TALAASH

by luvable_vishal on October 11, 2006, 08:18:08 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2982 times)
luvable_vishal
Guest
Reply with quote
Itne dosto me bhee ik dost ki tlash hai mujhe,
itne apno me bhee ik apne ki thash hai mujhe,
chod aata hai har koi smndr ke beech mujhe,
ab doob rha hun to ik sahil ki tlash hai mujhe;
Ldna cahta hun main in andere ke gmon se,
islea ik shama ke ujale ki tlash hai mujhe;
tang aa chuka hun is bewaqt ki moot se main,
Islea ik hasin jindgi ki tlash hai mujhe;
Diwana hun main sab yahi kh kr chidate hai mujhe,
Jo mujhe samj sake us shaks ki tlash hai mujhe
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
talaash by ishika gautam in Shayri for Khumar -e- Ishq
Talaash by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
Talaash by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
Talaash by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
Talaash by gstyagi in Shayri for Dard -e- Judai
sweet_raabii
Guest
«Reply #1 on: October 11, 2006, 08:11:12 PM »
Reply with quote

iss zindagi ke maqsad ki talaash hai mujhe
kuch sawaloon ke jawaboon ki talaash hai mujhe

chale gaye chor kar is duniya se ju door
un pyar bhare rishtoon ki pyaas hai mujhe

door jin se hum ho gaye hai yahan
un se milne ki dobara aas hai mujhe

khatam ho hi jayenge ke judaai ke pal
bas apne pyaar ke ane ka intezar hai mujhe

ek haseen zindagi ki talaash hai mujhe
kyouke apno ki dua'aon ka sath hai mujhe


~Raabii..... O:)
Logged
luvable_vishal
Guest
«Reply #2 on: October 12, 2006, 02:56:59 AM »
Reply with quote
iss se pehle ki dilon me nafrat jaage,
aao ek sham mohabbat me bita di jaye,
karke kuch mohabbat ki batein,
iss sham ki masti badha di jaye
Logged
luvable_vishal
Guest
«Reply #3 on: March 09, 2007, 08:00:33 AM »
Reply with quote
Kisii din main bhi ek khvaab jaise jiyuun,
Raqibo.n ke main ahbaab jaise jiyuun,

Zameen mein main mil jaaney se pehley,
Gunaah chupaaney main hijaab jaise jiyuun,

Khoyi gayi chamak meri zamaane mein,
Kuch din he sahii main aaftaab jaise jiyuun,

Khushi hoti kya hain hume bhi toh bataao,
Kab tak main yun azaab jaise jiyuun,

Ek hadh mein gher diya hain mushkilo ne,
kab tak main yun talaab jaise jiyuun,

Kisi koh chehra na pasand kisi koh qaama,
Kuch din he sahii main gulaab jaise jiyuun,

Talab na sahi magar mera bhi guzaara ho,
Kuch din he sahii main sharaab jaise jiyuun,

Koi padkar bhool jaaye toh koi padnaa,
Kab tak main yun kitaab jaise jiyuun,

Taakhat waalon ke haathon mein zindagii,
Kab tak main yun be_taab jaise jiyuun,

Kuch toh dheel miley mujhey bhi “Sanam”,
Kab tak main yun hisaab jaise jiyuun
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: March 09, 2007, 08:15:34 AM »
Reply with quote
well done Vishaal & rubli... Keep it up..

Sulagti raho mein..
ak manzil ki talaash hai

jo saari khushiya meri jholi mein bare
ak aise ehsaas ki talaash hai

Mere behkate kadmo ko
ak sache saathi ki talaash  hai..
Logged
Unmesh
Guest
«Reply #5 on: March 09, 2007, 10:08:47 AM »
Reply with quote
gud deepika ji bahot khub likha hai aap ne!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #6 on: March 09, 2007, 10:22:43 AM »
Reply with quote
thanx unmesh ji...


nafrat ki aag sulagte hue mere dil ko
kisi ki betahan mohabbat ki talaash hai..

Fizaao mein uttti khuboo mein
mujhe kisi ke Aks ki talaash hai..
Logged
luvable_vishal
Guest
«Reply #7 on: March 11, 2007, 04:33:46 PM »
Reply with quote
thanks divya ji
Logged
paani
Guest
«Reply #8 on: March 12, 2007, 04:39:02 AM »
Reply with quote
nice vishal
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #9 on: March 12, 2007, 04:46:02 AM »
Reply with quote
thanks Vishal

Ak chorahe par khadi hai meri Zindagi..
na jaane kis raah ki talaash hai isse

ashk bhi jhar jahar beh rahe hai
na jaane inko kis k aane ki talaash hai

tadap rahi hai saanse meri
in bajuo ko na jaane kis k aks talaash hai..
Logged
luvable_vishal
Guest
«Reply #10 on: March 12, 2007, 01:21:10 PM »
Reply with quote
thanks paani ji,
divya ji bahut badiya

Jo sajaye the in aankho me sapne vo sare dah gye,
Sab kasame-waade mere ashqo ke sath hi bah gaye,
Tere sath ki talab thi isliye ki chain se kategi jingagi,
Hum thehre badnaseeb deewane, tanha the tanha rah gaye."
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #11 on: March 13, 2007, 06:20:09 AM »
Reply with quote
thankx Vishaal

Ab yahi tanhaiyan haume bati hai
Inhime tho unki yaad aati hai

Ab isi tanhaiyon se hame pyar hai
Sanam ka pyar na sahi , uska Ehsaash tho karati hai
Logged
Unmesh
Guest
«Reply #12 on: March 16, 2007, 01:26:18 PM »
Reply with quote
Thanks n sorry doston ke bich me baiymani sa lagta hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #13 on: March 16, 2007, 01:51:19 PM »
Reply with quote
bahoot khoob Vishan, Rabii and Divya!!

Unmesh ji, 29th Dec, 2004 se 16 march, 2007 tak sirf do hi posts...... sad5
Logged
pushp24
Guest
«Reply #14 on: March 16, 2007, 02:02:54 PM »
Reply with quote
nice one deepika_divya ji
bas ehsaas hai ki koi mere sath hai,
varna tanha jeene ki khawahish kise hai...
[/size]
Quote from: "deepika_divya"
thankx Vishaal

Ab yahi tanhaiyan haume bati hai
Inhime tho unki yaad aati hai

Ab isi tanhaiyon se hame pyar hai
Sanam ka pyar na sahi , uska Ehsaash tho karati hai
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 02:58:33 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.097 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer