~*~*~ SUHAAG RAAT ~*~*~

by _Vicky_ on April 12, 2006, 11:37:06 AM
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 40
ReplyPrint
Author  (Read 50107 times)
samir_bc
Guest
«Reply #225 on: August 10, 2006, 08:08:45 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khoob anjani ....too good samir .................


dhoondata hai mera dil na jaane kitne bahaane tujhse milne ke liye
yun hi betaab se ab hum rethte hain tujhko dekhne ke liye

har lamha ab beetata hai bas yaad mein teri mera
dil mein pyaar ka deep jalta hai bas tere liye

kar late hain hum aksar teri tasveer se baate
seene mein dil dharkata hai bas ab tere hi liye

ab toh aa ke sakon milega mujhe teri hi bahaon mein
ek tadap se jag uthi hai mere dil mein ab tere liye




thnks vicky bhai n very good sanjana


raha nahi jaata ab tujhse dur rehker ek pal bhi
ab mil bhi jao jaldi tumse milne ko yeh dil chahta hai

bahut tarasti hain yeh aankhe tere deedar ke liye
aa bhi jao tumhe dekhne ko yeh dil chahta hai

koi na chahega itna hume yeh jaante hai hum
teri chahat pe mar mitne ko dil chahta hai

chahte hain hum tumhe kitna ki kiya batayen tumhe
luta den tujhper ab to sab kuch yeh dil chahta hai

mit jaaye jo bhi hai duriya beech me tere aur mere
teri sanso se takrayen meri saanse yeh dil chahta hai

tujhse milne se pehle humko tamanna thi sirf marne ki
ab to tere liye jeene ko yeh dil chahta hai

kiyon tarapte ho tum bhi dur rehker,ajaao hamari bahon main
ki tujhko baahon bharne ko yeh dil chahta hai


Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Who ik raat thi by muneeb in Shayri-E-Dard
~~~SUHAAG RAAT~~~ by anand_modani in SMS , mobile & JOKES
Romantic Raat, {Wo Raat Bhi Kya Thi},. by Azeem Azaad in Shayri for Khumar -e- Ishq
SUHAAG ki raat…!! by ghayal_shayar in Miscellaneous Shayri
Taish- SUHAAG ki raat...!! by ghayal_shayar in Shayri for Khumar -e- Ishq
ranjana
Guest
«Reply #226 on: August 10, 2006, 08:40:47 AM »
Reply with quote
its wonderful samir ........bahut hi khubsurat likha hai aapne..

aaj fir se neend ka jaadu mujh per chal jaaye
aur tu khawabo mein aa ke mujh se mil jaaye

kar dena roshan tu apni sargoshiyo.n ki jubaan
jab meri awaz ka jadu kuch dhal sa jaaye

samet lena fir se tu bahaon mein apni mujhe
jab raat ka safar kuch tanha sa ho jaaye

aaj toh kuch aisa ho is kayamat ki raat mein
main sirf dekhu teri hi nazaro mein aur tu mujh mein kahi kho jaaye
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #227 on: August 11, 2006, 11:48:33 AM »
Reply with quote
bahut khoob SAMIR BHAI... aur RANJANA.......

aap dono ne mil kar is tahreed ki khubsoorati apni behtreen shayari se aur badha di hai.......
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #228 on: August 11, 2006, 12:39:25 PM »
Reply with quote
wah wah ranju ji, samir ji.. bahut khoob!!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #229 on: August 11, 2006, 09:00:39 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
its wonderful samir ........bahut hi khubsurat likha hai aapne..

aaj fir se neend ka jaadu mujh per chal jaaye
aur tu khawabo mein aa ke mujh se mil jaaye

kar dena roshan tu apni sargoshiyo.n ki jubaan
jab meri awaz ka jadu kuch dhal sa jaaye

samet lena fir se tu bahaon mein apni mujhe
jab raat ka safar kuch tanha sa ho jaaye

aaj toh kuch aisa ho is kayamat ki raat mein
main sirf dekhu teri hi nazaro mein aur tu mujh mein kahi kho jaaye


samir..and ranju mom too good :D:D:D

khwab mein mere tu chale anna
akhe mujhe sata jana

karna tum aise koi harqat
dil mera ka bhi machal jana

bahoin mein mujhe le lena
aur koyi sharat kar jana

mein kuch keh na paon
itna madhosh mujhe kar jana

teri bahoin mein lipti rahoon
aisa koi jado kar jana :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #230 on: August 12, 2006, 02:08:36 AM »
Reply with quote
shukriya vicky ..gesu ......bahut khoob anjani ................ Usual Smile

yun hi jab tum aa jaate ho mere saamne
dil mein tumhe dekh ke bahut pyaar aata hai

nazare hatati nahi hai tere chehere se
meri nazaro mein khumar sa utar aata hai

na jaane kitni baate aa ke ruk jaati hai labo par
aur bas tujh per bepnaah pyaar sa aata hai

hai yahi pyaar ki jaadugari kya sanam
mera dil ab tere dil se juda jaata hai
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #231 on: August 12, 2006, 02:12:25 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya vicky ..gesu ......bahut khoob anjani ................ Usual Smile

yun hi jab tum aa jaate ho mere saamne
dil mein tumhe dekh ke bahut pyaar aata hai

nazare hatati nahi hai tere chehere se
meri nazaro mein khumar sa utar aata hai

na jaane kitni baate aa ke ruk jaati hai labo par
aur bas tujh per bepnaah pyaar sa aata hai

hai yahi pyaar ki jaadugari kya sanam
mera dil ab tere dil se juda jaata hai


ranju mom....kya baat hai

aap aah jaate hain mera samne achanak se
tu dil mein aik uljhan si mehsoos hoti hai

dekhti hoon tujhe kaheen kisi aur ke saath
tu dil mein jhalan si hone laghti hai

dekhoon tujhe apne khareeb atte
tu dil ki dhadkhan aur tez ho jaith hai

dekhoon tujhe apni bahoin mein
tu mujhe jannat mehsoos hoti hai :D:D
Logged
ranjana
Guest
«Reply #232 on: August 12, 2006, 03:47:04 AM »
Reply with quote
kabhi kabhi mohbbat mein yeh bhi mukaam aaya
woh they kareb mere fir bhi unke intazaar mein hamne khud ko paaya

bikhara thaa sab taraf  chandani ka nur
aur mere dil per pada thaa unke pyaar ka saaya

ab is ishq ki dastaan badhaaye kaise hum
ek umeed ka deep kabhi jalaya kabhi bujhaaya
Logged
samir_bc
Guest
«Reply #233 on: August 12, 2006, 06:46:29 AM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
shukriya vicky ..gesu ......bahut khoob anjani ................ Usual Smile

yun hi jab tum aa jaate ho mere saamne
dil mein tumhe dekh ke bahut pyaar aata hai

nazare hatati nahi hai tere chehere se
meri nazaro mein khumar sa utar aata hai

na jaane kitni baate aa ke ruk jaati hai labo par
aur bas tujh per bepnaah pyaar sa aata hai

hai yahi pyaar ki jaadugari kya sanam
mera dil ab tere dil se juda jaata hai



thanks vicky bhai, gesu ji , anjani ji,ranjana ji

nice shayry anjani ji ,ranjana ji


tum paas aati nahi,aur hum dur reh bhi nahi sakte
yeh kaisi bekhudi hai hum kuch keh bhi nahi sakte

yeh kaisi doori banayi hai aa bhi jao paas mere
tumse door ab hum ek pal bhi reh nahi sakte

tum to aati nahi tumhari yaadein hi tadpati hai humko
tumhari yaad jab aati hai  to phir hum so bhi nahi sakte

jitna bhulana chahte hai tumko, tum utna hi yaad aati ho
ki tumko bhulna chahen to hum bhula bhi nahi sakte

tumko dil hi kiya apni saanso me basaaya hai humne
kiya karen hum apni saanso ko rok bhi nahi sakte

humne khayi hai kasam ki na hone denge ruswa tujhko
jaan de sakte hai per hum yeh kasam tod nahi sakte

kuch bhi na kaho tum bus saamne bethi raho mere
ki tujhko in nazron se dur hum kar nahi sakte




Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #234 on: August 16, 2006, 08:33:23 AM »
Reply with quote
behad khubsoorat likha hai SAMIR BHAI........
aur bahut khoob RANJANA..... u too good....
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #235 on: August 16, 2006, 09:25:44 AM »
Reply with quote
Teri zulfon me maine khud ko, gum kar diya hai sanam,
ab to khud ko main, teri zulfon me hi kaid rakhta hoon......

bahak jata hoon main sanam, bas teri ek nazar bhar se,
main to teri aankhon ke maykhane me hi jhoom liya karta hoon.......

doob gaya hoon main is kadar mohabbat ki gaharaai me,
ki hatheli par bhi ab to sanam, tera hi nazaara karta hoon........

kahin nazar na lag jaye tumko ko mere mehboob isliye,
hatheli pe bhi apne har pal, kaala teeka lagaaye rakhta hoon........

aankhon ki yeh haya aur ujle chehre ki yeh chamak teri,
teri isi saadgi isi khubsoorati pe to, main mara karta hoon......

teri zulfon me maine khud ko, gum kar diya hai sanam,
ab to khud ko main, teri zulfon me hi kaid rakhta hoon......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #236 on: August 16, 2006, 09:39:52 AM »
Reply with quote
bahut khoob vicky & samir


dil mein aaj aayi hai ek chhotti si baat
yeh hawa kya le ke aayi hai tere pyaar ki sogaat

phoolo bahra sa rasta lag raha hai zindagi ka
aur haatho mein bas aaj sanam tera hi haath

aangan mein utar rahi hai aaj taaro ki jaise koi baraat
mera tan mann sulag raha hai kaisi hai yeh aaj ki raat


mere gesu ki chhawan mein gum ho jaa aaj aake
bas ek main hun , tum ho .aur ho yeh meheki hui si raat
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #237 on: August 17, 2006, 10:43:54 AM »
Reply with quote
bahut bahut khoob RANJANA........

Maangi hain duayen sanam, is dil ko dharakna aa jaye,
ek nazren inayat ho hum pe, kuch humko bahakna aa jaye.........

labon pe tere mujhe mohabbat bepanah nazar aati hai,
ik baar lab takrayen, is pyaase dil ko karaar aa jaye.........

yeh zulfen-e-bahaar mujhe, kaali ghata se lagti hain teri,
ik baar jo tu khol de in ko, jahan me kayamat hi aa jaye......

yeh madmast aankhen aur aankhon se tapakte paimane,
ek baar nazar bhar dekh le, ki bas mujh pe nasha chha jaye.....

tum humse mohabbat karti ho, baat tum yeh kaha do kabhi,
chandni ko sanwarna aa jaye, raaton ko mahakna aa jaye......
Logged
ranjana
Guest
«Reply #238 on: August 18, 2006, 05:18:56 AM »
Reply with quote
ho kis aarzoo ab mujhe
ki mere dil ka bas ab  qarar ho tum

mil gayi hain teri rahao se meri rahe
har pal ab mere saath ho tum

nam hain mere lab tere hi pyaar ke geeto se
mere dil ka ek etabaar ho ab tum

ek aag si kai  yugo se dabi thee seene mein
mere dil per padti barakha k pehli phooar ho tum

mere dil per chhaye ho kisi madhoshi ki tarah
mere har singaar ka ab sirf  ek jawab ho tum
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #239 on: August 18, 2006, 01:15:11 PM »
Reply with quote
nice one RANJANA...

Is bechani aur beqaraari ko thoda aur badhne do,
zulfon ke saye me humko, apne hosh khone do......

ab in baahon me bharne ko tujhe tadapta ha dil,
machalte in armaano ko, kuch aur bahakne do......

chhane laga hai ab mohabbat-e-suroor is kadar,
ki andheri is raat ko, thoda aur jawaan hone do.......
Logged
Pages: 1 ... 12 13 14 15 [16] 17 18 19 20 ... 40
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 03:53:59 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.137 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer