Some Shers Of my Choice

by lamhay_terbin on July 06, 2005, 11:23:39 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 920 times)
lamhay_terbin
Guest
Reply with quote
Paas rehta hai......door rehta hai..
Koi Dil mein..... zaroor rehta hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Baithey Baithey Ghabraaey Hum
Jaaney Kissey Yaad Aaiey Hum

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Soch ke hum ne Jaan de di
Mayyat pe meri "Woh" aaey gaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh  ko    mehsoos  hua  hai  aksar
' Toou ' Mujhey dekh raha ho jaisey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Pehli  si   ab  Milaap ki  soorat  nahin  rahi
Aik doosrey ki Hum ko zuroorat nahin rahi

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

" Uss" sey Aik baar tou roothoon Mein, Ussi ki tarha
Aur Meri tarha sey " Woh " Mujh ko manaaney Aey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hur  lafz  kitaabon   mein  Tera  Aks  liyey  hai
Aik phool sa Chehra Mujhey parhney nahin deta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey   Khuda,   Mujhey   itna    tou   Mo'tabar    kar   dey
Mein jiss ' Makaan ' mein rehta hoon, uss ko ' Ghar' kar dey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Agar   talaash  karoon,  koi  mil   hi    jaaey  gaa
Magar Tumhaari tarah kaun Mujh ko chaahey gaa

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik cheez Qayamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tujhey dekh ke Hum ne Maana, Woh theek kaha kartey thay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ruka hua hai ajab Dhoop chhaa'on ka Mausum
guzar raha hai  koi  dil  sey  Baadalon  ki  tarah

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein nay dushman ko bhi ahsaas-e-mohabbat bakhsha
Merey  apney  Mujhay Nafrat ki saza  daitay  hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ab  Dil  ko  Intezaar  ki   Aadat si  hogaee
Yeh haal kardiya hai, Terey intezaar nay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Na beeti thi kabhi jiss ki Chaand raat, Uss ki.....
Suhaag  Raat  Humaarey  baghair  Beet  gai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein kya kaam jalney waalon ka

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sab kuch Khuda sey maang liya Tujh ko Maang kar
Uth'tay  nahin hain haath Merey, Iss Dua ke baad

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

' Woh' jinn ki khaatir, Hum ne saari sarhadein toreen
Unhi ne Aaj kaha hai ke apni   " Had "  mein  raho

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hai Dil ko yaqeen, aaein gey woh laut ke aik Roz
Jaisey woh koi cheez yahaan bhool gaey hon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yoon hee bhar aaey Aankh mein Aansoo
Jaai'yay Aap..............    koi baat Nahin

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Toofaan  kar   raha  tha  Merey  Azm  ka  tawaaf
Duniya samajh rahi thi ke, Kashti bhanwar mein hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Poocha Kuch iss tarah sey, USS ne Mera Mezaaj
Kehna para ke,  " Shukr hai, Parwardigaar ka "

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab bhi aata hai Tera naam, Merey naam ke saath
Jaaney kiyon laug "Merey" Naam sey jal jaatey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Doobna hi tha jo Kashti ka Muqaddar, Ya Rub
Aankh ke saamney, Aey Kaash, Na Saahil hota

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Manzil safar mein thi, qadam faaslon mein tha
Mein door tha zaroor, Magar Raaston mein tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujhey Yaqeen tou nahin magar Yahi sach hai
Mein terey waastey Umrein guzaar sakta hoon

Yahi nahin ke tujhey jeetney ki khawaahish hai
Mein terey waastey khud ko bhi haar sakta hoon

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dua ke liyey Haath kab uthaana tha.................
woh tou moonh chhupaaney ka aik bahaana tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Liptay kabhi Shaanon'n sey kabhi Zulf sey uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Jab tak bikey na thay Hum, koi poochta na tha
Toou ne Khareed ke Humein Anmol kar diya

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein khud pehel karoon yaa UDHER se ho Ibteda
Barson guzar gaey hain yahi sohtey huey.......

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Khaamosh tum thay aur merey Hont bhi bund
Phir itni dair kaun tha jo bolta raha Huh?Huh?

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Uss waqt Intezaar ka Aalum na poochiyay
Jab koi baar baar kahey," Aa raha hoon mein "

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Badla wafa ka dein gey bari Saadgi se Hum
Tum "Hum " se rooth jaao gey aur Zindagi se Hum

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Seeney se merey Zeher utarney nahin detey
Zinda rahein woh loug jo marney nahin detey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Be-Aetebaar waqt pe Jhunjla ke ro parey
Kho ke kabhi ussey tou kabhi Paa ke ro parey
Kab tak kissi ke soug mein rouein gey umer bhur
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey Daamun mein tou kaanton ke siwa kuch bhi nahin
Aap   Phoolon   ke  kharidaar   nazar   aatey    hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kaanton se mohabbat kartey hain , Kirdaar tu dekho phoolon ka
Zakhmon se kaleja phut jaaey par saath Nibhaana parta hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Badla na Merey baad bhi mauzoo-e-Guftugoo
Mein ja chuka hoon, Phir bhi Teri Mehfilon mein hoon

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ahsaas kaa andaaz badal jaata hai ,Warna
aanchal bhi ussi taar se banta hai, kafan bhi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum subah paraston ki yeh reet puraani hai
Haathon mein qalam rakhna yaa haath qalam rakhna

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

yahaan kisi ko bhi kuch hasb-e-aarzoo na mila
kisi ko hum na miley aur hum ko toou na milaa

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ulfat tou hai aakhir " Unn " ko bhi, Meri na sahi... Dusman ki sahi
Mujh sey na sahi, dusman sey sahi, "woh" bhi tou mohabbat kartey hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shaam hotey hi charaaghon ko bujha detaa hoon
Yeh dil hi kaafi hai teri yaad mein jalney ke liye

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Saara Shehar uss ke "Janaazey" mein tha shareek
"Tanhaaiyon" ke khauf se jo shakhs mar gaya

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Acha Khaasa baithey baithey "Gum" Ho jaata hoon
Ab Mein aksar "Mein" nahin rehta, "Tum" ho Jaata hoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Apni Zaat ke mehwar mein tujhey Zum kar loon
Ibaadaton mein tera Ishq bhi raqam kar loon
Terey Ashkon se ho agar "Wazoo" na-mumkin
Mein terey Jissm Ki Matti se "Tayamum" kar loon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shab-e-Wisaal mein roshan charaagh gul kar do
Khushi ki buzm mein, kya kaam jalney waalon ka

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Uss ke haathon mein Gulaabon ki Mehek hai shayed
Uss  ke  chhooney  sey  hua  hai  Gulaabi  Kaghaz

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aana jo meri Qabar pe, "Ghairon" ko na laana
" Murdey " Ko musalmaan Jalaaya nahin kartey

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shumm'a Jalti hai , Parwaaney chaley Aatey hain
Sar ke Bul ISHQ ke Deewaaney chaley aatey hain
Ab tu Aajaao meri jaan, ke Janaaza uthney ko hai
Loug tu ghairon ko bhi dafnaaney chaley aatey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mujh ko paana hai tou phir Mujh mein utar kar dekho
Yoon  Kinaarey  sey  Samandar  nahin dekha  jaata

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta poochoon
Jaaney kiyon laug Terey ghar ka pata detey hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Zakhmi Huey Jo Hont Tu Mehsoos Yeh Hua
Chooma Tha Mein Ne Phool Ko Deewangi ke Saath

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein aik Aansoo hi sahi, hoon buhut Anmol magar
Yoon na Palkon sey gira kar Mujhey matti mein mila

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Sab ke honton pe tabassum tha merey Qatal key baad
Jaaney kiya soch ke rota raha Qatil Mera

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ "Idher" Zindagi Ka Janaaza Uthey Gaa
"Udher" Zindagi Unn ki Dulhan Buney gee

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Jaaney Uss shakhs ko kaisa yeh hunar aata hai
Raat hoti hai tou, aankhon mein utar aata hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Meri Takmeel mein Hissa hai Tumhara bhi buhut
Mein agar Tum sey na milta tou Adhoora rehta

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

"Toou"badalta hai tu be-saakhta meri Aankhein
Apney Haathon ki Lakeeron mein ulajh jaati hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Waada "Woh" kur gaiey hain ke "Aain gey Khawaab mein
Maarey khushi ke neend naa aiey tu kiya karoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Merey Mehboob , iss qadar Mein tujh se Pyar karoon
"Toou" agar jhoot bhi boley tu Aitebaar karoon

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shaakh se kutney ka ghum , unn ko buhut tha
Phool majboor thay, hanstey rahey Guldaanon mein

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Ander lagi thi Aag magar be-khabar thay Log
Jultey huey Makaan ke bahar Dhooaan na Tha...

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

~ Woh Ashk bun ke Meri Chashm-e-Tur mein rehta hai
Ajeeb shakhs hai... Paani ke Ghur mein rehta hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Liptay kabhi Shaano'n sey,  kabhi Zulf sey uljhay
Kiyon dhoond'ta rehta hai sahaarey Tera aanchal

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tera saath hai tou mujhey kiya kumi hai
Andhairon se bhi mil rahi ROSHNI hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik cheez Qayaamat bhi hai, Laugon sey suna kartey thay
Tumhein dekh ke Mein ne maana, woh theek kaha kartey thay

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Ya khuda log banaaye thay agar pathar kay
Meray ahsaas ko sheesha na banaya hota

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kal Dhoop kay Mailey say khareedey thay khiloney
Aik mom (wax) ka putla tha jo Ghur tak nahin pohancha

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Yeh Fakhar tou haasil hai, Burey hain ke bhaley hain
Do chaar Qadam Hum bhi, Terey saath chaley hain

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

kabhi kabhie Woh humain Be-sabab bhi milta hai
asar hua nahin Uss per abhi zamaaney ka

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Chehrey  ka   nisf hissa,  Zair -e- Naqaab  kur  ke
Kartey hain Husn waaley , Deedaar mein milaawat

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kabhi kabhi tou chhalak parti hain yoonhi be-sabab aankhein
Udaas      honey      ka     koi    sabab     nahin      hota
Mein  Waledain  ko  yeh  baat  kaisey  samjhaaoon
Mohabbaton mein " Hasab Nasab " nahin  hota

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik Muddat se meri "Maan" nahin Soi Tabish
Mein Ne Aik baar kaha tha mujhey "Darr" lagta hai

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Haath  Uss   ke  bhi  huey  hon  gey  yaqeenun  Zakhmi
Jiss ne Kaantey Meri Raahon mein bich'haaey hongey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aik Deewaana yeh kehtey huey hansta jaata
Kaash Manzil sey bhi Aagey koi Rusta jaata

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dhoondta phirtaa hoon Mein logon mein shabahat uss ki
ke woh Khawaabon mein bhi lagti hai Khayaalon jaisi

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum " Aah" bhi kartey hain tou, ho jaatey hain Bud-naam
Woh  Qatal  bhi  kartey  hain tou,  Churcha  nahin   hota

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tumharey Lums ki khushboo sey toot jaoon gee
Qareeb aa ke bhi,  thora  sa  faasla  rakhna

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kaisey keh doon ke Mulaqaat nahin hoti hai
miltey rehtay hain magar baat nahin hoti hai

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Iss shart pe khailoon gee Piya, Pyaar ki baazi
Jeetoon tu tujhey paaoon, Harron tu Piya teri

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

woh Shakhs meri Laash pe aaya, Na ro saka
Uss ko merey sukoon ka kitna khayaal tha

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Tehni  sey  aik  phool   ki  Patti  bhi  jab  giri
Unn ke Qadam ki chaap ka dhoka hua Mujhey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Aaney ka waada moonh se tu Unn ke nikal gaya
poochi jagah jo mein ne, kaha hans ke, "Khawaab mein"

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh Khush-jamaal Jab bhi Tasawwur mein Aa gaya
Aanchal ko Sar pe rakh diya, Hum ne Haiya ke saath

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Gumaa'n na kar ke Mujhey Jurrat-e-Sawaal nahin
Faqat yeh darr hai Tujhey Lajawaab kar doon ga

~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Apni Qismat se yeh Gila hai mujhey
Toou buhut dair se mila hai mujhey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Mein kissi Sheher mein jab bhi koi Rusta poochoon
Jaaney kiyon, loug Terey ghar ka pata detey hain

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Shumaar uss ki sakhaawat ka kiya karoon ke woh shakhs
Charaagh baant'ta phirta hai Chheen kar Aankhein

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Woh Phool tha tou Roz Mehekta tha Khawaab Mein
Khushboo bana tou taiz Hawa mein Bikhar gaya

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Kab tak kissi ke Soug mein Roain gey baith kar
Hum khud ko kitni baar yeh samjha ke ro parey

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Suna hai Haath mein Taqdeer hua karti hai
Kal yoonhi haath pe aik naam likha dair talak

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Hum se aik baar bhi jeeta hai, naa jeetey ga koi
Woh tu hum jaan ke kha letey hain Maatein aksar

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Neendain meri Aankhon se churaata hai wohi shakhs
So jaaoon tou khawaabon mein bhi aata hai wohi shakhs
Hur zakhm ka khaaliq bhi koi aur nahin hai.............
hur zakhm pe marhum bhi lagaata hai wohi shakhs

*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*

Dekhi hai uss ki Aankh mein pehli dafah Numi
Yoon lag raha jaisey Samander udaas hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
few shers by neha17 in Shayri for Dard -e- Judai
Post small Shers... ...or Gadhe.Kutte,Billiyan here....... by prempagla in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2  All »
Small Romantic Shers.............. by prempagla in Shayri for Khumar -e- Ishq
**** Funny Shers, Have A Look On It **** by Devdas_online in SMS , mobile & JOKES
Some Shers Of my Choice by lamhay_terbin in Shairi - E - Zindagi
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 25, 2025, 12:57:41 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.114 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer