Teri ho jaau~~~~~

by Pankhuri2 on June 19, 2006, 04:57:42 AM
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Author  (Read 3768 times)
Pankhuri2
Guest
«Reply #45 on: June 28, 2006, 06:08:29 AM »
Reply with quote
bahoot khoob Tabu and Ranju
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Kaise Main So Jaau by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3 4 5 »
Teri Main Ho Jaau by Pooja in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2 3  All »
iss kadar ban ke bigad jaau by sunildehgawani in Shayri-E-Dard
teri ho jaau (nam) by poonamA in Shayri for Khumar -e- Ishq
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #46 on: June 28, 2006, 07:28:16 AM »
Reply with quote
kabhi kabhi khamoshi bolti hai tabassum ji..................gud 1 again............

 tamannaye bhi mang rahi hai ishq mai ye duaye
 ki jiski mujhe hai tamanna ,woh mujhe mil jaaye.

................@fahi@.................


Quote from: "tabassum shakeel"
nice one........ab kya likhun .........

sari tamanna isi tamnna me
kaash is shaam vo bhi aajaen
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #47 on: June 28, 2006, 07:31:44 AM »
Reply with quote
sahi kaha .............

 baazaro mai,mehfil mai ,vaadiyo mai gunjte
 tere naam se hi ab meri  pehchaan hoti hai

................@fahi@..................

Quote from: "Pooja"
her tamana mai tera naam
tera naam ban jaaye ab meri pahchan
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #48 on: June 28, 2006, 07:35:38 AM »
Reply with quote
very nice ranjana...........

  jalne walo mai sirf un sabka dil hi nahi tha
    ki mere jism bhi jal raha tha ishq ki aag se.

...............@fahi@................
Quote from: "ranjana"
mera akas unki pechaan mein dhal gaya
aaj unka naam mera naam ban gaya.
dkeha na jaane unhone kin nazaro se hame
ki bhari mehfil mein sabka dil jal gaya
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #49 on: June 28, 2006, 07:46:46 AM »
Reply with quote
very nice once again ranjana & tabassum ji........

 
 ishq mai tere mar jaane ka dil karta hai
  tujhko sirf apna banane ka dil karta hai

 dhadkane teri dhadkati hai jab ahsaaso ko
 sansoo mai teri utar jaane ka dil karta hai

 sharmo haya se jhuki teri nighao ko dekhkar
 tujhe yu hi hardam satane ka dil karta hai

 raat ki tarh khamosh  tere chehre per
 khuiyo ke rang bhar jaane ka dil karta hai
 
kaise kardu izhaar mai pyaar ka labo se
aankhon se tujhe ye batane ka dil karta hai

.................@fahi@....................
Logged
ranjana
Guest
«Reply #50 on: June 28, 2006, 10:11:54 AM »
Reply with quote
bahut khub fahi .......wonderful..........

teri nazaro ki chori mein jaan chuki hun
tere dil mein chhipe raaz ko pehchaan chuki hun

dil bandh raha hai tujhse ek anjaani dor se
us pyaar ke dhaage ko ab apna maan chuki hun

tera woh hamse milna gajab dhaane laga hai
teri aanhko ke khawabo ko apni aankho mein saja chuki hun

ab na chhipaao hamse tum apne dil ka raaz sanam
main teri hun yeh likh ke duniya ko ab toh bata chuki hun
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #51 on: June 28, 2006, 05:27:25 PM »
Reply with quote
very nice ranjana..........

 najro ne raaz khola jab dil-e-bekarar ka
 ijhaar kar diya  labo ne bhi apne pyaar ka

................@fahi@..................
Logged
anjani_si
Guest
«Reply #52 on: June 28, 2006, 06:59:08 PM »
Reply with quote
Quote from: "purani_jeans_aur_guitar"
very nice ranjana..........

 najro ne raaz khola jab dil-e-bekarar ka
 ijhaar kar diya  labo ne bhi apne pyaar ka

................@fahi@..................


palkein jabh uthi thi meri
sharmane laghi thi ankhein meri
dil khamoshi se kuch kehna cha raha tha
dhadkan meri ne kuch bola bhi tha
jabh ussne apni bahoin mein liya
samjhi usne apni mohabbat ka izhar kar diya :D:D
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #53 on: June 30, 2006, 01:50:18 PM »
Reply with quote
Quote from: "Pankhuri2"
Teri in madbhari ankhon mai kho jaau
sari duniya chod kar bas teri ho jaau

sari duniya ko apne dil ka haal sunau
bas ek tuje her ek pal gungunau

haya ka parda utha kar ajj
tujko ajj apna khuda banau

Teri in madbhari ankhon mai kho jaau
sari duniya chod kar bas teri ho jaau

very nice  pankhuri

bas ek hi doa maangi hai
 baar baar
sirf ek baar ho unka deedar
ab ke  ham na koi bhi parda
 bhi rakhenge unse
abke baaten bhi krenge zara
khulke unse
par ye ik soch hai
jab saamne vo aaenge
aankh jhuk jaaegi
 lab kuch bhi na kah paaenge
Logged
purani_jeans_aur_guitar
Guest
«Reply #54 on: June 30, 2006, 02:16:36 PM »
Reply with quote
nice anjaani ji & tabassum ji hamesha ki tarah 2 gud...............

yeh pyaar ka jaadu
karta hai yu bekaabu
 gar chad jaaye to nasha hai
utar jaaye to dard hai
na mile to tishnagi hai
aur mil jaye to..................zindagi hai.

.................@fahi@................
Logged
Pankhuri2
Guest
«Reply #55 on: July 01, 2006, 04:05:01 AM »
Reply with quote
wowow good job all... thanks Tabbu..
Logged
tabassum shakeel
Guest
«Reply #56 on: July 01, 2006, 06:14:06 AM »
Reply with quote
thanx pankhuri
aur fahi achcha apne likha ha hamesha  ham to bas saath dete hain...........
ye zindagi hamri ab naam hai usi ke
ye shayri bhi saari bas naam hai usike
ye  shayri nahi hai ham yaad karte usko
vo dil me jo basa hai likhti qalam hai usko
Logged
Pooja
Guest
«Reply #57 on: July 17, 2006, 03:30:48 PM »
Reply with quote
bahoot sahi kaha Tabu !!

Shabdo ko saja kar
khud ko sajaya karty hai
Dil ka her armaan
tere sung sajaya karty hai

jo kaha tune, wo khud ko
phir se bataya karty hai
jo na kaha tune
wo likh kar, apni payaas bujhaya karty hai
Logged
Pooja
Guest
«Reply #58 on: April 22, 2008, 01:30:22 PM »
Reply with quote
Kar rahi hai rooh intzaar ki kab tum aoge
Laker mujhe sath apni dunia main le jaoge

Her pal ka dekha sapna such kar jaoge
Tham hath mera, ek nai dunia dikhaoge

Nigah teri ne jo kiye wadein
Wo bin kahe poore kar jaoge

Khayalo mai hue madhosh bahoot
Haqiqat main bhi madhosh kar jaoge

Haya ke is pardein se bahoot dekh chuke tumko
Apne hatho se yah parda ab tum uthaoge

Kar rahi hai rooh intzaar ki kab tum aoge
Laker mujhe sath apni dunia main le jaoge
Logged
Pages: 1 2 3 [4]
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 21, 2024, 11:20:51 PM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.125 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer