"tere khato.n ko padta ja rha hu.n"

by aaina on July 09, 2009, 11:08:22 AM
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Author  (Read 1511 times)
aaina
Guest
Reply with quote
Tere khato.n ko padhta ja raha hu.n
Mutawatir muskurata ja raha hu.n

Jo tune meri khatir khoon e dil se likhe
Mein un lafzo.n ko chume ja raha hu.n

Kya koi itna kisi pe marta hai?
Ye sochun to main ghabra ja raha hu.n

Wo meri dhadkano ko chu raha hai
Zakhmi ho na jaye darta ja raha hu.n

Raaton ko aur kabhi din main bhi aksar
Usi ke khaab daikha ja raha hu.n

Satata hai mujhe wo akhri pehro.n
Main un lutfo mai duba ja raha hu.n

Mana leta hu.n usko jo rooth ke aslam
Qareeb utna main hota ja raha hu.n
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
~~"baad tere"~~ by agr_navneet in Shayri-E-Dard
"Tere Shahar k LoOg" by bus1pal in Shayeri for Dard -e- Bewafai
"Tere Ehsaason Mein" by angel4u in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
" tere pyar mein khud ko bhula baithe " by ravi raushan in Shayri-E-Dard
tere bin--Designed and written- "Abhi" by AbhiTamrakar in Shayri for Khumar -e- Ishq
madhuwesh
Guest
«Reply #1 on: July 09, 2009, 11:10:47 AM »
Reply with quote
Wah Aslam ji excellent,very nice and beautiful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #2 on: July 09, 2009, 11:13:48 AM »
Reply with quote
Wah Aslam Bhai... Behad Khubsoorat Jazzbaat Likhe hain Dost.. Lafzon Ko Behad Khubsoorti se Sajaaya hai aapne Is Nazm me.. Bahut Bahut Khoooooooooooooob.. Applause Applause


Daad Kubool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**
Logged
Talat
Guest
«Reply #3 on: July 09, 2009, 11:41:33 AM »
Reply with quote
 Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

Bohot bohot khoob Aslam Ji...bohot hi haseen ghazal...aur khaas kar ye asha'ar behad achche hain :

Kya koi itna kisi pe marta hai?
Ye sochun to main ghabra ja raha hu.n

Wo meri dhadkano ko chu raha hai
Zakhmi ho na jaye darta ja raha hu.n


Mashallah kya kamal hai aapki qalam main...Allah is ki kashish yunhi barqarar rakhe, ameen.
Logged
deepika_divya
Guest
«Reply #4 on: July 09, 2009, 02:44:38 PM »
Reply with quote
Fantastic.. Bahoot bahoot Khoob Aslam ji.. Bahoot hi behtareen Qalam pesh kiya hai.. Bahoot Khoob!
Logged
Roja
Guest
«Reply #5 on: July 09, 2009, 03:38:27 PM »
Reply with quote
 Applause Applause
Bahut bahut khoob Aslam ji  Thumbs UP
Logged
shayara
Guest
«Reply #6 on: July 09, 2009, 04:20:21 PM »
Reply with quote
Aaina Ji,

Khoobsurat ghazal
Logged
javedarshad
Guest
«Reply #7 on: July 09, 2009, 05:25:56 PM »
Reply with quote
Tere khato.n ko padhta ja raha hu.n - Tere khutoot jo padhta ja raha hun main
Mutawatir muskurata ja raha hu.n -    Jaise aik nayee zindage pa raha hun main

Jo tune meri khatir khoon e dil se likhe-  apne lahu se jinko sawara hai tune
Mein un lafzo.n ko chume ja raha hu.n-  apne labon se unko jila de raha hun main

Kya koi itna kisi pe marta hai?
Ye sochun to main ghabra ja raha hu.n- yehi sooch ker jiye ja raha hun main

Wo meri dhadkano ko chu raha hai  -     jo bangaye hain dhadkanain dil ki mere
Zakhmi ho na jaye darta ja raha hu.n -  khushi mer na jaun der raha hun main

Raaton ko aur kabhi din main bhi aksar- rat ho din ho saher ho ke shaam
Usi ke khaab daikha ja raha hu.n -      tere hi khuwaab dekh raha hun main

Satata hai mujhe wo akhri pehro.n
Main un lutfo mai duba ja raha hu.n

Mana leta hu.n usko jo rooth ke aslam
Qareeb utna main hota ja raha hu.n[/size][/b][/center]
[/quote]



bahut khoob

just as u ask , I write few ashar for your advice


tx


javed
Logged
aaina
Guest
«Reply #8 on: July 10, 2009, 07:57:44 AM »
Reply with quote
Wah Aslam ji excellent,very nice and beautiful creation. icon_thumleft Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley

thnxx so much madhu for ur appriciation
Logged
salil2002
Guest
«Reply #9 on: July 10, 2009, 08:15:42 AM »
Reply with quote
bahut achche aslam bhai ..........dil khush ho gaya aapki poem padkar......kya lajawaab peshkash hai ishq kii chaasni main doobi huyi


Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #10 on: July 10, 2009, 09:11:42 AM »
Reply with quote
Tere khato.n ko padhta ja raha hu.n
Mutawatir muskurata ja raha hu.n

Jo tune meri khatir khoon e dil se likhe
Mein un lafzo.n ko chume ja raha hu.n

Kya koi itna kisi pe marta hai?
Ye sochun to main ghabra ja raha hu.n

Wo meri dhadkano ko chu raha hai
Zakhmi ho na jaye darta ja raha hu.n

Raaton ko aur kabhi din main bhi aksar
Usi ke khaab daikha ja raha hu.n

Satata hai mujhe wo akhri pehro.n
Main un lutfo mai duba ja raha hu.n

Mana leta hu.n usko jo rooth ke aslam
Qareeb utna main hota ja raha hu.n
Nice one Aslam Ji
Logged
Rajesh Harish
Guest
«Reply #11 on: July 10, 2009, 09:12:19 AM »
Reply with quote
Good response Javed Ji
Logged
aaina
Guest
«Reply #12 on: July 10, 2009, 04:14:59 PM »
Reply with quote
Wah Aslam Bhai... Behad Khubsoorat Jazzbaat Likhe hain Dost.. Lafzon Ko Behad Khubsoorti se Sajaaya hai aapne Is Nazm me.. Bahut Bahut Khoooooooooooooob.. Applause Applause


Daad Kubool Karen..  Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley Clapping Smiley


**~** Mann **~**

bhut bhut shukriya mann
Logged
aaina
Guest
«Reply #13 on: July 10, 2009, 04:27:32 PM »
Reply with quote
Fantastic.. Bahoot bahoot Khoob Aslam ji.. Bahoot hi behtareen Qalam pesh kiya hai.. Bahoot Khoob!

[thnxxx so much sophi ji[/b]
Logged
aaina
Guest
«Reply #14 on: July 10, 2009, 04:29:18 PM »
Reply with quote
Applause Applause
Bahut bahut khoob Aslam ji  Thumbs UP

thnxxx so much roja dear
Logged
Pages: [1] 2  All
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 04:51:54 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.106 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer