tamam ho jaye

by phoenix on June 23, 2006, 06:32:12 PM
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 4344 times)
phoenix
Guest
«Reply #15 on: June 25, 2006, 01:39:56 PM »
Reply with quote
thnx tabbasum ji and nice reply
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tamam umar...... by Princess21 in Shayri-E-Dard
TAMAM RAAT..... by sajid_ghayel in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2  All »
GUM TAMAM THE by Risk in Shayri-E-Dard
MOVED: GUM TAMAM THE by aqsh in Suryakant Tripathi-Nirala
Zakham Jab Tamam Hue...........................................raji by Rajigujral in Miscellaneous Shayri
tabassum shakeel
Guest
«Reply #16 on: June 25, 2006, 01:48:57 PM »
Reply with quote
thanx phoenix
Logged
phoenix
Guest
«Reply #17 on: June 25, 2006, 02:57:04 PM »
Reply with quote
tum wo to nahi the jiske liye maine ta umr raah dekhi
tumhara aana meri zindagi me ek khwab hi tha

aaj jab tumhe dekhta hun mein aey humnaqsh
to yakin mano khud hosh kho deta hun

tum ek haqiqat to nahi ho sakti ho is zindagi ki
agar ho jati to baat hi kya thi yaaron

aaj tumhe armaan batana chahta hun is dil k
agar fursat mil sake to ek baar mujhe soch k dekhna

jab tumhe dekha tha pehli baar maine
to aisa laga abhi neend se jaaga hun

yaad hai aaj bhi wo din jab tumhe neend se uthta hua dekha tha
aisa laga mano kisi oos ki boond se milkar taro taaza ho gaya hun

jab tum din me aayi thi mujhse milne
to aisa laga koi hai jise meri parwah hai

har sham jab tumhari zulfo me guzari
to dil ne chaha ye waqt yahin tham jaye

aur jab raat ne apne aanchal failaya
to laga ki iss raat ki subah na ho

ab tum hi batao mein tumhe kaise chod sakta hun
jab har ghadi lagta hai ki tum hi mere jeene ka karan ho
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #18 on: June 25, 2006, 04:46:44 PM »
Reply with quote
WOW gud job Ranju..NIttu and Tabassum ji
Logged
ranjana
Guest
«Reply #19 on: June 25, 2006, 05:16:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "phoenix"
tum wo to nahi the jiske liye maine ta umr raah dekhi
tumhara aana meri zindagi me ek khwab hi tha

aaj jab tumhe dekhta hun mein aey humnaqsh
to yakin mano khud hosh kho deta hun

tum ek haqiqat to nahi ho sakti ho is zindagi ki
agar ho jati to baat hi kya thi yaaron

aaj tumhe armaan batana chahta hun is dil k
agar fursat mil sake to ek baar mujhe soch k dekhna

jab tumhe dekha tha pehli baar maine
to aisa laga abhi neend se jaaga hun

yaad hai aaj bhi wo din jab tumhe neend se uthta hua dekha tha
aisa laga mano kisi oos ki boond se milkar taro taaza ho gaya hun

jab tum din me aayi thi mujhse milne
to aisa laga koi hai jise meri parwah hai

har sham jab tumhari zulfo me guzari
to dil ne chaha ye waqt yahin tham jaye

aur jab raat ne apne aanchal failaya
to laga ki iss raat ki subah na ho

ab tum hi batao mein tumhe kaise chod sakta hun
jab har ghadi lagta hai ki tum hi mere jeene ka karan ho


bahut sunder hai yeh ............


jab se woh hamare humkhayal ho gaye
toh jindagi jeene ke pal aasaan ho gaye

jab dil dharkane laga unke naam se
toh woh hamari dil aur hamari jaan ho gaye

yun toh kisi ke naaz uthata nahi thaa dil mera
unko dekha toh sab naaz uthane aasan ho gaye

lagti thee apni manzi bahut dur hamko
woh bane jab se hamrahi mere toh
saare raste hum per meherbaan ho gaye
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #20 on: June 25, 2006, 05:26:47 PM »
Reply with quote
Bahut khoob Ranju.....

Ek Dua hai meri bhi ki Chahate hue tumhe yeh Zindagi Tamaam ho jaye.....
Bann jaane do Afsaane humari Mahobbat ke par Mahobbat kahin Badnaam na ho jaye......

Geet gate sansaar me ek Panchi Raat ke peher kisi ki Yaad me Sookhe drakht par sirr rakh So jaye.....
Badlo kuch Sama aisa ki Dinn me Deedar unke toh Raat ko unhe Intezaar mera ho jaye......

WaQt Guzre nahi Guzarta kaise kahein hum ki yeh Ikhtiyaar kabool ho jaye......
Jo dee raahat tumne Dil ko kaise kahein ki Pyar me nannha sa Dil Fana ho jaye........!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #21 on: June 26, 2006, 01:46:53 AM »
Reply with quote
nice one...........


jo dekhi hai maine tere labo per halki si hansi
mere khyalao mein aaj bhi woh hansi khil jaati hai

ek kuhsboo udaa  aayi hai pawan aaj tere badan ki
mere dil ko aaj bhi woh kushboo meheka jaati hai

teri baato ki shararat jab bhi gunj uthati hai mere kaano mein
woh nigah teri pyaar ki aaj bhi mere jehan per badal si chhaa jaati hai

umar bhar jis ghari ka intazaar mein kiya hai
aaj teri bahoo.n mein simat jaane ko beqarar hui jaati hai
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #22 on: June 26, 2006, 09:09:54 AM »
Reply with quote
Quote from: "phoenix"
tum wo to nahi the jiske liye maine ta umr raah dekhi
tumhara aana meri zindagi me ek khwab hi tha

aaj jab tumhe dekhta hun mein aey humnaqsh
to yakin mano khud hosh kho deta hun

tum ek haqiqat to nahi ho sakti ho is zindagi ki
agar ho jati to baat hi kya thi yaaron

aaj tumhe armaan batana chahta hun is dil k
agar fursat mil sake to ek baar mujhe soch k dekhna

jab tumhe dekha tha pehli baar maine
to aisa laga abhi neend se jaaga hun

yaad hai aaj bhi wo din jab tumhe neend se uthta hua dekha tha
aisa laga mano kisi oos ki boond se milkar taro taaza ho gaya hun

jab tum din me aayi thi mujhse milne
to aisa laga koi hai jise meri parwah hai

har sham jab tumhari zulfo me guzari
to dil ne chaha ye waqt yahin tham jaye

aur jab raat ne apne aanchal failaya
to laga ki iss raat ki subah na ho

ab tum hi batao mein tumhe kaise chod sakta hun
jab har ghadi lagta hai ki tum hi mere jeene ka karan ho


bahut khoob

kabhi ham saath the rahon me
 kal ki hi baaten hain
magar ik mod phir aaya
to tanha rah gai main bhi
khata teri thi ya meri
ise ab sochne se kya
faqat bas ye haqeeqat
vahaan tanha khada hai tu
yahan tanha khadi hun main..................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #23 on: June 27, 2006, 12:51:01 PM »
Reply with quote
bahut khub tabassum...........

tere yaado ka ajab pehra hai mujhe per
teri baato ka asar gahara hai mujhe per

neend aaye bhi toh kaise aaye mujhe
tere khawabo ne yahan per ghera  hai  har pal

ek baar aake jhalak apni dikha jaao sanam
kisi ka dil bilkul akela aur tanaha hai yahan per
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #24 on: June 27, 2006, 01:03:17 PM »
Reply with quote
thanx ranju
bahut khoob likha hai aapne
Logged
ranjana
Guest
«Reply #25 on: June 28, 2006, 10:26:38 AM »
Reply with quote
shukriya tabassum ............

har ghari har pal bas tera khayal rehta hai
tu kahi bhi rahe bas mere dil ke pass rehta hai

jinse karte  rehte hain hum baate apne dil ki
suna hai woh bhi hum bin udas sa rehata hai

ek ehasas hai woh pyaar ka mere liye
mere tan man mein bas woh mehekta rehta  hai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #26 on: June 29, 2006, 03:44:19 AM »
Reply with quote
Phoenix ji your most welcome....

bahut khoob.... keya bat hai....

kashti main baithi hoon,
door hai kinara,
hawayao se pousti hoon,
kiya haal hai tumahra..........

Quote from: "phoenix"
thnx sonu ji and pankhuri ji

aaj ki sham kuch is tarah se dono par cha jaye
bhale ho jaye ruswai par bahoon se jaa na paye

tum socho zara wo kya aalam hoga
jis ghadi is zindagi mein hamara milan hoga

har taraf ek ruhani sa aalam hoga
tum sharmaogi meri bahoon mein par ye pyaar na ab kam hoga

aisa ye mausam ka fasana jo kabhi na khatam hoga
jab chaho tum yahan se dur jaana mera saaya har dum sang hoga

aab to bas jo hoga wo isi pal hoga
agar ho saka to mera pyar aaj raat tere sang hoga
Logged
Sonu
Guest
«Reply #27 on: June 29, 2006, 03:46:04 AM »
Reply with quote
bahut dosto keya bat hai... bahut achi mehfil sajayehuyee....

phoenix.... gaurav... ranju sis.... tabu... or sabhi logo ney bahut acha likha hia wonderful dosto.....
Logged
ranjana
Guest
«Reply #28 on: June 29, 2006, 12:18:01 PM »
Reply with quote
shukriya sonu jaan.........

hawa ne gunguna ke kaha ki woh aa gaye
jo yeh kushboo si faili hai fizao mein yeh unhi ko toh hai
yeh jo madmast sa ho gaya hai sama
yeh jhankaar si mere unke milan ki ho toh hai
Logged
Sonu
Guest
«Reply #29 on: June 29, 2006, 11:38:46 PM »
Reply with quote
Ranju sis your most welcome...  :oops:

bahut khoob ranju sis....


milne ko dil ab karta hai, par kyon karta hai pata nahin,
phoolon sa tan badan hai par dil kyon darta hai pata nahin,
mil lete to unse hum, milne to koi kahta nahin,
Par mil bhi kaise le unse, ghar ka unka to pata nahin


Quote from: "ranjana"
shukriya sonu jaan.........

hawa ne gunguna ke kaha ki woh aa gaye
jo yeh kushboo si faili hai fizao mein yeh unhi ko toh hai
yeh jo madmast sa ho gaya hai sama
yeh jhankaar si mere unke milan ki ho toh hai
Logged
Pages: 1 [2] 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 23, 2024, 06:57:09 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer