!!__-Tarap-__!!

by khamosh.larka on September 28, 2008, 08:53:09 AM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 910 times)
khamosh.larka
Guest
Reply with quote

kitni aziyat se mujhe usne bhulaya hoga
meri yaad ne usey khoob rulaya hoga

baat be baat jo aankh uski jhalki hogi
usne chehre ko baazuon mein chhupaya hoga

socha hoga usney din mein kai baar mujhe
naam hatheli pe bhi likh likh kar mitaya hoga

jahan usne mera zikr suna hoga kisi se
uski aankhon mein koi aansu to aaya hoga

raat ko bhi der tak neend na aayi hogi
usney takiye ko bhi seene se lagaya hoga

hoke nidhaal meri yadon se uss ne
meri tasveer se sar apna tikaya hoga

poochha hoga jo kisi ne us ki halat ka sabab
uss ne baaton mein khoob uss sey chhupaya hoga

jab kabhi chand ko dekha hoga akela uss ne
ussey mera pyar bada yaad aaya hoga


====> its sharing
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Dil-e-Tarap by Pooja in Shayri for Dard -e- Judai « 1 2 3 4 5 »
tarap by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
bekarar
Poetic Patrol
Yoindian Shayar
******

Rau: 4
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
53 days, 9 hours and 51 minutes.

Posts: 3738
Member Since: Oct 2005


View Profile
«Reply #1 on: September 28, 2008, 09:10:31 AM »
Reply with quote
khamosh ji behad hi umda..sharing ki hai aapne...
wah wah
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #2 on: September 28, 2008, 09:55:05 AM »
Reply with quote
Very Nice Sharing Khamosh Ji...
Logged
Shikha12
Guest
«Reply #3 on: September 28, 2008, 09:57:28 AM »
Reply with quote
Sometimes back, I wrote this somewhere on YoIndia,
Again posting the same...



Neend gumsum ho ke shayad machal gayi hogi...
Ya phir Barsaat ki boondon si bikhar gayi hogi...

Laut.ti saanson ne kai sawaal uthaaye hon.ge,
Sab bahaaane khaali khaali nazar aaye hon.ge...
Mere khat seene se jo tumne lagaaye hon.ge,
Aur likhawat apne aansuon se bachhaayi hogi...

Kamre ki Khidki ko khula tumne chhoda hoga,
Ghar ki Dewaaron par aks koi lehraaya hoga...
Hazaar chehron mein bhi mujhko talashaa hoga,
Aur Naam leke mera palakein na jhapkaayi hogi...

Har ek karwat pe naya dard ubhar aaya hoga,
Ghabra ke seene se takiyaa koi lagaaya hoga...
Andhere mein neendon ko laakh bulaaya hoga,
Raat aankhon aankhon mein hi guzar gayi hogi...

Neend gumsum ho ke shayad machal gayi hogi...
Ya phir Barsaat ki boondon si bikhar gayi hogi...
Logged
Talat
Guest
«Reply #4 on: September 28, 2008, 10:41:05 AM »
Reply with quote

kitni aziyat se mujhe usne bhulaya hoga
meri yaad ne usey khoob rulaya hoga

baat be baat jo aankh uski jhalki hogi
usne chehre ko baazuon mein chhupaya hoga

socha hoga usney din mein kai baar mujhe
naam hatheli pe bhi likh likh kar mitaya hoga

jahan usne mera zikr suna hoga kisi se
uski aankhon mein koi aansu to aaya hoga

raat ko bhi der tak neend na aayi hogi
usney takiye ko bhi seene se lagaya hoga

hoke nidhaal meri yadon se uss ne
meri tasveer se sar apna tikaya hoga

poochha hoga jo kisi ne us ki halat ka sabab
uss ne baaton mein khoob uss sey chhupaya hoga

jab kabhi chand ko dekha hoga akela uss ne
ussey mera pyar bada yaad aaya hoga


====> its sharing

Very nice sharing....  icon_thumleft It somehow resembles the "Haqeeqat" movie song a lot..


Ho ke majboor mujhe usne bhulaya hoga
Zehar chupke se dawa jaan ke khaya hoga

Dil ne aise bhi kuch afsaane sunaaye honge
Ashq aankhon ne piye aur na bahaye honge
Band kamre main jo khat mere jalaye honge
Ek ek harf jabeen par ubhar aaya hoga

Uske ghabra ke nazar laakh bachayi hogi
Dil ki tooti hui duniya nazar aayi hogi
Mez se jab meri tasveer uthaayi hogi
Har taraf mujhko tadapta hua paaya hoga

Chhed ki baat pe armaan machal aaye honge
Ghum dikhaawe ki hansi main ubal aaye honge
Naam par jab mere aansoo nikal aaye honge
Sar na kaandhe se saheli ke uthaya hoga

Zulf zid kar ke kisi ne jo banayi hogi
Aur bhi ghum ki ghata mukhde pe chaayi hogi
Bikjli nazron ne kai din na giraayi hogi
Rang chehre pe kai roz na aaya hoga

Ho ke majboor mujhe usne bhulaya hoga
Logged
Talat
Guest
«Reply #5 on: September 28, 2008, 10:52:41 AM »
Reply with quote
Sometimes back, I wrote this somewhere on YoIndia,
Again posting the same...



Neend gumsum ho ke shayad machal gayi hogi...
Ya phir Barsaat ki boondon si bikhar gayi hogi...

Laut.ti saanson ne kai sawaal uthaaye hon.ge,
Sab bahaaane khaali khaali nazar aaye hon.ge...
Mere khat seene se jo tumne lagaaye hon.ge,
Aur likhawat apne aansuon se bachhaayi hogi...

Kamre ki Khidki ko khula tumne chhoda hoga,
Ghar ki Dewaaron par aks koi lehraaya hoga...
Hazaar chehron mein bhi mujhko talashaa hoga,
Aur Naam leke mera palakein na jhapkaayi hogi...

Har ek karwat pe naya dard ubhar aaya hoga,
Ghabra ke seene se takiyaa koi lagaaya hoga...
Andhere mein neendon ko laakh bulaaya hoga,
Raat aankhon aankhon mein hi guzar gayi hogi...

Neend gumsum ho ke shayad machal gayi hogi...
Ya phir Barsaat ki boondon si bikhar gayi hogi...


Uss waqt bhi achcha laga tha, aur aaj dobara bhi achcha laga  icon_thumleft
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 06:03:22 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.118 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer