Tanhai tum ko sadaye meri sunaati to hogi Naa

by ParwaaZ on August 23, 2010, 07:22:40 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 1266 times)
ParwaaZ
Guest
Reply with quote
Ahel E Bazm ko humara Aadaab o Salaam

Nagma humne kisi ki yaadoN ko tazaa karte huye bayaaN kiya hai..
Be-intehaaN shidat se uski yaad meiN besakhta hi kalam chal padi, aur is nagme ko kah gayi...... Woh aapki nazar pesh kar rahe hai...

Ummid hai aap log apni araa se nawaazeNge.....
DuaoN ka talib.......... ParwaaZ      




Tanhai tum ko sadaye meri sunaati to hogi Naa
Jaanaa tum ko bhi  yaad meri aati to hogi Naa

Hijar ki aisi raateN tujh ko sataati to hogi Naa
Tasveer meri seene se tum bi lagaati to hogi Naa

Tujhsa kisi ko jaan kar maiN ruk saa jataa huN
Tum bhi kisi ko maiN samjhkar ruk jaati to hogi Naa

Purwaaiyaa se aksar tujhko maiN sandese deta huN
BaateN meri hawaayeN tum ko sunaati to hogi Naa

Sawaan ke is mousam meiN mann bhar bhar aata hai
Barish ki rim jhim bunde dil me aag lagaati to hogi Naa

KhaaboN ko tere maiN to har pal palkoN pe rakhta huN
Tum bhi Jaana tabeereN meri aksar sajaati to hogi Naa

Waadaa hai tujhse aakhri yeh mera maiN laut kar aauga
Iss waada ke itebaar pe tum ruth ruth jaati to hogi Naa

Tum ko yaadeN khush mijaaz e maazi aati to hogi Naa
Yaad kar kar ke tum bhi unko muskuraati to hogi Naa

Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
meri jaan paidal hogi by punjabiroop in Shayri-E-Dard
Phir Meri Kami Hogi by ehsaas chahat ka in Share: Poetry of Pain
Maa Meri Musal-le Pe Hogi.. by qadeer_junaid in Miscellaneous Shayri
meri zindgi waha khatm hogi by theyash in Share: Poetry of Pain
kab tujhse meri mulakat hogi..................................ghanshyam yadav by Ghanshyam Yadav in Shayari-e-Parastish
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #1 on: August 23, 2010, 07:25:26 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause
bht hi pyari peshkash parwaz ji.....
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #2 on: August 23, 2010, 07:29:48 PM »
Reply with quote
Humne abhi post bhi nahi kii aur aapne reply de diya..... Kia bin padhe hi reply de diya haiN Jee     
Logged
*KasaK*....Dil Ki
Poetic Patrol
Umda Shayar
*

Rau: 19
Offline Offline

Gender: Female
Waqt Bitaya:
67 days, 9 hours and 25 minutes.
"I hv a prsnality wch evrybdy cn't handle

Posts: 5603
Member Since: Jun 2010


View Profile
«Reply #3 on: August 23, 2010, 07:34:35 PM »
Reply with quote
na ji na bina padhe hum reply kaise dete

aapki post hai...aap se to sikhte hain ..aur ek bar nahin do bar padhi samjhi fir reply kiya ji humne........
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #4 on: August 23, 2010, 07:50:15 PM »
Reply with quote
na ji na bina padhe hum reply kaise dete

aapki post hai...aap se to sikhte hain ..aur ek bar nahin do bar padhi samjhi fir reply kiya ji humne........

Kasak Jee shukriyaa aapka kalaam ko pasand karne ke liye.....
actualy humara net slow hai yaa phir is site meiN kuch congetion problem hai... thoda slow pages open hote hai... aur kabhi kabhi site open hi nahi hoti....

Agar Admin sahab yeh post dekheN hai to Humari guzarish hai Admin sahab se ke woh zarra is bat per gaur farmayeN...
kayiN baar site ka page nahi khulta hai jab ki baki sabhi site khulti hai... 

Aage bhi apna saath banaye rakhiye...
Khush rahiye....
Khuda hafez...... Usual Smile         

Logged
dead heart
Guest
«Reply #5 on: August 23, 2010, 07:57:14 PM »
Reply with quote
Bahaut khoob Parwaaz jee..Bahaut yaad main doobi behtrin peshkash..Bahaut khoob..
Ek shaer yaad agaya:

Pehle mausam ki yeh pehli baarish hai,
Yun milo kay barsaat main aag lag jaye..!

 Applause Applause Applause Applause
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #6 on: August 23, 2010, 08:21:54 PM »
Reply with quote
Rahem Sahab... kalaam ko pasand karne ke liye tahe dil se mashkoor o mamnoon hai....

Aapne behad umdaa sher pesh kiya hai...
Very nice sharing.... Usual Smile         



Bahaut khoob Parwaaz jee..Bahaut yaad main doobi behtrin peshkash..Bahaut khoob..
Ek shaer yaad agaya:

Pehle mausam ki yeh pehli baarish hai,
Yun milo kay barsaat main aag lag jaye..!

 Applause Applause Applause Applause
Logged
Anshumali
Guest
«Reply #7 on: August 24, 2010, 11:26:55 AM »
Reply with quote
Bahut Hi Romaani Tabiyat Bhari Peshkash Rahi Iss baar ... Parwaaz Sahab ! Kya Dilkash Aur Maasoomiyat Me Dhale Ashaar Kahe Hai aapne ... ek ek sher ke rom rom se pyar Chhalaq raha hai... bahut hi umdaa khayal ... rawaangi ... saaf bayaani ...aur bhi Ghazal ko khubsoorat ... Khaas banaate hai...

Inn Purkashish EhsaasoN Ko Tahe dil se Daad Hazir hai... Qubuul FarmaayeN...

Yunhi likhte rahen... aage bhi ...

Very Nice Creation...

Khush rahen...
Duaaon ke saath....

 
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #8 on: August 25, 2010, 02:27:07 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah Parwaaz ji... bahut bahut umda peshkash rahi ye... ehsaason ko shabdon me utaarne ka aapka ye andaaz humein khoob laga..... is nacheez ki taraf se is khoobsurat nazm ke liye daad qubool karein... !!!
Logged
khamosh_aawaaz
Guest
«Reply #9 on: August 26, 2010, 07:11:06 PM »
Reply with quote


TUJH SA KISI KO JAAN KAR MAIN RUK SA JAATA HOON...........PARWAAZ SB YE DO LINE AAPKE KALAAM KI JAAN HAIN.......AUR SAARE ASH'AAR BEHTREEN HAIN...KYA EHSAAS KO NICHOR KA RAKH DIYA HAI DO PYAR KARNE WAALON KE INN ALFAAZON MEIN....HAZAARON DAAD... Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: August 31, 2010, 02:40:26 AM »
Reply with quote
Ahel E Bazm ko humara Aadaab o Salaam

Nagma humne kisi ki yaadoN ko tazaa karte huye bayaaN kiya hai..
Be-intehaaN shidat se uski yaad meiN besakhta hi kalam chal padi, aur is nagme ko kah gayi...... Woh aapki nazar pesh kar rahe hai...

Ummid hai aap log apni araa se nawaazeNge.....
DuaoN ka talib.......... ParwaaZ     




Tanhai tum ko sadaye meri sunaati to hogi Naa
Jaanaa tum ko bhi  yaad meri aati to hogi Naa

Hijar ki aisi raateN tujh ko sataati to hogi Naa
Tasveer meri seene se tum bi lagaati to hogi Naa

Tujhsa kisi ko jaan kar maiN ruk saa jataa huN
Tum bhi kisi ko maiN samjhkar ruk jaati to hogi Naa

Purwaaiyaa se aksar tujhko maiN sandese deta huN
BaateN meri hawaayeN tum ko sunaati to hogi Naa

Sawaan ke is mousam meiN mann bhar bhar aata hai
Barish ki rim jhim bunde dil me aag lagaati to hogi Naa

KhaaboN ko tere maiN to har pal palkoN pe rakhta huN
Tum bhi Jaana tabeereN meri aksar sajaati to hogi Naa

Waadaa hai tujhse aakhri yeh mera maiN laut kar aauga
Iss waada ke itebaar pe tum ruth ruth jaati to hogi Naa

Tum ko yaadeN khush mijaaz e maazi aati to hogi Naa
Yaad kar kar ke tum bhi unko muskuraati to hogi Naa



Good one Parwaaz Ji
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #11 on: March 16, 2013, 02:16:58 PM »
Reply with quote
Bahut Hi Romaani Tabiyat Bhari Peshkash Rahi Iss baar ... Parwaaz Sahab ! Kya Dilkash Aur Maasoomiyat Me Dhale Ashaar Kahe Hai aapne ... ek ek sher ke rom rom se pyar Chhalaq raha hai... bahut hi umdaa khayal ... rawaangi ... saaf bayaani ...aur bhi Ghazal ko khubsoorat ... Khaas banaate hai...

Inn Purkashish EhsaasoN Ko Tahe dil se Daad Hazir hai... Qubuul FarmaayeN...

Yunhi likhte rahen... aage bhi ...

Very Nice Creation...

Khush rahen...
Duaaon ke saath....

 


Naresh Jee Aadaab!


Bahut bahut shukriyaa jee aapki is khoobsurat aur dilkash houNsla afzai ke
liye... bada houNsla milta hai aapki daad paa kar.... Usual Smile

Apna pyaar aur sneH banaaye rakhiye... Aage bhi saath banaaye rakhiye..
Aate rahiye... YO is Missing your presence... )

Shaad O aabaad raihiye...
Khuda Hafez... Usual Smile
Logged
aqsh
Guest
«Reply #12 on: March 16, 2013, 02:32:03 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP
Bahut bahut bahut hi romantic aur bahut hi achchi likhi hui hai. har sher mein daba ek ehsaas hai.Mujhe bahut jyaada pasand aayi parwaaz ji. meri dili mubarakbad ko qubool kare. Likhte rahiye.

Hijar ki aisi raateN tujh ko sataati to hogi Naa
Tasveer meri seene se tum bi lagaati to hogi Naa

Tujhsa kisi ko jaan kar maiN ruk saa jataa huN
Tum bhi kisi ko maiN samjhkar ruk jaati to hogi Naa

KhaaboN ko tere maiN to har pal palkoN pe rakhta huN
Tum bhi Jaana tabeereN meri aksar sajaati to hogi Naa

in ashaar ke baare mein kya kahoon. Dil ko choo gaye.
Logged
ParwaaZ
Guest
«Reply #13 on: July 06, 2014, 05:55:42 AM »
Reply with quote
Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Wah Parwaaz ji... bahut bahut umda peshkash rahi ye... ehsaason ko shabdon me utaarne ka aapka ye andaaz humein khoob laga..... is nacheez ki taraf se is khoobsurat nazm ke liye daad qubool karein... !!!



Hriday jee Aadaab....!

KahaaN gum hai janab aajkal ...?
Bahut bahut shukriyaa janab kalaam ko pasaNd karne aur khoobsurat lafzoN meiN housla Afzaai karne ke liye tah e dil se shukriyaa...

Aage bhi apna saath banaye rakhiye ... bazm meiN aate rahiye...
Shaad O aabaad rahiye ...

Khuda Hafez ....

Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 05:46:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.115 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer