its wonderful ....vicky bahut khoob.....
fir se gher liya hai tere khawabo ne mujhko
wah surmai si raat nashe ki chadar mein lipati hui thee
sharmaai si hui aankhe meri apne ko bahaon mein samete hui thee
teri sargoshiyaan kaano mein ghul kar dil ko diwaana kar rahi thee
tere labo ki woh garami mere labo ko madhosh kar rahi thee
tere pyaar mein nissar ho ke shab raat bhar bas yun hi so rahi thee
kyu laga mujhe yah koi pyaara sa anjaan safar hai
aur tere kandho per maine jhuka ke rakaha apna sirr hai
fir se hi waise hi raat ka alam aur tu mere saath ho
nikle na us raat ka fir suraj bas yun hi pyaar ki baraat ho
na tute mera yeh khwab salona kahi fir se
aur tere bahaon mein mera dam nikal jaaye bas yahi ek armaan ab saath ho
bahut khoob RANJANA... behad khubsoort likha hai aapne.....
Mera mehboob itna haseen hai, ki chand talak na nikle falak se,
sharma ke tab raha jayega wo bhi, is baat ka mujhko yakin hai......
ki aaogi ek din tum, is deewane-AASHIQ se gar mohabbat hai,
par meharbaan teri nazar teri katil adaon par mujhko yakin hai.......
muddat se baitha hoon is aas me, kal aayega lekar paigam tera,
kabhi to likhegi tu khat mujhko, is yakin pe mere mujhko yakin hai.......
tere labon ki yaad aaye, saawan ki us madmast barsaat ke baad,
thirakte labon se kabhi to karogi madhosh mujhe, mujhko yakin hai.......
tere husn ki chandni se aaj bhi raushan hai dil ka har kona-kona,
mohabbat ki khushbu se mahakaogi ek din mujhe, mujhko yakin hai.......
accha sa koi mausam, tanha sa koi aalam aayega kabhi zindgi me,
jab tum rahogi baahon me, aur aankhon se mohabbat bayan hogi,
us pal ka hai intzaar, kabhi to tu mere saamne hogi, mujhko yakin hai.....