taqdeer ka sitara

by tabassum shakeel on June 21, 2006, 07:33:40 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 986 times)
tabassum shakeel
Guest
Reply with quote
mera to chaand bhi tu hai
aur sitara bhi tu
ki mujhko aasman se bhi
zyada kahin pyara hai tu
ye meri ankhon ki chamak
hai teri ankhon hi se to
isi chamk se mere aariz
bhi to dahkte hain
bhari hai jholi meri
pyar ke phoolon se tere
inhe sitaron se to main
badal nahi sakti
ki tera pyar hi meri
taqdeer ka sitara hai
ki sare asmaan ke taare to
fizool se hain
ki inki chamak hai sabki
par tu to mera hai
ki tera pyar hi meri
taqdeer ka sitara hai
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
woh kiyamat ho sitara ho kay dil by muneeb in Shayri-E-Dard
Us ki anhkoon mein mohabat ka sitara ho ga by lovebites in Shayri for Khumar -e- Ishq
Falak Pe Chamakta Har Ek Sitara Hai by Shayaries_King in Share:Miscellaneous Shayari
***Mera Anmol Sitara*** by AVTAR RAYAT in Shayri for Khumar -e- Ishq
shihab: ik bujhta sitara hu by sanjayudas in Shayeri for Dard -e- Bewafai
PREMANSHU
Guest
«Reply #1 on: June 21, 2006, 08:32:10 AM »
Reply with quote
Kya Baat Hai . . . TS nice work
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #2 on: June 21, 2006, 01:34:11 PM »
Reply with quote
shukriya premanshu
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: June 21, 2006, 01:41:57 PM »
Reply with quote
bahut khub tabassum ji............

 taqdeer ke sitaro ki bisaat dekhiye
 mujh jaise bhatakte ashiq ki aaukat dekhiye
 jinhe dhoond rahe the hum barso se dar-badar
 aaj hui mere dar pe hi unse meri mulakat dekhiye

..................@fahi@....................
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #4 on: June 21, 2006, 02:05:21 PM »
Reply with quote
bahut khoob likhte hain aap fahi

taqdeer thi aisi ki kabhi khush na rah sake
sab kuchh diya khud ne magar ham na sah sake
chahat hamari phool thi to ek vo hi na mila
ghar me hai dher motiyon ka chaha na jo kabhi
Logged
PREMANSHU
Guest
«Reply #5 on: June 22, 2006, 03:44:47 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
bahut khub tabassum ji............

 taqdeer ke sitaro ki bisaat dekhiye
 mujh jaise bhatakte ashiq ki aaukat dekhiye
 jinhe dhoond rahe the hum barso se dar-badar
 aaj hui mere dar pe hi unse meri mulakat dekhiye

..................@fahi@....................


Nice words Fahi

Mujh ko tha hardum yakin
Tera Dil ke Hone mein
Phir bhi tujhe dhundta raha
Duniya ke har kone mein

Takdeer ka sitara jab
Hum par bhi muskraya
Tab jana humne PREM kya hai
Teri PREET ko khudi mein paya . . .


TS keep writing this beautifully . . .
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #6 on: June 22, 2006, 01:02:06 PM »
Reply with quote
bahut khoob prem

jo  kho chuka hai vahi ek khwab likhati hun
jo jaa chuka hai use hi sadaen detin hun
na to sitara hai koi na aisi qismat hai
main raat dekha hua ek khwab likhati hun
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 06:23:45 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer