"Tere Ehsaason Mein"

by angel4u on February 14, 2009, 06:47:42 AM
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Author  (Read 2823 times)
dead heart
Guest
«Reply #15 on: February 15, 2009, 10:36:39 AM »
Reply with quote
Welcome Angel jee
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
*@*Tere haseeN chehre meiN aesa rubaab haiN..."Ek Nazm& by Paigam_A_Ishq in Shayri for Khumar -e- Ishq
"Tere Shahar k LoOg" by bus1pal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
"USKI KISI DUA MEIN MERA ZIKAR HUA HI NAHI" by k.shael in Shayeri for Dard -e- Bewafai « 1 2  All »
""Tanhayi Ke Aalam Mein"" by angel4u in Share: Poetry of Pain « 1 2  All »
" tere pyar mein khud ko bhula baithe " by ravi raushan in Shayri-E-Dard
Talat
Guest
«Reply #16 on: February 15, 2009, 04:19:39 PM »
Reply with quote
Its a beautiful thread....Angel, Sajid Ji...aap dono ne bohot khoobsurti se mohabbat ke is jazbe ko qalamband kiya hai !! Applause Applause Applause

Aaina Ji a nice contribution from you as well Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #17 on: February 15, 2009, 05:51:35 PM »
Reply with quote
Tere Ehsaason Mein HaMein Harek Pal Muskurana Achha Laga,
Phir Unhi Muskurahaton Se Palkein Bhigona Achha Laga,

Ek Tera Mujhe Apni Aagosh Mein SaMetna Mujhe Mera Har Khwab Sacha Laga,
Hakikat Se Wakif The HuM Phir Bhi NaMuMkinse Khwaab Bunna Achha Laga...

Meri Aankhonko Palak Jhapkaye Bina Tera Dekhna Mujhe Achha Laga,
Meri Zulfonko Suljhate Suljhate Tera In Mein Ulajhna Achha Laga...

Kehne Ko Hai Akele Hai HuM Tanha Is Zindagi Ke Safar Mein,
Tere Qadmon Ka Saath Mere Soone Raaston Ko Achha Laga...

Mohabbat Ke Ehsaas Se To Ho Gaye The HuM Naaraz Kabke,
Phir Bhi Na Jane Kyon Tujhe Chahna HaMein Achha Laga

Har Shab, Seher, Har Dua Mein, Har Sajde Mein Maanga Tujhe,
Na Jaane Kyon Tera Har Ek LaMhe Pe Ikhtiyaar HaMein Achha Laga,

Rooh Tadapti Rahi Meri Har WaQt Tere Paas Aane Ki Khwahish Mein,
Teri Masoom Mohabbat Ki Tapish Mein Jalna Phir Bhi Achha Laga...

Kisi Ke Naam Ki Hogi Shayad Tune Apni Tamam Ghazlein,
Aaj Tere Alfaazon Mein Shaamil Hona Hamein Achha laga...


Applause Applause Applause wah wah hasina... Bahut khoob  Applause Applause
Logged
Roja
Guest
«Reply #18 on: February 15, 2009, 05:53:15 PM »
Reply with quote
Yun Mere Iqraar Ko Apni Mohabbat Se Tera Sajana Achha Laga,
Teri Mohabbat Ki Maasomiyat Mein Mujhe Nikharna Achha Laga,

Hai Teri Hi Chahaton Ka Asar Jo Nikhar Aaya Yun Wajood Mera,
Kuch Khafa Khafa Se Aayino Ko Aaj Mera Sanwarna Achha Laga,

Dheemi Maddham Chaandni Gungunane Lagi Hai Kyon Is Tarah,
Iske Bikharte Hue Nagmon Pe Aawaz Milaana Achha Laga,

Aankhon Ki Banjar Zameen Pe The To Ashqon Ke Qaarvaan Bahut,
Inki Manzilon Pe Aaj Hamein Khwaabon Ka Pighalna Achha Laga,

Zakhm Mere Bhi The Kuch Is Tarah Bilakhte Hue Sannaton Mein,
Ab Pyaar Ke Saazon Pe Tere Har Zakhm Ko Sehlana Achha Laga,

Ashq Bhoole Teri Aankhon Ka Raasta Umr Bhar Ke Liye Sanam,
Apne Khuda Se Har Pal Har Lamha Ye Dua Maangna Achha Laga,

Chahaton Ka Ye Safar Hai Mushkil Bahut Jaante Hai Hum Phir Bhi,
Tere Is Paak Wajood Mein Meri Rooh-O-Jaan Ko Samaana Achha Laga...


Amazing.... lajawab..... superb  Applause Applause
Logged
chitralsony
Guest
«Reply #19 on: February 15, 2009, 05:58:03 PM »
Reply with quote
 nice work
Logged
Roja
Guest
«Reply #20 on: February 15, 2009, 06:01:52 PM »
Reply with quote
Tera yeh iqrare wafa yeh tera baayan achcha laga
Kaha tune yeh mere liye hoga, yeh tasav_vur bhi achcha laga

Dhalte suraj ne bhi humko jhulsa diya
Bheegna chandni me teri humko achcha laga

Koi karega humse itni wafa yeh socha na tha
Ab tera banke humko jeena achcha laga

Bohat aziz the zakhm humko jo diye waqt ne
Jane q tera zakhmo pe marham rakhna achcha laga

Jin bheegi aakho me hasee ki jhalak bhi na thi
Un aakho ko tujko hasta dekh jane q achcha laga

Yaado ki basti ujda makaan tanhayee aur andhera tha mera pata
Bewatan hoker teri galiyo me rehna achcha laga

Yu to ukta gaye the shero shayri se hum
Apni ghazlo me likhna nam tera hame achcha laga

Ise sapna kahu haqeeqat kahu fasana kahu
Tujhe sirf apna samajhna GHAYEL ko achcha laga

                        -Sajid Ghayel-

Wah Ghayel sb... gayal kardiya..aapne...
Aapka likha padkar accha laga... Usual Smile







Logged
Roja
Guest
«Reply #21 on: February 16, 2009, 01:58:28 AM »
Reply with quote
bhut khoob angle...................

ek guzarish-e-deedaar pe itna guroor, acha nhi lagta
aur uspe dikhain  mohabbat ka suroor, acha nhi lagta

mana ke mahtaab sifat ho aur mahjabeen bhi lakin
khuch itna bhi itrana huzoor, acha nahi lagta

khud jinko wafao.n ka sabaq yaad nhi hai
wo bataei.n hamara qusoor, acha nahi lagta

behtar hai kardo tark-e-ta'alluq isi mod pe "aslam"
phir marasim ban jayaei.n naasoor, acha nahi lagta

aha.. kya baat hai aaina ji... bahut khoob... daad kabul kijiyega
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #22 on: February 16, 2009, 03:05:57 AM »
Reply with quote
Bahut Bahut Khoob  Applause Applause Applause
Angel aur sajid bhai,aap dono ne Bahut Hi Khoobsurat Likha Hai.. Clapping Smiley Clapping Smiley
bahut acha Aaina. Applause
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #23 on: February 16, 2009, 09:07:00 AM »
Reply with quote
Very Very Nice Nice Anjel & sajid ji. nice one by u aaina
Logged
aaina
Guest
«Reply #24 on: February 16, 2009, 01:18:14 PM »
Reply with quote
thnxx so much roja, khuwaish nd sophi ji..........

bas ye huwa ke usne takalluf se baat ki
aur hamne rote rote dupattay bhigo liye

teri  birhena  payi ke  dukh  baante  huway
humne khud apne paun mai kante chubho liye

palkon pe kachchi neend ka ras phailta ho jab
aise  mai  aankh dhoop  ke  rukh kaise kholiye

khushboo kahin na jaye pe israar hai bhut
aur  ye  bhi  aarzoo  ke zara  zulf  kholiye

tasveer jab nayi ho naya cnvas bhi ho
phir tashtari mai rang purane na gholiye(parveen shakir)
Logged
Talat
Guest
«Reply #25 on: February 16, 2009, 01:20:30 PM »
Reply with quote
thnxx so much roja, khuwaish nd sophi ji..........

bas ye huwa ke usne takalluf se baat ki
aur hamne rote rote dupattay bhigo liye

teri  birhena  payi ke  dukh  baante  huway
humne khud apne paun mai kante chubho liye

palkon pe kachchi neend ka ras phailta ho jab
aise  mai  aankh dhoop  ke  rukh kaise kholiye

khushboo kahin na jaye pe israar hai bhut
aur  ye  bhi  aarzoo  ke zara  zulf  kholiye

tasveer jab nayi ho naya cnvas bhi ho
phir tashtari mai rang purane na gholiye(parveen shakir)

Ye ghazal, aur Parveen Shakir Sahiba meri favourite rahi hain...Khaas kar pehla sher to dil ki dhadkan rok deta hai !!

Thanks for sharing Aaina Ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #26 on: February 16, 2009, 01:38:10 PM »
Reply with quote
Ye ghazal, aur Parveen Shakir Sahiba meri favourite rahi hain...Khaas kar pehla sher to dil ki dhadkan rok deta hai !!

Thanks for sharing Aaina Ji

ur welcome..........i like too parveen shkir saheba Allah paak unke jannat mai aala maraata ata farmaye(ammeen)
kia baat thi unki..............ek alga soch ka andaaz wow unke ek do shair yaad aa rhe hain.................................

khuli aankho mai sapna jhaankta hai
wo soya hai ke kuch kuch jaagta hai
mujhay har kayfiyaat mai kyn na samjhe
wo mere sab hawalay jaanta hai
Logged
Roja
Guest
«Reply #27 on: February 16, 2009, 01:38:41 PM »
Reply with quote
thnxx so much roja, khuwaish nd sophi ji..........

bas ye huwa ke usne takalluf se baat ki
aur hamne rote rote dupattay bhigo liye

teri  birhena  payi ke  dukh  baante  huway
humne khud apne paun mai kante chubho liye

palkon pe kachchi neend ka ras phailta ho jab
aise  mai  aankh dhoop  ke  rukh kaise kholiye

khushboo kahin na jaye pe israar hai bhut
aur  ye  bhi  aarzoo  ke zara  zulf  kholiye

tasveer jab nayi ho naya cnvas bhi ho
phir tashtari mai rang purane na gholiye(parveen shakir)

Bahut accha gazal aapne share ki hai aaina... Thanks for this nice stuff.
Logged
angel4u
Guest
«Reply #28 on: February 18, 2009, 04:31:35 PM »
Reply with quote
Thanks all for appreciating...  happy3
Logged
angel4u
Guest
«Reply #29 on: February 18, 2009, 04:34:18 PM »
Reply with quote

Kuchh Tere Hi Ehsaason Mein Khoye The Yun Har Pal Har Lamha,
Tasavvur Mein Raha Tu, Tere Aqs Ko Bhi Kuch Yun Hi Chaha,
Chhoda Tha Jise Palkon Ki Kataron Mein Sadiyon Se Humne,
Tu Saamne Aaya Mere Jaise Mere Ek Masoom Khwaab Ki Tarah...
Logged
Pages: 1 [2] 3  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
December 22, 2024, 11:05:36 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
by mkv
[December 22, 2024, 05:36:15 PM]

[December 19, 2024, 08:27:42 AM]

[December 17, 2024, 08:39:55 AM]

[December 15, 2024, 06:04:49 AM]

[December 13, 2024, 06:54:09 AM]

[December 10, 2024, 08:23:12 AM]

[December 10, 2024, 08:22:15 AM]

by Arif Uddin
[December 03, 2024, 07:06:48 PM]

[November 26, 2024, 08:47:05 AM]

[November 21, 2024, 09:01:29 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.143 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8508 Real Poets and poetry admirer