Taj Mahal

by seraj325 on January 08, 2009, 02:14:11 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2584 times)
seraj325
Guest
Reply with quote
Eik Ghareeb ki taraf se aaplogon ko eik Azeem Tohfa " Taj Mahal "
 
Please accept my "Taj  Mahal "
 
"Gham zada-e dard hoon, hai dard se ulfat meri ,
Ashnaa-e dard karna ab rahi fitrat meri !!
 
Aaye kitne Qais yaan par, kitne raanjhe chal base ,
Hai nishaani koi baaqi yaad karne ke liye ? !!
 
Istarah chaaho , ke baaqi kuch nishaani bhi rahe ,
Kuch to zaahir dekh kar ho kuch zubaani bhi rahe !!
 
Aye Shaah Jahaan !
Tu shahansha tha  ,Teri chaahat men banta tha mahal ,
Maen pareeshaan haal , muflis bas banata hoon ghazal !!
 
Tune chaha jisko,  wo mumtaj bhi ab Taj hai ,
Maine jisko chaha wo posheeda dil ka raaz hai !!
 
Taj tera khoobsoorat sangmarmar ka jisam ,
Hai khada veerane men tanha sakoote mahwe gham !!
 
Ya ke Jamna ka kenaara, tere talwe dhota hai ,
Ya ke tanha raat men tu aah leke rota hai !!
 
Jab tumhen dekha, tu pahle mahwe hairat ho gaya ,
Dekh kar jalwa tera , apni  baseerat  kho  gaya !!
 
Teri ja se jamna ka saahil dikhaaii deta hai ,
Mujhko har patthar mein koi dil dikhaaii deta hai !!
 
Ghaas ka ye narm bistar , leitne ko kahta hai ,
Phir wahan se mudkar tujhko dekhne ko kahta hai !!
 
Na  lage Kashmeer achcha , aur na Manila lage,
Us se achcha to yahan ka Beir Ka Teela lage !!
 
Tera har ek phool , patti , jaali, sab kuch be nazeer ,
Dekhkar tujhko, samajhne lagta hoon khud ko haqeer !!
 
Aye Shahansha ! aaj koi bhi tera hamsar nahin ,
Mere ghar men kya kahoon, hai khaat par bistar nahin !!
 
Tou aye mere Mahboob !
Ab yahaan aane ka , bilkul na gilaa kar mujhse !
Mere  mahboob  kahin  aur  mila  kar  mujhse  "!!
By me,
Seraj
 

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
taj mahal............ by desikuri in Mazahiya Shayri(Funny Shayari) « 1 2 3 4 5 »
Taj Mahal by shraddhasaxena in Shairi for Manzar -e- Kudrat
Taj Mahal by nishi gahlaut in Shayri for Khumar -e- Ishq
Taj Mahal by @Kaash in Shayri for Khumar -e- Ishq
mahal...................A.B by adil bechain in Miscellaneous Shayri
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #1 on: January 08, 2009, 02:20:57 PM »
Reply with quote
Eik Ghareeb ki taraf se aaplogon ko eik Azeem Tohfa " Taj Mahal "
 
Please accept my "Taj  Mahal "
 
"Gham zada-e dard hoon, hai dard se ulfat meri ,
Ashnaa-e dard karna ab rahi fitrat meri !!
 
Aaye kitne Qais yaan par, kitne raanjhe chal base ,
Hai nishaani koi baaqi yaad karne ke liye ? !!
 
Istarah chaaho , ke baaqi kuch nishaani bhi rahe ,
Kuch to zaahir dekh kar ho kuch zubaani bhi rahe !!
 
Aye Shaah Jahaan !
Tu shahansha tha  ,Teri chaahat men banta tha mahal ,
Maen pareeshaan haal , muflis bas banata hoon ghazal !!
 
Tune chaha jisko,  wo mumtaj bhi ab Taj hai ,
Maine jisko chaha wo posheeda dil ka raaz hai !!
 
Taj tera khoobsoorat sangmarmar ka jisam ,
Hai khada veerane men tanha sakoote mahwe gham !!
 
Ya ke Jamna ka kenaara, tere talwe dhota hai ,
Ya ke tanha raat men tu aah leke rota hai !!
 
Jab tumhen dekha, tu pahle mahwe hairat ho gaya ,
Dekh kar jalwa tera , apni  baseerat  kho  gaya !!
 
Teri ja se jamna ka saahil dikhaaii deta hai ,
Mujhko har patthar mein koi dil dikhaaii deta hai !!
 
Ghaas ka ye narm bistar , leitne ko kahta hai ,
Phir wahan se mudkar tujhko dekhne ko kahta hai !!
 
Na  lage Kashmeer achcha , aur na Manila lage,
Us se achcha to yahan ka Beir Ka Teela lage !!
 
Tera har ek phool , patti , jaali, sab kuch be nazeer ,
Dekhkar tujhko, samajhne lagta hoon khud ko haqeer !!
 
Aye Shahansha ! aaj koi bhi tera hamsar nahin ,
Mere ghar men kya kahoon, hai khaat par bistar nahin !!
 
Tou aye mere Mahboob !
Ab yahaan aane ka , bilkul na gilaa kar mujhse !
Mere  mahboob  kahin  aur  mila  kar  mujhse  "!!
By me,
Seraj
 

 

Bahut Bahut Khoob Seraj Bhai..
aapne to Tajmahal Ke Deedar hi kara diye.. Applause Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: January 08, 2009, 02:33:54 PM »
Reply with quote
 Applause  Applause  Applause
Seraj ji aapne bahut bahut accha likha hai.
Logged
salma786
Guest
«Reply #3 on: January 08, 2009, 02:56:17 PM »
Reply with quote
Bahoot gehri soch hai apki siraj ji...bahut khoob likha apne Applause Applause
Logged
salma786
Guest
«Reply #4 on: January 08, 2009, 03:22:01 PM »
Reply with quote
Tujhe chahta raha mai iskadar,
K duniya v bhula baitha,
Teri ek hasi k badle,
Apni zindegi bhula baitha!

Na socha maine aage,
Kya hoga mera hashar,
Tujhse bichadne ka tha,
Dozak jaisa manzar!

Dilme khwahish to thi,
Pyar ki manzil mile,
Ya to farhad, ya mahiwal,
Ka naam mile!


Umid to humne ye ki thi,
Mai ranjha tera tu meri heer bane,
Par shayad khuda ko ye manzur na tha,
K tu meri takdeer bane!

Ab tu nahi hai duniya me,
Hu akela wahi khada,
Tu mumtaz to bangai,
Mai rehgaya niche pada!

Ye zindegi teri yado se,
Ab nasur si chubhti hai,
Kise pata tha meri dasta,
TAJ MAHAL se badi lagti hai!!
Logged
sajid_ghayel
Guest
«Reply #5 on: January 08, 2009, 03:35:35 PM »
Reply with quote
Bohat khoob seraj bohat khooooooooob sach kitni pyari zuban me bayaan kiya hain tumne apna kalam  Clapping Smiley ek purana sher yaad aa gaya...

Ek shehansha ne banakar hasee Taj Mahal
Hum gareebo ki muhabbat ka udaya hain mazak...

                        -NM-
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #6 on: January 08, 2009, 08:42:36 PM »
Reply with quote
Waah Seraj Ji..
Bohat Hi Badhiya Andaaz Hai Aapke..
Nice One Yaar,

Tajmahal Aur Apni Haqeeqat,.
Shahajaan Aur Apni Mohabbat,.
In Dono Ka Aapne Behtareen Andaaz Mein Farq Nikaala hai,.
Hume Pardkar Achcha Laga,.
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #7 on: January 08, 2009, 08:44:39 PM »
Reply with quote
Bohat khoob seraj bohat khooooooooob sach kitni pyari zuban me bayaan kiya hain tumne apna kalam  Clapping Smiley ek purana sher yaad aa gaya...

Ek shehansha ne banakar hasee Taj Mahal
Hum gareebo ki muhabbat ka udaya hain mazak...

                        -NM-


Waah Mere Bhai,.
Kya Khoob Kaha Hai,.

Do Lines Me Saara Haal Bayaan Kardiya,.
Hum Gareebon Ko,.
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #8 on: January 08, 2009, 08:58:55 PM »
Reply with quote
Eik Ghareeb ki taraf se aaplogon ko eik Azeem Tohfa " Taj Mahal "
 
Please accept my "Taj  Mahal "
 
"Gham zada-e dard hoon, hai dard se ulfat meri ,
Ashnaa-e dard karna ab rahi fitrat meri !!
 
Aaye kitne Qais yaan par, kitne raanjhe chal base ,
Hai nishaani koi baaqi yaad karne ke liye ? !!
 
Istarah chaaho , ke baaqi kuch nishaani bhi rahe ,
Kuch to zaahir dekh kar ho kuch zubaani bhi rahe !!
 
Aye Shaah Jahaan !
Tu shahansha tha  ,Teri chaahat men banta tha mahal ,
Maen pareeshaan haal , muflis bas banata hoon ghazal !!
 
Tune chaha jisko,  wo mumtaj bhi ab Taj hai ,
Maine jisko chaha wo posheeda dil ka raaz hai !!
 
Taj tera khoobsoorat sangmarmar ka jisam ,
Hai khada veerane men tanha sakoote mahwe gham !!
 
Ya ke Jamna ka kenaara, tere talwe dhota hai ,
Ya ke tanha raat men tu aah leke rota hai !!
 
Jab tumhen dekha, tu pahle mahwe hairat ho gaya ,
Dekh kar jalwa tera , apni  baseerat  kho  gaya !!
 
Teri ja se jamna ka saahil dikhaaii deta hai ,
Mujhko har patthar mein koi dil dikhaaii deta hai !!
 
Ghaas ka ye narm bistar , leitne ko kahta hai ,
Phir wahan se mudkar tujhko dekhne ko kahta hai !!
 
Na  lage Kashmeer achcha , aur na Manila lage,
Us se achcha to yahan ka Beir Ka Teela lage !!
 
Tera har ek phool , patti , jaali, sab kuch be nazeer ,
Dekhkar tujhko, samajhne lagta hoon khud ko haqeer !!
 
Aye Shahansha ! aaj koi bhi tera hamsar nahin ,
Mere ghar men kya kahoon, hai khaat par bistar nahin !!
 
Tou aye mere Mahboob !
Ab yahaan aane ka , bilkul na gilaa kar mujhse !
Mere  mahboob  kahin  aur  mila  kar  mujhse  "!!
By me,
Seraj
 

 

wah seeraj, kya pyare andaaz meh aap neh likha hai

Jasbir Singh
Logged
jasbirsingh
Guest
«Reply #9 on: January 08, 2009, 09:01:26 PM »
Reply with quote
Tujhe chahta raha mai iskadar,
K duniya v bhula baitha,
Teri ek hasi k badle,
Apni zindegi bhula baitha!

Na socha maine aage,
Kya hoga mera hashar,
Tujhse bichadne ka tha,
Dozak jaisa manzar!

Dilme khwahish to thi,
Pyar ki manzil mile,
Ya to farhad, ya mahiwal,
Ka naam mile!


Umid to humne ye ki thi,
Mai ranjha tera tu meri heer bane,
Par shayad khuda ko ye manzur na tha,
K tu meri takdeer bane!

Ab tu nahi hai duniya me,
Hu akela wahi khada,
Tu mumtaz to bangai,
Mai rehgaya niche pada!

Ye zindegi teri yado se,
Ab nasur si chubhti hai,
Kise pata tha meri dasta,
TAJ MAHAL se badi lagti hai!!



wah Salma, aap ka andaaz bhi bada kamaal ka hai

Jasbir Singh
Logged
Azeem Azaad
WeCare
Mashhur Shayar
***

Rau: 14
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
65 days, 6 hours and 17 minutes.
Humko Abtak Aashiqi Ka Wo Zamaana Yaad Hai,.

Posts: 19903
Member Since: Feb 2006


View Profile
«Reply #10 on: January 08, 2009, 09:27:39 PM »
Reply with quote
Tujhe chahta raha mai iskadar,
K duniya v bhula baitha,
Teri ek hasi k badle,
Apni zindegi bhula baitha!

Na socha maine aage,
Kya hoga mera hashar,
Tujhse bichadne ka tha,
Dozak jaisa manzar!

Dilme khwahish to thi,
Pyar ki manzil mile,
Ya to farhad, ya mahiwal,
Ka naam mile!


Umid to humne ye ki thi,
Mai ranjha tera tu meri heer bane,
Par shayad khuda ko ye manzur na tha,
K tu meri takdeer bane!

Ab tu nahi hai duniya me,
Hu akela wahi khada,
Tu mumtaz to bangai,
Mai rehgaya niche pada!

Ye zindegi teri yado se,
Ab nasur si chubhti hai,
Kise pata tha meri dasta,
TAJ MAHAL se badi lagti hai!!


Nice One Salma Ji..
Har Baar ki Tarah,.
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: January 08, 2009, 10:32:05 PM »
Reply with quote
Really wonderful presentation Seraj Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #12 on: January 08, 2009, 10:33:13 PM »
Reply with quote
Tujhe chahta raha mai iskadar,
K duniya v bhula baitha,
Teri ek hasi k badle,
Apni zindegi bhula baitha!

Na socha maine aage,
Kya hoga mera hashar,
Tujhse bichadne ka tha,
Dozak jaisa manzar!

Dilme khwahish to thi,
Pyar ki manzil mile,
Ya to farhad, ya mahiwal,
Ka naam mile!


Umid to humne ye ki thi,
Mai ranjha tera tu meri heer bane,
Par shayad khuda ko ye manzur na tha,
K tu meri takdeer bane!

Ab tu nahi hai duniya me,
Hu akela wahi khada,
Tu mumtaz to bangai,
Mai rehgaya niche pada!

Ye zindegi teri yado se,
Ab nasur si chubhti hai,
Kise pata tha meri dasta,
TAJ MAHAL se badi lagti hai!!

Salma Ji aap ka bhi jawaab nahi
Bahut khoob likhti ho
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #13 on: January 08, 2009, 10:35:05 PM »
Reply with quote
Bohat khoob seraj bohat khooooooooob sach kitni pyari zuban me bayaan kiya hain tumne apna kalam  Clapping Smiley ek purana sher yaad aa gaya...

Ek shehansha ne banakar hasee Taj Mahal
Hum gareebo ki muhabbat ka udaya hain mazak...

                        -NM-

Very nice sharing indeed Ghayel Ji
Logged
salma786
Guest
«Reply #14 on: January 09, 2009, 03:39:18 AM »
Reply with quote
Shukriya azeem ji!!
Shukriya Jasbir ji!!
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:55:19 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.108 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer