Teri ho jaau~~~~~

by Pankhuri2 on June 19, 2006, 04:57:42 AM
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Author  (Read 3750 times)
Pankhuri2
Guest
Reply with quote
Teri in madbhari ankhon mai kho jaau
sari duniya chod kar bas teri ho jaau

sari duniya ko apne dil ka haal sunau
bas ek tuje her ek pal gungunau

haya ka parda utha kar ajj
tujko ajj apna khuda banau

Teri in madbhari ankhon mai kho jaau
sari duniya chod kar bas teri ho jaau
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaise Main So Jaau by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Teri Main Ho Jaau by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
iss kadar ban ke bigad jaau by sunildehgawani in Shayri-E-Dard
teri ho jaau (nam) by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #1 on: June 19, 2006, 05:29:23 AM »
Reply with quote
very nice pankhuri ji..............

 ishq ke jaadu ki kya ye mishaal hai kam
 unki aankhon main dubkar bhi dube nahi hum

.............@fahi@................
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #2 on: June 19, 2006, 05:41:33 AM »
Reply with quote
ja ve harjaiya, phir teri muhobat mai nahi dum
soch jara baith kar, kayun muhobat teri hai kum
nasha uske naam sun kar hi chad jaata hai
dekh le jo wo ek najar, tan-man behak jaata hai
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #3 on: June 19, 2006, 05:58:27 AM »
Reply with quote
meri mohabbat ko harjayi keh rahe hai woh
   mashur hue the jo kabhi Sitamgar ke naam se

..............@fahi@...............
Logged
ranjana
Guest
«Reply #4 on: June 19, 2006, 06:38:25 AM »
Reply with quote
bahut khub Pankhuari and Fahi ji......

na jaane aaj kin nazaro se dekha unhone hame
hum  unki   aakho  mein   bas   kho ke reh gaye......
aaye they unse unka dil  lene,aur hum hi unke ho ke reh gye
Logged
_Vicky_
Guest
«Reply #5 on: June 19, 2006, 08:35:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
Teri in madbhari ankhon mai kho jaau
sari duniya chod kar bas teri ho jaau

sari duniya ko apne dil ka haal sunau
bas ek tuje her ek pal gungunau

haya ka parda utha kar ajj
tujko ajj apna khuda banau

Teri in madbhari ankhon mai kho jaau
sari duniya chod kar bas teri ho jaau


bahut khoob POOJA JI..
and nice one RANJANA JI .. aur PJAG.....

Nigahon ne teri sanam, yeh kaisa kahar dhaya hai,
bin piye sharab ka nasha, mujh par chad aaya hai....

madbhari teri in aankhon ne, madhosh kiya iskadar,
is bhare jahan me mujhe, ek tujh par hi pyar aaya hai.....

haya ke is parde ko, ab rukh se zara uthao sanam,
choom loon labon ko, jinhone katl-e-aam machaya hai....

ab hai bas yehi tamanna, aur yahi dil ki hai aarzoo,
in madbhari aankhon me teri, ban sharabi bas jana hai......
Logged
Anushka
Guest
«Reply #6 on: June 19, 2006, 10:32:03 AM »
Reply with quote
Wah wah bahut hi kuhsurat likh hai Pankuri and sab nay...just lovely!
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #7 on: June 19, 2006, 11:35:38 AM »
Reply with quote
bahut khoob pankhuri

taarik zindagi hai aankhon me bhi nami hai
 veeran hai dil ka aangan koi phool ab na khilta
  khamosh hain sadaen gamgeen hain fizaen
   titali bhi kuch hai gum sum chidiya bhi ab na gaati
    ek tum jo aa bhi jaao aalam hi naach uthe..
Logged
Pooja
Guest
«Reply #8 on: June 19, 2006, 02:05:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
meri mohabbat ko harjayi keh rahe hai woh
   mashur hue the jo kabhi Sitamgar ke naam se

..............@fahi@...............


husan hai to sitam bhi hoga
Ashiq hai tu, to deewana bhi hoga
Logged
Pooja
Guest
«Reply #9 on: June 19, 2006, 02:34:41 PM »
Reply with quote
Quote from: "ranjana"
bahut khub Pankhuari and Fahi ji......

na jaane aaj kin nazaro se dekha unhone hame
hum  unki   aakho  mein   bas   kho ke reh gaye......
aaye they unse unka dil  lene,aur hum hi unke ho ke reh gye


hamesha ki tarah bahoot hi acha likha hai Ranju apne...
aor shukaria apko mera likha acha laga..

her ada unki kar de deewana
her najar unki se behak jaana

wo uska qatilana andaz mai muskana
aor dekh use mera madhosh ho jaana

her baat per uska mujko samjhana
laker baho mai kahin phir kho jaana

her ada unki kar deti hai mujko deewana.......
Logged
Pooja
Guest
«Reply #10 on: June 19, 2006, 03:01:01 PM »
Reply with quote
Vicky ji apka apna hi ek mast andaz hai likhane ka... bahoot acha likhte hai app ne.

nahi hai kuch bhi maine pilaya
tere sharati deemag mai na jane ajj kaya hai ayya

tere chehre per yah kaya nikhar ayya
humko bhi sanm ek bas tuj per payaar ayya

haya ka prda to rehega hamesha bich hamare
yah kaya kah ker apne hai mujko bulaya

nahi badal sakte app apni yah ek adat
dekho phir hai ser-e-am, muje per ilzaam lagaya
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #11 on: June 19, 2006, 03:10:09 PM »
Reply with quote
woh sochte hai ki husn dega hamesha saath unka
      per hakikat mai ye webafa sada nahi tikta
   
Quote from: "Pooja"
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
meri mohabbat ko harjayi keh rahe hai woh
   mashur hue the jo kabhi Sitamgar ke naam se

..............@fahi@...............


husan hai to sitam bhi hoga
Ashiq hai tu, to deewana bhi hoga
Logged
Pooja
Guest
«Reply #12 on: June 19, 2006, 03:10:14 PM »
Reply with quote
Quote from: "tabassum shakeel"
bahut khoob pankhuri

taarik zindagi hai aankhon me bhi nami hai
 veeran hai dil ka aangan koi phool ab na khilta
  khamosh hain sadaen gamgeen hain fizaen
   titali bhi kuch hai gum sum chidiya bhi ab na gaati
    ek tum jo aa bhi jaao aalam hi naach uthe..


wah kaya andaaz-e-bayan hai apka.... kis kadar udas mahol bayan kar ke apne last line se fiza khilla di... bahoot acha laga apko pad kar..

khil jaata hai dil tere ane ke baad
aa jati hai patjhar tere jaane ke baad
chehak uthata hai rom rom mera tere ane ke baad
aor rahta hai her pal tera intzaar, tere jaane ke baad
Logged
ranjana
Guest
«Reply #13 on: June 19, 2006, 05:02:20 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pooja"
Quote from: "ranjana"
bahut khub Pankhuari and Fahi ji......

na jaane aaj kin nazaro se dekha unhone hame
hum  unki   aakho  mein   bas   kho ke reh gaye......
aaye they unse unka dil  lene,aur hum hi unke ho ke reh gye


hamesha ki tarah bahoot hi acha likha hai Ranju apne...
aor shukaria apko mera likha acha laga..

her ada unki kar de deewana
her najar unki se behak jaana

wo uska qatilana andaz mai muskana
aor dekh use mera madhosh ho jaana

her baat per uska mujko samjhana
laker baho mai kahin phir kho jaana

her ada unki kar deti hai mujko deewana.......


shukriya Pooja ........aapne bahut sundar likha hai........... Usual Smile

uski har shokh aada diwana kar gayi
aaye jab woh khawabo mein mere toh meri raat mehek gayi

unki baate mujhe le jaati hai na jaane kahan
chhoo de agar woh mujhe  toh lagata hai waqt wahi thama

uske labo ki woh sargoshiyaan mujhe bhi diwana kar gayi
kehni thee na jaane kitni baate unse per  sab hontho per aake ruk gayi
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #14 on: June 19, 2006, 05:09:50 PM »
Reply with quote
bahut shukriya pooja aur  khoob likha hai aapne

tumhaare mere beech ke dhaage
na jaane kaise dhaage the
jo ham ko baandh na paae
par ab tak toot na pae....................
Logged
Pages: [1] 2 3 4
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 12, 2024, 08:29:55 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 08, 2024, 09:59:08 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:55:06 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 06:58:58 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.11 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8507 Real Poets and poetry admirer