~~ Tera Ehsaas

by deepika_divya on February 20, 2007, 12:05:00 PM
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Author  (Read 6131 times)
deepika_divya
Guest
«Reply #60 on: December 21, 2009, 03:17:13 PM »
Reply with quote
Pahle To Khud Hi Honthon Ko Sila Sa Rakhte Hain
Jane Kyun Is Qadar Phir Humse Gila Sa Rakhte Hai.!

.............

Is Qadar e Sanam Khudko Na Tadpaaiye
Zara Sa Rukh Pe Tabassum B To Laaiye.

Phool Hi Phool Bicha Dunga Raaho Mein
Bas Aap Meri Aur Do Qadam To Badaaiye.

Humna Chhodenge Kbhi Raah e Wafa Ko
Phir Chaahe To Aap Kitna Bhi Aazmaaiye.

Bhool Jaayenege Aap ,Saare Shiqwe Gile
Bas Ek Bar Meri Baahon Mei To Aa Jaaiye.


Wow too romantic one Shihab .. Bahoot Bahoot Romantic or bahoot bakubi se likha hai...

Tande tandi haya aai leke Bharat
kabhi mujhko ched kar , tho
Kabhi mujhe chu kar yea
Dilaa rahi Mujhko tere Ehsaas
Kya kahun Inse Main
Kyun yea Deewana Banaye hai
Khinch ke mere Aks sanam
Teri Bahoon mea le jaaye hai
eh unns si hone lagi hai
Dil meri tere ehsaash se
Kaun hai Bala Iss Jahan mea
Tujh mea sama kar khudko
sirf Teri Teri hona chahe hai

Usual Smile

Pata nahi kya likha hai maine .. Bahoot jaisa likhne ka man hua waisa likh diya .. Usual Smile

Divya
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Tera Rumaani Ehsaas *** by ranjana in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
Hun Me Tera Yeh Ehsaas Mere Dilme Jaga De...SK by Shayaries_King in Shairi - E - Zindagi
Tera Ehsaas...SK by Shayaries_King in Shayri for Khumar -e- Ishq
*-^ Bas Ek Tera Ehsaas Hai.. *_^ by Rancho-D-Idiot in Shayri for Dard -e- Judai
tera ehsaas by saahill in Share:Love Poetry
Pooja
Guest
«Reply #61 on: December 22, 2009, 03:56:26 AM »
Reply with quote
wow bahoot khoob Sophi and Shihab ji!!1

Band ankhon mai, ek tera ehsaas jab dhadkane paati hai
khil uthata hai rom rom, sansein apni he sanson mai behak jaati hai
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #62 on: December 22, 2009, 04:01:26 PM »
Reply with quote
Thank you so much Pooja di

Waah Ki kya line likhi hai !Bahoot Khoob!
Logged
cara
Guest
«Reply #63 on: December 23, 2009, 02:11:36 PM »
Reply with quote
WAH KYA BAAT HAI......

TU TOH CHALI GAYI MUJHKO CHOD KAR, AB TU NAHI HAI MERE PAAS
LAKH BULANA CHAHTA HUN TUJHKO,PAR JAATE NAHI HAI YEH TERE EHSAAS
HAR SUBAH UTTEY HI AJEEB SI HULCHAL AAJAATI HAI MERE TAN MAN MEIN
HAR LAMHE YAAD AAJATA HAI AAJ BHI, JO GUJARE THEY TERE SAATH MEIN
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #64 on: January 14, 2010, 10:54:07 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Shukariya Sophi Ji Pasand Karne K Liye
Aapne Bhi Achha Likha Hai Ji..Keep It Up.
Koshish Karta Hun Galti Maaf Ho Ji



Meri Nazron Ko Bhi Khoob Nazaara Mila Hai
Ki Dekhne Ko Inhe Chehra Tumhara Mila Hai.

Nahi Is Se Badkar Koi Bhi Khushi Mere Liye
Ki Tanha Safar Mein Saath Tumhara Mila Hai.

Koi Bhi Ranjish Baqi Nahi Rahi Ab Dil Mein
Jabse Meri Hsraton Ko Tera Ishara Mila Hai.

Mujhko Bhala Ab Duniya Se Kya Lena ,Shihab
Mere Liye Kafi Tere Ehsason Ka Ye Silsila Hai

Sarapa Aey Sanam Mehak Sa Gaya Hoon Jaise
Jabse Mujhey Teri Bahon Ka Sahara Mila Hai.!


Awesome one Shihab.. Bahoot khoob Likha hai..

Mile jo badi shiddat se tum hame
Ab kabhi tumse ham door na honge !!

Bale ho jaaye Dusman Yea Zamaana
Ham kisi ke saamne majboor na honge !!







Logged
riyaz106
Guest
«Reply #65 on: January 14, 2010, 11:42:45 AM »
Reply with quote
Bahaut achhe Shihab Ji. Badi umdah ghazal likhi hai aapne. Powerful creation.


Meri Nazron Ko Bhi Khoob Nazaara Mila Hai
Ki Dekhne Ko Inhe Chehra Tumhara Mila Hai.

Nahi Is Se Badkar Koi Bhi Khushi Mere Liye
Ki Tanha Safar Mein Saath Tumhara Mila Hai.

Koi Bhi Ranjish Baqi Nahi Rahi Ab Dil Mein
Jabse Meri Hsraton Ko Tera Ishara Mila Hai.

Mujhko Bhala Ab Duniya Se Kya Lena ,Shihab
Mere Liye Kafi Tere Ehsason Ka Ye Silsila Hai

Sarapa Aey Sanam Mehak Sa Gaya Hoon Jaise
Jabse Mujhey Teri Bahon Ka Sahara Mila Hai.
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #66 on: January 14, 2010, 06:39:00 PM »
Reply with quote
waah bahut hi khoob sophi ji,cara ji n shihab ji...

main bhi kuch likhne ki ijazat chahungi...

Kyun darta hai terra ye dil aaj pyar k ehsas se,
yahi tou manzil hai terri yahi hai terre raste,
main sath rahu na rahu terre ae dilbar..
hamesha rahengi merri wafaye sirrf terre waste......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #67 on: January 14, 2010, 06:58:07 PM »
Reply with quote
thnx shihab ji aur bahut khoob... notworthy notworthy notworthy Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP Thumbs UP

Merri wafaye sab terre liye hai,
per tu bhi merra aetbaar naa todna,
duniya ki nigaho se darr k merre humdum..
kahiin tu bhi mujhe beech raste mein naa chhodna......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #68 on: January 14, 2010, 07:45:31 PM »
Reply with quote
bahut khoob..

Duniya se ladne itna asaan nhi hai,
iske paas hasi tou hai per muskaan nhi hai,
masumiyat se khelti hai ye ashiqo k dilo se..
aur kehti hai ki ye beimaan nhi hai......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #69 on: January 14, 2010, 08:33:41 PM »
Reply with quote
thnx..bahut hi umda likha hai apne....

Nhi chahti main ki ab koi mujhse dil lagaye,
nhi chahti main ki ab koi mhbt mein mit jaye,
badi hi mushkil se sameta hai khud ko guzre waqt mein..
nhi chahti main ki ab koi mujhse door ho jaye......
Logged
brokenbyluv
Guest
«Reply #70 on: January 14, 2010, 08:59:41 PM »
Reply with quote
Mhbt ki ruswaiyo mein behna nhi chahti,
kisi ki khushiyo ka kaatil khud ko kehna nhi chahti,
terri liye hi door hu main tujhse..
kyunki kisi bhi gum ka haqdaar tujhko main kehna nhi chahti......
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #71 on: January 14, 2010, 10:20:20 PM »
Reply with quote
Wah bahut bahut khoob Sophi ji,B shayar,Cara ji,Geet ji,Shihab ji,just mindblowing and really touching lines,excellent. Hats off to you! Thumbs UP Applause Applause Applause Applause Applause Applause Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley :clapping:bahut pasand aayi aap sabke lines.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #72 on: January 15, 2010, 01:23:46 PM »
Reply with quote
Thank you so much Shihab , BBL and Madhu.

Shihab and geet bahoot bahoot khoob likha hai ...

Shihab style me kehte hai na lage raho... Usual Smile
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #73 on: January 16, 2010, 10:11:30 AM »
Reply with quote
Dil Hi Dil Mein Bas Hum Aahein Bharenge
   Par Ab Aur Na Tumse Izhare Muhabbat Karenge.

      Gar Yahi Marzi Hai Teri Aey Dilbar To Thik Hai
               Waada Raha Abse Hum Tujhse Door Hi Rahenge.!


Awesome One !

Iska reply Main de deti hun ...If u dont mind !

Na Hona Hamse Door Iskadar
Ke Jee Na sake Hum Tere bin !!

Mil Dard Judaai ka Hum umarbhar
Fir Na Raatein Kate Na hi Din  !!
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #74 on: January 16, 2010, 10:33:06 AM »
Reply with quote
are.. Main tho aise hi keh rahi thi.. Dil mat liya karo... sab likhnege kisi ki bhi thread pe sabko haq hai likhne ka ... Usual Smile

Ishq mea Dard ki Chalak.. Bahoot Khoob likha hai shihab...

Aaaj mood karab hai janaab ka chalo teek kiye dete hai,,,

Teri Muskarahat Mea woh Jaddu hai
Jo Humaare Ansoon ko bhi Hasa jati hai
Aakar dheere se kehti hai Mujhse "Bano"
aur fir Gudguda ke door chali jati hai

Bahoot Natkhat hai tumari Muskarahat
Har Bhaar ak naya rang humko dikhati hai
Chupke chupke chedati hai meri dhadkhan ko
Aur Hame tumare aur kareeb le aati hai  !!

Divya


Logged
Pages: 1 2 3 4 [5] 6
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 10:17:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.098 seconds with 22 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer