>>>>>>Suno Ladki<<<<<<&l

by waheed_rose2004 on November 14, 2005, 07:10:44 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2159 times)
waheed_rose2004
Guest
Reply with quote
Suno Larki !
Abhi Tum Ishq Mat Karna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Tumhari Umar Hi Kya Hai
Faqt Satra Baras Ki Ho
Abhi Masoom Bachi Ho
Nahin Maloom Abhi Tum Ko
K Jab Yeh Ishq Hota Hai
To Insaan Kitna Rota Hai
Sitaray Toot Jatay Hain
Saharay Choot Jatay Hain
Abhi Tum Nay Nahin Dekha
K Jab Sathi Bichartay Hain
Tu Kitna Dard Milta Hai
K Har Furqat K Mousam Main
Hazaron Ghum Ubhartay Hain
Hazaron Zakhm Khultay Hain
  Suno Larki ! .....
~ Meri Mano ! ..
Parhai Par Tawajo Do
Kitaabon Main Gulabon Ko
Kabhi Bhoolay Say Mat Rakhna
Kitabain Jab Bhi Kholo Gi
Yeh Kanton Ki Tarhan Dil Main
Chubhain Gay Khoon Bahayen Ge
Tumhain Pehron Satayen Ge
Kisi Ko Khat Nahin Likhna
Likhai Pakri Jati Hai
Bari Ruswai Hoti Hai
Kisi Ko Phone Mat Karna
Sadayen Dil Dukhati Hain
Woh Awazain Satati Hain
Meri Nazmain Nahin Parhna
Yeh Mehshar Utha Dein Gi
Tumhain Pagal Bana Dein Gi
  Suno Larki ! .....   ~ Meri Mano ~
Apni Taqdeer Say Tum
Khul K Mat Larna
Abhi Guriya Se Khelo Tum
Abhi Tum Ishq Mat Karna.....................nm
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Suno.. ( for tom ) by NiCkkkDoN in Shayri for Khumar -e- Ishq
!!__-Suno-__!! by khamosh.larka in Shayeri for Dard -e- Bewafai
Eh Jaanemann, Suno tho Sanam !! by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
SuNo! by tamanna_me in Share Poetry You Like
suno suno.. ek sher arz hai by suman59 in SMS , mobile & JOKES
shayar_dildaar
Guest
«Reply #1 on: November 15, 2005, 06:12:16 AM »
Reply with quote
Good one waheed bhai....
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #2 on: November 15, 2005, 07:00:51 PM »
Reply with quote
Thanxx  Shayar_diladar..........
Logged
shayar_dildaar
Guest
«Reply #3 on: November 18, 2005, 09:46:13 AM »
Reply with quote
Waheed bhai kuch likho man.....Chal kuch big time shayaro ka stuff post kar raha hu...

Qaasid ke aate aate khat ek aur likh rakkhun
Main jaanta hoon jo wo likhenge jawaab mein
 
- 'Ghalib'
Logged
Sonu
Guest
«Reply #4 on: November 23, 2005, 11:23:22 PM »
Reply with quote
nice hai waheed muna
bhut acha likha hia

shayar dildar ney bhi acha likha hia ghalib ka shair

hamari mahubaat ki baat mat puchey
dil mey uthtey ahi zajbaat mat puchey
lana tha asma sey tarey tood ker
laye keya usney sogaat mat puchey
dil beta shaam dhalney ki pertiksha mey
beti keysey sari raat mat puchey
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #5 on: November 24, 2005, 06:39:16 PM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
nice hai waheed muna
bhut acha likha hia

shayar dildar ney bhi acha likha hia ghalib ka shair

hamari mahubaat ki baat mat puchey
dil mey uthtey ahi zajbaat mat puchey
lana tha asma sey tarey tood ker
laye keya usney sogaat mat puchey
dil beta shaam dhalney ki pertiksha mey
beti keysey sari raat mat puchey


Thanxxxxxxx  Sonu..........shayar_dildar....very nice  Sonu....shayar...........  ek  ghalib  ki  ghazal  pesh hai.......bahot  fav..  ghazal  hai....

hazaaron khwahishen aisi ke har khwahish pe dam niklay
bohat niklay mere armaan, lekin phir bhi kam niklay

daray kyoon mera qaatil? kya rahay ga us ki gardan par
voh khoon, jo chasm e tar se umr bhar yoon dam ba dam niklay!

nikalna khuld se aadam ka suntay aaye hain, lekin
bohat be aabru hokar tere koochay se hum niklay

bharam khul jaaye zaalim! tere qaamat ki daraazi ka
agar is turrah e pur pech o kham ka pech o kham niklay

magar likhvaaye koi us ko khat, to ham se likhvaaye
hui subha, aur ghar se kaan par rakh kar qalam niklay

hui is daur mein mansoob mujh se baada aashaami
phir aaya voh zamaana, jo jahaan mein jaam e jam niklay

hui jin se tavaqqa khastagi ki daad paanay ki
voh ham se bhi zyaada khasta e tegh e sitam niklay

mohabbat mein nahin hai farq jeenay aur marnay ka
usi ko dekh kar jeetay hain, jis kaafar pe dam niklay

kahaan mai khaanay ka darwaaza Ghalib aur kahaan va'az
par itna jaantay hain, kal voh jaata tha ke ham niklay.................ghalib..
Logged
Sonu
Guest
«Reply #6 on: November 25, 2005, 03:10:08 AM »
Reply with quote
waheed acha likha hai

armano ki doli mey araman to bhut nikley,
unki chahat mey yea ansoo to bhut nikley,
bhut sey logo ko teyrey dar per muskuratey huye deykha,
mager ek hum he beyabro hu ker nikley,
ashiqo ki deykh ker ahshiqi meryey arman nikley
dil ko tha jiska intjar unkey na ahney key dar sey meyrye yea paran nikley.
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #7 on: November 27, 2005, 07:04:30 PM »
Reply with quote
Quote from: "Sonu"
waheed acha likha hai

armano ki doli mey araman to bhut nikley,
unki chahat mey yea ansoo to bhut nikley,
bhut sey logo ko teyrey dar per muskuratey huye deykha,
mager ek hum he beyabro hu ker nikley,
ashiqo ki deykh ker ahshiqi meryey arman nikley
dil ko tha jiska intjar unkey na ahney key dar sey meyrye yea paran nikley.


THanxxxxxxxx  Sonu............  very  nice reply.........

dekho  mere seene  mein  kitne  armaanon  ke chhale  kitne hain
tammanaon  ki  chaahat  mein  kitne  jakham  logon se khaaye hain
hum kaise  batayen  tumhein logon  ne kitne  jurm  kiye
hum  apni poori umar ke  hisaab  se  jyada  jakham  khaye hain....:sad:
Logged
Aryaan
Guest
«Reply #8 on: November 27, 2005, 10:25:31 PM »
Reply with quote
Bohat khoob Waheed, Sonu & All....
Logged
Sonu
Guest
«Reply #9 on: November 28, 2005, 04:05:29 AM »
Reply with quote
waheed thx ... acha likha hai

tum keya janu jakham kayea hutey hai
armo ki  doli mey beythney key bad arthi mey beythney key chaley keya hutey hai,
hum keysey batey tumko logo ney ketney sitam hai dahye humper,
ek tyerye chaley janey sey logu ney ketney pather marey humper,
humney ek ah tak nahi ki phir bhi her ek ney naye jurm keya humper.


shurkya aryan ji
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #10 on: December 03, 2005, 03:01:49 AM »
Reply with quote
thanxxx  Aryan.......Sonu..........................

very  nice  again  Sonu............

Sadyon sey insaan yehi sunta aaya hai
duk ki dhoop key aagey sukh ka saya hai
hum ko in sasti khushyon ka bojh na do
hum ney soch samajh kar gham apnaya hai
jhoot to qatil thehra is ka kya rona
sach ney bhi insaan ka khoon bahaya hai
paidaish key din sey maut ki zad mein hain
is maqtal mein kaun humein ley aaya hai
awwal awwal ji dil ney barbaad kiya
aakhir aakhir woh dil hi kaam aaya hai
itney din ehsan kiya dewano par
jitney din logon ney saath nibhaya hai............nm
Logged
mili_genie
Guest
«Reply #11 on: December 03, 2005, 05:44:41 AM »
Reply with quote
once again mind blowing.... waheed bhi.... Usual Smile
Logged
isha_verma7
Guest
«Reply #12 on: December 03, 2005, 05:53:27 AM »
Reply with quote
waheed yaar bahut achi salaah dee hai......every gurl should listen to this!!!!!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #13 on: December 03, 2005, 12:48:35 PM »
Reply with quote
hahahaha  Thanxxxxxxx  alot  Mili............ Isha....  tongue3
Logged
Sonu
Guest
«Reply #14 on: December 06, 2005, 11:27:28 PM »
Reply with quote
u r welcome waheed...

thx waheed(babo)...

hari to na thi sangaharsho sey
teyrey pyar mey ab tak jiti hoon
mey khushi lutaati hoon herdem
khud gum key ahansoon peti hoon
kuch har likhi apney agey
or jeet likhi hia teyrey leye
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 07:54:15 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.112 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer