jao
Logged
bhavin rathod
Guest
«Reply #22 on: July 30, 2009, 10:00:11 AM »
Reply with quote
kabhee-kabhee main sochti hoon ki,

main jo kavitaa likhti hoon,

kya tum ise padhte bhi hoge?

jitna yaad main tumhe karti hoon,

kya utna yaad tum bhi mujhe karte hoge?

inme chhipe mere bhavo ko,

kya tum bhi samjh paate hoge,?

kya inhe pad kar koi bhav tumhare dil main bhi aata hoga,?

kya us samaye tumhara dil mujhe apni baahon main,

lene ko machal jata hoga..............?

mein aksar apni kalpana main,

tumhe inhe padta paati hoon,

kabhi muskrahat,kabhi pyaar, kabhee soch ke bhav

tumhare chehre par dekh aati hoon,

aur tumhare yahi bhav jaise mere dil ko pulkit kar jate hain,

mere ander chipe bhavon ko ,pyar ko ek nayi,

kavitaa ka rup de jate hain.......

tum tak meri baat pahuchane ka .

ek sandesh ban jate hain.......


------------
ranjana
waah mujhe tumhari kavita bahot pasand aayi . in me sach me me tumhe bahot yaad karta hu .
Logged
bhavin rathod
Guest
«Reply #23 on: July 30, 2009, 10:02:19 AM »
Reply with quote
waah mujhe tumhari kavita bahot pasand aayi . in me sach me me tumhe bahot yaad karta hu .
me tum se baat karna chahta hu . kya tumhara koi e-id he to mujhe pls send kar dena ok .
mera id he - bhavin.rrthd@yahoo.in
Logged
omprakash suthar
Guest
«Reply #24 on: August 01, 2009, 08:35:01 AM »
Reply with quote
RANJNA JI AAPKI YE KAVITA DIL KE HAR AHSAS KO JAGA DENE WALI H .TARIF KARNA CHAHTA HU PAR SABD NAHI MIL RAHE.
VERY GOOD POST.
OMPRAKASH
9928833018
Logged
roy
Guest
«Reply #25 on: June 01, 2012, 04:53:08 PM »
Reply with quote
Applause Applause  Applause  Applause  Applause  Applause
Logged
Pages: 1 [2]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 03:37:33 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8510 Real Poets and poetry admirer