Teri mohabbat ne

by nishita on December 30, 2004, 12:33:51 PM
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15
ReplyPrint
Author  (Read 14800 times)
thycreator
Guest
«Reply #180 on: February 05, 2005, 11:14:10 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
Mohabbat main asar hoga to ek din tum ko paalenge
Kisi surat se hum bigrri hui Kismat banalenge

Sitaron main Phoolon main Chaand main tum mil hi jaoge
kahan tak hai mohabbat main haqeeqat aazma lenge

zamaane ko dikha denge ke do DIL kaise milte hain
is duniya main hum tum doosri duniya basalenge


Wah Nishita ji....too gud,

Apke pyar ki sacchai dil ko chu ke gayi hai,
Kash aap sa mera bhi koi mehboob toh hota..
Logged
Similar Poetry and Posts (Note: Find replies to above post after the related posts and poetry)
Teri har ada mohabbat si lagti hai..!! by pankaj_pups in Shayri for Khumar -e- Ishq
teri mohabbat chahi by purani_jeans_aur_guitar in Shayri for Khumar -e- Ishq « 1 2  All »
~~~TEri Mohabbat Mein ~~~~ by waheed_rose2004 in Shayri-E-Dard
Teri mohabbat mein kya ajeeb........... by redwhitegang in Shayri for Khumar -e- Ishq
mai kaise bhula doon teri mohabbat ko... by Alam Qazi in Shayri for Dard -e- Judai
pandit
Guest
«Reply #181 on: February 05, 2005, 11:16:36 AM »
Reply with quote
wah nishita ji...............
teri mohabbat ka shukriyada karu kaise main,
ki dee hai naye zindagi mujhe kaise kahu main,
bata nahi sakta ki kis kadar paagal ho tere isq me,
teri ek jhalak paane ko bekraar hoo main.
Logged
nishita
Guest
«Reply #182 on: February 05, 2005, 11:21:18 AM »
Reply with quote
thanks both

Tumhare saath rehna hai,
Mujhe har waar sehna hai..
Mujhe ashkoon ki surat main,
Teri ankoon se behna hai..

Tumhare is chehre me
Udasi bhi to ek gehna hai...
Yehi to kaam hai apna ab,
ke hume pyar tumse lena hai...

Chalo ab berukhi choro,
Humain ek saath rehna hai...
Hay mera khatam afsana!,
Tumhen kuch aur kehna hai?
Logged
pandit
Guest
«Reply #183 on: February 05, 2005, 11:30:59 AM »
Reply with quote
very gud nishitaji...............
Logged
thycreator
Guest
«Reply #184 on: February 05, 2005, 11:34:33 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
thanks both

Tumhare saath rehna hai,
Mujhe har waar sehna hai..
Mujhe ashkoon ki surat main,
Teri ankoon se behna hai..

Tumhare is chehre me
Udasi bhi to ek gehna hai...
Yehi to kaam hai apna ab,
ke hume pyar tumse lena hai...

Chalo ab berukhi choro,
Humain ek saath rehna hai...
Hay mera khatam afsana!,
Tumhen kuch aur kehna hai?


Wah Nishita ji,
Hume tumse jo kehna hai usse bhi jante tum ho,
Jane kyu bhala phir bhi usse na mante tum ho,
Kabhi toh sun bhi lo mere dil ki dhadkano ko,
Har dhadkan tumhari hai,isse na mante tum ho.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #185 on: February 05, 2005, 11:36:04 AM »
Reply with quote
Quote from: "pandit"
wah nishita ji...............
teri mohabbat ka shukriyada karu kaise main,
ki dee hai naye zindagi mujhe kaise kahu main,
bata nahi sakta ki kis kadar paagal ho tere isq me,
teri ek jhalak paane ko bekraar hoo main.



Mairay Sabar Ka Na Lay Imtihaan Mairee Khaamoshi Ko Sadaa Na Day
Jo Tairay Baghair Na Jee Sakay Usay Jeenay Ki Too Duaa Na Day

Too Azeez Dill-o-nazar Say Hay Too Qareeb Rag-o-jaan Say Hay
Mairay Jism-o-jan Ka Yeh Faaslaa Kaheen Waqt Aur Barhaa Na Day

Tujhay Bhool Kay Na Bhulaa Sakoon Tujhay Chah Kay Bhee Na Paa Sakoon
Mairee Hasratoon Ko Shumaar Kar Mairee Chahatoon Ka Silaa Na Day

Wo Tarap Jo Shula-e-jaan Main Thee Mairay Tan Badan Say Lipat Gai
Jo Bujha Sakay To Bujha Isay Na Bujhaa Sakay To Hawaa Na Day

Tujhay Gar Mailain Kabhee Fursatain Mairee Shaam Phir Say Sanwaar Day
Gar Qatal Karna Hay To Qatal Kar Yoon Judaaiyoon Ki Sazaa Na Day(nm)
Logged
pandit
Guest
«Reply #186 on: February 05, 2005, 11:42:19 AM »
Reply with quote
wah sandhya ji ...
dil cheer k dikhlaa du tere pyaar ka rang hai lahoo me,
saanse bhi to hai tere hi naam ki is jism me,
kaise batau tumhe ki kis tarah se shaamil hai tu,
muquaddar me mere.
Logged
sandhaya
Guest
«Reply #187 on: February 05, 2005, 11:55:49 AM »
Reply with quote
Quote from: "pandit"
wah sandhya ji ...
dil cheer k dikhlaa du tere pyaar ka rang hai lahoo me,
saanse bhi to hai tere hi naam ki is jism me,
kaise batau tumhe ki kis tarah se shaamil hai tu,
muquaddar me mere.


thank u lekin ye maine nahi likha hai

dil na cheer ke dikhao mujhe tum
tumhe kabhi na aazamayenge hum
dosti mein aazmaish ke liye kaha jagah hoti hai
ke dosti tuh ek khuda ek jazba hoti hai
ye jante hai aisa mante hai hum
tuh khada reh intazar kar humara
ke samundar ko paar karke tere paas aayenge hum
Logged
pandit
Guest
«Reply #188 on: February 05, 2005, 12:00:46 PM »
Reply with quote
gud..............
samandar ko paar karna mushkil hai sanam,
ye tera hausala hi kaafi hai mere isq e mumtaz,
ki karenge tera intzaar,mujhe teri kasam.
Logged
bond
Guest
«Reply #189 on: February 05, 2005, 12:20:42 PM »
Reply with quote
baap re ...sab kitna achha likhte hain yahan....bahut achhe NISHI, SANDHYA,PANDIT,THY................SALUTES.....
Logged
pandit
Guest
«Reply #190 on: February 05, 2005, 12:22:51 PM »
Reply with quote
kuch nahi bond ji  ...
Logged
thycreator
Guest
«Reply #191 on: February 05, 2005, 03:54:34 PM »
Reply with quote
Quote from: "bond"
baap re ...sab kitna achha likhte hain yahan....bahut achhe NISHI, SANDHYA,PANDIT,THY................SALUTES.....


Thanx bond ji
Logged
nishita
Guest
«Reply #192 on: February 05, 2005, 05:45:42 PM »
Reply with quote
lol Bond thanks Usual Smile ,,,thanks all Usual Smile and nice work frds


Chale hain hum kahan duur tumse..
yaadon ki hai sama har kadam pe

raahon mein hain bas teri nishaan
saason se dalthi hain teri hi jaan

nazaron mein tera hi khwaab saja hain
dil mein bhi tu hi tu aake bhasa hai
Logged
fakharenaveed
Guest
«Reply #193 on: February 06, 2005, 01:11:09 AM »
Reply with quote
Chale hain hum kahan duur tumse..
JAHAN  NA KOI APNA HO
JAHAN BIYABAN HO
JAHAN WERNANA HO
JAHAN  BAS AIK YEHI
DEEWANA HO

NEHAAAAAAAAAAAAAAAAAA (PRINCESS)
WHERE R U?
Logged
thycreator
Guest
«Reply #194 on: February 06, 2005, 09:28:05 AM »
Reply with quote
Quote from: "nishita"
lol Bond thanks Usual Smile ,,,thanks all Usual Smile and nice work frds


Chale hain hum kahan duur tumse..
yaadon ki hai sama har kadam pe

raahon mein hain bas teri nishaan
saason se dalthi hain teri hi jaan

nazaron mein tera hi khwaab saja hain
dil mein bhi tu hi tu aake bhasa hai


Wow Nishi.....
Ishq ka ye khumar hota hai kuch aisa,
Din o rat menboob hi dil mein hai rehta,
Har pal uski yad se dil machalta hai,
Kambkht ishq pe ab kiska bas chalta hai.
Logged
Pages: 1 ... 9 10 11 12 [13] 14 15
ReplyPrint
Jump to:  

+ Quick Reply
With a Quick-Reply you can use bulletin board code and smileys as you would in a normal post, but much more conveniently.


Get Yoindia Updates in Email.

Enter your email address:

Ask any question to expert on eTI community..
Welcome, Guest. Please login or register.
Did you miss your activation email?
November 22, 2024, 02:15:44 AM

Login with username, password and session length
Recent Replies
[November 21, 2024, 09:01:29 AM]

[November 16, 2024, 11:44:41 AM]

by Michaelraw
[November 13, 2024, 12:59:11 PM]

[November 08, 2024, 09:59:54 AM]

[November 07, 2024, 01:56:50 PM]

[November 07, 2024, 01:55:03 PM]

[November 07, 2024, 01:52:40 PM]

[November 07, 2024, 01:51:59 PM]

[October 30, 2024, 05:13:27 AM]

by ASIF
[October 29, 2024, 07:57:46 AM]
Yoindia Shayariadab Copyright © MGCyber Group All Rights Reserved
Terms of Use| Privacy Policy Powered by PHP MySQL SMF© Simple Machines LLC
Page created in 0.138 seconds with 23 queries.
[x] Join now community of 8506 Real Poets and poetry admirer