phoenix
Guest
|
tum aa jao agar baahon mein jab ye shaam ho jaye bas ek iltija rahegi fir ki bas ab ye umr tamam ho jaye
na tum kuch keh sako na mein kuch sun sakun bas aankho hi aankho me wo sham e gulfam ho jaye
mere dil ko thandak pad jaye aur rooh ko chen mil jaaye jab mile tere honth mere hontho se to har gali me zikr e aam ho jaye
bas ek hi khwahish hai iss deewane ko ki tum raat ban k cha jao aur mein tumhare aanchal me sitaroon sa pada rahun bhale hi raat ho amawaas ki par dil ka dil se milan ho jaye uss pal ya khuda meri umr tamam ho jaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
anjani_si
Guest
|
|
«Reply #1 on: June 23, 2006, 06:37:36 PM » |
|
phonu babu.......whoa....kya baat....its mind blowing...yaar.....mind blowing..... :D:D:D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #2 on: June 23, 2006, 06:44:15 PM » |
|
bahut khub NItiesh...............
aate hain jab teri baahao mein toh hamko qarar aata hai lene lagta hai dil angadai aur tujhe per behad pyaar aata hai
chhaa jaata hai ek nasha sa jab tu mera naam leta hai teri awaz ka jadu mujhe per sirr chad ke bolta hai
aksar tere khaylo mein khud hi gum ho jaati hun tere sang jo beete pal unko soch ke muskarti hun
tera har lafaz mujhe per pyaar sa barsata hai kabhi sochti hun main ki kyu mujhko tu itna chahata hai...
raat ho chahaye Amawas ki ho chahey fir Puri raat mujeh toh har raat har baat mein bas tu hi tu nazar aata hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #3 on: June 23, 2006, 06:53:39 PM » |
|
thanx anjaani and ranjana ji
nice reply ranjana ji
|
|
|
Logged
|
|
|
|
badnaam_shayar
Guest
|
|
«Reply #4 on: June 24, 2006, 07:09:15 AM » |
|
Wah kya baat hai.....accha likha hai NItesh and ranju
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #5 on: June 24, 2006, 11:27:45 AM » |
|
shukyira Nitiesh and Gaurav............
tere pyaar ne hamko jinda rakha , varana ham kab ke ghut ke mar gaye hote mere pyaar ko mila tera hi sahara varana hum kab ke bhatak gaye hote bikhre bikhre se mere armaan yun na sawarate jo aap humari jindgai mein ban ke kushboo mehek na gaye hote
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #6 on: June 24, 2006, 04:28:13 PM » |
|
thanx gaurav and ranjana ji
tu aaj kuch iss kadar meri bahoon me sama jaye yeh jo badaal hai inhe bhi thodi laaj aa jaye
kuch iss kadar se sang tere ye sham guzare pas ho jag sara aur ye dil sirf tumhe pukare
aksar iss tanhai me dil kuch dhundhta sa lagta hai lekin aaj wo manzaar bhi aaye ki duniya tuhjhe dhunde aur tu meri bahoo me so jaye
aisi ho aaj ki raat ye ki badloon ke darmiyan ye dil mile aur fir ye umr tamam ho jaye
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #7 on: June 25, 2006, 04:25:15 AM » |
|
karti hain teri baate mere kaano mein sargoshiya.n toh teri bahaao mein samaane ko dil machalta hai
karta hai jab tu dheere se koi shararat toh tujh se bahot pyaar karne ko dil karta hai
dur ho ke bhi teri baate mujhse mere hosh chhin leti hain tab tere kareeb aa ke tujh per jaan lutane ko dil karata hai
kya hai tujhe mein aisa ,kyu aata hai tujhe per itna pyaar mujhko yeh baate ab tere pass aake tujhe bataane ko dil karta hai
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #8 on: June 25, 2006, 04:46:46 AM » |
|
phonix... wonderful....
ranjuuuuuuuuuu sissssssssss wonderfullll.... bahutkhoob....
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #9 on: June 25, 2006, 04:52:05 AM » |
|
shukriya my sonu jaan............ :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Sonu
Guest
|
|
«Reply #10 on: June 25, 2006, 06:24:03 AM » |
|
your most welcome meyri pyari ranju sis... love u miss u.... shukriya my sonu jaan............ :D
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Pankhuri2
Guest
|
|
«Reply #11 on: June 25, 2006, 06:32:33 AM » |
|
tum aa jao agar baahon mein jab ye shaam ho jaye bas ek iltija rahegi fir ki bas ab ye umr tamam ho jaye
na tum kuch keh sako na mein kuch sun sakun bas aankho hi aankho me wo sham e gulfam ho jaye
mere dil ko thandak pad jaye aur rooh ko chen mil jaaye jab mile tere honth mere hontho se to har gali me zikr e aam ho jaye
bas ek hi khwahish hai iss deewane ko ki tum raat ban k cha jao aur mein tumhare aanchal me sitaroon sa pada rahun bhale hi raat ho amawaas ki par dil ka dil se milan ho jaye uss pal ya khuda meri umr tamam ho jaye wah kaya baat hai.,... bahoot khoob
|
|
|
Logged
|
|
|
|
phoenix
Guest
|
|
«Reply #12 on: June 25, 2006, 11:06:23 AM » |
|
thnx sonu ji and pankhuri ji
aaj ki sham kuch is tarah se dono par cha jaye bhale ho jaye ruswai par bahoon se jaa na paye
tum socho zara wo kya aalam hoga jis ghadi is zindagi mein hamara milan hoga
har taraf ek ruhani sa aalam hoga tum sharmaogi meri bahoon mein par ye pyaar na ab kam hoga
aisa ye mausam ka fasana jo kabhi na khatam hoga jab chaho tum yahan se dur jaana mera saaya har dum sang hoga
aab to bas jo hoga wo isi pal hoga agar ho saka to mera pyar aaj raat tere sang hoga
|
|
|
Logged
|
|
|
|
ranjana
Guest
|
|
«Reply #13 on: June 25, 2006, 11:54:43 AM » |
|
behad khubsurat likha hai aapne nitiesh.........
tere dil ki dharkan ne jab mera naam gaaya ek halaka sa nasha jaise mujhe per bhi chhaaya
yeh rangeen si shaam,payal ki jhankaar. churiyion ki khan-khan se lagta hai ek sarur sa thaa jo tujhe mere kareeb le aaya
raat ke agaosh mein jab chand ne chandani ko chhoo liya tere daman se lipat kar mera badan teri bahoo.n mein pighal aaya
|
|
|
Logged
|
|
|
|
tabassum shakeel
Guest
|
|
«Reply #14 on: June 25, 2006, 01:21:10 PM » |
|
phoenix bahut khoob likha hai aapne and nice one ranju......................
kabhi aisa bhi ho jaae ham tumko yaad karte hon aur tum ikdam se aajao hamari sari na tab toot jaae haan bas ban jaae kabhi aisa jo jaae...............
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|