tere bina jeeya jaaye na...

by ranjana on September 01, 2006, 06:41:34 AM
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Author  (Read 6638 times)
Tabrez khan
Guest
«Reply #30 on: September 09, 2006, 09:50:41 AM »
Reply with quote
Kaash aisa ho ki tumko tumse chura loon,
waqt ko rok kar waqt se ek din chura loon,
tum paas ho to is raat se ek raat chura loon,
tum saath ho to is jahan se ye jahan chura loon.
 
 

 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere bina by tushar_4u_im in Shayri-E-Dard
~~~tere bina~~~ by deepika_divya in Shayri for Khumar -e- Ishq
Ek Pal Bhi Tere Bina Mujhse Jeeya Jaaye Na..!!...Shireen Hakani by Shireen Hakani in Shayri for Khumar -e- Ishq
jitna jeeya shaan se jeeya by jeet jainam in Miscellaneous Shayri
ranjana
Guest
«Reply #31 on: September 09, 2006, 10:01:37 AM »
Reply with quote
hum har pal us subeh ka intezaar karte hain
jis peher jab dharati aur gagan milte hain

chhaa jaata hai jab dil per mohbbat ka nasha
aur fiza mein bas gul pyaar ek khila karte hain

us pal yeh hoti kai kya kyaamat waqt ki
hum har pal bas tujhe apne mein ghum dekha karte hain !!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #32 on: September 14, 2006, 05:42:57 PM »
Reply with quote
simat ke reh gayi hai koi baat dil mein mere
woh aa ke behte hain jo pehlu mein mere

utahti nahi hai nazar ab toh unki taraf
kuch toh yeh sama bhi hai mishari sa ghole

aaj kyu lagati hai baat mujhe adhari adhuri si
kahi unki baato ka yeh asar mere dil ko na chhoo le

ajab hai haal dil ka kuch aisa ab mera
baat kehni bhi hai aur lab bhi mere kuch na hai bole!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #33 on: September 16, 2006, 07:00:48 AM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA...........

Na hansta hai na hansata hai, na rota hai na rulata hai,
shayad isliye yeh dil mera, deewangi me teri nasaaz hai.......

zahan me teri yaaden hain, aankhon me tere khawaab,
kasam khuda e-dilbar, tu mera TAJ aur tu hi meri mumtaz hai........

likh raha hoon main yeh haqiqat, kalam ki lakeeron se,
ke tu hi mera saawan hai, aur dharakano me tera hi saaz hai...........

kuch to khayaal hain, kuch haqiqat main bayan karta hoon,
PAR YEH SUCH HAI SANAM, MAIN TUMSE BEHAD PYAR KARTA HOON.................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #34 on: September 16, 2006, 07:36:00 AM »
Reply with quote
wafa ke kisse ab afsaano mein bayaan hoge
yeh ishq ke rasate yun na aasaan honge

bana diya gaya pyaar ka nishaan Tajmahel
is ishq ke kisse ab yun geeto mein bayaan hoge

barsate badal sa dekha hai hamne tere pyaar ko
mohbbat ke kuch pal ab hum par bhi meherbaan honge

aankho mein saje hain khawab aane waale dino ke
is ishq ke gawaah khud chaand sitaare aur khuda honge!!
Logged
badnaam_shayar
Guest
«Reply #35 on: September 19, 2006, 11:16:05 AM »
Reply with quote
Waaah Vicky and ranju.....

TaZ ka Rutba.....
Aur Mahobbat ka rishta....

Kabhi Khatam na hoga......

Chahe toote deewar.....
Ya Dil ho lachaar.....

Kabhi Zakhm par Marham na hoga.......

Labon ki Pyas......
Aur Zindagi ke aghaaz......

Wafa ke kartab......
Aur apno se matlab.......

Kabhi Hukm tera meri Sarhaad na hoga.......!!!!!!!!!!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #36 on: September 20, 2006, 04:40:17 AM »
Reply with quote
aaj dil ki baat kuch yun ki jaaye
har lamha bas ibaadat ishq ki ki jaaye

ka le dil ki aaj har baat puri
fir yeh milan ki ghadi  kahi gujar hi na jaaye

yugo se taras raha hai yeh dil mera bawara sa
aa jaao ab toh sajan kahi tere pyaar mein yeh dil diwaana na ho jaaye!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #37 on: September 26, 2006, 12:09:59 PM »
Reply with quote
bahut khoob RANJANA .........

Meri AANKHON me sirf ek sawaal hai,
kya wo mujhse mohabbat karte hain........

har koi padh chuka hai in aankhon ko,
chahta hoon kisko, sab poocha karte hain.......

aur rahate hain jo in pyaasi AANKHON me,
na jane kyun wo hi bas andekha karte hain........!!!!!
Logged
ranjana
Guest
«Reply #38 on: September 27, 2006, 07:26:35 AM »
Reply with quote
GOOD VICKY ....

BASE HAIN JO NAYANO MEIN AAPKE
KAHI UNKI SUART AAPKI GHAZALO SE TOH NAHI MILTI

AANKHO MEIN HAI EK JO AAPKE EK SAPANA
KAHI USKI TBAEER AAPKE  LAFAZ SI TOH NAHI DIKHATI

POOCHE JO DUNIYA TOH KEH DO UNSE
KI HUM BASTE HAIN UNKI AANKHO MEIN

AB IS DIL KI BASTI KAHI AUR NAHI HAI BASTI!!
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #39 on: November 08, 2006, 11:02:50 AM »
Reply with quote
nice one RANJANA...............!!!!!!!


Kya baat hai sanam, ki aap humse yun khafa ho baithe,
hum to milan ki khwaish me, jaan daaw pe laga baithe......

din to yaad me gujar jata hai, raha jati hai shaam baki,
dilruba teri chahat me hum, shaamo ko viraan kar baithe......

nazren milane se pahale hi, chura li yun nazren aapne,
aakhir anjane me hum tumse, kaun se khata kar baithe......

khwaab aur khayalon me, haqiqat ban tu ab hai rahati,
kasam khuda ki un lamhon ko, hum khuda hi maan baithe......

ek din tere shahar aakar, bina mile hi laut jaunga main,
phir shayad tu is ehasaas, meri MOHABBAT maan baithe.....!!!!!! sad5
Logged
Nisha meena
Guest
«Reply #40 on: November 29, 2013, 02:48:25 PM »
Reply with quote
Jb b usk gali se guzrta hu
meri akhe 1dstak de-deti h
dukh ye nh wo drwaza bnd kr deti h
kusi ye h wo muje pahchan let  
Logged
SURESH SANGWAN
Guest
«Reply #41 on: November 29, 2013, 06:46:07 PM »
Reply with quote
 Applause Applause Applause
wah waaaaaaah
Logged
Pages: 1 2 [3]  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 09:06:12 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.104 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer