~*~*~ SUHAAG RAAT ~*~*~

by _Vicky_ on April 12, 2006, 11:37:06 AM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 49691 times)
_Vicky_
Guest
«Reply #180 on: July 20, 2006, 10:50:13 AM »
Reply with quote
RANJANA behad khubsoorat likha hai aapne....

Mann me aata hai, ki main tujhe kuch jaroor likhun,
tu mujhe dil me basa le, sirf yeh do alfaaz likhun.....

bikhre-uljhi zulfon se khelne ki khwaish ek yahi meri,
jhuk kar uthi kayamat-e-nazar pe teri aur kya likhun......

dekha hai jo bahaar ka sapna, wo tu hi to hai sanam,
ab intzaar hai ikraar ka, izhaar pe tere main kya likhun.......

kangan-payal-bindiya bekaraar hain tujhe choomne ko,
gahano ki yeh badan se tere milan ki khwaish kya likhun........

jeene ka koi samaan kar de, itna mujhpe ehasaan kar de,
tere bagair ab mushkil hai jeena, isse jyada aur kya likhun.........

mann me aata hai, ki main tujhe kuch jaroor likhun,
tu mujhe dil me basa le, sirf yeh do alfaaz likhun................!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Who ik raat thi by muneeb in Shayri-E-Dard
~~~SUHAAG RAAT~~~ by anand_modani in SMS , mobile & JOKES
Romantic Raat, {Wo Raat Bhi Kya Thi},. by Azeem Azaad in Shayri for Khumar -e- Ishq
SUHAAG ki raat…!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
Taish- SUHAAG ki raat...!! by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
ranjana
Guest
«Reply #181 on: July 20, 2006, 11:16:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
RANJANA behad khubsoorat likha hai aapne....

Mann me aata hai, ki main tujhe kuch jaroor likhun,
tu mujhe dil me basa le, sirf yeh do alfaaz likhun.....

bikhre-uljhi zulfon se khelne ki khwaish ek yahi meri,
jhuk kar uthi kayamat-e-nazar pe teri aur kya likhun......

dekha hai jo bahaar ka sapna, wo tu hi to hai sanam,
ab intzaar hai ikraar ka, izhaar pe tere main kya likhun.......

kangan-payal-bindiya bekaraar hain tujhe choomne ko,
gahano ki yeh badan se tere milan ki khwaish kya likhun........

jeene ko koi samaan kar de, itna mujhpe ehasaan kar de,
tere bagair ab mushkil hai jeena, isse jyada aur kya likhun.........

mann me aata hai, ki main tujhe kuch jaroor likhun,
tu mujhe dil me basa le, sirf yeh do alfaaz likhun................!


its wonderful VIcky ...........ek ek line dil ko chhoo gayi ....bahut khoob...


tere yeh do lafaz mujh per kayamat dha jaayenge
mere dil ki lagi ko aur bada ke tadpa jaayenge


tum jo kabhi suljhana chahoge meri julpho ko
toh yeh aur uljh ke  aur bhi tujhe satayenge

khanaki jab meri payal ,kangana aur chamakgi bindiya
toh yeh tere dil ko aur bhi tarsa ke bebas  sa kar jaayenge

hum toh khud jeete hain tere hi sapane liye aanko mein
khuda jaane hamare  yeh milne ke pal kab aayenge


yun na bharo tum aaho ko apni beqarari mein  is tarah
ki yeh tere do lafz hame aur bhi tera diwaana bana jaayenge
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #182 on: July 21, 2006, 10:28:20 AM »
Reply with quote
RANJANA... !!!!!... ab kya kahun main.. wah wah bhi kam pad jayegi iski tareef ke liye.. behad khubsoorat likha hai aapne......

Aadhi raat ko unka mohabbat bhara khat aaya hai,
main aaj nahi aa sakti, yeh paigaam bhijwaya hai.....

khat ko unke choomta raha main subah hone tak,
unke likhe har alfaaz pe mujhe behad pyaar aaya hai.....

gulaabi us kaagaz ne yaad dila di mahakte badan ki,
sanam shayad aaj, gulaabo se mere liye nahaya hai.....

payal chankaati aayegi wo aaj raat mere khwabon me,
isi wade ke sath khat pe labon ka laal nishaan aaya hai......

bechaini-bekaraari bada degi, pichli raat ki yaad humari,
yahi soch sanam ne mere, shayad is kadar tadpaya hai.....

aadhi raat ko unka mohabbat bhara khat aaya hai,
main aaj aa nahi sakti, yeh paigaam bhijwaya hai.................!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #183 on: July 21, 2006, 06:49:09 PM »
Reply with quote
wah!!!!......amazing......bahut khubsurat likha hai..........

abhi hosh mein na laao ki abhi raat baaki hai
abhi toh behake hain sirf jajbaat abhi rooho ka ehasas  baki hai

isqe ki lou abhi jal ke bujhi hai bujh ke jal  rahi hai
is aag ko abhi aur badaao ki baat abhi baaki hai

abhi tak mere naram hontho per tere lab  ki chhaaya hai
jaise subeh ki shab  ko hamne tere labo se chhura hai

meri rooh per hai teri ujali rooh ke saaye
hamne aaj tujhe apna sab kuch de daala hai

abhi na mujhe yun apni bahaon ke ghere se hatao
ki abhi toh meri baat baaki hai abhi ehasas baaki hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #184 on: July 22, 2006, 09:36:42 AM »
Reply with quote
WAH WAH ! kya baat hai RANJANA... jawab nahi aapka.. bahut khoob likha hai aapne....

Meri shayari ko sun kar sanam, bahak jaogi tum,
yakin hai mujhe ki is RANJHE ki HEER ban jaogi tum...

daudi chali aaogi ek din meri baahon me simat ke,
toot ke phir mohabbat apni, mujh pe lutaogi tum....

sharaab chalka karke apni gulaabi aankhon se kabhi to,
labon se labon ke zariye pila ke mujhe bahakaogi tum.....

mana ki sanam sar-e-aam maine badnaam kiya tumko,
ik din isi mehfil me sanam, seene mere lipat jaogi tum.....

kareeb aate hi sharm se aankhen jhuka leti ho kyun,
rukh se apne haya ke yeh parda, kab hataogi tum....

din-raat aahen barke jeeta hoon teri yaad ke sahare,
bas itna bata do ki apni khusbu mujhe kab mahakogi tum........
Logged
ranjana
Guest
«Reply #185 on: July 22, 2006, 07:11:37 PM »
Reply with quote
jawab toh aapka nahi vicky ji......bahut hi sunder likha hai aapne

chanaki jab paayal toh choori bhi kahnak gayi
dil ki aarzu meheki aur ek tamana machal gayi

bani jab main apne Ranjhe ki Heer toh ek
pyaar ki jot dil mein mere jal gayi

hai yeh is raat ka nasha sa ya unki baato ka asar
aaj ek preet si mere dil mein unke liye bhar gayi

chhoo liya jab unhone mere jajabaato ko apne pyaar se
aaj fir se ek aag si is tan badan mein jasie bhar gayi

kyu dhalaka sa yeh aanchal hai mera aaj is tarah
a chand abhi rukana ki abhi toh gori piya ki bahaon mein simat gayi!!!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #186 on: July 25, 2006, 10:49:47 AM »
Reply with quote
bahut pyara likha hai aapne RANJANA... bahut khoob......

Sari raat payal-chooriyon ne teri, sone na diya mujhko,
khwabon me mere khan-khana ke, tadpa diya mujhko.....

HEER ho tum is RANJHE ki, humesha dil me hi rahogi,
bhari mehfil me mujhe choom ke yeh bata do subko.......

lab hain tere paimane, aur aankhon me base mayekhane,
mohabbat se apni pila ke, thodi aur chada do mujhko.........

chhoo ke mere rom-rom ko, aaj do is kadar mahaka,
ki thoda hosh me aaun aur phir se yeh bahaka de mujhko.....

ab jahan daalta hoon nazar, bas tu hi tu aati hai nazar,
ada-o-andaaz ne teri, kuch aise deewana banaya mujhko......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #187 on: July 25, 2006, 03:05:00 PM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
bahut pyara likha hai aapne RANJANA... bahut khoob......

Sari raat payal-chooriyon ne teri, sone na diya mujhko,
khwabon me mere khan-khana ke, tadpa diya mujhko.....

HEER ho tum is RANJHE ki, humesha dil me hi rahogi,
bhari mehfil me mujhe choom ke yeh bata do subko.......

lab hain tere paimane, aur aankhon me base mayekhane,
mohabbat se apni pila ke, thodi aur chada do mujhko.........

chhoo ke mere rom-rom ko, aaj do is kadar mahaka,
ki thoda hosh me aaun aur phir se yeh bahaka de mujhko.....

ab jahan daalta hoon nazar, bas tu hi tu aati hai nazar,
ada-o-andaaz ne teri, kuch aise deewana banaya mujhko......



bahut khoob vicky .....too good...


wah apni aadao se baato se mere hosh udaa dete hain
bhari mehfil mein karke ishaare apna bana lete hain

unke aane se sab kuch  meheka beheka sa lagta hi
ek kisse sa koi pyaar ka geet kaano mein gujane lagta hai

hai woh mera sapan salona jo mujhe bahut pyaar karta hai
hai yeh  uska hi ishq jo mujhe HEER aur us ko RANJHA bana deta hai

abhi toh chhooaa hai sirf usne mujhe mere khawabo mein khalyao mein
jab kabhi mila haqaikat mein toh  dekhe tab haal mera kya hota hai..
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #188 on: July 25, 2006, 05:04:00 PM »
Reply with quote
Wonderfull JOb Vicky and Ranju :wink:
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #189 on: July 26, 2006, 07:18:04 AM »
Reply with quote
bahut-bahut shukriya BADNAAM JI........
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #190 on: July 26, 2006, 12:48:28 PM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA JI... NICE ONE.


Todo nahi tamanna, meri aarzoo na modo tum,
jo khwaab me lagaai, wo preet ab na todo tum.....

aankhon se maine dariya, teri yaad me bahaye,
har raat apna bana ke, tanha na mujhi chodo tum.....

ek baar tujhe dekha, bas pyaar tujhse ho gaya,
ab karke ikraar-e-mohabbat, inkaar na karo tum......

yakin na ho to sanam, phoolo ki kataaro se poocho,
mohabbat meri bedaag hai, bharosa to karo tum.......

khushiyan meri samai hain, bas teri ek haan me,
apna meri mohabbat ab to, karam apna farmao tum......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #191 on: July 26, 2006, 05:14:08 PM »
Reply with quote
very nice vicky .....

aaj ek fir se koi khawab salona de de
mujhko sama ke apni bahaon mein so lene de

mudato baat aayi hai yeh ghadi apne milan ki sajan
is badale hue masoum mein dil ko dube lene de

chhaa raha hai jo halka halka sa khumar yeh ishq ka
unko meri palako mein aaj kho ke machalne de

abhi toh shru hua hai yeh rangeen raat ka safar
abhi kuch raat ko aur jawaan ho lene de

abhi toh hosh mein aane ki baat na karana
abhi mujhe tere ishq ke samander mein dil ko dubo lene de
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #192 on: July 31, 2006, 11:14:16 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob RANJANA ........ NICE ONE...

Mere dil me tu basi hai, meri aankhon me tu chipi hai,
na jane phir kyun tujhe, gali-gali dhundta hoon main.........

meri neendon me bhi tu hai, meri saanson me tu hai,
phir kaise teri mohabbat se juda-juda sa rahata hoon main.....

dekh liya jo khwaab maine, teri chahton ka ek din,
tab se teri yaadon me, doobta hi chala ja raha hoon main.......

zalim kitna ghayal kar diya tune, mere is nadan dil ko,
bin tere to, naam se tere, is dil ko dharka raha hoon main......

ab tu hi bata ya-khuda, main karun bhi to kya karun,
mohabbat unki dil se apne, nikaal nahi pa raha hoon main..........!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #193 on: July 31, 2006, 01:04:40 PM »
Reply with quote
behad khubsurat likha hai VICKY .... Usual Smile


tere bina mere din ka suraj nahi nikalta hai
jab tak tera koi pyaar bhara peghaam mujhe nahi milta hai

jaane yeh kaise rishte jud  jaate hain umar bhar ke
tere hone ke ehasas se mera dil  har pal dharakta hai

jis din na mile tujhse meri nazare dil betaab sa rehta  hai
har pal bas mujhe tere aane ka hi intazaar rehta hai

tujhse milte hi meri aankho mein chamak si aa jati hai
aagosh mein tere aane ko mera armaan machalane lagta hai

aata hai dil mein bas yun hi tum mere saath raho
beth ke tere pehlu mein baate karne ka dil mera karta hai

sab duniya yeh jhoothi hai bas tu hi apna lagta hai
jo izhaar lab na kar sake mere toh jaabaat chalkane lagta hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #194 on: August 01, 2006, 12:44:10 PM »
Reply with quote
bahut pyara likha hai aapne....... RANJANA........


Kabhi-kabhi humdam mera nazar se nazar milata hai,
dhuaan-dhuaan sa nigaahon me meri, fail jata hai.........

unke siwa phir kuch bhi nahi aata hai nazar mujhko,
ek chaand jaise baadlon me, sharmata sa nazar aata hai......

bas ek muskurahat unki, zakhmi kar deti hai mujhko,
ghaayal karne ke andaaz pe unke, bahut pyara aata hai.....

jab-jab barasta hai saawan, bas intzaar hai tera rahata,
par intzaar-e-dard me unke, jannat ka maza aata hai........

chahta hai yeh dil, baaten tumse bas karte hi rahana har pal,
pahaloo me tere baith kar, deewana yeh sona chahta hai......

kabhi-kabhi humdam mera nazar se nazar milata hai,
dhuaan-dhuaan sa nihaahon me meri, fail jata hai......!!!!!!!!!!!
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15 16 17 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 04:08:15 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.099 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer