~*~*~ SUHAAG RAAT ~*~*~

by _Vicky_ on April 12, 2006, 11:37:06 AM
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 49693 times)
ranjana
Guest
«Reply #210 on: August 05, 2006, 03:08:18 AM »
Reply with quote
bahut khoob samir ...

hame tujh per etabaar hai per apni kismat per etabaar nahi hai
kiya hai sirf tujhse hi pyaar hamne per abhi iska iqarar nahi kar sakte

dekata hai mera masoom dil sapne tere hi
per abhi meri aankho ko tere khawab chhipane nahi aate

dar lagta hai mujhe zamaane ki nighaao.n se
suna hai mohbbat ke maaro ko duniya wale nahi apanaate

ek madhoshi si chhaa jaati hai sunte hi naam tumhara
abhi dil ke yeh khubsurt kisse hum kisi ko nahi suna paate

kar diya hai jaadu teri khamosh si nighaao.n ne
tere bina hum ab ek pal reh bhi nahi paate
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Who ik raat thi by muneeb in Shayri-E-Dard
~~~SUHAAG RAAT~~~ by anand_modani in SMS , mobile & JOKES
Romantic Raat, {Wo Raat Bhi Kya Thi},. by Azeem Azaad in Shayri for Khumar -e- Ishq
SUHAAG ki raat…!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
Taish- SUHAAG ki raat...!! by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
mohsin akhter
Guest
«Reply #211 on: August 05, 2006, 04:27:09 AM »
Reply with quote
bahut hi umda likha hai aap sab ne

bahut khoob

magar alfaz hi bayan karte hai hale dil e sanam
u bewajah kisi ko unwan na diya karo
kahi koi tera hamsafar ban jaye
har kisi ko raje dil na diya karo
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #212 on: August 05, 2006, 07:34:17 AM »
Reply with quote
bahut khoob SAMIR BHAI aur RANJANA.......
khubsoorti bekher di hai aap dono ne is tehreed me...... bahut khoob........

nice one.. MOHSIN BHAI....
kahan rahate ho aaj kal yaar.. na shayari karte ho
na milte ho .... kahan ho dost?
Logged
ranjana
Guest
«Reply #213 on: August 05, 2006, 07:43:37 AM »
Reply with quote
Quote from: "mohsin akhter"
bahut hi umda likha hai aap sab ne

bahut khoob

magar alfaz hi bayan karte hai hale dil e sanam
you bewajah kisi ko unwan na diya karo
kahi koi tera hamsafar ban jaye
har kisi ko raje dil na diya karo

very nice .....

yeh dil ke kisse kisi ko sunaaye nahi jaate
jo rehte ho dil mein woh bhulaye nahi jaate
yah safar hai zindagi ka kuch aisa sanam
ki hamsafar sabhi banaaye nahi jaate  Usual Smile
Logged
ranjana
Guest
«Reply #214 on: August 05, 2006, 07:45:50 AM »
Reply with quote
Quote from: "vicky AKELA"
bahut khoob SAMIR BHAI aur RANJANA.......
khubsoorti bekher di hai aap dono ne is tehreed me...... bahut khoob........

nice one.. MOHSIN BHAI....
kahan rahate ho aaj kal yaar.. na shayari karte ho
na milte ho .... kahan ho dost?

shukriya vicky ...aaj aap holiday per hain kya? :razz:  :D
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #215 on: August 05, 2006, 08:06:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
BAHUT KHOOB VICKY ..

aao in uljhi si hui saanso ko fir se peerone do
ek geet mohbbat ka in mein dubone to do

lo apne haatho mein ab mera haath
labo ko ab yun khamosh na rehne do

palko per jame hain aaj mere kuch sapane
in sapno ko apni bahaon mein sach toh hone do

dehek raha hai ango mein koi palash van
aaj barsa do apna pyaar aur inko sheetal hone do

bas aa ke tehar jaao ab meri kisamat ki rekhao mein
hai yah ek koi meetha sa sapna per ise ab toh sach hone do

bahut khoob RANJANA...... behad khubsoorat likha hai.....

Dharkan dil ki bayaan kar gai, mujhse mohabbat teri,
main khamosh raha aur wo tere naam se dharakti gai......

dil to apna kaam isi khubsoorat andaaz me karta raha,
par yaad tujhe karke yeh saans meri tham se ruk gai.......

shabnam bhi hans padi, ek teri muskurahat ke baad,
bas wahi ek jhalak teri sanam, aankhon me meri bas gai........

hasrat-e-dil tu hai, par kashti-e-ishq kinare laun kaise,
ki sheesha-e-mohabbat meri, kadmo me tere bikhar gai.......

tanhaiyan khatam kar meri, laga seene se mujhko ab,
ki tere bagair dost-e-chandni bhi mujhse bewafaai kar gai........

har khwaab hoga such mera, itna to yakin hai takdeer pe,
kyunki takdeer teri sanam, meri takdeer se jo mil gai.......

dharkan dil ki bayaan kar gai, mujhse mohabbat teri,
main khamosh raha aur wo tere naam se dharakti gai......!!!!!!!!!
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #216 on: August 05, 2006, 04:40:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob samir ...

hame tujh per etabaar hai per apni kismat per etabaar nahi hai
kiya hai sirf tujhse hi pyaar hamne per abhi iska iqarar nahi kar sakte

dekata hai mera masoom dil sapne tere hi
per abhi meri aankho ko tere khawab chhipane nahi aate

dar lagta hai mujhe zamaane ki nighaao.n se
suna hai mohbbat ke maaro ko duniya wale nahi apanaate

ek madhoshi si chhaa jaati hai sunte hi naam tumhara
abhi dil ke yeh khubsurt kisse hum kisi ko nahi suna paate

kar diya hai jaadu teri khamosh si nighaao.n ne
tere bina hum ab ek pal reh bhi nahi paate

thanks vicky bhai, and sanjana ji bahoot hi achcha likha hai apne

ap bhi bekarar ho , hum bhi bekarar bahut hai
apko bhi hai pyar is baat per aitbaar bhi bahut hai

kismat me jo likha hai hume uski nahi fikar
badal jayegi kismat bhi tera saath agar hai

jo sapne dekhta hai dil tera, na chupao tum unhein
sach ho jayenge woh sabhi dil me vishwas agar hai

kar bharosa zamaane ki nighahein tujhper na uthne denge
jaan denge per tujhe badnaam na hone denge

madhoshiyon ki  baat ab hum kiya kare tumse
tere khayalon main aise khote hain kuch aur yaad nahi reh pata

jaadu nahi yeh pyar ki kashish hai jo mehsus ki hai aapne
tujhse dur rehne ki soch se hi yeh dil hai baitha jata

Logged
ranjana
Guest
«Reply #217 on: August 07, 2006, 01:56:24 AM »
Reply with quote
Quote from: "samir_bc"

too good samir ....

kabhi teri baato ko main jhooth nahi samjhungi
bas ab main sanam pyaar tujhse hi karungi

aaynge na jaane kitne nazaare meri in aankho ke liye
per ab in aankho mein sirf khawab main tere hi rakhuangi

ab kare ruswa zamaana mujhe iski ab fikar nahi
bas tu rahe mere saath yahi dua ab main din raat karungi

raat hote hi sajane lagte hain meri palko mein bas tere hi khyaal
tere saath gujare har lamhe ko dil mein basa ke rakhungi

mumkin hai ki kabhi tu badal jaaye duniya ke dar se
per  main tere liye kabhi apne jajbaato ko na badal sakungi
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #218 on: August 07, 2006, 10:19:10 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA aur SAMIR BHAI....
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #219 on: August 07, 2006, 02:20:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"

too good samir ....

kabhi teri baato ko main jhooth nahi samjhungi
bas ab main sanam pyaar tujhse hi karungi

aaynge na jaane kitne nazaare meri in aankho ke liye
per ab in aankho mein sirf khawab main tere hi rakhuangi

ab kare ruswa zamaana mujhe iski ab fikar nahi
bas tu rahe mere saath yahi dua ab main din raat karungi

raat hote hi sajane lagte hain meri palko mein bas tere hi khyaal
tere saath gujare har lamhe ko dil mein basa ke rakhungi

mumkin hai ki kabhi tu badal jaaye duniya ke dar se
per  main tere liye kabhi apne jajbaato ko na badal sakungi

thanks vicky bhai, nice again sanjana

kiya hai jo bharosa tune humper, woh barkarar rakhnge
apne dil ko sirf tere hi pyar se shaad rakhenge

nazaare ho bhale kitne na dekhenge sive tere
teri yaadon se abaad subah shaam rakhenge

zamaana kuch nahi karpayega zinda hain hum jab tak
rahenge saath tere, hifaazat teri din raat karenge

ab to chahte hain bethe rahe samne tere karte rahe deedar tera
itna to batado kab in ankhon se hum tera deedar karenge

bhulker bhi na sochna ki badal jayenge hum duniya ke dar se
intezaar hai jab aap hamari is baat per aitbaar karenge

Logged
ranjana
Guest
«Reply #220 on: August 08, 2006, 04:31:54 AM »
Reply with quote
too good samir....shukiya vicky ...

ek arse se rujthi thee bahaar mujhse
tere aane se chehere per nur aa gaya

kar liya hamne etabaar teri har baat ka
tu hi ab mere dil per chhaa gaya

ga raha hai sama yeh kuch mehaka hua sa
lagta hai tu har khushi ko mere dil main basa gaya

ab toh hi chala hai yakeen apni  kismat per mujhe
ab waqt sanam tere deedar ka kareeb aa gaya
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #221 on: August 10, 2006, 02:36:32 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
too good samir....shukiya vicky ...

ek arse se rujthi thee bahaar mujhse
tere aane se chehere per nur aa gaya

kar liya hamne etabaar teri har baat ka
tu hi ab mere dil per chhaa gaya

ga raha hai sama yeh kuch mehaka hua sa
lagta hai tu har khushi ko mere dil main basa gaya

ab toh hi chala hai yakeen apni  kismat per mujhe
ab waqt sanam tere deedar ka kareeb aa gaya

tujhe apne seene se lagha loonghi
kisi aur ka na hone dhoonghi

aonghe kareeb jabh tu tumhara haath tham loonghi
kisi aur ko na thamne dhoonghi

teri rooh mein baas jaonghi
kisi aur ko na basne dhoonghi

teri khushboo ban jaonghi
kisi aur ko na soghne dhoonghi :D:D
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #222 on: August 10, 2006, 04:48:15 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
too good samir....shukiya vicky ...

ek arse se rujthi thee bahaar mujhse
tere aane se chehere per nur aa gaya

kar liya hamne etabaar teri har baat ka
tu hi ab mere dil per chhaa gaya

ga raha hai sama yeh kuch mehaka hua sa
lagta hai tu har khushi ko mere dil main basa gaya

ab toh hi chala hai yakeen apni  kismat per mujhe
ab waqt sanam tere deedar ka kareeb aa gaya

bahoot khoob ranjana ji

hum to chahte hai rehen har lamha saamne tere
tere chehre per nur isi taraha chamakta rahe

tera aitbaar na kabhi tute, yahi koshish hai meri
meri mohabbat ka asar tujhper isi taraha rahe

jo bhi gam hai tere hum apne daman main chupa lenge
khushiyon se tera dil isi taraha bhara rahe

yakeen to hume bahut tha tum hamare pyar ko na thukraogi
ab tamanna yahi hai tumhara pyar isis tarah barasta rahe

Logged
ranjana
Guest
«Reply #223 on: August 10, 2006, 05:15:54 AM »
Reply with quote
bahut khoob anjani ....too good samir .................

dhoondata hai mera dil na jaane kitne bahaane tujhse milne ke liye
yun hi betaab se ab hum rethte hain tujhko dekhne ke liye

har lamha ab beetata hai bas yaad mein teri mera
dil mein pyaar ka deep jalta hai bas tere liye

kar late hain hum aksar teri tasveer se baate
seene mein dil dharkata hai bas ab tere hi liye

ab toh aa ke sakon milega mujhe teri hi bahaon mein
ek tadap se jag uthi hai mere dil mein ab tere liye
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #224 on: August 10, 2006, 06:12:01 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob ANJANI, RANJANA aur SAMIR BHAI.... sab ne bahut khubsoorat likha hai.....
Logged
Pages: 1 ... 11 12 13 14 [15] 16 17 18 19 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.

Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 15, 2024, 05:34:06 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer