Tera Yun Iss tarah meri zindagi mein aana !

by Ricky on July 15, 2004, 06:19:41 AM
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Author  (Read 7220 times)
Talat
Guest
«Reply #30 on: October 18, 2006, 03:59:42 PM »
Reply with quote
Thanks a lot Fahi...and nice sher..good one !!!
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #31 on: October 18, 2006, 09:33:19 PM »
Reply with quote
too good ricky and talat ji :D:D:D
Logged
Talat
Guest
«Reply #32 on: October 19, 2006, 11:30:32 AM »
Reply with quote
Thanks Anjani Usual Smile
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #33 on: October 19, 2006, 05:00:06 PM »
Reply with quote
bhar gaya saanso mai jeene ka tarana
tera is tarah sanam meri zindagi mai aana

bechain kar rahi hai roz iltzaaye khusiyo ki
de raha hai waqt bhi abra ka nazraana
bhar gaya saanso mai................

naa hai ab nigaahein jhuki,naa koi bandishe hai
aankhon mai terta hai kuch kehne ka fasana
bhar gaya sansoo mai.....................

tanhayi hui hai tanha,gum ko bhi dard hua hai
har shab dhali seher mai leker peher ka bahana
bhar gaya saanso mai...................

karti hai roshan fijaaye,aalam ko mehkaati hai
tere chehre ki surkh laali tera halke se muskuraana
bhar gaya sansoo mai.............

rab se kare dua lab ye zindagi sang tere beete
aur chalta rahe ta-umra tera mujhse nazre churana
bhar gaya sansoo mai................

bhar gaya saansoo mai jeene ka tarana
tera is tarah sanam meri zindagi mai aana.....

...............................@fahi@................................
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #34 on: October 20, 2006, 10:09:21 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"


ladkhadane do kadam mere,ye sambhlenge bhala kaise
likhi hai apni takdeer mai khud jab thonkre humne
.......................@fahi@......................


wah wah fahi ji bahut khoob........
Logged
Gesu
Yoindian Shayar
******

Rau: 0
Offline Offline

Waqt Bitaya:
19 hours and 44 minutes.

Posts: 2743
Member Since: Sep 2005


View Profile
«Reply #35 on: October 20, 2006, 10:12:11 AM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
bhar gaya saanso mai jeene ka tarana
tera is tarah sanam meri zindagi mai aana

bechain kar rahi hai roz iltzaaye khusiyo ki
de raha hai waqt bhi abra ka nazraana
bhar gaya saanso mai................

naa hai ab nigaahein jhuki,naa koi bandishe hai
aankhon mai terta hai kuch kehne ka fasana
bhar gaya sansoo mai.....................

tanhayi hui hai tanha,gum ko bhi dard hua hai
har shab dhali seher mai leker peher ka bahana
bhar gaya saanso mai...................

karti hai roshan fijaaye,aalam ko mehkaati hai
tere chehre ki surkh laali tera halke se muskuraana
bhar gaya sansoo mai.............

rab se kare dua lab ye zindagi sang tere beete
aur chalta rahe ta-umra tera mujhse nazre churana
bhar gaya sansoo mai................

bhar gaya saansoo mai jeene ka tarana
tera is tarah sanam meri zindagi mai aana.....

...............................@fahi@................................


wah bahut khoob........hamein bhaa gaya aapka mehfil mein yooon aana aur khoobsurat likh ke jaana.....keep it up....... :D
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #36 on: October 22, 2006, 09:55:45 AM »
Reply with quote
sukriya aapka.............

dheere dheere se aao na kabhi
meri dil ki duniya mai tum bhi
chipaalu tumhe main ,phir wahi
aati hai jaha.n se ye sansein sabhi

jahan se na kar sakegi maut bhi hame juda
chahenge ek duje ko hum,milkar rahenge sada
na jaha dard ka nishaan hoga ,na gumo ka koi karvaan hoga
aayegi na jaha judayi kabhi,na bichadne ka falsafa hoga

aao,leker chalu tumhe mai aisi dil ki be-inthaa gehraayi mai
jaha basakar rakhu tumhe main apni ruh ki parchaayi mai
....................@fahi@.........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #37 on: October 25, 2006, 01:00:23 PM »
Reply with quote
Bohot khoob Fahi !!
Logged
waheed_rose2004
Guest
«Reply #38 on: October 25, 2006, 06:23:12 PM »
Reply with quote
very  nice  Fahi..............
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #39 on: October 26, 2006, 03:08:53 PM »
Reply with quote
sukriya ,aap dono ka............

raahein behek rahi thi, zindagi bhatak rahi thi
meri zindagi mai sanam, tere aane se pehle
jaan taras rahi thi,aankhein baras rahi thi
palko pe meri phir sapne tere sajane se pehle

na khusiyo ka vaas tha ,na sukh mere pass tha
suni galiyo mai phirta raha,yu dard ka ahsaas tha
karta raha ibaadat teri,banake tujhe chahat meri
per yaad kiya tujhe harsu ,tanha ho jaane se pehle

har zarre mai khoja tujhe,har khayal mai socha tujhe
na gum se kara gila koi,usme bhi bas dekha tujhe
dil ko lagi thi aisi lagan,khawab mai tere tha magan
aur jitaa raha teri aas mai maut ki sada aane se pehle

Meri Zindagi mai Sanam .......tere aane se pehle....................

.........................@fahi@............................
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #40 on: October 31, 2006, 03:39:13 PM »
Reply with quote
ho gaye hai sanam yu badnaam tere ishq mai
beet-te hai bechain subah-o-shaam tere ishq mai

chahat ka teri junoon dil pe chada hai is qadar
lagta hai shikayat bhara ab aaram tere ishq mai

tasavvur mai tere har ghadi sochti dhadkane hai
jaane hoga kya agey dil ka anjaam tere ishq mai

palko pe saja rakhe hai nazraane teri hasi ke
leker dil-e-dard se humne intkaam tere ishq mai

 lamho ki aarzoo hai aaj dil mai tujhe samakar
kardu  sadke mai zindgaani tamam tere ishq mai

.......................@fahi@.........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #41 on: November 01, 2006, 02:18:50 PM »
Reply with quote
Good ones Fahi, Very nice !!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #42 on: November 02, 2006, 11:25:43 AM »
Reply with quote
thanx............

nikle is qadar anjana ishq mai dil tod bethe
unki aankhon ki haya ko inkaar samajhkar

......................@fahi@.........................
Logged
Talat
Guest
«Reply #43 on: November 02, 2006, 12:08:09 PM »
Reply with quote
Meri Zindagi ka matlab badal diya hai tumne,
Rehta hai ek nasha sa, ye kya kiya hai tumne

Ye dunya ab bemaani si lagne lagi hai mujh ko,
Jab se apni dunya main shaamil kiya hai tumne

Honton se muskurahat hat ti nahin hai mere,
Udaas na hona kabhi, jab se kaha hai tumne!!
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #44 on: November 02, 2006, 12:30:28 PM »
Reply with quote
nice 1,haan............

aankhon ki shararat se dil mera chura liya hai
o jaana kaisa mujhper jaadu tune kiya hai

sham-o-seher tera hi chehra sirf dhoondhta hun
baagi hui nigaahein ne dewaana mujhe kiya hai

na din mai chain aata hai na raato ko neend hi
waqt si tez dhadkane chale bekarar sa ab jiya hai

khawabo mai bhi tere khayalo mai gum rehta hun
ki zindagi ka har pal maine naam tere kar diya hai

..........................@fahi@...........................
Logged
Pages: 1 2 [3] 4  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 09:29:13 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.092 seconds with 24 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer