~~~~ Tanahai ka alam ~~~~~

by BeNam on April 04, 2006, 02:37:38 AM
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2906 times)
BeNam
Guest
Reply with quote
Jise chaha woh hai nazaro se dur,
Kaisa ajib hai mahobaat ka dastur,
Kya kare shikava kisi se,
Ab toh tanahai unhe bhi hai manzur!

Chahat kis kadar tadapati hai,
Kar deti hai rone per majbur,
Tanhai ka alam kuch aur hota hai,
Na din ko chain na raato ko sakun!

Yeh Tanhai jaan le legi meri,
Ger tum na aye mere huzur!

-- BENAM---
Main akela nahi, teri yadon ke saye hai sath,
Jab bhi yaad ati hai teri, khuli ankhon se guzari hai raat!
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tanahai by baba_08 in Shairi - E - Zindagi
SATH NA SAHI TANAHAI.... by ramakant yadav in English
chitra
Guest
«Reply #1 on: April 04, 2006, 02:51:48 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Benam jee......!!!

Dustur_E_isqh hi kuchh aisa hota hai
aajaaye dil kisi pe to aur tanha ho jata hai

tadpaaye  jitana bhi pyaar hume
dil ussee ke chaht mein aur  dooba jata hai

Aalam_E_shamo_shahar ka kahna JANAM
pal bhar bhi uske bina jeena duswaar ho jata hai
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: April 04, 2006, 04:20:22 AM »
Reply with quote
Quote from: "BeNam"
Jise chaha woh hai nazaro se dur,
Kaisa ajib hai mahobaat ka dastur,
Kya kare shikava kisi se,
Ab toh tanahai unhe bhi hai manzur!

Chahat kis kadar tadapati hai,
Kar deti hai rone per majbur,
Tanhai ka alam kuch aur hota hai,
Na din ko chain na raato ko sakun!

Yeh Tanhai jaan le legi meri,
Ger tum na aye mere huzur!

-- BENAM---
Main akela nahi, teri yadon ke saye hai sath,
Jab bhi yaad ati hai teri, khuli ankhon se guzari hai raat!


BENAM JI BAHUT BAHUT KHOOB... gazab ka likha hai aapne..khas kar yeh line dil ko choo gai ki.................
        tanhai ka alam kuch aur hota hai,
        na din ko chain na raaho ko sakun...
waqai bahut khubsoorat...... aur chitra ji aapka to jawab hi nahi...good
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #3 on: April 04, 2006, 04:42:11 AM »
Reply with quote
bahut hi khoob.. kya lines hai..bahut hi khoob likha hai benam ji.. chitra bahut acchi shayari hamesha ki tarah..keep it up..
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #4 on: April 04, 2006, 04:48:34 AM »
Reply with quote
Tumhare bina dil mera ghabraaye jaata hai,
Na chain hai na araam hai bus tadaptaa hi jaata hai,
Nazre tikii hain raahon per teri furkatt ne itna sataya hai,
Ikk Ikk pal jeena dushwaar hua sa jaata hai,
Saansein ruki si dhakane pareshan kaisi uljhano mein mujhe daala hai,
Ae mere rehnumaa aa jao ab ke in ashqon ko na roka jaata hai....

gesu's tanhai!!!!!!!
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #5 on: April 04, 2006, 04:55:57 AM »
Reply with quote
Benam bhai.. marvelous..!!!  Chitra n Gesu  as always superb!!!


Raat hai Tanha , Chand bhi Madhosh hai
Hath mein hai jaam,magar peene ka kisse hosh hai
Iss kadar akhein nam hai Intezar mein tere
Dil to pukar raha magar,juban khamosh hain...!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #6 on: April 04, 2006, 05:03:25 AM »
Reply with quote
Fantastic Work BeNam bhai and All............. Usual Smile
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #7 on: April 04, 2006, 05:10:30 AM »
Reply with quote
wah bahut khoob jeet saahib.. shukriya badnaam ji & jeet..
Logged
Naya_Daur
Guest
«Reply #8 on: April 04, 2006, 05:16:45 AM »
Reply with quote
thanks Gesu N gaurav bhai ...!!!
Logged
chitra
Guest
«Reply #9 on: April 04, 2006, 05:20:32 AM »
Reply with quote
bahoot bahoot Shukriya janaab.....tareef ke liye..!!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #10 on: April 04, 2006, 05:22:49 AM »
Reply with quote
Tanhaion ke aalam bhi ajeeb khel dikhlate hain....
Jo kabhi hua karte the kareeb ab woh door nazar aate hain......!!!!!!!!
Logged
chitra
Guest
«Reply #11 on: April 04, 2006, 05:29:57 AM »
Reply with quote
Quote from: "JEET"

Benam bhai.. marvelous..!!! Chitra n Gesu as always superb!!!


Raat hai Tanha , Chand bhi Madhosh hai
Hath mein hai jaam,magar peene ka kisse hosh hai
Iss kadar akhein nam hai Intezar mein tere
Dil to pukar raha magar,juban khamosh hain...!!!


Wah JEET kitni sadgee se se apne dil ka bataaya hai....!!

chand ko is kadar madhoshi banaa jati hai
tanhaaiyo mein jo unki yaad aa jati hai

ankho se sapne bhar aate hai asqh banke
jab dhdkane khamoushi se unhe pukare jati hai
Logged
rockindia
Guest
«Reply #12 on: April 04, 2006, 08:45:21 AM »
Reply with quote
Tanhai ka alam kuch es tarah humse bola..........
Pas nahi koi tere kiyun betha tu bilkul akela.........

Jawab meine tanahai ko kuch es tarah diya..........
Ab nahi hai woh pas mere jisko humne pyar kiya..........

Tanhai boli kab tak yeh shouk manaoege..........
Pakadlo hath kisika warna zindgi me aur tanha ho jaoge.......

Mein bola tanhai se, kiyun karun pyar mein kisi aur se..........
Pyar toh woh zazbaa hai jo niklta hai dil ki gehrai se..........

Meri tanhai dekh kar, tanhai bhi aur tanha ho gyi........
Kuch na boli wo aur bas ro gyi...........

Meine tanhai se pucha, mujhese kiya galti ho gyi..........
kiyun yeh ashko ki mala teri ankhonko bheego gyi.......

The wo tanha aur zazbaat uskey umar ayae the.........
Jo lagi thee chot uskey dil mein, bas wahi ghav ubhar aye the...

Dekh tanhai ki tanah zindgi ko mein bhi barbas ro gya......
Basa ke tanhai ko apni ankhon me, mein bhi aur tanha ho gya....
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #13 on: April 04, 2006, 09:08:23 AM »
Reply with quote
Quote from: "rockindia"
Tanhai ka alam kuch es tarah humse bola..........
Pas nahi koi tere kiyun betha tu bilkul akela.........

Jawab meine tanahai ko kuch es tarah diya..........
Ab nahi hai woh pas mere jisko humne pyar kiya..........

Tanhai boli kab tak yeh shouk manaoege..........
Pakadlo hath kisika warna zindgi me aur tanha ho jaoge.......

Mein bola tanhai se, kiyun karun pyar mein kisi aur se..........
Pyar toh woh zazbaa hai jo niklta hai dil ki gehrai se..........

Meri tanhai dekh kar, tanhai bhi aur tanha ho gyi........
Kuch na boli wo aur bas ro gyi...........

Meine tanhai se pucha, mujhese kiya galti ho gyi..........
kiyun yeh ashko ki mala teri ankhonko bheego gyi.......

The wo tanha aur zazbaat uskey umar ayae the.........
Jo lagi thee chot uskey dil mein, bas wahi ghav ubhar aye the...

Dekh tanhai ki tanah zindgi ko mein bhi barbas ro gya......
Basa ke tanhai ko apni ankhon me, mein bhi aur tanha ho gya....


Marvalous Bade bhai....kya khoob bayan ki hai Tanhai ke aalam ki Daastaan.......Very Nice.......Keep It Up
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #14 on: April 04, 2006, 12:57:39 PM »
Reply with quote
Tanhaio ke bhi ajeeb raste hain.....
Yahan milte har gum bahut saste hain.....

Kiya karte the kabhi jiska intezaar....
Aaj usi ka naam sunte hee inn Aankhon se Ashq baraste hain....
Tanhaio ke bhi ajeeb raste hain.....

Ab toh hum sunsaan andhere rasto pe manzilein Talaash karte hain.....
Milega koi toh humsafar yahan bas yahi sochte hain....
Tanhaio ke bhi ajeeb raste hain.........!!!!!!!!!!!!!

~~**Badnaam Shayar**~~
Logged
Pages: [1] 2 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 25, 2024, 06:58:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.109 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer