tasawwur hee tasawwur mai

by ekshayar81 on April 25, 2008, 01:53:26 PM
Pages: [1]
ReplyPrint
Author  (Read 874 times)
ekshayar81
Guest
Reply with quote
mai tujh se pyaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai
khula iqraar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

teri khaatir paharon ko
chitaano ko tere qadmon
tale masmaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

tu mulaqat ki khaatir
bulati hai mujhe aksr
mai intizaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

haseeno kee nigaahon se
utar kr dharkano mai phir
dilon pay vaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

ho dariya aag ka gr darmiya
apni mohabbt mai
usay bhi paar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

boht badmaash kehte hain
mohabbt chhor do ahsan
mai bus inqaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai


POETRY-AHSAN CHANGEZI
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Bas, eik tasawwur hi raheigaa bachaa huaa! by abdbundeli in Shayri for Khumar -e- Ishq
Tasawwur........................PWFS by pankajwfs in Miscellaneous Shayri
Main tasawwur me bhi hatho'n ko nahi phailaata.......... by Syed Mohd Mahzar in Miscellaneous Shayri
syednaami
Guest
«Reply #1 on: April 27, 2008, 06:02:47 PM »
Reply with quote
Quote
tu mulaqat ki khaatir
bulati hai mujhe aksr
mai intizaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

Beautiful wording, specially above one.
Good keep it up.

S Naami
Logged
Roja
Guest
«Reply #2 on: April 28, 2008, 02:29:38 AM »
Reply with quote
mai tujh se pyaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai
khula iqraar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

teri khaatir paharon ko
chitaano ko tere qadmon
tale masmaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

tu mulaqat ki khaatir
bulati hai mujhe aksr
mai intizaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

haseeno kee nigaahon se
utar kr dharkano mai phir
dilon pay vaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

ho dariya aag ka gr darmiya
apni mohabbt mai
usay bhi paar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai

boht badmaash kehte hain
mohabbt chhor do ahsan
mai bus inqaar krta hun
tasawwur hee tasawwur mai


POETRY-AHSAN CHANGEZI

Bahut khoob Ahsan Changezi ji. rytematic tha. accha laga padkar. keep it up.
Logged
ekshayar81
Guest
«Reply #3 on: May 16, 2008, 07:12:39 AM »
Reply with quote
NAWAZISH SHUKRIYA MEHERBANI  ROJA JI
Logged
Pages: [1]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
January 24, 2025, 01:15:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[January 19, 2025, 05:59:15 PM]

[January 19, 2025, 05:47:49 PM]

[January 10, 2025, 09:46:05 AM]

[January 10, 2025, 09:45:14 AM]

[January 08, 2025, 08:30:59 AM]

[January 08, 2025, 08:29:31 AM]

[January 05, 2025, 08:51:01 AM]

[January 05, 2025, 08:45:11 AM]

[January 05, 2025, 08:44:20 AM]

[January 05, 2025, 08:43:28 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.126 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8509 Real Poets and poetry admirer