Daredevil
Guest
|
Main Apna Aaj apna kal Tumhare Naam Karta hoon Main is Jeewan ka Her Ek Pal Tumhare naam Karta Hun
Khazan Sardiyan Garmi Baharain Barishain Mian Her muasaam Ka Her Her PaL Tumhare Naam karta Hun
Sitaray Titliyan Jugnoo Gull-O-BullBull Dhanak Khushbo Yah sare Husaan kie Chall Ball Tumhare Naam Kerta Hun
Mera Guzera Hua Kal Tu mere mazi Ka Hisa hay Main Apna Aaj apNa kal Tumhare Naam KerTa Hun
Tumhare Bin yah her Ek pal Mughay Bechean RakhTa Hay Main Apna Dil jo hay Bekal Tumhare Naam kerta Hun
Barsta Bhigta Muasaam hay Kamzori mere LaKen Main yah Sawan Ghata BaDal Tumhare Naam kerta Hun
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #1 on: October 17, 2008, 11:19:23 PM » |
|
Haan Pyaar Nahi Ishq Nahi Ibadat Ki Hai Mein Ne Rasmon Se Riwajon Se Baghawat Ki Hai Apni Makhmoor Nigahon Main Basa Kar Mujh Ko Tu Ne Bhi Toot Ker Mujh Se Jo Mohabbat Ki Hai Qabool Ker Ke Mujhe Thukra Dia Hai Duniya Ko Main Ne Bhi Tere Liye Duniya Se Adaawat K Hai Haseen Azaala Hai Karam Hai Ya He Khush Bukhti Apne Malik Se Main Ne Jo Shikayat Ki Hai Karoon Main Kese Adaa Shuker Iss Nawazish Ka Mere Maahboob Tu Ne Jo Inaayat Ki Hai Khood Se Bhi Berh Ker Main Ne Tujh Chahat Ki Hai Haan Pyaar Nahi Iahq Nahi Ibadaat Ki Hai
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #2 on: October 17, 2008, 11:20:38 PM » |
|
tum yaad ho tou naqsh ho mere hawaas per tum ashq ho tou mere dukhon ka ilaaj ho tum khawab ho tou meri in aankhon mein ho kahin
tum weham ho tou mujh ko haqeeqat say kia gharz tum baaes e safar ho hunar ki uraan ho tum neend ho tou soo ka guzarein gay ye hayat tum husun ho tou mere takheel ki jaan ho
tum raat ho tou mujh ko nahi subha ki talab tum noor ban k dil mein samaye ho aaj kal tum khaak ho tou khaak nashino ki ho talash tum dard ho tou rooh per chaaye ho aaj kal
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #3 on: October 17, 2008, 11:21:07 PM » |
|
tum dasht ho tou main bi musafir hon dasht ka tum chand ho tou talkh andheron ki fikar kia tum bey nayaz ho tou zamany say ho alag tum rang ho tou phir ye baharon ka zikar kia
tum bey samar rutoon mein baharon ki ho umeed tum raahguzar shouk mein jazba junoo ka ho tum aarzo ho aahl e tammana ki ho khalsh tum ratjagon ki bheer mein lamha sakoon ka ho
tum beywafa rutoon mein hawala ho ishq ka tum beybasi ho phir bhi muheet e hawaas ho tum ek kiran ho noor e azal mein dhuli hui tum tazgi ho shabnami phoolon ki aas ho
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #4 on: October 17, 2008, 11:21:46 PM » |
|
tum gehray paanio mein chupay mautoon ka lams tum maut k safar mein nishaan e hayat ho
tum meri chasm e nim k sitaron ki kehkshaan tum husn e beymisaal meri kainat ho
tum jab say ho gaye ho meri dastras say duur main jee raha hon ku k zarori hai zindagi saanso ko bhooj ko bi uthaya hai rooh ney lakin tere beyghair adhoori hai zindagi
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #5 on: October 17, 2008, 11:22:30 PM » |
|
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #6 on: October 17, 2008, 11:23:18 PM » |
|
Barson ke baad dekha, Aik shakhs Dilruba saa Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey, Aankhain jhuki jhuki see Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke, Yaadon mein yaad uss ki Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen Taaza Rifaaqaton sey, Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key, andaaz dosti ke Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #7 on: October 17, 2008, 11:24:01 PM » |
|
Barson ke baad dekha Aik shakhs Dilruba saa Ab zehen mein naheen hai per naam tha bhala saa
Ubroo khichey khichey sey Aankhain jhuki jhuki see Baatein ruki ruki see Lehja thaka thaka saa
Alfaaz thay ke Jugnoo, awaaz ke safar mein Bun jaaey jungalon mein jaisey ke Raasta saa
Khawabon mein khawab Uss ke Yaadon mein yaad uss ki Neendon mein ghul gaya ho jaisey ke rat-jaga saa
Pehley bhi zindagi mein kitney hee loug aaey Woh her tarha sey lekin auron sey tha juda saa
Agli muhabboton ne, woh na-muraadian deen Taaza Rifaaqaton sey Dil tha dara dara saa
Ab such kahein tou yaaro Hum ko khaber naheen thi Bun jaaey ga qayamat Aik waaqaya zara saa
Taywer thay berukhi key andaaz dosti ke Woh ajnabi tha laikin lagta tha Aashna saa
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #8 on: October 17, 2008, 11:24:25 PM » |
|
WOH MERA THA YEH BATANA AJEEB LAGTA HAI AB US SE AANKH MILANA AJEEB LAGTA HAI
JO ZINDAGI MAI KABHI BHI MERA HO NA PAYA AB US KA KHWAAB MAI AANA AJEEB LAGTA HAI
BARAY KHULOOS SE DAWAT TO US NE BHEJI HAI PAR US KI MEHFIL MAI JANA AJEEB LAGTA HAI
THA JIS KA HAATH HAMESHA HAMARAY HAATHOO MAI AB US SE HAATH MILANA AJEEB LAGTA HAI
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #9 on: October 17, 2008, 11:31:14 PM » |
|
Aiy mairy humnasheen chal kahen aur chal iis chamn mein ab apna guzaraa nahey baat hotii guloon tak to seh laitay hum ab to kantoon pay bhi haq humara nahey
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #10 on: October 17, 2008, 11:31:33 PM » |
|
Teray firaaq key lamhey shumaar kartey howe Bikhar chalein hein terra intazaar kartey howe
To mein bhii khush hoon koi uss sey gaa key keh denna Agaar woo khush hey mujhey beqaraar kartey howey
Tumhein khabar he nahin key koi toot gayya Muhabbatoon ko buhat paeydar karteey howey
Mein muskarata howwa aeenay mein ubhroon gaa Wo roo parey gii acchanak singhar kartey howey
Mujhey khabar thi key abb loot kar naa aaoon gaa Soo tujh koo yaad kia dil pey war kartey howey
Woo keh rahhi theey samandar nahin aankhen hein Mein unn mein doob gayya aetibaar kartey howey
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #11 on: October 17, 2008, 11:31:52 PM » |
|
na hareef-e jaan, na shareek-e ghum shab-e intizaar, koi to ho kisay bazm-e shock main layain hum dil-e bay karar koi to ho
kisay zindagee hay azeez ab kisay aarzoo-aay shub tarab magar aay nigaray wafa talab tera aitabar koi to ho
kaheen tar-e daman-e gul milay tu yeh maan lain k chamman khilay k nishanay fasl-e bahaar ka saray shakhsar koi to ho
yeh udaas udaas say bam-o-dur yeh ujaar ujaar c rah guzar chalo hum naheen na sahee magar sarray koo-aay yaar koi to ho
yeh sakoon-e-jaan kee gharee dhalay to charagay dil hee na bujh chalay woh bala say ho ghum-e-ishq ya ghum-e-rozgar koi to ho
sarray maqtalay shab-e-aarzoo rahay kuch to ishq kee aabroo jo naheen adoo to faraz tu k naseeb-e-daar koi to ho
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #12 on: October 17, 2008, 11:32:33 PM » |
|
main dhoubh jaoun teri ein jheel sii gahri ankhoun main phir apni barbadi ka Eilzam teray nam kar doun
main apni Rouh koo teray Wajood mai bhar doun phir apni zaat apna har payam teray naam kar doun
tou mojhay mouhubat ka aghaz day sanam main apnay payar ka anjam teray naam kar doun
mouhobatoun kay qaseeday likhoun teri sana mai hazaron payar kay paygham teray naam kar doun
hou jis ka zikar mouhubaat kii har kahani mai eik aysa payar ka paygham teray naam kar doun
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #13 on: October 17, 2008, 11:33:03 PM » |
|
Ik tere naam se kitnee yadain beykal ho jatee hain Main rona nahi chahta laiken ankhain jalthal ho jatee hain
Kahan se aayi janey mugh main itnee chahat itnee shiddat Judai k naam pey meeri apni sansain qatal ho jatee hain
Jo jo sun ker sehtey they aab sab samjh main aata hai Bicher ker kissi se kaisey bhala umaiden pagal ho jatee hain
Sab darwaze band hue tu dar khula duaoon ka Uss k karam se dekha aksar rahain manzil ho jati hain
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
Daredevil
Guest
|
|
«Reply #14 on: October 17, 2008, 11:33:36 PM » |
|
Yaadon Sey Rishta Kal Bhi Tha Yaadon Sey Rishta Aaj Bhi Hai Dil Kal Bhi Apna Dukhta Tha Dil Afsurdaa Sa Aaj Bhi Hai
Tum Door Huvey Majboori Mein Hum Toot Gaye Is Doori Mein Kabhi Waqt Miley Tu Lout Aana Ye Dil Ka Dar Vaa Aaj Bhi Hai
Woh Sahil Woh Mitti Geeli Mitti Ke Gharondey Sahil Per Sahil Ki Bipherti Mojoon Se Gharondon Ko Bachana Aaj Bhi Hai
Tum Khush Ruho Abaad Ruho Dil Apna Tu Barbaad Huva Gham Dil ka Sahara Kal Bhi Tha Aur Gham Ka Mara Aaj Bhi Hai
Yeh Ashk Nahi Hain Aankhon Mein Ye Taarey Jhilmil Kartey Hain In Aankhon Mein Jo Kal Tuk Tha Vohi Chaand Sa Chehra Aaj Bhi Hai
Ab Shikva Kisi Se Kya Karna Taqdeer Mein Jo Likha Tha Mila Gham Kal Bhi Mera Sarmayaa Tha Gham Mera Virsa Aaj Bhi Hai
NM
|
|
|
Logged
|
|
|
|
|