~Tere Ishq Ne~

by majid on May 13, 2010, 01:20:00 PM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 2701 times)
majid
Guest
Reply with quote
           Charcha  Is  Qadar  Mera Sar-e-Aam  Kar Diya Hai
           Kuch  Yun  Tere Ishq  Ne Mera  Naam Kar Diya Hai.
              

           Bin Piye Hi Jaise  Madhosh Sa Hone  Laga Hun Men
           Samne Jabse Tune Aankhon  Ka Jaam Kar Diya Hai.
            

           Bata Tujhsa Hasin Kaun  Hai Aey Dilbar , Ki Teri Hi
           Zulfo,n  Ne  Meri  Suboh  Ko , Shaam  Kar Diya Hai.
              

           Yun Barse Hain Jhoom  Ke  Tere  Ehsason Ke Badal
           Ki Banjar Se Dil Ko Bhi Mere, Gulfaam Kar Diya Hai.
            

           Karun B To Kaise Ada Shukra Us Khuda Ka Main Ki
           Bin Mange Hi Mujhe Ata , Aisa  Inaam Kar Diya Hai.



                                  ~Shihab~
 
 
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
tere ishq me by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
tere ishq me by tushar_4u_im in Shayri for Khumar -e- Ishq
TERE ISHQ VICH DAMAN LEERO LEER KEETA(ASGHAR) by Asghr in Friendship Poetry in Punjabi
ishq me tere (nam) by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq
ishq me tere...(nam) by poonamA in Shayri for Dard -e- Judai
vb
Guest
«Reply #1 on: May 13, 2010, 01:26:49 PM »
Reply with quote
Buhat achhay... khoob !
Logged
Mohammad Touhid
Umda Shayar
*

Rau: 35
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
38 days, 12 hours and 35 minutes.

'I' 'Luv' d Way 'U' 'Forget' Me..!.!

Posts: 7160
Member Since: Aug 2009


View Profile
«Reply #2 on: May 13, 2010, 01:35:38 PM »
Reply with quote
Wah..!!!!! Usual Smile Usual Smile

Bahut Khub Shihab sahab........ Thumbs UP Thumbs UP

zindagi se koso door tha mai,
tere ishq ne jeena sikha diya..
hasi ka nam-o-nishan na tha,
tere ishq ne muskurana sikha diya.. Usual Smile Usual Smile
Logged
khwahish
WeCare
Khaas Shayar
**

Rau: 166
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
272 days, 6 hours and 11 minutes.

Posts: 11814
Member Since: Sep 2006


View Profile
«Reply #3 on: May 13, 2010, 01:59:54 PM »
Reply with quote
Waah Waah Waah....

Bahut Bahut Khoob Majid Bhai..

Bahut Hi khoobsurat Peshkash Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #4 on: May 13, 2010, 04:11:30 PM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

yahaan YO me roz kavitayein padhta hoon. bahut log likhte hain. bahuton ka achcha lagta hai padhna. kuch logon ka likha hua ek baar padh ke fir bhool jate hain. aur aap jaise kuch ka likha ek baar padh ke mann nahi bharta. baar baar padhte hain jisse uska asar dilo dimaag pe pad jaaye. kuch aise nazm hote hain jinhe hum bhoolna nahi chahte aur gungunaate rehna chahte hain. kahin bhool bhi jaayen to waapas jaake fir padh lete hain. itne khoobsurat hote hain kuch ghazal ki padhte hi bas poore sharir me ek alag sa nasha chhane lagta hai. aur aapka likha hua aaj ka ye nazm kuch waisa hi hai. sochta hoon kabhi kabhi ki kahaan se laate hain aap ye ehsaas, kahaan se laate hain aap se shabd. aapki kavita ki sundarta ko dekh ke sundarta bhi apna chehra chhipa le. kaash hum bhi aap jaisa likh paate. bahut bahut khoob....!!!

 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
nazar ghouri
Guest
«Reply #5 on: May 13, 2010, 09:38:32 PM »
Reply with quote
ghazal teri hai,gungunaraha hoon mein...
teri tehreer ne kuch aisa asar kardiya...


tareef ke liye lafz na mile ,iss shair ko daad samajhlijiega janab..bhot koob wah.
Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #6 on: May 13, 2010, 09:46:27 PM »
Reply with quote
Wah wah Shihab ji bahut hi khoob.very romantic and mindblowing creation,beautiful lines by Touhid ji and Nazar ji,Kapil ji ne sach kaha kuch logo ke poem baar baar padne ko mann karta hai,bas aap aise hi likhte rahega.excellent Hats off to you! Both Thumbs Up Applause Applause Applause Applause Applause Applause Applause icon_thumleft
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #7 on: May 14, 2010, 11:32:53 AM »
Reply with quote
Shihab bhaa'ii:

Aadaab!

kaise hai.n aap?

ummid kartaa huuN aap hame bhooleN nahiiN hoNge ! baRe dinoN baad aapko paRh rahaa huuN.. aap ki liKhaawaT ki Khoobee hay aapkaa aNdaaz.. jiss aNdaaz meiN aap lafzoN ko peSh karte hai.n ik alag hi aCar hotaa hai paRhne waaloN pe.. Ghazal tou Khoob kahi hay mujhe maQ'taa KhaaS pasaNd aayaa.. dil se daad qabUl keejiye..

aise hi liKhate raheN.. Khudaa se duaa hay aap aur bhee behtar liKheN.. Zor-e-qalaam aur baRheN ziyaadaa'h!

Khudaa haafiz

duaaoN ke saath ijaazat

aapka

~ Dhaval
Logged
qadeer_junaid
Maqbool Shayar
****

Rau: 17
Offline Offline

Waqt Bitaya:
15 days, 15 hours and 40 minutes.
Posts: 608
Member Since: Apr 2010


View Profile
«Reply #8 on: May 14, 2010, 09:40:48 PM »
Reply with quote
wah shihab saheb ,, bahoth qoob ,ghazal nazar nawaz howi, har ashar apni hi wazah me ,, lajwab bahoth hi qoob kaha apne .. hazaro dad ba awaz a buland qubool karen ...allah apke kalamo ko miyari izath de ..



duwa go

qadeertoopchi
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #9 on: May 14, 2010, 10:58:31 PM »
Reply with quote

Shukriya dost.... Main fidaa ho gaya aapki in do lines pe...
Applause Applause Applause

dosti ki hai aapse bhulaane ke liye nahi,
aaye ho meri zindagi me jaane ke liye nahi,

sajate raho aap yunhi apne eshaas shadbo se,
ye bahaaw ehsaason ka ruk jaane ke liye nahi,

chalti hai kalam to chalne do use bekhauff,
ye hunar jo aapki hai chhipaane ke liye nahi...


Janab Klaskar Ji....
Samajh Nahi Aa Raha Hai Ki Kaise Aapka Shukariya Ada Karun.!
Aapne To Meri Auqaat Se Jyaada Hi Kuch Tareef Kardi Hai...khair
Aapne Jis Khoobsurat Andaaz Mein Tareef Ki Hai Usse Parhkar To
Dil Baagh Baagh Ho Gaya Mera.Aur Hauslon Ne Bulandiyon Ko Chhu Liya.
Bas Janaab Yeh Sab To Aapki Nazron Ka Karam Aur Sada Dili Hai Ki
Aap Is Qadar Muhabbaton Ke Saath Parh Rahe Hain...Khair
Bahut Bahut Shukariya Aapka Is Qadar Khoobsurat Tahsin Ke Liye
Aapka Tahe Dil Se Mamnun Hoon Ki Aapne Apna Waqt Diya Aur
Is Qadar Pasand Farmaaya... BahuT Shukariya Izzat Afzaii Ke Liye...

Yeh Do Line Aapke Liye....



  Dil Ke Jazbaat Aksar Alfaazon Men Dhal Jaate Hain
       Kitna Bhi Roko Inhe, Magar Yeh Nikal Hi Aate Hain.

            Yeh To Aap Jaise Doston Ka Pyaar Aur Muhabbat Hai
                  Warna Hum Jaise To Kahin Aate Aur Chale Jate Hain...!



Khush Rahiye...


~Shihab~

Logged
madhuwesh
Guest
«Reply #10 on: May 14, 2010, 11:42:05 PM »
Reply with quote
Wow Kapil ji,bahut khoob .lovely lines. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
DhavalRami
Guest
«Reply #11 on: May 15, 2010, 04:43:33 AM »
Reply with quote
Aadab Dhaval Bhai
Aur ALLAH Ke Fazalo Karam Se Main Bilkul Thik Hun Aap Snayen.!
Aur Janab Aap Hume Sharminda Kar Rahe Hain. Bhala Aap Jaise
Sada Dil Shaqsiyat Ko Kaun Bhool Sakta Hai Hum Nahi Bhoolen Hain.
Khair...

Bas Bhai Karam Hai Aapki Nazron Ka
Baaqi Humari Kya Bisaat Hai Aapke Aagey.!
Aap Jaise Urdu Dan Aur Danishwar Shaqs Ko
Mujh Gharib Ka Likha Pasand Aaya Yeh Meri
Khushnasibi Hai.Bahut Shukariya Izzat Afzaii Ke Liye
Aapka Tahe Dil Se Mamnun Hoon Ki Aap Yahan Aaye
Pasand Farmaaya Aur Apna Kimti Se Kimti Waqt Diya...
Aapki Maujudgi Ne Hauslon Ko Bulandiyon Tak Punhcha Diya


Khush Rahiye...


~Shihab~


Shihab bhaa'ii:

Aadaab!

ab janaab aap hameiN Shamamsaar kar raheN hai.n.. maiN ko'ii urdu dan yaa daniShwar nahiiN bas aap sab ki hi taraH ik taalib-ilm huuN jo aap sab ko paRh kar hi kuChh seeKhataa haii.. aap Khoob liKhate haiN..itni izzat afzA'ii ke liye maiN maShqoor huuN  aapka!

saath banaaye raKheN ees safar meiN..

Khudaa Haafiz

aapka

~ Dhaval
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #12 on: May 15, 2010, 11:11:44 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley   Applause   Applause   Applause   icon_thumleft
Logged
thinkhattk
Guest
«Reply #13 on: May 15, 2010, 11:48:24 AM »
Reply with quote
wellcome shahib ji....
thenga isliye dikha kyuki aapko keep it up kehne ke liye....
Logged
~Hriday~
Poetic Patrol
Mashhur Shayar
***

Rau: 115
Offline Offline

Gender: Male
Waqt Bitaya:
101 days, 3 hours and 51 minutes.

kalam k chalne ko zamaana paagalpan samajhta hai.

Posts: 16243
Member Since: Feb 2010


View Profile WWW
«Reply #14 on: May 15, 2010, 01:59:01 PM »
Reply with quote
shukriya Madhu ji...!!!

Wow Kapil ji,bahut khoob .lovely lines. icon_thumleft Applause Applause Applause Applause
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:15:53 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 25 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer